Naye Blogger ki Kahani Usi ki Jubani [Must Read Experience]

Hii friends.. Me Akshat Jain, easyaticle.blogspot.com ka founder. HMH Guest Post kar rha hu. Agar aap naye blogger ho to mere is post ko jarur padhe. Ye apke liye bhut badi sikh hogi.

Naye Blogger ki Kahani Usi ki Jubani [Must Read Experience]

Page Contents

Naye Blogger ki Kahani Ussi ki Zubani

*MERE BARE ME

Me pahle apko mere bare me kuch batana chahta hu darasal me bhi aap ki tarah hi normal ek bahut normal blogger hu me daily kuch naya sikhte hu or use apne rang me dhal kar apne blog me dalta hu.

Advertisements

Dosto mere man me kai dino se site banane ki baat chal rahi thi me daily Hindi Me Help par site banane ke bare me padhta tha or ab bhi kai details padhta hu or an mene blogger pe ek site banai hai.

Mene Kya Galti Ki thi ?

Dosto ham kai baa bina jane site bana bethte he jese ki mene pahle kiya tha pehle mene ek esi site bana li thi blogger pe. me usme kai post dal chuka tha dusri sites ki copy kar kar ke or me har vakt us site se kamane ke bare me sochta tha.

Dusre ki website se Copy karne ke Fayde or Nuksan bhi jarur padhe

Me YE POST ISLIYE LIKH RAHA HU TAKI AAP VO GALTIYAN NA KAR BETHE JO MENE KI THI. Phir dheere dheere mera us site se man uthta gaya kyuki me jo karta tha usme keval 2 minut hi lagte the kisi achi site se copy kiya apni site pe past kiya or publish kar diya. Bus ho gaya kaam.

Or ab natija mere samne tha 9 mahino me jo ki bhut maine rakhte the keval 96 logo ne hi usko dekha itne sare post hone bavjud bhi phir mene us site me kuch karna hi chod diya.

*PHIR MERE DIMAAG MEIN KHAYAL AAYE

Phir mere dimaag me esa kuch aya ki me dubara se site banau jisme SAB KUCH MERA KIYA HO. or is baar mera maksad hai logo ki help karna Rohit sir ki tarah ab mene meri us pahle wali site/Blog ko puri tarah se Delete kar diya tha or is baar muze pure planning ke sath site banani thi taki pahle ki tarah mere sath esa na ho ki dobara se or itne mahino ki mahnat faltu me jaye.

Isliye me daily ek achi site banane ke liye hindi me help par post padne laga ( thanks for hindi me help ka pr uski puri team ka jiski wajah se mujhe itna sikhne ko mila)

Ab me ek achi site bana li hai, par Kahani khatam nhi hui he abhi to bhut kuch baki he sikhne ko…

Ab me is site me sab apna dalta hu kyuki mene is bich bhut si baatein sikh li thi or unko confirm bhi kar chuka tha or jo bhi dalta hu ek normal insaan ki tarah dalta hu or 100% working tricks hi dalta hu jo me try kar chuka hu kyuki ab mujhe logo ki sachi help karni he.

*MENE KYA NAYA KARNE KI KOSHISH KI

Dosto aaj kal hum jo bhi post dalte he vo internat ki duniya me jaha tak he pehle se hota hi h ye mera experience he isliye men kuch alag karne ka socha or hatke karne ka socha. jo naya bhi ho taki me logo ki achi tarah se help kar saku.

*MENE KYA KYA NAYA KIYA ?

*Language

Pehli baat to ye he ki log me jo likh raha hu usko achi tarah se samajh sake isliye mene hinglish language ko chuna blogging ko aage badhane ke liye.

Apka friend hone ke nate me jhut nahi bolunga q ki mujhe perfect tarah se English nahi ati isliye mene hinglish language ko chuna taki jo indian log je jitne bhi jo internat ko use karte he vo sabhi meri site ke post ko bhut asani se smaz sake.

* Friendly hoke blog likhna

Ab baat h interest ki, jo agar logo ko hamre likhe hue blog me he to hi ham. unki help kar sakte he varna sab bekar he ab mene post esi tarah se likhna shuru kiya jese me jo log padh rahe he vo muze apna friend mane or or ye na samjhe ki mujhe kuch ghamand he meri site par.

kyuki jo bhi mere blog ko ek bar bhi khol ke dekhta bhi h vo har ek insaan mre liye bahut khaas he. kyuki me har insaan ki respect karna chahta hu or use apna freind samaz ke help karna chahta hu.

*Logo ka Interest Badhane ke Liye Bich Bich me Fun Kiya

ab mere samne ek or sawaal tha ki logo ka interest badhane ke liye me asa kya karu jo sabko acha lage taki jo meri site pe ek post padh rha he uske man me ye bhi ho ki dusra post bhi padhte he. isse Bounce rate bhi kam hota hai site ka.

Isliye ab mene chizo ki detail badhane ke sath sath apni site pe hasi majak karna bhi shuru kar diya taki logo ka blog padhte waqt man laga rahe blog me or vo blog pura padhe jisse vo kisi chiz ko sikhe to puri tarah se sikhe…

Or men fun bhi indian style m hi kiya taki logo ka intrest bana rahe…

*Daily Naye Post Dalta hu

Ab me apni site daily naye post dalta hu taki agar koi mra regular reader banta he to vo daily kuch alga sikhna chahega isliye me daily ek fresh trick ya detail publish karta hu. taki logo ki jitni ho sake utni help kar saku.

Daily Post likhne ke bhut faide hai jo aap yaha padh sakte hai.

*Kisi ki Copy Nah Karta

Dosto blogging me fail hone ke sabse bade karno me se ek karan he dusro ki popular site se copy karke apni site me dalna. or kyuki me us bar jyada logo ki madad karna chahta hu isliye me ab koi bhi chiz copy nahi karta.

ye jarur ho sakta he ki hamare banaye hue blog me koi chiz kisi or blog se thodi bahut mil jaye kyunki aap ko to pata hi he ek chiz ki detail ki kitni blog hoti he ajkal. lekin ha agar mujhe ek successful blogger banana he isliye ab kisi ki copy bilkul nahi karunga kyuki mene pehle ye karke dekh liya or uska phal bhi mujhko mil chuka he.

Agar aapki site hai or agar koi aapki site se copy karta hai to aap apni Website me Copy karne se Roke [Disable Text Selection]

To ab ye post pura hone ko aayi he

Ab an kuch log ye soch rahe honge ki jo akshat kar rha h vo hi me bhi karu taki sab se alag ho sakta ye extra lines me unke liye hi likh rha hu agar aap aisa karte ho to ye wahi baat h ki HUM KHUD KUCH NAHI KAR SAKTE so please meri naye blogger se request he ki aesa karo jo kis ne naa kiya ho kisi ki copy mat karo kuch aisa karo ki khud ke upar proud kar sako.

Ummid hai aapko mere Blogging Experience se bhut kuch sikhne ko mila hoga, or agar aap ek new blogger hai to jo galti mene ki hai aap usse sikhege or aap wo galti nahi karege.

Agar aapka bhi koi blogging experience hai to aap usko bhi comment me share kare or aapko meri post kesi lagi wo bhi bataye.

Ye Guest Post hai HMH .. Agar aap bhi Guest Post karna chahte hai to yaha click kare

Dusri Guest Post Padhne ke liye yaha click kare

Other Interesting posts:

Share on:

Mera naam Akshat Jain he Me TicTechBlog.blogspot.com ka Admin hu. Mujhe aaj HMH par Guest Post karte huye bhut khushi ho rahi hai kyuki me HMH se kai logo ki Help kar pa raha hu.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

48 thoughts on “Naye Blogger ki Kahani Usi ki Jubani [Must Read Experience]”

  1. Respected Sir,
    आपका यह आर्टिकल नए ब्लोगरो के लिए एक प्रेरणा है हमें आपका आर्टिकल पढ़कर एक अजीब सी ताकत मिलती है हम आपके इतना बड़ा ब्लॉगर तो कभी नहीं बन सकते है लेकिन कोशिश करने में क्या हर्ज है |
    शुक्रिया – अनिलकुमार

    Reply
  2. sir mere blog ka naam supportmebharat2017.blogspot.com hai.
    sir ye Google pe kuch alag tarah se najar aa rhi hai.please ishe improve karne ka koi tarika btao.
    or sir mere article likhe ko 1 month k karib ho gya hai lakin views sirf 40-45 hi h
    Please help karo

    Reply
  3. Sir mere kuch ques. hai please uska ans de deejiye-
    1. Kya ham apne blog ak baar se adhik subheading aur minor heading ka use kar sakte hai.
    2. Jaise hamne koi post likhi hai RAM aur ROM kya hai to kya isko is type se nhi likh sakte hai- RAM aur ROM kya yah kaise kaam karta hai | RAM aur ROM me antar kya hai.
    3. Maine statics me dekha mere blog me jo traffic aa rhi vo singapur aur US tab india dikha rha hai jabki abhi tak sirf maine hi apne blog ke post ko dekha hai aur jo dusre site par comment karta hu vo log dekhte hai, jaise aap.
    4. Blog likhe samay label ke niche jo search discription hota hai, kya usme discription likha jaruri hota hai, jabki ham meta tag discription likh chuke hote hai.
    5. Kisi post ko publish karne ke, kuch din baad agar ham usme kuch badlaav kar de ya kuch add kar de to seo ka ispar kya fark pdega…..positive ya nigetive
    6. Meri ak post google par dusre pagr me show hota tha lekin ab nhi hota hai kyu
    7. Kya ham post ki link change karte samay kuch bhi link bna sakte hai ya post se related honi chahiye.. . .. ….. . .

    Reply
  4. Dosto mene aapki adhikbsuvidha ke liyeeri site ka naam change karke behtar suvidha dene ka prayatna kiya he
    Hindiorme.blogspot.com

    Reply
  5. Sir me akshat mene kai compniyo ke ads blogger pe layout me laga ke dekh liye muze companiyo ke code to mil jate he lekin ads show nhi hote or post ke bich me bhi code laga liye lekin ads show nahi hote…

    Reply
  6. Sir mene kai compniyo ke ads laga ke dekh liye lekin ads show hi nahi hote code to mil jate he lekin ads show nahi hote….kya ads show hone ke liye bhi traffic chahiye

    Reply
  7. Hello rohit sir me akshat jain me aapse yeh puchna chahta hu ki ads kese show hote he mene kai company kaise chitika ad optimal bidvertizer yllix aadi ke code meri site par laga ke dekhvliye or post ke bich me bhi lagakar dekh liye lekin ye show hi nahi hote code to mil jaate he lekin lagane se show nahi hote to me kya karu kya pahle thoda bahut traffic ayega pr phir ads show honge kya

    Reply
  8. Hello sir me akshat jain mene meri site wordpress me conveet karli he to ab me apni site pe theme upload nahi kar pa raha to koi tarika bataiye

    Reply
  9. bohot achchi post hai apki and sabse badi baat ki apne reality batai sabko bo bohot achcha laga. and aap apni spelling mistakes ko thik karne ka try kare and ek quality show kare apni writting me all the best.

    Reply
  10. Mlm copmpany kya sir muze luch samaz me nhi aya mene to vo post isliye kiya tha ki apki site par champcash ki puri detail aa jayegi

    Reply
  11. Bhai new Blogger lagbhag sabhi ye galatiya jarur karte hai. Ye post apki bahut hi helpful hai isase new Blogger apna time waste na karte huye sab kuchh samajh kar kadam uthayenge. I hope hindi blogging karne wale sabhi ak din bahut achhe aur famous Blogger banenge

    Reply
  12. Rohit sir mene aapko ek or gaust post diya he jisme logo ko champcash ke bare me puri jankari mil jayegi aapne abhi tak use apni site pe kyu nahi dala

    Reply
  13. Thanks Aapne Achha experience share, Kiya but Isme Aapne Kai gltiya ki.
    1….Post me kaha bold, Capital,Kaha kon sa font use kare,
    2….Writing Style Suru me Bahut Achha laga ? last aate aate sentence Bigad gaya.
    3….Aur Kuchh spelling mistak bhi thi.
    Thanks Jo Aapne apni Galti se sikhe hue bato ko humlogo se share kiya

    Reply
  14. Sir mene ek blog creat kiya hai .or usme 4000+ logo ne dekhi hai
    Plz… Aap ek bar meri site par jake dekh kar muje batayiye ki meri site me kyaaa kyaa problome hai or ek baat

    Is site ke liye muje ek achhi si tamplate chahiye .agar aap ke dhyaaan me koi best tamplate ho to muje batao.

    My blog : dhavalrathod548.blogspot.com

    Reply
  15. blog ki CPC kaise badhaaye.. $0.06 a $0.07 hi rehta hai.. please help me cpc aur rpm badhaane ka genuine working tip bataye please

    Reply
  16. Post bahut acchi hai lekin is guist post website me comment ka option nahi hai aur speling mistake bhi hai yadi aap ye sudhar lenge to apka blog aur accha lagega

    Reply
    • Ha prakash…
      Usliye hi mene mere experience ko aap logo ke liye publish kiya hindi me help par..n thnx hindi me help team n rohit sir….

      Reply