Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Jankari

Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Mobile ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.

Android Smartphone Phone ko Root Kaise Kare Uski Jankari

Android Phone me Rooting Kya Hoti hai

Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change kar skte hai . Basically , Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .

Advertisements

Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead ho skta hai .Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .

Rooted Mobile kyu hai Jaruri

Dosto Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai. Aur agar aapko phone ke sath kuch experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai.

Also Read: ek Mobile me 2 WhatsApp kaise Chalaye

Rooted Mobile ke Faide

Do anything( Change UI): Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh, rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai.

Boost Your Phone: Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal memory ko badha skte hai. aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai. Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.

Battery Life, Processor Speed: Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki. Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai. Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.

Ad-free App: Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai. Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai. Aap custom Rom install kr skte hai. Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.

Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai.

Mobile Root karne ke Nuksan

Warranty Problem: Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai. Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai. Warranty wala mamla sirf badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi, One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .

Phone May Dead: Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega. Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge.

Only Custom OS can Install: Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi. Aapko custom OS mil skta hai. Jisko Aap apne phone me install kr skte hai. Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega.

Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai. Niche diye gaye jo bhi steps hai aapko follow krne hai .

Also Read: Mobile ko Hang hone se Bachane ke 10 Tarike

Android Phone Root Karne ka Tarika

Ye to tarika hai Mobile ko root karne ka uske liye computer ki jarurat padegi, Direct Phone se kaise root kare without PC uski jankari yaha hai.

Step 1: Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye .

kingoroot softare ki site se download kare mobile root karne ke liye

Download Button par click karke kar sakte hai.

[button url=”https://www.kingoapp.com/android-root/download.htm” target=”_self” position=”Center”]Download KingRoot[/button]

Step 2: Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega.

kingo-android-root-not-connected

Step 3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de. USB debugging ka option aapko developer Options me milega.

developer options me ja kar usb dubagging on kare

Note: (Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega.)

Step 4: Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega. Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye aage badhte jaye .

root par click karke root kare

Step 5: Jaise hi Rooting Process khatam hoga. Wha par finish likh kar aa jayega Iss tarah se aapka phone root ho jayega.

android Mobile rooted complate

Desclaimer: Phone ko root karte samay phone me koi bhi problem aane par Hindi Me Help or Meri (Rohit Mewada) ki Koi Jimmedari nahi hai. Kyuki maine aapko phle hi btaya hai ki Phone ko root karte samay aapko instructions ko pdhana bahut jaruri hai. Jo bhi karna hai aapko apne risk par karna hai.

Dosto agar aap apne phone ko root krna chahte hai aur aapko kisi bhi step me problem ho ya koi doubt ho aap sidhe comment kar skte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

387 thoughts on “Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Jankari”

  1. rohit sir please tell k mere pass Redmi 2 h uske neeche k teeno buttons kaam ni kar Rahe or sab theek h access root failed likh ke aaa raha h rohit sir plz tell me solution

    Reply
  2. bro mere pass sumsung A3 h vo root ho jaye ga kya or hame kese confrm hoga ki sumsung A3 company allow krti h root ke liye

    Reply
  3. mera phone yu yureka hai agar ham ise root karege to uske bad kisi app ko uninstall krte h or virus agaya to uske liye koi upaye h

    Reply
  4. Hello Rohit Mewada Bhai muzhe apne Android phone intex aqua star II ko lollipop version me upgrade krna h manually nhi ho raha h to kya mera phone upgrade ho skta h…

    Reply
  5. Kya Mobile app k jarye root nahi kar sakte jisse pc ki jarurat na pade
    Jo aapne tarika bataya aap sure hai ki mobile root ho jayega

    Reply
  6. root krna chta hu par dar rha hu dead na ho jaye,,,kiya me.bundas kru
    Kitne persentech chance hote h dead hone k?bhai plz

    Reply
  7. Thanks Yaar Rohit Itna Sara Tips Dene Ke Liye…
    Par Mai Abhi Tak Apna Mobile Root Nhi Kiya..
    Mera Micromax Canvas A1 Mobile Hai Kiya Mai Apke Bataye Gaye Tips Ko Dekhke Root Karu Toh Koy Problem Nhi Hoga…
    Mera Mobile Mai Jo So Application Install Hai..

    Reply
  8. Hi bro whtsup……meri problem yeh hy k mere cell root ni ho rha 70% ho k option aa jta hy retry…is k liya kya krna thek rhy ga..

    Reply
  9. Mera dell venue 7 tab hai. Kya tablet root ho sakta hai.
    Maine 1 mobile shope me pucha to wo bola sirf mobile hi root kia ja sakta he

    Reply
  10. Agar mobile ko root karte h to kitne percentage chance mobile dead hone ke hote h our kya aapne kabhi koi mobile root kiya h Jo dead ho chuka h..

    Reply
  11. Hii rohit sir gionee s 5.1 root krna h nhi ho kaese karu koi aasan trick computer se nhi sirf mobile se hi hoga aesa koi trick or or android version badaya ja sakta h plz rply me.. .

    Reply
  12. sir mobile root krne ke baad kitne % mobile kharab hone k chance hai…jldi kharab ho jata h ya nahi hota….que. 2nd sir ager mai root krke cstm rom install kar lu…..or unroot kr lu to to cstm rom dlte jayegi?

    Reply