Blogger Me Domain Ko Kaise add kare | .Blogspot.com -> .com

Dosto me aapko ek baar fir se yaad diladu ki blogger ek aesa platfom hai jiski madad se ham free me website bana sakte hai. Agar aapko nahi pata kaise banaye to aap yahadekh sakte hai kaise free website banti hai Blogger par usko agar ham kisi ko bataye to bo aasani se samaj jayega ki ye to free ki hai, or ek professional look nahi aata.

Ham aaj ussi topic par baat karege, or wo hai website ka address. jese ki aap jaante hi hai blogger par jo hamari website/blog hai uska address kuch is prakar hota hai. hindimehelp.blogspot.com jisko ham domain add karke hindimehelp.com me badal sakte hai.

Advertisements

www.HindiMeHelp.blogspot.com or isko dekh kar koi bhi kha dega ki ye to free hai or isme kya badi baat hai. Par agar ham kisi ko bataye ki hamari website hai www.HindiMeHelp.com to 99% log jarur impress hoge or aapse jaanne ki kosis karege ki aapne kaise banai. or unka najariya aapke liye badal jayega.

Domain Lene se Phele Ye Jaankari Jarur Pade, Kaise Badiya Domain Select kare.

blogger me se blogspot hata kar website me convert karo

Is post me ham janege ki ham kaise apni blog ke address se blogspot ko hata kar website me badal sakte hai.

Kya Kya Chaiye blogspot ko hatane ke liye

ye kuch chije hai jo aapke pass honi chaiye

  1. Blogger par free Blog. agar nahi hai to aap 5 minute me free blog bana sakte hai.
  2. Domain Name

To blog ko website me badane se phele aapko ek acha sa Domain register karna hoga.

Domain ko kaise register kare uski puri jaankari mene apni pichli post me di hai. aap matra ₹99 rupee me domain ko register kar sakte ho.

Domain register karne se phele ek badiya domain name jarur select kare, Ek Best Domain Name kaise select kare uske tips yaha hai.

mene domain godaddy se register kiya hai aap chahe to kisi dusri site se bhi domain ko register kar sakte ho. ye kuch badiya website domain register karne ke liye

5 Badiya Domain Registration ki Website aap yaha dekh sakte hai.

Domain ko Kharidne ke baad kya karna hai.

Domain ko Blogger me setup kaise kare

Dosto mene godaddy se domain kharida hai, to me usse kaise connet kare bo bataoga. aapne bhale kisi dusri site se domain liya ho same process karna hai bas website thode alag tarike se khulegi. To chaliye jaante hai ki ham kaise apne free blog ko website me badale.

Ab aap muje step by step follow kijiye

Step 1

Blogger.com me login karke apne blog ki setting me jaye jisko aap domain se connect karna chate hai.

blogger ki setting me ja kar third party domain par click kare

  • Stttings >>Basic me jaye
  • Ab jo Set up a third-party URL for your blog ki link hai us par click kare.
Step 2

ab or option aa jayege

third party domain par click karke apna domain dale www ke sath

  • box me aapka domain daalna hai jo aap blog se jodna chate ho. www ke sath hi daalna hai nahi to kaam nahi karega.

Ab ye do code hai unko aapko apne domain ke CNAME me jodna hai. uske liya aap is page ko aesa hi khula rhane de or new tab me domain ki site me login kare.

Note: aesa jaruri nahi ki aapka blog jis naam se ho aap ussi naam ka domain jode. jese me aapko is post me dikha raha hu mera blog hai www.hindimehelp.blogspot.com or me usko www.RohitMewada.com se jode raha hu.

Step 3

Godaddy me Login kare (aapne Domain jaha se liya hai usme jaye)

godaddy me login karne ke baad domain manage par jaye

  1. Apne Naam par Click kare
  2. Manage My Domains par click kare

Ab aapke Domains ki list aa jayegi.

Step 4

Domain ki DNS setting me jaye

DNS par click kare

 

Step 5

Domain me DNS set kare blogger ke liye

 

  1. Ab aap Records new ADD karna hai
  2. Blog ke jo code hai unko add karne ke liye ADD par click kare.
Step 6

google cname add kare domain dns me

 

  1. Sabse phele CNAME (Alias) select kare
  2. HOST me www dale
  3. POINTS TO me aapko ghs.google.com daalna hai
  4. TTL 1 hour hi rhene de
  5. Save ki button par click kare.

ab bapas Add kare.

google code add kare domain dns me

 

  1. CNAME (Alias) select kare
  2. HOST me ab aapko bo dusre code ka chota hissa daalna hai jo aapke blog me aa raha hai.
  3. POINTS TO me uske saamne wala hissa daalna hai. aap uper ki image ko dekh kar or achi se samaj lijiye.
  4. TTL me 1 Hour select kare
  5. last me Save ki button par click kare.
Step 7

 

ab conform karne ke liye ki aapke code sahi se add huee ki nahi. thoda sroll down kare. CNAME (Alias) ke naam se ek option dikhega. usme aap check karle ki dono code sahi se jud gaye hai. jo www hai uske saamne ghs.google.com hona chaiye or dusre code me jo aapke blog me dikh raha hai bo.

ek baar achi se check karle dono code achi se dal gaye ho

Step 8

Ab bapas apne blogger ki setting pe aa jaiiye.

Cname godaddy par set karne ke baad blogger me domain ko save karde

ab save ki button par click karde.

ab kuch is trha dikhega aapke blogger ki setting me

blogger me domain add karne ke baad aesa dikhega

To ab pura kaam ho chuka hai. ye setting karte hi site new domain me khulne lagti hai par kabhi kabhi time bhi lag sakta hai. DNS Setting ko update hone me 24 ghante tak lag sakte hai, thoda intjaar kare. agar iske baad bhi nahi khule iska matlab aapne kahi koi galti ki hai. aap fir se puri process ko achi se ckeck kare.

⚠Dosto ab aapka domain to set ho gaya par ek baat or hai jo aapko set karna hota hai. agar aap apni site ko bina www ke kholege to error aayegi. matlab agar aap www.website.com kholo ge to website khul jayegi par agar aap website.com khologe to error aayegi. Bina www ke website ko kaise set kare uski jankari yaha hai.

To ab aap jan chule hai Blogger me domain kaise add karte hai, Aapko ye jaankari kaise lagi or agar aapko kahi par koi dikkat aati hai to comment karke muje jarur bataye.

Blogger ki Puri jankari yaha milegi

Ye kuch or post hai mere blog ki jo aapko padni chaiye

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

396 thoughts on “Blogger Me Domain Ko Kaise add kare | .Blogspot.com -> .com”

  1. blogger ki setting me gaya waha basic me aap ki di hui jankaaari saari follow kari uske baad basic me blog address bhi add ho gaya lekin google par search karta hu to godaddy ki site khul jati he ya fir 24 hours me automatic ho jayegi plz bataye….

    Reply
  2. namskar sir,
    sir hamara sabal hai ki domain name setup karte hai tab godaddy.com log in hokar godaddy acount me sabse pahle kaha click kare jaise aapne jo spep-3 me bataya hai vo aajaye.

    Reply
      • namskar sir
        sir aapne jo pahle bataya thaa ki godaddy.com me log in hokar manage ka opction par jana vha par aapke bataye huye stape-3 me hai vo nahi aarha hai ese aa rha hai (New Names, New Opportunities
        100s of new domains are coming — from .MENU & .SHOP, to .NYC, .LAWYER, & .CLUB
        Easily find the ones that will get you noticed online.) to sir hame domain setup karne ke liye kya karna hai plz. help.
        thankingyou.

        Reply
    • namskar sir,
      sir hamara ek sabal hai ki mai godaddy.com me log in krata hu ye do massege aarhe hai (1.Now is a good time to update your password and ensure your account is safe and secure. Update Now!
      2.Never miss a renewal date. Set up text message reminders. Change now!)
      hame kya karna hai help plz.(.com pahli bar liya hai sir)
      thanking you

      Reply
    • namskar sir,
      sir hamre dikat yah hai ki aapke bataye hue step-3 me manege my domain par click krta hu tab aapke step -4 me hai vo nahi aa rha hai uski jagah ye aa rha hai (If you only had a domain, you could be putting it to work instead of reading this.
      Get a domain and set things in motion for your business.)
      sir esko set up kaise karu ya anya koi domain site batao jisse dubara domain karid kar set up kar saku .

      Reply
  3. sir maine domain liya

    fir blog ko aese hi khula rakhkr aapne kaha

    new tab me apne domain ko kholo par wo nhi khul raha hai,
    maine godaddy se domain liya hai, jab domain ko kholta hu to goddy ka poster aa jata hai,apne

    blogger ko domain se jodne me yahi pe dikkat aa rhi hai,please batay kya karu

    Reply
  4. Rohit mujhe webhosting or domain k bare me btao mujhe apne wordpress site k liye dono hi lene h…to achhe or sasti hosting n domain kaha se or kitne price me mil jayenge…. Or bluehost se $3.95/mo me hosting mil rhi h or ek domain b free h uske sath, kya ye theek rahega ?

    Reply
  5. bhaii plzzz help me bhaai main jada preshan ho gya hu plzzz bhai mere blog me janha par temlate dashboard me chonte se box me dikhta hai banha us box me invalid token seciorty error 403 likha kar aa raha hai temlates nhi dikh raha hai

    Reply
  6. Hi ,
    Apne yhe line jo likhi h ki
    “Ab ye do code hai unko aapko apne domain ke CNAME me jodna hai. uske liya aap is page ko aesa hi khula rhane de or new tab me domain ki site me login kare.”

    ISme domain ki kis site pe jaye or login kese kare . mere pass user name and password nhi h . or hum domain ki site pe jate h to domain karedne ka option deta h.

    Kuch samjh nhi araha h please help me.

    Reply
  7. bhaiii plzzz help karo bhai main jab domain name ko add karta hu to error 12. likhkar ata hai bhai maine domain name bigrock se kharid liya tha plzz

    Reply
    • ye error kaha par aati hai bigrock me ya blogger me.. aapko konsi step me ye error aa rahi hai. or kya karne par ye error aa rahi hai. bayate..

      Browser ka data delete karke browser reshate kare, fir tri kare..

      Reply
      • bhai ye error blog me janha par domain tridparty ke liye dalte hai banhi par
        aur bhaii plz mujhe ye bhi bata do ki mere blog ke dashbord me jaha par temlates ko chote box me dekhte hai banha par invalid seccroty token error 403 likh kar aa ra hai mobile wale me bhi yahi aa raha hai

        Reply
  8. Ha mai apne hi blogg ka code dalunga but
    Ye code mujhe milega kaisa iski jankari chahiye ye code mai kaise hasil karu
    plz tell me .
    Thanks…..

    Reply
  9. Hi, maine aapse pahle bhi puchha tha, ki main apne website ke visitors ko kaise badha skta hun. google adwords ne mere website ko accept nahi kiya qki ye affiliate mrkting website h. to main kya use kr skta hun. pls help

    Reply
  10. Step 5-
    HOST me www dal diya
    POINTS TO me ghs.google.com daal diya haiT
    TTL 1 hour hi rhene diya
    ab dusre code ko add karne ke liye ADD ANOTHER ki button par click bhi kiya
    Fir ye firm aa gya isme

    CNAME (Alias) select kiya
    Apne likha hai HOST me ab aapko bo dusre code ka chota hissa daalna hai jo aapke blog me aa raha hai. Isme kya mai likhu ye chota code kya hai aur kahaa milega
    Aur
    POINTS TO me uske saamne wala hissa daalna hai. Isme kya likhu ye khaa milega
    Yahi samajh me nahi aa rahaa
    Plz help me …
    My email singhbechan71@gmail.com
    Thanks…
    M

    Reply
  11. Go daday se domain lekar word press me add kar sakte hai ?
    Agar kar skate hai to ksise karen ?
    Plz give sugg. step by step
    Thanks…………………..

    Reply
    • Has kar sakte hai. Usme liye hosting bhi jaruri hai.or mujhe abhi usme achi jaankari nahi hai to me usme bare me abhi nahi bata Santa. Blogger ke bare me puchna ho to bata Santa hu. Aap net search kare bhut se tutorial mil jayege

      Reply
  12. Hii…
    meri site Google search me nhi aa rhi he…
    Search me lane ke liye krna pdega.
    ap meri site dekho….
    www allcareeralert.in isme koi kmi he to jarur btana..

    Reply
    • aap apni site par phele kuch badya post to dale, thoda time lagta hai site ko search me aane me.. or aap jab bhi cmmet kare apni site ka link website ke option me dale comment me nahi.. isme daalne se aapka comment automatic delete ho sakta hai..

      Reply
  13. hiii….
    mene blog ko domain name me convert kiya he…..
    ab Jo site khol rha hu….us me WWW. type krna pdta he…WWW. ke bina site kese open kre….

    Reply
    • kosis karke dekh sakte ho. aap ke in sabalo ka simple ek jabab hai ki mobile me or computer me jo site khulti hai bo hoti to ek hi hai to aap jo computer se kar sakte ho wo mobile bhi kar sakte ho. par Mobile me dikkat ye hai ki uski screen choti hoti hai is liye ham uspe sahi se kaam nahi kar sakte or kuch option hide ho jate hai. ummid hai ab aap mujese koi aesa sabal nahi karege ki ya ham mobile me kar sakte hai ki nahi

      Reply
    • thoda time ladta hai, 48 hours tak lag sakte hai. Browser ko re start kare net disconnect katke connect kare.

      Agar fir bhi nahi khulta iska matlab aapne apni setting sahi se nahi ki, aap fir se puri steps ko check kare…

      Reply
    • India got online par kar sakte ho. Par me aapko suggest karuga ki aap godaddy par domain ko register kare. Agar aap coupon use karege to 99 rupee me ho jayega jo sirf ek movies ? dekhne ke barabar.

      Reply
  14. slam sir

    sir nichay meray blog ka link hai .us pr main kesay Facebook option aur subscribe option launche kroon?

    Reply
  15. hello sir आपकी सभी पोस्ट हमने पढ़ी है सभी बहुत उपयोगी है, उपयोगी जानकारी देने के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद!!

    हम आपसे ये पूछना चाहते है की मेरा blogspot.com पे ब्लॉग है, क्या डोमिन लेने के बाद होस्टिंग की आवसकता नहीं होगी ? होस्टिंग की आवसकता कब होती है?

    Mera Blog- http://devendras82allfun.blogspot.in/

    Reply
  16. Rohit sir maine apne blog par domain set kar liya hai. Par sarch karn par .blogspot he likha aa raha hai kya mujhe fir se url submit karna padega sarch engin par

    Reply
  17. sir plz help me sir..mein already blog bna chuka hu or domain bhi le chuka hu sir. lkin usko blog se connect ni kr pa rha hun sir plz kya aap usko coonect kr skte ho mere blog se plz sir..

    Reply
    • aap post me dekho or kis step me dikkat aa rahi hai bo batao. agar mene add kiya to aapko samaj nahi aayega ki kaise kya huaa or mera maksad jo aap logo ko sikhana hai bo pura nahi ho payega

      Reply
  18. sir can u help me plz..maine already blog bna chuka hun or uske liye domain bhi le chuka hun. lekin wo mujhse add nhi ho rha h sir..mein pc m domain open kr rha hu to open nhi ho rha h..sir plz help me sir.kya aap usko add kr skte ho sir mere domain mein.plzz sir

    Reply
  19. rohit ji.domain ke last step me save karte samay… We have not been able to verify your authority to this domain. Error 12.,,likha aata hai..plz help..

    Reply
  20. Bhaiya mere blog pe sare post abhi bhi ek hi page pe aa rhe h pura open hoke. Is se mere blog ka look bigad rha h. Plzz help mai Kya karu. Is prblm KO Thik krne ke liye.

    Reply
    • Suraj,
      ye koi itni badi problem nahi hai. sirk aapke blog me ek code add karna hai. phele aap mujeapne blog ka link to send karo or usme emplate knsa use kar rahe ho bo batao. jab bhi comment karo website me option me apna blog ka link daal diya karo jisse me aapke blog par ja kar samaj saku kya dikkat hai :)

      Reply
  21. BT agar sb kuch pahle jaisa rhega to Fir jab koi hamari website kholega to uska theme to blog k tarah rhega na or Fir wo pawerd by blogger ka likha hoga. Usko kaise batayenge tb

    Reply
    • Baat pura bese hi chalta rahege. Sirf Change hoga to sirf aapka url. Ek baar godaddy se domain ko connect karne ke baad koi kaam nahi godaddy site ka, sirf ek saal baad renew karna padega :)

      Sabkuch Blogger par hi rahega

      Reply
  22. dns zone file me add record ka option nahi aa rha hai or ye error aa raha jab me apne blog me setting me jaake apna domain name add kar raha hu to mene http://www.hypertake.com domain dya apna but ye error q aa raha hai or dns zone file me add record ka option bi

    Reply
  23. Lekin mujhe ye samjh ni aaya Ki agar domain KO hm apne blog me jodte h to us se sirf hamare blog se blogspot hat jayega na. Mujhe ye Janna hai Ki domain lene k or Kya Kya advantages hote h.

    Reply
    • Domain ko lene ke faide blogger ke liye
      1. Professional look aa jata hai
      2. jo visitor hai bo jada value deta hai as compare to free blogspot
      3. Adsense approve hone ke chance bad jata hai
      4. search engine me bhi faida milta hai
      5. apne aapko apne blog par kaam karne me maja aata hai ki aap ek website kemalik hai
      6. aap apna email apne website par bana sakte ho. jese mera hai Rohit@HindiMeHelp.com

      Reply
  24. Aapka post bahut achha laga. Mai ye puchna chahta hu Ki domain name KB Lena chahiye. Mera blog shuru huye av bs 1month ho rha h. Or mujhe jyada coding k bare nhi pata h.Kya mai ek website sambhal paunga??

    Reply
    • domain ko blog me add karne se sirf aapke blog ka URL badalta hai or khuc nahi.

      aap jese abhi post karte ho bese hi chalta rahega bas aap kisi ko bataoge to bo jarur aapse impress ho jayega.

      Rahi baat coding ki to isko koi coding ki jarurat nahi hai. or blogger ek bhut hi aasan platform hai jiski madad se ham ache paise kama sakte hai.

      Reply