Google AMP kya hai or Blog me AMP kaise Apply kare agar aap ye janna chate hai to aap bilkul sahi post par aaye hai. Google AMP jisme AMP ka Matlab hai Accelerated Mobile Pages jisme jo Page hai wo bhut fast load hota hai mobile me.
Is samay 70% se adhik log internet ka use mobile device me karte hai. Isliye google ne amp project launch kiya taki mobile me website jyda speed me open ho. Jisse user ka interest badhe aur online content ko bad hawa mile.
Website Speed Google Ranking Factor hai ye to aap jante hi hoge.. ki jo fast load hoti hai wo upar aati hai search me.
Page Contents
Google AMP Kya Hai
Google AMP ek standard project hai jise google and twitter ne milkar launch kiya hai. Yeh project html and css par work karta hai. Yeh JavaScript code ko compress krke html me modify kar deta hai jisse page fast load hone lagta hai.
In sort khe to google amp ek aisa page hai jo page se extra content and widget ko remove karta hai.
Dome ke liye aap Hindi Me Help AMP version dekh sakte hai.
Yeh AMP Project feb 2016 me aaya tha. Aaj ke samay me kafi ye popular bhi hai.
Blogger Me Google AMP Kaise Setup Kre
Worpress ke liye bhut se WordPress AMP Plugin uplabd hai , jinki madad se WordPress blog ko AMP enable kar sakte hai.
But Blogger or Blogspot website me aisa kuchh nhi hai. To agar aapko Blogger me AMP Apply karna hai to pura kaam khud se manuly karna hoga. Blogger me AMP Apply karna wese jada muskil kaam bhi nahi hai, agar aapko Coding ki thodi basic knowlage bhi hai to aap aasani se AMP Apply kar lege.
Kaise Apply karna hai Google AMP Blogger par uske liye Steps ko follow kare.
Step 1: Download Google AMP Blogger Theme
Sabse pahle apko Google AMP Blogger Template download karna padega. Kai website free google amp theme deti hai aur aap paid theme bhi le sakte hai. Use download kre aur apne blog me Template upload kar de, Theme upload karne se pahle uska backup lena naa bule purani theme ka taki koi badwad naa ho.
Step 2: How Write Post In Google AMP
Ab apka blog google amp ho jayega. Ab aapko amp tag hi use karna padega jaise AMP Image, AMP Adsense Ads, amp style AMP Video etc.
Jab bhi ab aap post karenge to compose ki jagah html option ka use karenge. Iske liye sabse pahle us page me uplabdh sabhi html tag remove karna hai. Kyoki isme div tag pahle se maujud hote hai jise amp page error manta hai. Ydi aap ise remove nhi karenge to div tag se realated error aane lagegi jisse amp me apka page google me index nhi hoga.
Iske bad apko post me image aur ad bhi amp me insert karni hai. Ye tag bhi hum batayenge ki kaise amp image insert kiya ja sakta hai.
Step 3: Modify Old Post In AMP
Ydi apke blog me pahle se post hai aur unme image ya tag non amp hai to search console me errors so hoga. Aur use google amp me index nhi karega balki wo non amp page ke jaise show hoga.
So ydi apna blog bina page error ke sath show karna chahte hai or website ke sabhi page amp me show karna chahte hai to old post ko modify or html me edit kre. Jaise ki amp image lagaye, div tag and style remove kar de. Amp ad ka use kre. Ydi fir bhi koi errors aati to comment kre.
Google AMP Image Kaise Banaye
Google amp image banane ke liye amp-img tag ka use karna hai. Jab hum image insert karte hai to wo non amp hoti hai aur uska html code <img src= …. </img> hota jisme jha par bhi img bus likha hai uski jagah amp-img likhana hai. Or neeche diye gaye image tag ka use kre.
<amp-img src="hindimehelp.jpg" alt="hindimehelp" height="450" width="700"></amp-img>
Is code me apko src ke aage jo invited comma me jo hindimehelp.jpg likha hai uski jagah apni image ka link dalna hai jise aap amp image me insert karna chahte hai. Aur is prakar aap amp image post me insert kar sakte hai.
Adsense AMP Ad Kaise Banaye
Adsense amp responsive ad post me lagane ke liye sabse pahle neeche diye gye code ko copy kre.
<amp-ad layout="fixed-height" height=100 type="adsense" data-ad-client="ca-pub-13563278374853" data-ad-slot="0123456789"> </amp-ad>
Ab is code me jo ca-pub-13563278374853 likha hai uski jagah apko apni adsense id dalna hai jo ki adsense har publisher ko deta hai. ise publisher id kahte hai.
Aur ad slot ke aage jo invited comma ke under number hai usko apne ad slote code se remove karna hai. Jab aap ad crate karte hai ya ad copy krte hai to usme yeh code hota hai. Yeh apki ad unit id hoti hai.
AMP Video Kaise Embed Kre
Video Embed karne ke liye sabse pahle neeche diye gye code ko copy kre
<amp-video width="480" height="270" src="/video/tokyo.mp4" poster="/img/tokyo.jpg" layout="responsive" controls autoplay> <div fallback> <p>Your browser doesn't support HTML5 video.</p> </div> <source type="video/webm" src="/video/tokyo.webm"> </amp-video>
Ab src me diye gye code ko apni video ke url se replace kar de. Isi tarah aap you tube ke video bhi amp me use kar sakte hai. Iska code ye hai.
amp-youtube data-videoid="mGENRKrdoGY" layout="responsive" width="480" height="270"></amp-youtube>
Ab is code me video id me you tube video ki id se replace karni hai. Ab apka you tube amp me ho gya hai.
Dosto ummid hai apko ye post jarur pasand aayi hogi. Ydi apko isme koi doubt hai to comment me sawal puchh sakte hai.
Agar aapko bhi HMH.pe Guest Post karna hai to uski Jankari yaha hai.
Ye sabhi tarike karene se image load nahi ho raha hai mere blogger me
Very nice post very helpful sir
Very nice post main google news ke liye apply karna chahta hu kaise karu please suggest me..Rohit sir..
aapke blog ke content bahut useful hote hai, thanks
sach a really very nice and helpful post .
Sirji mera blog blogger par hi hai, lekin aap bata rahe the ki html me jakar post or image se Div remove karna padega isilie maine socha ki itnis sari images or post me aisa kaise hoga.
Nd thank you so much for instant reply..thatswhy i love ur blog..keep growing
Agar aapka Blog BLogger.com par hai to me aapko suggest karuga aap waha jada code me change naa kare.. Kyu ki agar aapko coding ka sahi knowledge nahi hai to aapko bhut problem aayegi.
Thanks for advice, aapki baat bilkul sahi hai, jaisa hai vaisa hi rahene deta hu..aapka bahot bahot shukriya time dene ke liye