Blogger Post Editor ki Detail Me Puri Jankari

Hello, Blogger

Agar aapne Blogger par blog banaya hai to aapko pata hona chaiye blogger post editor me kya kya option hai or kaise Blogger Post Editor ko use karte hai.. taki uska use karke achi se post blog par dal paye.

Advertisements

Blogger Post Editor ki Detail Me Puri Jaankari hindi me help HMH

Page Contents

Blogger Editor ke har ek future ke bare me

Video Dekhne ke liye click kare

BLogger post editor ki puri jaankari hindi me puri detail ke sath hmhpe

Blogger Post Editor ke Main Part

1: Post Title – Isme ham jo Post likhte hai, uska Title daalna hai.. Udharan ke liye aap News Paper ko le sakte hai uski ek heading hoti hai or fis uske bare me likha hota hai.. ham Heading pad kar samaj jate hai ki post me kya hai.. ussi trha hame apni post ki heading deni hai Post Title me.. 160 sabd se jada nahi hona chaiye.

2: Post Body – Isme hamari jo bhi post hai usko daalna hai, sahi thara se.. jisse logo ko padge me aasani ho..

Blogger Post Editor Ke Tools

Compose HTML

3: Compose/HTML – Ham jo Post likhte hai wo Compose view mw likhte hai, HTML par click kare par Jo HTML code hai wo dikhta hai. agar aap koi HTML code ho add karna chate hai to HTML me ja kar add kar sakte hai.

Undo Redo

4: Undo/Redo – In Button ki madad se ham Post editor mo jo bhi laste me kiye usko ek step piche or ek step aage ja sakte hai. Undo ke liye ShortCut – Ctrl+Z

Font

5: Font – Is Option me hame kuch or Fonts ke option diye hai, jinki madad se ham chahe to hamari post ke font badal sakte hai.

Font Size

6: Font Size – Isme ham apne font ka Size bada ya chota kar sakte hai.

Format

7: Format – Is option ki madad se ham Apne Post ko sahi trha se fomate me likh sakte hai, Heading, Subheading se kar. jisse logo ko padne me bhi aasani ho or Google me bhi hame faida milta hai inko sahi se set karne me.

bold itelic underline abc

8: Blod (B) – Is B ki madad se ham sabd ko bold (mota) kar sakte hai. Example ke liye jese Hindi Me Help. Iska Shortcut bhi hai  – Ctrl+B

9: Italic (I) – Is option ki madad se ham sabdo ko teda kar sakte hai. jese ye – Hindi Me Help. Iska ShortCut hai – Ctrl+I

10: Underline (U) – Is ki madad se ham sabd ke niche line khich sakte hai. Jese ye – Hindi Me Help. Shortcut hai – Ctrl+U

11: Strikethrough (ABC) – Agar aap sabdo ko katna chate hai, bich me line khich kar to iski madad se kar sakte hai.

Text Color or Background color

12: Text Color – Is option ki madad se ham sabdo ka color badal sakte hai.

13: Text Background Colour – Isme ham sabdo ke piche ka background color badal sakte hai. link image video jump brack

14: Add or Remove Link – ham jo bhi link add karna chahe post me iski madad se kar sakte hai.

15: Insert Image – Hame jo bhi Image ko add karna ho apni post me isi madad se kar sakte hai. Image ko computer se upload bhi kar sakte hai or Online image link se bhi add kar sakte hai.

Sai tarike se Image kaise Upload kare Blogger me SEO ke sath uski jankari yaha jarur read kare.

16: Insert a Video – Video ko add karne ke liye ya option hai. ispar click karke Video upload bhi kar sakte hai. Par me aapko Suggest karuga ki aap Youtube par apna video upload kare or fir usko add kare.

17: Insert Jump Break – Iska use hamari post ko do hisso me batne ke liye hota hai. Fir agar maan lo kisi ne hamare blog ko subscribe kiya to uske pass hamari adhi post jayegi, jaha par hamne Jump Break kiya hai.

Agar Simple template use karte hai to aapne dekha hoga puri Post home page par dikhti hai. Isko select karne ke baad nahi dikhti.. Par Iska or acha option me phele hi share kar chuka hu jisme hame bar bar add karne ki jarurat nahi padegi.

Alignment

18: Alignment – Is option ki madad se ham jo text hai hamari post ka usko ham arrange kar sakte hai.

number quote fomating remove

19: Numbered List – Agar aapko koi list add karni hai to aap iski madad se numbering kar sakte hai.

20: Bullet List – ye option bhi Numbered list ki trha hai, isme Dots aate hai number ki jagha.

21: Quote – Iski madad se aap kuch special hai usko dikha sakte hai. Example –

I am not a “HANDSOME” guy. But I can give my “HAND” to “SOME” one who needs me. Beauty is in HEART, Not in FACE.

 – Dr. A.P.J. Abdul Kalam

22: Remove Formatting – Is Option ki madad se aap apni post ke text ke sare format remove kar sakte hai. Jese aapne agar koi bhi formatting ho – Blod, Itelic, underline, Kuch bhi.. jiska Remove karna ho, us text ko select kare fir button par click kare.

Check Spelling

23: Check Spelling – Is option ki madad se Post me jo spelling galat hai wo highlight ho jate hai.

Transliterate Words Typed Phonetically in English Script (अ)

24: Transliterate Words Typed Phonetically in English Script (अ) –  Ye option mere hisab se bhut jaruri hai. Q ki me hindi me blogging karta hu, or aap meri post pad rahe hai to ho sakta hai aap bhi hindi me blog likhte hai. Mere sah ek dikkat hai muje Hindi (हिंदी ) type karna nahi aata.. to ham is option ko chalu karke English type karke Hindi me likhe.

Left-to-right

25: Left-to-right/Right-to-left – is option se ham text ki direction badal sakte hai. Jese agar aapko Udru me likna hai to right to left me likhna padega.

Post ke Liye Option

labels

26: Labels – Ye bhut Important future hai hamare blog ke liye. Labels ki madad se ham apni Post ko Alag-Alag kar sakte hai uske topic ke hisab se. jisse hamare blog ke visitor ko jis topic par post padna ho wo bad sake.. Kaise use kare Labels ko detail me jaankari yaha hai

shedule

27: Schedule – Agar kisi post ko kisi fix time par Publish karna hai to ham isme uska time set kar sakte hai.

Post Schedule kaise karte hai uska taika yaha bataya hai.

permalink

28: Permalink – Hamari jo Post ki link hoti hai usko Permalink khata hai. ham yaha se post ki link ko badal sakte hai. Post ko Publish karne ke phele. sahi Permalink bhi bhut jaruri hamare blog ko search me dikhane ke liye.

location

29: Location – Isme ham apni Location add kar sat kar sakte hai.

search description

30: Search Description – Ye Option bhi bhut-bhut jaruri ham hamari post ke liye. Or Ye option phele se chalu nahi rahata ha. Kaise Search Description ko chalu kare uski jaankari yaha hai.

options

31: Options – Ye kuch or option hai, inme ham set kar sakte hai Post par comment allow ho ki nahi.

Blogger Post ke liye Button

Post editor Button Publish Save Privew close

32: Publish – Is button par click karne par hamari Post Publish ho jati hai or hamare blog par dikhne lagti hai.

33: Save – Is Button ki madad se hamari likhi gai Post save ho jati hai Post ki list me par Publish nahi hoti. Jese hamne post ko abhi likh liya par baad me Publish karna hai to ham post ko Save kar sakte hai.

34: Preview – Ham jo post likhte hai, wo hamare Blog me kesi dikhegi usko ham Preview ki button par click karke dekh sakte hai. Me aapko Suggest karuga ki aap Publish karne ke phele Post ko Preview karke jarur dekhe.

35: Close – Iska Matlab to muje lagta hai batane ki jarurat nahi hai. Ispar click karne par hamara Post Editor Band ho jayega.

Blogger Post Editor ki Puri Jaankari Video Me

Friends Ab Aap Blogger Post editor me kya kya option hai or ham kya kar sakte hai or kaise blogger me Post dalte hai.

Blogger ki Puri Jaankari yaha hai – HMH.pe/Blogger

Aapko ye jankari kesi lag comment karke jarur bataye, or agar aapka koi sabal ho to aap wo bhi puch sakte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

102 thoughts on “Blogger Post Editor ki Detail Me Puri Jankari”

  1. sir maine apna ek blog bnaya tha aur os par Maine ek post b likhi thi lkn muja vo post google par nhi mil rehi plz help me

    Reply
  2. thanks sir
    Ek aur sawal hai blog par comment box kaise lagana hoga jisme comment body ,name ,email,website yeh options ho jaisa aapka hai maine search kiya woh website par jaakar banana hota hai.kya karna honga?

    Reply