Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Jankari

Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Mobile ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.

Android Smartphone Phone ko Root Kaise Kare Uski Jankari

Android Phone me Rooting Kya Hoti hai

Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change kar skte hai . Basically , Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .

Advertisements

Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead ho skta hai .Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .

Rooted Mobile kyu hai Jaruri

Dosto Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai. Aur agar aapko phone ke sath kuch experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai.

Also Read: ek Mobile me 2 WhatsApp kaise Chalaye

Rooted Mobile ke Faide

Do anything( Change UI): Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh, rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai.

Boost Your Phone: Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal memory ko badha skte hai. aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai. Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.

Battery Life, Processor Speed: Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki. Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai. Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.

Ad-free App: Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai. Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai. Aap custom Rom install kr skte hai. Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.

Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai.

Mobile Root karne ke Nuksan

Warranty Problem: Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai. Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai. Warranty wala mamla sirf badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi, One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .

Phone May Dead: Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega. Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge.

Only Custom OS can Install: Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi. Aapko custom OS mil skta hai. Jisko Aap apne phone me install kr skte hai. Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega.

Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai. Niche diye gaye jo bhi steps hai aapko follow krne hai .

Also Read: Mobile ko Hang hone se Bachane ke 10 Tarike

Android Phone Root Karne ka Tarika

Ye to tarika hai Mobile ko root karne ka uske liye computer ki jarurat padegi, Direct Phone se kaise root kare without PC uski jankari yaha hai.

Step 1: Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye .

kingoroot softare ki site se download kare mobile root karne ke liye

Download Button par click karke kar sakte hai.

[button url=”https://www.kingoapp.com/android-root/download.htm” target=”_self” position=”Center”]Download KingRoot[/button]

Step 2: Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega.

kingo-android-root-not-connected

Step 3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de. USB debugging ka option aapko developer Options me milega.

developer options me ja kar usb dubagging on kare

Note: (Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega.)

Step 4: Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega. Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye aage badhte jaye .

root par click karke root kare

Step 5: Jaise hi Rooting Process khatam hoga. Wha par finish likh kar aa jayega Iss tarah se aapka phone root ho jayega.

android Mobile rooted complate

Desclaimer: Phone ko root karte samay phone me koi bhi problem aane par Hindi Me Help or Meri (Rohit Mewada) ki Koi Jimmedari nahi hai. Kyuki maine aapko phle hi btaya hai ki Phone ko root karte samay aapko instructions ko pdhana bahut jaruri hai. Jo bhi karna hai aapko apne risk par karna hai.

Dosto agar aap apne phone ko root krna chahte hai aur aapko kisi bhi step me problem ho ya koi doubt ho aap sidhe comment kar skte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

387 thoughts on “Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Jankari”

  1. sir hm aapne mobile ko root kr diya hai..mera mobile modle no hai.SM-355H..samsung gluxy core 2…kiya is me ho( OS-loli pop) install kr sakte h…agar kr sakte h ti kise batays sir…

    Reply
  2. Rohit sir kya root karne se me apni email i’d hack huyi h to wapas la sakta hu jis ne hack kari h merh i’d usne recovry mail mobile sab change kar diya ha sir to mujhe kuc help kar sakte ho…

    Reply
  3. Moto g 2g lte marshmallow mobile kaise root kare kithna RAM huna our konsa root support karta hai is mobile ko please reply me

    Reply
  4. kya aap mujhe bata sakte hai ki kaise me aapne phone me 4whatsap install kar saku ….. or install karme samy sd card or phone ka option aye…..

    Reply
  5. Rohit bhiya mera fone intex aqua y2 pro KO mene root kiya 2month pehle or or root karne ke baad mobile mene uska launchers delete kar diya or kuch time pehle mene fone Ko rest or factory DTA koya or use bad start hone ke bad window nahi show jar raha please help or reply please …

    Reply
  6. Mere pass karbonn ka phone hai jis me android 4.2.2 jelli bean hai keya me aapne phone ko root kar sakta hu 70% par fail ho jata hai mereko phone ko kese bhi root karna hai me kese karu konsa aap us karu plz help mi sir…….

    Reply
  7. Mera phone micromax A110 running on ics he.
    Mene “HMH” me bataye gaye tarikhe se bina PC ke phone root kiya fir bhi SMSMANAGER APP Jo me nikalna chahta hu wo disebal ya uninstall nahi ho rahi…
    Plz help rohitji my no.7405043876 what’sapp.

    Reply
  8. Sir mujhe apne mobile mai play store download karna hai kyunki nokia x2 ds google play support nahi karta hai.
    Please sir aap mujhe bataye ki root karne ke baad kon si mathod use karni hogi jisse mere mobile mai google service active ho jayegi
    Pleaze sir help me

    Reply
  9. sir mera phone root nahi ho raha 99% k baad phone restart ho jaa raha hai uske baad root failed likh de raha hai kaise joga mera phone root mera phone Samsung galexy star pro 7262 hai

    Reply
  10. ye costom rom flash karna kya hota he Android mobile ko update karne ke liye root hone ke baad costom rom flesh karna he kya mere mobile 2.3.5 gingerbread he me isko 4.1.1 jelly bean karna chahta hu bahut pareshan hu help me reply plizz

    Reply
  11. sir mera mobile macromax q372 modal hai kya mein ise root kar sakta hu ?aur root karte samaye net ki jarurat padti hai ya nahi?

    Reply
  12. Sir Ji 30% par ruk gaya h or niche would you please click to support us Ka option aa raha h .mujhe kya karna h plz batye

    Reply
  13. Comment: bhai mere phone me kingo root se 90% tak hota he fir automatic hat jata he kya mera phone root hua mera phone gingbread he me usko Android 4.0 me kar sakta hu internal memory 160 mb he ho sakta he reply me

    Reply
  14. Sir mere pass samsung galaxy j2 hai . Model number SM-J200G HAI. ANDROID Version 5.1.1 hai. Mere ko root mobile karna hai pc k bina to kaunsi app se mera mobile root hoga . Me e janna chahata hu ki कौसी app se me mobile root karu. Or unroot bhi kar saku esi app

    Reply
  15. Sir mere pass samsung galaxy j2 hai . Model number SM-J200G HAI. ANDROID Version 5.1.1 hai. Mere ko root mobile karna hai pc k bina to kaunsi app se mera mobile root hoga . Me e janna chahata hu ki कौसी app se me mobile root karu. Or unroot bhi kar saku esi app batae .bina khatre se root krsku

    Reply
  16. Sir mere pass samsung galaxy j2 hai . Model number SM-J200G HAI. ANDROID Version 5.1.1 hai. Mere ko root mobile karna hai pc k bina to kaunsi app se mera mobile root hoga . Me e janna chahata hu ki कौसी app se me mobile root karu. Or unroot bhi kar saku esi app batae

    Reply
  17. aur sir ye bta dijiyea agar hmne mobile root kr liya hai to usme agr koi virus aa jata hai to kaise virus se bache

    Reply
  18. sir agar phone ko root karte wakt kisi problem ki wajah se computer shutdown ho jaye to kya mobile dead ho jayega

    Reply
  19. Bhai koi aisa application hai jise mobile number kis k name hai adress yani ki puri id pta chal jaye plzz bhai koi aisi app ho to btana mere liye ye bhot jada zururi hai plzz hel me ..ye meri life ka swaal hai..

    Reply
  20. mene mobile root kingo root se kiya par 99% me baad mobile mein aaya downloading air uske neeche do not turn off your target aur computer mein root succeed would you please make a donation to support us air neeche donate ka option hai air isle aage much bhi nhi ho rha hai kya kru

    Reply
  21. mene mobile root kingo root se kiya par 99% me baad mobile mein aaya downloading air uske neeche do not turn off your target aur computer mein root succeed would you please make a donation to support us air neeche donate ka option hai

    Reply
  22. Mera pass micromax à106 phone hai mai uski apps mamory bdana chahta hu kyuki apps mamory bhot kam hai usme jyada apps intall nai hote hai spacr bhar jate hai help me

    Reply
  23. Sir i am sujal mene apne phone htc desire 728 ko root krne k liye aapke step ko follow kiya lekin root 79% hi complete hota h uske baad root fail ho jata h or likha hua aata h. Try agian or contact us for further support sir m kya kr skta hun btao plz.

    Reply