Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer Me Notepad Se

Internet Aaj hamari jisndi ka kitna aham hissa ban gaya hai, ye to sabko lagta hi hoga.. Mere Mobile me ya Computer me to agar 10 Minute bhi Internet naa ho to aesa lagta hai, Pata nahi kis duniya me aa gaya hu.. Matlab Puri Duniya se hi disconnect ho jata hu..

WiFi Hotspot Banaye Computer Me NotePad ki Madad Se

Bhut Bar hota hai Hamare Mobile me ya fir kisi Friends ke Mobile me Net Chalana hai par ham Ya Fir Dosto ke Sath Lan Game Khalna ho to ham WiFi ki madad connect kar sakte hai.. Uske liye bas hame apni Computer ko WiFi Hotspot me badalna hoga, jo bhut hi aasan hai.

Advertisements

Also Read: Connected WiFi ka Password kaise Dekhte hai

Wifi Hotspot banane ka Fyada

  1. Sabse bada fayda internet sharing hai, isse aap apne laptop se apne family members aur padosio ko apna internet share kar sakte hain.
  2. LAN par games games khelne ke liye bhi hotspot banana padta hai jisme bhut se Laptop ek sath connect karke game khal sakte hai.
  3. File share karne ke liye (Wireless). Iski madad se ham Fast file transfer bhi kar sakte hai..

Jo Trick hai Laptop me WiFi Hotspot banane ki usme kisi software ki jarurat nahi hai, Simple Notepad ki madad se 2 .bat file banani hai.. Chaliye Dekhte hai kese kya karna hai.

Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer Me Notepad se

Step 1: Pehle step me apne laptop pe Notepad khole (Press Win key+ R, aapke samne ek run dialog box khul jaega usmein ‘Notepad’ type karein aur enter key press karein )

run me notepad dale notepad open karne ke liye

Step 2: Ab niche ke code ko copy karke notepad me paste kar dein

netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=Wifihotspot key=hmh1234567
netsh wlan start hostednetwork

Wifi Hotspot banane ke liye ye code dale notepade me fir save karde

yahan SSID wifi hotspot ka naam hai jise aap apne hisab se edit bhi kar sakte hain and key Wifi hotspot ka password hai, isse bhi aap apne hisab se edit kar sakte hain.

Step 3: Is step me, apni is file ko startwifi.bat name se save kar dein(.bat extension ka dhyan rakhein)

startwifi bat ke maan se save karde

Step 4: Ab is step me ek new notepad file open karein aur niche ke code ko copy karke paste kar dein

netsh wlan stop hostednetwork

wifi band karne ke liye ek file banaye hmh.

Step 5: Is file ko stopwifi.bat name se save kar dein.

wifistop bat ke naam se file save kare wifi band karne ke liye hmh

Aapne jo File Banai hai uske aesi jagha save kare jaha jaldi se phucha ja sake.. Desktop par bhi save kar sakte hai.

Ab WiFi Hotspot Chalu karne ke liye Startwifi file par double click kare to Wifi Hotspot shart ho jayega.. Or fir kisi bhi Device me Wifi Connect kar sakege.

WiFi Hopspot ko band karne ke liye Stopwifi ki file par double click kare.. WiFi Hotspot Band ho jayega..

Hai Na Aasan :)

Aapko ye jankari kesi lagi comment karke bataye, or Agar or koi jankari chaiye to aap site par search kar sakte hai.. bhut si jankari phele se share ki hui hai.. Fir bhi agar aapko jo jaanna hai wo nahi milta to aap comment karke puch sakte hai..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

104 thoughts on “Wifi Hotspot Kaise Banaye Computer Me Notepad Se”

  1. hello sir.
    ASUS MINI Leptop WIN 7 32BITS
    ME Network and Sharing Center me Wireless Network Connection ka icon mising ho gya hai.
    TO USME KOI BHI WIFI NETWORK SHOW NHI HO RHA HAI . WIN 7 KO USME DOWARA SE BOOT KARNE KE BAAD BHI NHI AA RHA HAI.
    HELP ME SIR .
    MY WHATSAPP. NO. >9675239383.

    Reply
  2. hello,sir mera nam danish hai aur mai karbon A5 turbo KitKat 4.4.2 3G phone use karta hoon.plz….aap bataiye ki kya me free me isme fast 3G internet use kar sakta hoon. plz……sir

    Reply
  3. Sir jaise aapne bataya ki computer me WiFi notepad Ke banane Ke lite humne at save kar diya jab hum computer me WiFi kholete h to ouch aata hi nhi h hame pta kaise chalega ki mere computer me WiFi chal RHA h
    Please si jaldi answer ka replay kare

    Reply
  4. Sir jaise bataya ki computer me WiFi hotspot note pad jariye bansne computer me WiFi ya shareit sent file transfer ho jyega to humne kosis kiya to nhi jaha par humne WiFi save baba par WiFi ko kholene par hame pta kaise chalega ki mere computer me WiFi cannet ho Gya
    Please sir jalda answer ka reply kre
    Thanks sir

    Reply
  5. Mene ye trike computer me use ki lekin phone me wifi connect nhi ho rha he or computer me bhi ye file open nhi ho rhi he

    Reply