Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Jankari

Android Smartphone ko Root krna aapne toh suna hi hoga agar nahi suna hai toh aap iss post me apne Android Mobile ko Root Krna Sikh jayenge. Android phone ko root krne ke baad usme bahut se changing aa jati hai . Aap apne android phone ko apne tarike se customize (Use) kar skte hai. Aap phone ke Jad(“Root”) tk ja skte hai aur apne phone ke sath kuch bhi kar skte hai.

Android Smartphone Phone ko Root Kaise Kare Uski Jankari

Android Phone me Rooting Kya Hoti hai

Phone rooting ka seedha matlab phone ke OS ke jad (जड़) tak pahuchna hai aur usme manchahe badlaw krna. Root ke dwara aap apne phone ka Interface , Locking System , Pre-Installed App( Phle se Installed App) ko apne hisab se change kar skte hai . Basically , Phone root me jo OS yani Android Ka Software install hota hai uske jagah par Custom Android OS daalte hai .

Advertisements

Apne Phone ko root krne se phle aapko Rooting ke fayde aur Nuksan ke Baare me jaanna bahut hi jaruri hai . Kyuki agar aapne kisi bhi instructions ko Halke me liya toh aapka phone dead ho skta hai .Isliye aap niche diye gaye Fayde aur nuksan ko dhiyan me rkhte huye apne phone ko Root kare .

Rooted Mobile kyu hai Jaruri

Dosto Root karne se phle hume ye janna jaruri hai ki rooting kyu jaruri hai. Aapne playstore me dekha hoga ki bahut sare applications hai jo sirf rooted phone me hi kaam karte hai. Aur agar aapko phone ke sath kuch experiment krna hai toh yah sirf rooting ke baad hi possible hai hai.

Also Read: ek Mobile me 2 WhatsApp kaise Chalaye

Rooted Mobile ke Faide

Do anything( Change UI): Sbse phle agar rooting ke fayde ki baat kare toh, rooting se aap apne phone me kuch bhi kar skte hai mtlb kuch bhi. Agar aapko thoda sa Android se related Technology ke bare me pta hai toh aap apne phone ke UI( User Interface) Ko change kar skte hai.

Boost Your Phone: Aajkl ke phone me phle se hi kuch app install hote hai toh aap un aap ko Uninstall krke apne internal memory ko badha skte hai. aur aajkl playstore par Rooted phone ke aise aise software/apps available hai jinki help se aap apne phone ko High-Advance bna skte hai. Aise aap rooted phone ke liye isliye available hote hai kyuki rooted phone me apps ko Phone ke andar tk jaane ka permission mil jata hai.

Battery Life, Processor Speed: Itna samajh liye phone ko root krne ke baad aap apne phone ke sath bahut kamaal kr skte hai chahe wo Battery life ki baat ho yaa customized User Interface ki. Aap apne processor ko Overclock ya Underclock kar skte hai. Iska matlab ye hai aapka processor speed aap badha skte hai ya ghta skte hai. Ye aapke upar depend karta hai.

Ad-free App: Apne phone ke Sleep time ko bhi badha skte hai. Phone pe aane wale advertisement ko bhi khata kr skte hai. Aap custom Rom install kr skte hai. Custom ROM ko install krne se aapko Nye Nye Options bhi mil jate hai.

Toh aap dekh skte hai ki aapke phone ko root karne ke baad kitni possibilities badh jati hai.

Mobile Root karne ke Nuksan

Warranty Problem: Agar Rooting ke Nuksan ke bare me baat kre toh sbse phle baat aati hai ki Phone ki warranty chali jati hai. Kyuki Rooting me aap apne phone ke security lock ko bhi tod ke Phone ke root tk jate hai. Warranty wala mamla sirf badi company jaise Samsung ,HTC ,LG ,Sony , Motorola me hai jbki Xiaomi, One Plus jaise phone Rooting allow krti hai .

Phone May Dead: Aapko root karte samay sabhi instruction ko follow krna hota hai nahi toh aapka phone dabba ho jayega. Toh root karne se aapko dhiyan dena jaruri hai. Phone ko root krne ke baad agar aapne kisi bhi publisher ka app install kiya toh agar koi virus attack hota hai aapke phone pr toh uske jimmedaar sirf aap honge.

Only Custom OS can Install: Android ka koi bhi latest version aapko phone ke company dwara nahi milegi. Aapko custom OS mil skta hai. Jisko Aap apne phone me install kr skte hai. Aur haa rooted phone me Apko Wallet se related koi app nahi milega.

Upar jo bhi maine fayde aur nuksan btaye hai agar aapko in nuksan se koi fark nahi pdta hai aur aap apne phone ko root krna chahte hai toh chaliye mai btata hu ki aapko root krne ke liye kya krna hai. Niche diye gaye jo bhi steps hai aapko follow krne hai .

Also Read: Mobile ko Hang hone se Bachane ke 10 Tarike

Android Phone Root Karne ka Tarika

Ye to tarika hai Mobile ko root karne ka uske liye computer ki jarurat padegi, Direct Phone se kaise root kare without PC uski jankari yaha hai.

Step 1: Aap sbse phle apne PC me KingoRoot Software download kar lijiye .

kingoroot softare ki site se download kare mobile root karne ke liye

Download Button par click karke kar sakte hai.

[button url=”https://www.kingoapp.com/android-root/download.htm” target=”_self” position=”Center”]Download KingRoot[/button]

Step 2: Software install karne ke baad jb aap usko open krenge toh Phone ko connect karne ke liye kahega.

kingo-android-root-not-connected

Step 3: Phone ko connect krne se phle Settings me Jaakar USB Debugging ko On kr de. USB debugging ka option aapko developer Options me milega.

developer options me ja kar usb dubagging on kare

Note: (Agar aapka Developer Options show nahi kr rha hai toh aap Build Numbers par lagataar 7 baar Tap kare . Fir aapko About phone ke option me Developer Options show krne lgega.)

Step 4: Phone PC se connect hone ke baad Aapko ROOT krne ka option milega. Aap Root pr click kar dijiye aur Aage ke Information ko pdhte huye aage badhte jaye .

root par click karke root kare

Step 5: Jaise hi Rooting Process khatam hoga. Wha par finish likh kar aa jayega Iss tarah se aapka phone root ho jayega.

android Mobile rooted complate

Desclaimer: Phone ko root karte samay phone me koi bhi problem aane par Hindi Me Help or Meri (Rohit Mewada) ki Koi Jimmedari nahi hai. Kyuki maine aapko phle hi btaya hai ki Phone ko root karte samay aapko instructions ko pdhana bahut jaruri hai. Jo bhi karna hai aapko apne risk par karna hai.

Dosto agar aap apne phone ko root krna chahte hai aur aapko kisi bhi step me problem ho ya koi doubt ho aap sidhe comment kar skte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

387 thoughts on “Android Smartphone Phone Root Kaise Kare Uski Jankari”

  1. bhai bina computer ke mai mobile root karana chahata hu lekin ap Jo apk bataye hai WO mai apk sabhi apk use kiya party mobile rooting nahi ho pa rha hai an mai kya karu mera mobile Panasonic 6.0 mashmaalw hai place SMS my number 9617665912

    Reply
  2. root karne ke bad agar me kingroot ya root cheker ko un install karu too kya mera root hat jaye ga ..please help me sir…
    sadhu singh

    Reply
  3. sir mere pas motog2 phone hai jisme os 6 chl rha hai mujhe nougat update krna hai bt maine bootloader unlock to kr liya hai pr update nahi ho rha hai plj help me sir mujhe is nmbr pr whtasapp me plj help kriye sir

    Reply
  4. Sir Mera naam Taheer hai
    Maine mere mobile moto g4plus ki hard reset kara ab mai wapas se start kar raha hu to wo google account enter karne par owner ki id enter karo or pahele se meri jo id thi wahi dala mai par mb start nai hora care se bat karne par wo bole k rest se pahele google account remove karna tha
    72 hour wait karo
    Help sir aap batao mai kya karu

    Reply
  5. Mujhe ek what’s app hack karna h to mene thetruthspy s hack kar liya
    Pr jab whatsapp ki history dekhne k liye click karta hu to mob ko root karne ka option aata h to me ya janna chahta hu ki mob apna root karna padega yaa victim ka

    Reply
  6. Rohit ji muze app hack krna hai to root to jaruri hai BT root ke Jo Nuksan hai Jo aapne bataya hai uss karan muze ab mobile root krne me drrr lag rha hai because kuch ho na jaye to please 7276686627 it’s my what’s app no. Sir plzzz sms on me what’s app and haaa sms hi krna call mat krna sir muze root ke bare me information puchna hai

    Reply
  7. mera samsung phon me root nhi ho raha hai..
    pc se connect krne ke baad root option aa rha hai root par click krne par root fail bta rha hai…

    Reply
  8. plz sir bataye ki mera mob videocon v50jg kasi root kare mi sare app dounlode ker ke tsk gya koi fyada nahi hua na root hua plz sugg my emaial

    Reply
  9. hloo bhai meine waisa hi kiya jaisa apne bola pc mein mein kingoroot download krke open kiya usb krke phone connect kiya root option pr click kiya processing ke baad mobile root nhi hua bhai ab main kaise kru root btao bhai . phone ka model number Q350 , android 6.0 marshmallow kaise kru root koi to tarkeeb do

    Reply
  10. Mera phn phley se root hai but mujhey us mai marshmallow ka version dalna hai cyanogenmod ke sath kya mai aisa without use of computer kr sakta hon mere pass nokia x2 ds hai

    Reply
  11. Hello sir mere mobile me kinemaster ka video layer support nahi karta h aur root v support nahi karta h main kya karu
    Model no micromax E311

    Reply
  12. Sir mera mobile YU Yureka 5510 hai to ham root karna chahte hai koi dikkat to nahi hogi sir fir ham unroot kar sakte hai ki nahi. Help?

    Reply
  13. root Karne ke baad phone hang hone lag gaya tha jab switch off kiya toh on nahi ho raha hai uska company logo aa raha hai bus

    Reply
  14. mere pas gionee e3 life mobile hai maine mobile shop pe pahele KitKat virson update karaya hai ab muje usme marshmallow update karna hai ….hoga?? maine apna mobile kigroot se rooted kiya hai..aapke javab ka intezar rahega mere dost..

    Reply
  15. sir mera mobile karbonn smart k51 hai mai isme kingoroot app se root karna chahta hu to 90% hoker stop ho jata hi our filed dikhata hi to batayen ki mai apna mobile ko kase root karoon !

    Reply
  16. Hello sir mera smartphone lyf wind ka hai jisko kingo app se root kar raha hun 90% ke baad failed bta deta hai plz help this problem

    Reply
  17. hello mere pas samsung gt s 6102 mobile he mujhe isme lollipop install karna he mujhe ye bataye ki lollipop software kaha se Download karu, or kon kon si file sath me download kanri he? web site ka name bataye? ya link bheje / ya download karke mere mail par bhej de

    Thanks

    Reply