Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Mobile ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.
Page Contents
Android Phone me Rooting Kya Hoti hai
Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change kar skte hai . Basically , Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .
Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead ho skta hai .Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .
Rooted Mobile kyu hai Jaruri
Dosto Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai. Aur agar aapko phone ke sath kuch experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai.
Also Read: ek Mobile me 2 WhatsApp kaise Chalaye
Rooted Mobile ke Faide
Do anything( Change UI): Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh, rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai.
Boost Your Phone: Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal memory ko badha skte hai. aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai. Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.
Battery Life, Processor Speed: Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki. Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai. Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.
Ad-free App: Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai. Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai. Aap custom Rom install kr skte hai. Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.
Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai.
Mobile Root karne ke Nuksan
Warranty Problem: Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai. Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai. Warranty wala mamla sirf badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi, One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .
Phone May Dead: Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega. Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge.
Only Custom OS can Install: Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi. Aapko custom OS mil skta hai. Jisko Aap apne phone me install kr skte hai. Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega.
Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai. Niche diye gaye jo bhi steps hai aapko follow krne hai .
Also Read: Mobile ko Hang hone se Bachane ke 10 Tarike
Android Phone Root Karne ka Tarika
Ye to tarika hai Mobile ko root karne ka uske liye computer ki jarurat padegi, Direct Phone se kaise root kare without PC uski jankari yaha hai.
Step 1: Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye .
Download Button par click karke kar sakte hai.
[button url=”https://www.kingoapp.com/android-root/download.htm” target=”_self” position=”Center”]Download KingRoot[/button]
Step 2: Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega.
Step 3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de. USB debugging ka option aapko developer Options me milega.
Note: (Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega.)
Step 4: Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega. Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye aage badhte jaye .
Step 5: Jaise hi Rooting Process khatam hoga. Wha par finish likh kar aa jayega Iss tarah se aapka phone root ho jayega.
Desclaimer: Phone ko root karte samay phone me koi bhi problem aane par Hindi Me Help or Meri (Rohit Mewada) ki Koi Jimmedari nahi hai. Kyuki maine aapko phle hi btaya hai ki Phone ko root karte samay aapko instructions ko pdhana bahut jaruri hai. Jo bhi karna hai aapko apne risk par karna hai.
Dosto agar aap apne phone ko root krna chahte hai aur aapko kisi bhi step me problem ho ya koi doubt ho aap sidhe comment kar skte hai.
thank bro
Sir Mera mobile samsung galaxy j 2 hai Me agre apna phone Root krta hu to kya mere mobile phone ka Warrinty khtum ho gaye ga Sir please help me
sir btaiye publicer app konse hote hai kya hum koi bhe app install nhe kar sakte rooted hone ke baad
publisher ka aap matlab sir root hone ke baad hum koi bhe app install nhe kar sakte sir plz btaiye
sir phone rooted hone ke baad publiser app hai jo hme install nhe karna hai wo kaise pta chalega ki ye publicser aap hai kya rooted phone hone ke baad koi nhe app install nhe karna chahiye plz btaiye sir
sir phone rooted hone ke baad publiser app hai jo hme install nhe karna hai wo kaise pta chalega ki ye publicser aap hai kya rooted phone hone ke baad koi nhe app install nhe karna chahiye plz btaiye sir
mai ye jaanna chahta hun ki phone root karne se phone ka sara data format Ho jata hai kya
Mera phone rooted hai aur mai phone restore karna cahata hu kya mera phone unrooted ho jayeg
i want to change my wi-fi MAC adress temperorly please
i want to change my wi-fi MAC adress temperorly
sir mera phon samsung galaxi grand new i 9060 he wo kingo root se root to 100% ho jata he par last me donesan mangata he sir koi esa tarika batado jo free me ho jai sir ji ho sake to abhi bata do
Bhai mera phone rooted hai aur mai apne phone ko restore karna cahata hu kya mera phone pahale jaisa rooted rahega
Sir mera mobile intex aque star2 me mane chinefir 3D name ka app install kar ke open kaya to phone automatic off ho gaya aur abhi on nahi ho raha . . . Plzzz help me
Mera phone Micromax A46 Root nhi ho RHA hai..
sir mera phin Samsung galayi grand new i9060 he root to ho gaya ab mughe uski ram badhni he kase
Game killer me root privilege needed KO kaise solve Kare?
hi mere phone me update sow karta h par jab phone ko update karta hu to file load ho hone ke baad phone restart hota h or jara sa uplaod hone k baad phone on ho jata h or screen pe likha ata h phone update fail aesa q hota h bataye
mera mobile Micromax bold a24 isme without pc root kese karu
Hiii,mai ankit pandey phone me root karne ke bad phon ko hard rest karne se koi problem ho sakta hai kya ???
Hlo sir mere pas LYF_ls_4006 mobile h Jo Mene kingroot SE root kiya tha or kuch din bad Mene phn ko resat kr diya kr mere phn unroot ho gya ab kingroot se root kr rha hu to nhi nhi ho rha h mujhe kya karna chaiye
99% par aake ruk gya hai mai kya karu nhi ho rha hai kaise kare bato
bhai mai abhi kar kar hi rha hu kitne der me hoga or kitna data lagta hai
sir maine khafi kosis ki hai hota nahi hai
sir Samsung 5282 root ho jayega kya
Sir ak simpal mobile hain Jisme main mes.kar raha hu to us mobile me daunloding mes.likha ja raha hain jo ki mujhe kuch samajh me nahi aa raha hain to aaphi bataiye ki main kya karu
Ek sim se dusre sim me data bailens kaise transfer karte hain please sir bataye ki kaise kare
wifi password hack krne ka koi aasan tarika hai kiya bhai…
Ha hai na sab wifi main sirf ek number daalna hota hai
Sir mera phone micromx Q461 h.. Agr ma root karunga toh kya mera phone vi dead ho jaega.. Micromx ke phn ki waranty khatm ho jaati h kya
ROHIT bhai main aap se whataap per bat karna chata hon root ke bare main or thodi malumat lena tha so plz plz plz mare number per contect kare 8149584378 aap ki bahut maher bane ho gi
Hello sir mera name Sujit raj hai mera mobile lava iris fuel 50 KitKat version hai Maine use root kiya air lollypop 5 version me update kiya Lenin van phir se root nahi ho raha please ko tarika hai to bataiye kya isko lollypop 5 me root kar sakate hai
Hello sir mera name Sujit raj hai mera mobile lava iris fuel 50 KitKat version hai Maine use root kiya air lollypop 5 version me update kiya Lenin van phir se root nahi ho raha please ko tarika hai to bataiye kya isko lollypop 5 me root kar sakate hai kya sir jaldi koi jankari dijiye
wi fi ka pswd dhak sakte hai
tho use b kar sakte haa
wi fi ka pswd hake ho sakta haaa
Sir jab me kingo root se apna mobile root karta hu to donesan mangte hai Kay free me Android Mobile root Nani ho sakta
Hello sir Mara phone Micromax spark 2+ hai mane usma root keya laken unable to root dekha data hai aur necha lekha hai use the desktop version mare pas computer ya PC nahi hai kase root karo.
hey bro, agar phone ko root kar diya hai, aur usko fir se unroot karna ho to kaise kare? help me buddy…
mere pc me kingo root install kiya he me jab us software ko open karta hu or mobile connect karta hu to uske drivers download hote he. driver ko download karleta hu to cable ki disconnect karne ko kehta he disconnect karta hu to aur mobile dekhta hu to mobile vesa ka hi vesa hota he ab plzz aap he batao ki me mobile kese root karu
mere pc me kingo root install kiya he me jab us software ko open karta hu or mobile connect karta hu to uske drivers download hote he. driver ko download karleta hu to cable ki disconnect karne ko kehta he disconnect karta hu to aur mobile dekhta hu to mobile vesa ka hi vesa hota he ab plzz aap he batao ki me mobile kese root karu
Hi amit jiii mene kingo root download kiya aur root karte samaye 90 %me ruk jaati hai aur try again option aahta hai kya karu help….
Comment:hellow sir ! kya hum phone ko bina root kiye kisi locked WiFi se connect ho sakte hai..
..I mean , kya hum kisi WiFi ka password hack kr skte hai/
Sir mera Intex aqua power HD smart phone ha Jo ki isme uts name ka virus aa gaya ha remove ya reset v karte h too nahi jata he.or mobile bahut slow chalta h koi upaye bataye
sir sir….
main ne apny pc me kingo root app install kiya apny mobile ko pc se connected kiya pc main show huwa magar software me mera phone show nahi hua ………
pleased help me sirrrrrrr………
rohit bhai mera mobile samsung galxy s7262 hai o root nahi ho raha hai 90 tk hi root ho raha hai failt…..
bata raha hai
Sir mera mobile number 7433051225 ye number mera whatsapp number he is number par msg karo muje aapse kuch bat karni he
Sir aapka whatsapp number do
Sir mobil ko root karne ke bad kisi ki app install kar sak te he
connect wifi ka password dekhne ke baad kya hum usko use kr saktey hai after root ke baad..?
hallo sir mera mobile Samsung Galaxy j200GDDU1APE6 Hai..ese kingoroot se root karta hu to 90% failed ho jata h..frameroot se karta hu to ( chek vulnerability ) dikhata h..mene apne mobile ko flash karne ke baad dobara kara sam problum ..Android v5.1.1
moto g2 main twrp recovery m.card se delete ho gayee hai mobile sirf recovery reboot option dikha raha hai kya karu mobile start ke baad yahi option aa rahe hai
mere s duos 3 root access dikha rha h but kaam nhu kr rha h please help me sir
Sir root kr k me mobile ka imei no. Change kr sakta hu kya