Automatic Payment Pending Adsense: Ab Kya Kare? 🤔

Aapki Google Adsense account me aesa aa raha hai kya: “Automatic payment pending: Bank account ****” jisme progress ki jagha Pending bata raha hai!

Tension naa lijiye, Bhale ye aapki Adsense se pehli payment hai wo aapko hi milegi, wass thoda time lag sakta hai.

Advertisements

Automatic Payment Pending Adsense Iska Kya matlab hai

Google Adsense se har mahine ki 21th ko payment sent hoti hai, jo ki automatic process ho jati hai hamare diye hue bank account me.

Agar automatic payment pending bata raha hai uska matlab hai ki abhi Payment adsense se sent nahi hui hai..

To ab iska karan kya hai, ya hame kya karna hai ye sabal jarur aapke mind me aa raha hoga.. Paise ka jo sabal hai 🤑 ..

to iska simple sa jabab hai aapko kuch nahi karna, sirf thoda wait karna hai.

Adsense Payment Kab aati hai

Adsense ka jo payment system hai wo kuch iss trha hai, aap image me dekh sakte hai.

adsense payment kab sent hoti hai

  • 2 tarikh ko Pichle mahine ki kitni Earning hui hai adsense me wo show hoti hai.
  • 20 tarikh ko jo Payment hame milne wali hai wo finalize hoti hai, agar kuch fake invalid click hote hai to uske paise cut ho jate hai.
  • 21 tarikh ko hamare duye hue Bank account me payment sent kardi jati hai..
  • Payment Bank me aane ke baad, Bank usko Verify karke hamare Bank account me daal deti hai jisme 30 tarikh tak ho sakti hai.

Jesa ki aap date dekh kar samaj to gaye hoge, kya process hai or kab Adsense ki Payment Bank account me aati hai..

Agar payment ke Bich me Saturday ya Sunday aa jaye to Payment ki date thodi badh sakti hai.

*agar aesa hua ki aapne bank detail galat daal di, to bhi aapko tension lene ki jarurat nahi hai.. aapki wo payment wapas Adsense account me aa jayegi, jisko aap Bank Detail adsense account me sahi submit karke Next month me magwa sakte ho.

Bank Detail aap 20 tarikh ke pehle submit karege, jab hi uss mahine ke 21 ko payment aapko milegi, warna payment next month ki 21 ko process hoti hai.

Aaj Black Friday (23/11/2018) hai or usse Pehle Thanks Giving Day manate hai US me, to jo Automatic Payment Pending bata raha hai Adsense me, uska yahi karan hai.

Muje lagbhag 10-15 logo ne pucha ki hamari adsense payment q nahi aa rahi, Google Adsense me Automatic payment pending bata raha hai, ab kya kare?

To uske baad jab mene apna khud ka Adsense account dekha, to usme bhi wahi dikha raha tha. ;)

Google Adsense automatic payment pending

iska simple sa matlab hai, Black Friday ki baja se ye delay hua hai payment me.

At Last:

Agar aapki Payment abhi tak nahi aai hai, to aapko ye jankari milne ke baad, jarur Dil ko sakun mila hoga.. ki chalo koi tension wali baat nahi hai, Payment Pending batana normal hai.. :)

Agar aapko Adsense se related koi bhi jankari chaiye to aap yaha dekh sakte hai, jisme mene Adsense se related 60+ sabalo ke jabab diye hai.. jo har adsense user ko pata hona chaiye.

Agar aapka abhi bhi koi Adsense payment se related question hai to commnet karke jarur puche.. or aapka payment aaya ke nahi wo bhi bataye..

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.