Hello Friends, Aaj ham is post me sikhege kaise apne Facebook ID ya Page ka user-name ko set kar sakte hai or kaise badal sakte hai. Agar aapka Facebook Page nahi hai or aap banana chate ho to aap Phele ye pado – FB par Fan’s Page kaise banate hai.
Page Contents
UserName Kya Hota Hai
Username har ek Page or Profile ki ek alag ID hoti hai. Facebook Par jintne bhi Page ya Profile hai un sanki ek alag Id hai. Jab Ham Facebook par account banate hai ya fir Facebook Page banate hai to hamari ID ke Number me hoti hai.
Ham hamare ID ko change kar sakte hai. Jisse bo yaad rakhne me bhi aasan ho.
Facebook ID kuch is trha rhati hai www.facebook.com/123456789 or ham usko aesi badal sakte hai www.facebook.com/HindiMeHelp kholta.
UserName Ke Faide kya Hai Facebook Par
- Ham Facebook Par Login karne ke liye hamara username or Password daal kar login kar sakte hai. Puri Email Id Daalne ki koi jarurat nahi hai.
- Yaad asani se rheti hai. Agar kisi ko batana ho apni Facebook k account ke bare me to ham apna user-name bata sakte hai. jese mera facebook username hai R.N.Mewada
- Comment me kisi ko tag karna ho to uski user-name daal kar kar sakte hai. Jese @HindiMeHelp
- koi bhi Link ko dekh kar samaj sakta hai ye kis page ya profile ki link hai.
Facebook ID ki Link (username) Set Kare
Sabse phele aap apne Facebook Account me Login kare.
Login karne ke baad is Button par click kare
[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://www.facebook.com/username”]Change Facebook User Name[/button]
ab apna username daal kar save changes ki button par click kare. Dhiyan rakhe jo username phele se nahi hoga wo hi set kar sakte hai aap.
Also Read: Facebook Security: Account Hack Hone Se Kaise Bachaye
Facebook Page ka username kaise Badle
Facebook page ka username badalne ke liye aap apne page ko open kare jiske aap admin hai, uske baad About Us Tab me jaye.
Is Page me aane ke baad aapko Username ka ek option dikhega, uske samne ko edit likha hai uspar click karke.. jo username aap set karna chate hai apne Page ka wo dale or save karde.
To ye lijiye aapka user-name ab set ho chuka hai.
Also Read: Facebook Se Paise Kaise Kamaye
Agar aap ko Facebook se related ya Internet se related koi bhi jaankari chaiye to aap comment karke ya hamare HMH Group me puch sakte hai.
Facebook Par Jarur Share kare or Hamari Help Kare :)
Hindi Me Help Page ko jarur Like Kare :)
Bro mara page ka name unofficial saqib malick ha aj 5days hua hy page name change ka option nahi a raha. Or kya ma page ko saqib malick ka name sa change kr sakta hu
Sir aakpe post padha Bahut hi accha hai maine apna isse user name change bhi kr liya Lekin Ek Problem aa rha hai maine jab apne page ka username change krna chaha to usme user name to wahi tha uske bad kuch number aa rhe hai Kya wo Number change nahi ho sakte jaise maine apna Account ka user id change kiya tha Ya fir page me number aate hi hai Please help me.
Aap change kar sakte ho, Agar aapne abhi change kiya tha to kuch time baad aayega change karne ka option
bahut badhiya
thanx for this information sir!
Mujhy facebook ki id ka name change krna hai to mai kesy krOn please mujhy koi easy treeQa btayen mai
sir
mai apna twittr acount kaise verify karu
o automatic hota hai.. uska ek form hai jo popular profile hoti hai uske account me aata hai.
Agar ham Facebook page ka name Chang krta hai or use dubara name Chang krna ho to kitne time bad Chang kr skte h
3 Month.. or sirf 2 war change kar sakte hai.
hai sir mai apne fb ka username chenge nai kar pa raha hu usme save karne ka options pe click nai ho raha hai kyu avi mai pahali bar karane ja raha hu us me
Jo aap select kar rahe hoge username wo phele se hoga kisi ka.. Ya fir aapne phele agar kar liya hoga to ab nahi hogaa..
Sir mera username set nhi ho rha q….
mijhe apne fb ka number change krake nya number dalna h. but ye nhi ho rha h bta rha h primary number change nhi hoga plz help me mujhe apna num change krna h…
Muje jaana hai ki mai apni Facebook I’d login kesse Karu kyu ki mai apna password bhul gya hu or WO I’d sirf number pr he bani hai or mera wo number bhand ho juka hai.plz help me
Are sar j. Login ke karne ke bad change Facebook usear name ka opsan nahi aata he. Please android mobile ka proses bataiye.apne computer ka proses bataya he
M apne fb page ko apni dusri fb id se conect kr skt hu
Or page pr 14 din ke bd like nh mil skte
Facebook me se number Change karne ka tarika kya he tell me
Sir muje Facebook or 60 din se jiyada ho gye ab muje new dalna h vo kese change hoga
agar aapne do war change kar liya hai to ab aap nahi kar sakte.. or kaise hoga change wo aap opst me dekh saklte hai.
Sir Aap Bahit Sari Kaam Ki Chiz batate ho aap mujhe ye bataye ki Page per post nahin dalne se page band ho jata hai kiya sir
Nahi kabhi nahi hoga
Nahi kabhi nahi hog. .
Ye Facebook pr apne business ko aage bdane ke liye page teyar krte h vo kese krte h . Or jab ham Google me us page ko search kre to vo open ho . Ye kese hota h ye btao
meri fb id block ho gyi h me use kese chalu kru…us me ye sab bta raha h,
We’ll get in touch with you at the email address you provided after we’ve reviewed your ID. You will now be logged out of Facebook.
For security reasons, your account is temporarily locked
If this account reflects your real name and personal information, please help us verify it.
Continue
Not PriNce? Log in here
plzz help ye chalu bhi nhi ho rahi h meri real id thi ye plz help…..
hii
sir mera facebook ka user name nhi chenged ho raha hai
MR rohit me aapna fb name stylish font pe chang krna chahata hu bt nae ho raha hai kya karu
uc brouser par fb coments ko cokor me type karane ka koi triks plz
ma face book pa apna mobile no kasa hataoo
Jese post me bataya hai.. Aap bha ja kar remove kar sakte hai
Sir Shayad aapko mera msg nhi mila
Meri Fb id looked ho gayi hai unlocked hone me kitne din lagate hai plzzzz reply me sir
pheli bar hui hai to 2 din
dusri bar huii hai to 7 din
3ri bar hui hai to 14
fir 1 mahina or uske baad hamesa ke liye..
Facebook ID q block hoti hai uske bare me mene yaha bataya hai
Dear, Rohit ji main jharkhand se hun mujhe ek eysa website banwana hai jisme downloading aur browseing ka paisa milna chahiye detail mail me anilmardi880@gmail.com
Sir meri Facebook ki privacy public nahi ho pa rahi hai plz bto kasa hogi plz sir help
Aap uske seeing me ja kar kar sakte ho. Usme direct Jane ke liye mene post me link bhi do hai
ham fb page kese rename kar sakte hain
200ke andar likes the tab edit hota tha lkn 200se upar jane k baad ab rename nahi hota kya karu
200 likes se jada like hai page par to jin logo se aapke page ko like kiye hai unse kaho ki wo aapke page ko khol kar dusra naam suggest kare, Jab jada log aesa karege to aapke page par name change karne ka option aa jayega.
mai apni gmail id chang krna chahta hu kaise hoga plz help me
email id ka user name hai bo change nahi hota aapko dusra account hi banana padega. haa ham aesa kar skte hai ki jo hamari purani email par jitne bhi email aaye unko ham hamari new email id par forword karde.
Wifi hack krne ka koi treeka btao plzzzzzplzzzzz sir
sir,ham hamare account me earn kya hua rapay han kaise le sakte hai or kaha se plz help
sir.apne account me earn kya huee rupay ham kaise le sakte hai or kaha se plz help me
Kis account ki baat kar rahe ho aap. Please aap mere interaction to pad liye kare. Apna sabaal puri detail ke sath puche. Or haa payment apna aap aati hai.
Rohit sir Ji kya facebook accaunt delete ho sakta hai.
Rohit sir Ji kya facebook accaunt delete ho sakta hair.
Haa bilkul… Uske ware mene post kari hai
aap mujhe blog ko google me lane ka tarika btaiye plz taki mai kuv=ch kar saku
sabkuch ready hai blog ka nam bhi aa raha hai google mebut post ka nam likhti hu to post ke nam ki jagah blog ka nam aata hai
or haa
aapne meri itni help ki iske liye dil se thanx
apne blog ki post google search engine me dikhane ke liye kya kare
Sabse phele to wait, thoda time lagta hai… or apne blog ko google search console me add kare
aap kahte ho ki aapko logo ki help karna acha lagta hai par aapki ye bat jhuthi kyuki aap reply karne me bhot time lagte ho
Kya aapko pata hai mere blog par roj kitne comment aate hai. Chalo aapko bata deta hu isse sayad aap samaj jaye ki mere pass time ki kitni kami hai.
Blog par roj lagbhag 100 comments aate hai.
Email Par 30 email sabaal ke rij aate hai.
Facebook Page Par roj laghag 50 Message aate hai.
Mera maksad rhata hai ki me sab ki help karu par me ek insaan hu koi machine nahi. to time to lagta hi hai.
Or mera sirf ye hi kaam thodi hai. Ab post bhi likhna hai.
Aapko pata hai me dinbhar me kitna kaam karta hu laptop ke saamne beth kar subha 9 baje se raat ko 2 baje tak. or aap mujko juta kha rahe ho, Uske liye Thanks….. Muje aesi ummid nahi thi ki mere itne arne par bhi log meri khaniya hi nikalege..
sorry ji
chalo mai kan pakkad kar mafi mangti hu aap naraz mat hoiye plz
acha ji maine maine wordpresspar blog banaya tha par mai usme theme upload nahi kar pa rahi
dahboard-appearance-theme yaha mujhe uplaod ka option nahi mil raha plz help me
Aapka Blog WordPress.com par hai aapko WordPress.org par banana padega, jo ki free nahi hai
kya aapne bhi wordpress.org par banay hai, mujhe aapke jaisa hi blog banana plz aap mujhe btaiye ki aapne ise kaise kaise banaya hai
Me abhi Starting ki Steps par hu Blogging jo bilkul basic hai, Jisme Coding ki koi jarurat nahi hai, Bo hai BLogger. Me abhi WordPress ke bare me jada nahi jaanta. aapko uske liye net par search karna padega.
Abhi Me BLogger ko Cover kar raha hu, wordpress ki post agar mene share ki to merre visitor confuse ho jayege. Me chata hu ki sabkuch basic se suru karu.
Ek baat or bata du bade bade bloggers ke blog Blogger par bhi haii. or jitne success hai sabse blogger par banaya fir baad me jab unko is filed ka acha knowlage ho gaya to thoda technical yani wordpress par apna blog sift kar liye.
kya blog blog blogger se worppress me shift ho sakta hai, or agar ho sakta hai to jo post humne upload ki thi wo sab bhi shift ho jati hai
Haa Pure Post, Comments, Page sabd sift ho jata hai. Bhut aasan hai
Rohit ji aapka ye blog blogpost par hai ya wordpress par,
Mera BLog WordPress par hai. Par mene suru baad Blogspot se ki thi. Blogger bhut aasan haior jo hamari basic requirements hai bo puri ho jati hai. Blogger bilkil free hai.
Acha ji meri problem ye hai ki mai apne wordpress blog me theme change nahi kar pa rahi hu kyuki dashboard-apearase-theme aage upload ka option hi nahi aa raha
Muje lagta hai aapka Blog WordPress.com par ko ki free platform hai. Aap WordPress.org par banao par uske liye aapko hosting bhi leni padegi.
Agar Aap New hai to mera suggestion rahega ki aap blogger par banaye ye bilkul free hai.
blogger par bhi banaya tha par meri post google search engine me nahi aati isliye wordpress me banaya tha or ha free wala hi banaya tha’
mujhe paise kamane hai fir mai kya kru bahuhuhuhuhu!!!
aesa kuch nahi hai blogger bhi SEO Friendly hai.