Top Free SEO Extension for Chrome Browser

Is post me ap log Free SEO Extensions ke bare me janenge jinhe ap apne chrome browser me install kar sakte hai, Blog ke liye SEO me ye extension aapki bhut help kar sakte hai.

Post start karne se pehle me apko bata du ye ik guest post hai HMH.pe .. me asha karta hu apko meri ye post apko pasand aayegi or is post me apko kuch naya sikhne ke liye milega.

Advertisements

Meri post ka title hai “seo extensions chrome browser ke liye” yani aise extension jo ik blogger ke liye bahut jaruri hote hai seo ke jankari ke liye or jinka use karke wo dusre blogger ke site ke seo position, backlinks, domain authority, page rank etc ke bare me asani se jankari prapt kar sakte hai.

Agar ap ik new blogger hai or apke blog ka seo accha nahi hai to ap in extension ko apne chrome browser me install karke seo ke jankari prapt kar sakte hai or apne blog ke bhi seo position check kar sakte hai es post me mai apko aise he kuch seo extensions ke bare me bataunga jo apke liye fhayademand hai phele hum jante hai chrome extensions hote kya hai.

Top Free SEO Extension for Chrome Browser

Page Contents

Chrome extension kya hote hai ?

Chrome extension software ke tarahe he hote hai jaise hum computer me kisi new task ke liye software install karte hai same use tarhe hum browser me online work karne ke liye extension install karte hai yani software or extension me fark sirf itna hai ke software computer me install kiye jante hai or extension browser me.

Simple sabdo me kahe to.. Extension se Browser ko ham or jada useful feature add kar sakte hai.

Agar aap nahi jante Google Chrome Extensions Kaise Intall kare to uski jankari aapko yaha milegi, jisme 5 important Extension ke ware me bhi bataya hai.

Popular Seo Extensions for Chrome, Blogger Must Use.

#1: Mozbar Chrome SEO Extension :

Mozbar chrome extension hindi me help

Ye extension ik blogger ke liye bahut he jaruri extension hai agar ap ik blogger hai to apko seo ke bhi jankari hogi is extension ko ap apne chrome browser me install karke kisi bhi site ko open karke uske page authority, domain authority, link profile, keyword highlights etc ke bare me jan sakte hai.

iske alawa agar ap iska paid version use karte hai to apko or bhi bahut sare features milte hai jo ek blogger ke liye jaruri hote hai.

MozBar

#2: SEO Quake Extension

SEO quake extension

Seo quake ik bahut he badiya extension hai bloggers ke liye seo quake ke apni website bhi hai jiska link hai www.seoquake.com ap is site par bhi iske tools ka use kar sakte hai.

seo quake ke site par apko bahut se free tools milenge, seo quake extension bhi seoquake.com ne he develop kiya hai, ap is extension ke dwara kisi bhi site ka no follow links, page source, semrush rank, google page rank, google index, yahoo links, bing index, web archive page, alexa rank etc ko dekh sakte hai iske alawa or bhi feature hai is seo extension me.

SEO quake

#3: Buzzsumo Extension

Buzzsumo extension

Buzzsumo extension bhi ek bahut he badiya extension hai kyoki es extension ka use karke aap kisi bhi site ke social media popularity ke bare me jan sakte hai.

Buzzsumo extension bilkul free hai, is extension ka use karke ap kisi bhi web page ke bare me jan sakte ho ki use facebook, twitter, linkedin, pinterest, google+, par kitna share kiya gaya hai facebook par kitne likes, comments, mile hai iske alawa ap is extension me backlinks bhi check kar sakte hai.

Buzzsumo

#4: Ahref SEO Extension

Ahref extension

Ahref ek bahut he badiya extension hai or ese ahrefs.com site ne develop kiya hai or ye extension bilkul free hai ahrefs.com ek bahut he popular seo programming site hai or eski site par apko bahut se seo tools milenge.

ap ahref extension me bhi kisi bhi site ke ahref rank, social signal for google+, facebook, twitter, number of backlinks, domain rank etc ke sahi jankari check kar sakte hai.

Ahref 

#5: Mojestic Backlink Analyzer Extension

Mojestic backlink analyzer extension

Majestic backlink analyzer extension ka use karke ap kisi bhi site ki backlinks ki puri jankari prapt kar sakte hai. iss extension ka use karke ap backlinks ko summery me jan sakte ho.

Mojestic backlink analyzer

#6: Page Analytics by Google Extension

Page analytics by google extension

Ye extension bhi ik bahut hi badiya chrome extension hai ek extension ko install karke jab aap kisi bhi site ko visit karenge to apko us site ke puri traffic data ke jankari, site ke pageview, visitors etc ke jankari mil jayegi jo ik blogger ke liye kaafi fhayademand hoti hai.

Page analytics by google

#7: Linkminer Extension

Linkminer extension

Ye extension bhi ek blogger ke liye kaafi badiya hai kyoki es extension ka use karke ap kisi bhi site ke broken link ka pata laga sakte hai.

Linkminer 

#8: Seo & Website Analysis Extension

Seo & website analysis extension

Seo & website analysis extension ko woorank.com website ne develop kiya hai woorank ik online tool website hai jaha par ap kisi bhi website ke seo position, backlinks, traffic, technical seo errors check kar sakte ho or seo & website analysis extension me bhi ap kisi bhi site ka seo score check kar sakte ho.

Seo & website analysis

#9: Keyword Everywhere

keyword everywhere extion se keyword research kare

Ye Sabse Best or Free extension hai Keyword research ke liye, ki iski madad se direct search page par hi dekh sakte hai ki wo keyword itni war search kiya jata hai, kitna uska CPC hai or kitna uska competition hai.

Keyword Everywhere

#10 Check My Links

Broken Link (404 link) hona aam baat hai, ki hamne koi link add ki or baad me wo page remove ho jaye to 404 error aati hai, jo ki hamari ya kisi bhi website ke liye sahi nahi hai.. to aap iss Check My Links Chrome Extension ki madad se aasani se pata kar sakte hai ki koi link broken to nahi hai, taki usko tikh kar sake.

Check My Links

I hope aap logo ko ye post pasand ayi hogi, or aapko in extension se SEO me bhut faida milega, agar koi or Extension jo list me rhe gaya jo to aap comment karke jarur bataye.

Iss Extension ki list ko Dusre Bloggers se bhi jarur share kare,. :)

Happy Blogging…!

Agar aapko bhi Guest Post karna hai to uski Jankari yaha hai.

Share on:

mera name Rovin Singh Chauhan hai me b.com or mba passout hu or me www.onlineknowledgeinhindi.com blog ka founder hu me apne blog par internet se related jankariyan, ethical hacking, computer trick or other tricks ke jankari share karta hu.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

79 thoughts on “Top Free SEO Extension for Chrome Browser”

  1. बहुत ही बेहतरीन लेख ….. सादर धन्यवाद व आभार। :) :)

    Reply
  2. I do not have any words to appreciate this blog. Actually I’m impressed with this blog. I learned and learned or learning from blog and made my own blog in class 11 because its language is easy to understand.
    for:-www.trick4inspire.blogspot.com

    Reply
  3. सर ब्लॉग के SEO के लिये बहुत काम का आर्टिकल लिखा है आपने धन्यबाद.

    Reply
  4. रोहित सर, आपने बहुत ही बढ़िया जानकारी शेयर की है. आपका बहुत-बहुत धन्यवाद्.

    Reply
  5. Rohit Ji Aapne Bhut hi Achi Jankari humare Liye Provide Kari or aapne Bhut he Saral Tarike Se in Sabhi Extension Ke Bare Mai Bhi Bataya Hair, But Hum Ahrefs or Majestic Jese Tool Paid Hote Hai to Hum Iska to Use Nahi Kar Sakte Hai Na Jab Tak Hum Premium Plan Na le to Agar Hum Free Mai Use Kar Sakte Hai to Please Bataye Kese Use Kare Hum Free Mai.

    Reply
    • Kuch time ke liye trial dete hai wo use kar sakte hai.. or kuch unke alternative bhi hai jo itne high to nahi par unse bhi ye kaam kiya ja sakta hai.. me jald aese kuch tools ki list share karuga..

      Reply
  6. Hello sir,
    Great article. Thank you for sharing that type of content.
    It really helped me as I am a new blogger.Thank You and keep doing the good work.

    Reply
  7. Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है मै ये जानना चाहता हु की schema SEO क्या होता है और कैसे करते है ,क्या schema SEO के द्वारा अपनी website को google के first page पे कितने दिनों में लाया जा सकता है.sir schema SEO करना चाहिए की नही क्या schema SEO के द्वारा हम किसी website को google के search engine में टॉप पे ला सकते है ?

    Reply
  8. Hi नमस्कार sir मेरा एक प्रश्न है की किसी website को कैसे हम गूगल के first page पर index करे और मुझे कुछ क्वालिटी backlink से related website के नाम जानना है ,कहा पर हम अपने website के यूआरएल को फ्री में submit करे की एक अच्छा backlink मिल सके.

    Reply
  9. mera ek blog hai m https ko setup karna chaata hu

    kya aap bta skte ho ki aap cloudflare m free wala ssl use karte ho kya

    Reply
  10. Rohit sir, mene 1 blog bnaya h.
    kafi time ho gya h but still no traffic.
    post nd blog bhi kafi hd tk seo friendly h.
    nd meri site bhi only one topic pr h.
    nd posts bhi aisi h jo google par search hui h but us se pahle us topic pr koi articles likhe gye nhi h.
    fir bhi No traffic.
    check krke thoda describe me reson btao please.

    Reply
    • aap jo post likhte hai, wo logo ke liye kitni jaruri hai.. or kitne log usko search karte hai wo bhi jaruri hai.. aap thodi search kare.. ki log aap jo blog me dalte hai wo kis trha se search karte hai. ussi trha se dale.

      Reply
  11. हेलो रोहित जी
    मैने एक महीने पहले खुद को वेबसाइट बनाई है ! जिसका नाम जो है जैसे हिन्दी मे हेल्प ! खुद को वेबसाइट का नाम search करने पर नही आ रहा है गूगल पर !
    url से आ जाता है पर ब्लॉग नाम सर्च पर नही आता कृपया बताये यह कैसे ठीक होगा !

    Reply
  12. bhai ek post request karni thi, aap jo yeh onesignal use karte ho uski tutorial mujhe internet par mil nahi rahi please ek post jaldi likhe iss topic par aur usme yeh bhi bataye ki yeh jo popup aata hai aapke blog par woh kaise lagaye, bell kase customize kare etc. please post kare

    Reply