Blogger Navbar Kya Hota Hai Or Isko Kaise Hatate Hai

Apne blog ko banane ke baad sabse phela kaam hota hai usko sahi se design karna. Mene pichli post me bataya tha ki blogger par blog kaise banate hai or kya kya chaiye Blog banane ke liye. Hamara Blog banne ke baad ham uspar apni post to daalte hi hai par uske saath hame apne blog ko apne hisaab se design bhi karna hota hai, usko customize karna padta hai, taki bo dekhne me bilkul ek Website ki traha hi lage.

Blogger ka Navbar kya hota hai or usko kaise hatate hai

Ye kuch chije hai jisko koi bhi dekh kar ye bata sakta hai ki ye ek blog hai or isko Blogger par banaya hai. Ham unko chupa kar ya fir apne blog se delete karke apne blog ko bilkul ek professional website ki traha bana sakte hai.

Advertisements
  • Nav-bar jo hamare blog me upar dikhta hai.
  • Subscribe to: Posts (Atom) ye har post ke niche lika hota hai.
  • Powered by Blogger Attribute jo hamare blog me sabse niche likha hota hai.
  • Blogspot jo hamare blog ki link me juda rhata hai, usko bhi ham hata sakte hai.
  • Favicon hamare blog ka icon hota hai jo Small B hota hai ham isko bhi change kar sakte hai

Hamare Blog ko Promote karne ke liye Facebook Page bhi bhut jaruri hai. or Facebook Like Widget apne Blog se jode kar ham apne Facebook Page ke like bhi bada sakte hai.

Is post he ham jaanege ki Nav-bar ko apne blog se kaise hatate hai.

Page Contents

Blogger Navbar kya Hai?

Ham jab Blog Banate hai Blogger.com par to hamare blog par upar ek Navigation bar (Menu) hota hai. Navbar sirf ek bloffer ke kaam ka hota hai bo uski madad se direct apne Bloggger ke deshboard me ja sakta hai.

blogger navbaar ke bare me puri jaankari

  1. B ke icon par click karne par aap Blogger.com khul jata hai
  2. Search Bar is par aap blog ko search kar sakte hai
  3. google+ button se page ko share kar sakte hai Google+ par
  4. More ki or share ke option aa jate hai
  5. Next Blog>> par click  karne par Blogger ka koi bhi dusra blog khul jata hai.
  6. yaha par aapka Email id dikega jisse aap login ho.
  7. New Post par click kar ke naya post likh sakte ho.
  8. Design se aap apne blog ke template ke section me phuch jate hai.
  9. Sign out par click karke logout kar sakte hai.

to ab aap samaj gaye hoge ki Navbar sirf hamare shortcut ke liye hai par hamare visitors ko iski koi jarurat nahi hai.

Navbar ko Haatane ke Faide-Nuksaan

Nav-bar hamare shortcut ke liye hota hai. Agar ham usko hatate hai to bas hamara ye nuksaan hoga ki hame blogger.com par jaakar hamare blog ka dashboard kholna padega. Faida ye hai ki aapka jo blog hai bo ek website ki trha dikhga. me aapko kahuga ki aap isko hata de.

Ek baat or agar aap agar koi naya Template use karte hai to aapko Nav-bar hatana hi padega. Mene yaha par bataya hai Apna Template kaise Upload karte hai Blogger par.

Navbar ko kaise hataye

Isko hatane ke 3 tarike hai.

  1. Nav-bar ko Off kar sakte hai
  2. Nav-bar ka Code Delete kar sakte hai
  3. CSS code ko jod kar Navbar ko hata sakte hai

ham sabse saral tarike ki baat karege jo phele nahi tha Blogger ne abhi joda hai, Navbar ko Off karna

Navbar ko Off kaise kare

Navbar ko Off karne ke liye aapko Apne blog ke Layout me Jana joga. Usme aapko ek Navbar ke naam se ek widget dikega, uske edit link par click kare.

Navbar ka widget ko khole

Ispar click karne ke baad ek popup page khulega

off ko select karke save karde

Off ko tik kare fir Save ka button dabaye.

Video Dekhe – Kaise Navbar ko Hatate Hai

Ye lijiye ab Blog ka Navbar hat gaya, apne blog par jaa kar dekho.

Dosto is post me aapne sikha Navbar ko hatana or ye bhi jana ki Q isko hataye. Agar aapka or koi bhi sabaal ho Navbar se related to aap comment kar sakte hai.

Blogger se related koi bhi sabaal ho aap mujse puch sakte ho. Internet se related Sabaal Jabaab yaha kare.

Aapko ye post bhi jarur padni chaiye ki ham apne Blog ka Tital, Discription or uska Address kaise change kar sakte hai ye SEO ke liye bhi bhut jaruri hai.

Blogger ki Puri Jankari Yaha Hai

Agar aap Online Blogging me apna carrer banana chate hai to aap Hindi Me Help ko Subscribe Jarur kare or apne Blog ke baare me Muje jarur batae :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

34 thoughts on “Blogger Navbar Kya Hota Hai Or Isko Kaise Hatate Hai”

  1. Sir aap mere blog me menu add Kr sakte Ho kya mushe paresani aa rahi hai kyo Ki me mobile use Karta Hu …please help me

    Reply
  2. maine apka template upload kiya. mujhe help kare.
    main home sitemap about hatana chata hoon.uske baad static page sub menu button edit karna chata hoo. please help

    Reply
  3. plz add me in what’s app 9639384900…. or sir mujhe btaye ki internet se paise kaise kmaye jaye.. maine apna blogger bhi bna liya hain

    Reply
    • Agar aap post me link add karna chate hai to post editor me link ka option aata hai. Usme aapko karna ye hai ki link par click karo fir jo link aap usme open karna chate hai bo link daalo. Agar link ke new tab me kholna hai to usme option aata hai us par tik kar do

      Agar aap menu me link ko add karna chate hai to bo batao.

      Reply