Cloudways kya hai ye to aap jante hi hoge, Kyu ki agar kisi bhi server hosting ki baat hoti hai to Cloudways ka naam bhi waha jarur aata hai, yaha tak ki HindiMehelp.com bhi cloudways par host hai.
Must Read: Black Friday or Cyber Monday kya hai
Agar aap ek badiya hosting lene ka soch rahe hai jo aapka sara traffic aasani se manage kar sake to aap kisi bhi dedicated server par apni site host kar sakte hai.. par agar aapko bhi meri trha jada technical jankari nahi hai hosting kaise manage kare uski to aap Cloudways manage hosting ka use kar sakte hai.
Cloudways ki madad se ham apni site jitne bhi Top ke hosting server hai jese Digital Ocean, Google Cloud etc.. inpar host kar sakte hai, or jitna bhi usko manage karne ka kaam hota hai wo Cloudways me aasani se ho jata hai bina kisi jhanjat ke.
Cloudways Black Friday or Cyber Monday Offer 2019 me ek special Offer chal raha hai, jisme aap 3 month ki hosting charge me 40% discount le sakte hai.
Cloudways Hosting se 40% Discount me kaise le
CLoudways Hosting lene ke liye simple aapko uski website par jane ke baad sabse pehle to apna Signup karna hai, jiske baad Discount Offer ka coupon code apply karke hosting ko lena hai.. chaliye step by step jaan lete hai.
Step 1: Sabse Pehle Cloudways Website par jaye.
Step 2: Ab Signup karna hai, kisi bhi Offer link ya Signup button par click karke signup karna hai.. Yaha iss baat ka dhiyan rakhna hai Signup karte tine jo Coupon box hai uske Coupon jarur dalna hai.
Cloudways Promo Code 40% Discount ke liye BFCM40 dalna hai.
Coupon apply karne ke baad aap apna account bana kar apna sever le sakte hai..
Agar aap Cloudways ke liye New hai or aapko nahi pata kaise Cloudways ko use kare or kaise Cloudways me WordPress ko install kare, to aap yaha dekh sakte hai.. jisme mene Step by step pura bataya hai kaise Cloudways me WordPress ko Install karte hai.
Agar aap Cloudways ko black Friday or Cyber Monday Deal me lete hai to usse aapko 3 mahine tak jo bhi plan ya server aap lege uspar 40% ka discount milega..
jese mera jo plan hai wo 90$ hai or matlab me 3 mahine me lagbhag 100$ tak bacha sakta hu.. par agar aapki new website hai to aap 10$ se bhi start kar sakte hai jisme badi aasani se website manage ho jati hai.. or aap ek hi server par kitni bhi website ko host kar sakte hai.
Conclusion:
Agar aap ek badiya Hosting lene ka soch rahe hai jo aapka kitna bhi traffic aasani se manage karle or uske sath aapko usme kuch offer bhi chaiye to aapko isse acha moka nahi mil sakta jaha 40% discount bhi mil raha hai.
Me Cloudways 2 year se use kar raha hu, to agar aapka isse related koi bhi question ho to aap comment karke puch sakte hai.. or agar aap bhi Cloudways Hosting le rahe hai to muje comment karke bhi jarur bataye..
to jada time naa bitate hue iss Offer ka fayda utha lijiye, warna iske baad ye agle saal hi moka milega.