Yadi aap ek blogger hai to apne jarur Copy (Copyright) content ka naam suna hoga aur aap daily dekhte honge ki bahut se bloggers dusare Website ke content ko copy karke apne website me daal dete hai.
Aap Post ke Title ko dekh kar samajh sakte hai ki Nuksan to tikh hai par kya Fayde bhi hai Copy karne ke.. To me aapko Simple ek shabd me khana chahuga ki Copy karne me 1% bhi Faida nahi hai. (Note: Fayda Sabd sirf jo Copy karte hai uske liye add kiya gaya hai jiska Is Post se koi sambandh nahi hai.)
Copyright content aaj kal blogging ki duniya me ek bahut hi Hot topic Ban gaya hai. Mai bhi copyright content ke bare me daily kuch naa kuch sunta rehta hu. Yadi aap bhi dusare ke website se content ko copy karke apne Website me dalte hai to aapko ye sunne me bahut bura lagega ki aap apna time blogging me west kar rahe hai. Kyoki copyright content ka koi future nahi hai.
Copyright content kewal aapka time barbad karta hai aur uska koi benefit nahi milta hai. copyright content se naa kamai hoti hai aur nahi website par traffic aati hai. Pahle ki Tulna me internet aur bhi latest aur smart ho gaya hai Khas kar Google.
Blog Me Copy karke Dalne Par ya Fir Koi Galat Chij Dalne Par Google Panda aesa karta hai hamari sath..
Posted by Hindi Me Help on Monday, January 11, 2016
Jo bloggers content copy Karke apne website me publish karte hai. Unke liye Google ne Google Panda ko launch kiya hai. Google Panda copyright content ko Aasani se Pehchan kar uski report google ko deta hai.
Isliye mai aap se yahi kahunga ki Agar aap internet par kuch karna chahte hai to Copyright karna Band kar de. Jo aapko ata hai usko kare. Ye jaruri nahi sab blogging se related hi website banaye aur bhi bahut se topic hai jin par website karke acche paise kama sakte hai. Aap Bollywood, Sport, Health, Khana Banana, Education, Fitnes, Travel, Motivation, etc. topic par bhi apna blog bana sakte hai.
Chaliye ab Dusare ke website se content copy karne se hone wale nuksaan ke bare me Jaan lete hai.
Website me Copy Paste karne ke Nuksan
#1 Copyright Content Ka Koi Future Nahi hota hai
Yadi aap content ko copy karke usme thoda bahut changing bhi karke publish karege tab bhi aap ka woh content copyright hoga aur uss content ka koi future nahi hoga. Kyoki aapke uss content ko google find kar lega. aur aapke uss content ko woh google par rank nahi dega.
Yadi aap 1-2 mahine tak content ko copy karke publish karte hai to bahut hi jaldi google panda aapke website ko penelize kar dega. iske alawa yadi aap apne website me adsense Use kar rahe hai tab aapke copyright content ki wajah se aapke google adsense ka account bhi block ho jayega.
Aur bhi bahut se nuksan hai copyright content. Mai pure yakin ke sath kah sakta hu ki agar aap content ko copy karke publish karte hai to kabhi bhi aapka website long term tak nahi jayega. Aur aapke website ka koi badiya future nahi hoga. Isliye content ko copy karna band kare aur kuch internet par accha kare.
#2 Copyright Content ki Wajah Se DMCA Website Ko Delete Kar Sakta hai
Yadi aap kisi bade website se content ko copy karte ho to uss website ka owner aapke khilaf DMCA (Digital Millennium Copyright Act), Ko Report kar sakta hai. Agar aapki koi report DMCA par karta hai to woh aapke website ke against action bahut hi jaldi lega.
Yadi aap ka website blogger par hai to DMCA aapke website ko blogger se delete kar diya jayega. aur Aapke Ip Address ko bhi blacklisted kar diya jayega. Agar aapka ip address lock ho gaya tab aap uss computer se kabhi bhi dusara website nahi bana paoge. Isliye copyright content karna band kar de.
Agar aapki site se koi copy kar raha hai to aap uski Google se DMCA report kare, uske liye aap is link par jakar foll fill kare.
Apni Website ko DMCA Badge se Protact kaise kare uski jankari yaha detail me share ki hai.
#3 Website Ki Ranking Search Engine Par Improved Nahi Hogi
Yadi aap koi popular post ko copy karke apne website par publish karte hai to aapko uss post se koi traffic nahi milegi kyoki woh post already publish Kiya hua hai. Yadi aapke website par traffic nahi ayega to aapke website ki ranking bhi nahi improved hogi.
SEO Tips Rank badane ke liye jo aapko pata hona chahiye agar aap top rank chahte hai google me.
#4 Copyright Content Ek Illegal Work Hai
I think aapko Illegal work ke bare me pata hoga, Illegal ka matalab against the rule hota hai. Mtlb aap rule ke khilaf kaam kar rahe hai. Yadi aap apne website ko rule ke khilaf run kara rahe hai to search engine aapko negative mark dega, or yadi aapko negative marke milte hai tab aapki website search engine ke top par kabhi bhi nahi ayegi.
#5 User ka Aap par se Bharosa uth jayega
Aapke reader ko ye pata chal gaya ki aap content ko copy karke publish karet hai tab unka aap par se trust khtam ho jayega aur aap apna respect bhi kho dege.
Isliye kabhi bhi ek Copycat naa bane kyo kii ye ek tarah ki gali hai. Hamesha apne visitor ko read helpful information dene ki kosis kare. Aur internet par legal work kare.
#6 Copyright Image bhi use naa kare
Bhut se Blogger ye galti bhi kar dete hai, wo Post to original likhte hai, par image Google se download karke use kar lete hai, jisse bhi unka nuksan ho jata hai.. par isse bachne ka bhi ek badiya tarika hai aap Royalty Free Image use kare jime copyright ka koi lafda nahi.
Google me Copyright Free Image kaise Search kare uske ware me mene bataya hai aap usko read kar sakte hai.
Copyright Content Ke Kya kya Disadvantages Hai
- Aap apne Visitor se Trust aur respect kho denge.
- Aap Ki internet par image kharab ho jayegi.
- Aapke website ko Google Penalty ka samna karna padega.
- Aap apne website ki search engine me ranking Bhi kho denge.
- Aap copied contents se kuch bhi paise nahi kama payege. (Adsense ka to bhul hi jaiye.)
- Aapki website kabhi bhi long term ke liye nahi jaa payegi.
- Aapka dusare bloggers se accha relationship nahi banega.
- Aapke support me koi nahi hoga aur aapko akele hi kaam karna hoga.
Akhri Shabad:
Ek successful blogger banane ke liye aapko apne passion ke sath kaam karna chahiye. Yadi aap ek quality aur unique post likhte hai tab uss content ko aapke user bhi pasand karenge aur search engine me bhi woh content fresh hoga aur usko badiya rank nhi milega.
Kabhi bhi content copy karne ke liye hard work naa kare kyoki aisa karne par aapko kuch bhi nahi milega Only Time West Hoga.
To dosto maine aapko copyright content ke bare me bataya ki Ye aapko kaise nuksan pahuchta hai. Yadi aap original, genuine honest ke sath content likh kar publish karte hai to mai yakin ke sath kah sakta hu ki aapke Earning, traffic aur high rank sabhi mileage. Muje ummed hai ki aap ab dusare ke website se content ko copy nahi karenge or agar kiye hoge to unko Delete karke ek Nai Sirubad karenge.
Happy Blogging…
Yadi aapke pass copyright content ke bare me aur koi idea aur experience hai woh mujhse comment box me jarur share kare aur please is Post ko apne dosto ke sath share kare taki wo bhi Blogging ka ek paheli jaan sake or blogging me kuch acha kar sake..
Ek Baat or me sirf un Blogger se khana chahunga jo Mehnat karke likhte hai or koi dusra usko copy karke apne blog me daal deta hai to aapko tension lene ki koi jarurat nahi hai, Google wese bhi aapka sath dega or ham DMCA ki madad se uske Blog ko Delete bhi karwa sakte hai jiske bare me HMH par share kiya hua hai.
Ye Post Dedicate hai un Blogger’s ke liye jo anjane me Galtiya kar dete hai, jada jankari naa hone ke karan… :)
good one
thanx for sharing the quality post.
*आईना आज फिर रिश्वत लेता पकड़ा गया,*
*दिल में दर्द था और चेहरा हंसता हुआ पकड़ा गया !*
bhiaya mere website pe pichle, 2 din se koi bhi ads show Nahi ho rahe hai please koi solution bata dijiyeSad shayari in hindi
bahot helpfull article likha hai sir aapne
Bhai knowledge kaffi achi dali apna or kafi guide keya apna muja,ek chij or copy image ko kesa use kru koi trick hoo dmca se kam chal jauga kya ek baat reply kr dena or ek baar meri web visit kr ke dekhna ki kesi bnai h mna website thanku
aap copyright image use hi naa kare.. google se Copyright free image kaise download kare wo mene bataya hai.
help full post thanks
Yeh article bahut hi jyada useful hai new by blogger ke liye thank you for sharing thiz article with all of us
ha bhai tumne bahut achha kaha. main tumhe follow karunga.
bahot acche se smajaya hai sir apne copy paste ke bare me .. bahot accha website hai sir apka thanks for sharing the information sir
adsense ki email id ko change kar sakte hai kya
Sir Aapne Sahi Kaha, Maine Mere Site Kisi Dusre Site Content Copy Kiya And Content Ko Spin Kiya And Post Publish Kiya Wo Post Google Me Index Hi Nahi Ho Rahi Thi And Jo Post Maine Khud Se Create Ki Thi Wo Rank Ho Rahi Thi.
Sir Mujhe Ye Pata Chala Site Ko Google Me Rank Karna Hai To Content Copy Mat Karo Khud Se Create Karo
Great।। जान कर खसी हुई की अब आप सही लाइन पर आ गए है।
Achaa article likhte ho brother. Keep it up
bahot hi accha article hai bhai bahot hi acche se apne sab samjaya hai bhai thanks alot bhai
Thanks for sharing this info with us.
Thank you for providing usefull information.
Thanks i got the concept
wow sir, very nice post
best hindi suvichar
Thanks bhai. Agar me kisi content writer se post likhwata hu to koi problem hogi?
very good explanation. I also use copyscape these days to get rid of duplicate content.
hiii
Bhut Acchi trah btaya hai apne dhanyawad
very nice post help full post thanks
Bahut achhi jankari di ha apni. Jankari share karne ke liye thankyou.
Sir you are great and your content is really helpful, keep providing such very good & genuine information.
Bhut Acchi trah btaya hai apne dhanyawad
nice sir
Mujhe Aapki website Bahut Pasand aayi
Aapne Es Post me Bahut hi Achhe Tarike se Samjhaya Hai
bhai internet par jo bhi top shayari blogger hai un sabhi ke content 70 % to copy hi hai ,pata nahi chalta unka real owner koun hai . kush website par to user bhi register karke apne naam se post karte hai vo bhi interent se hi lekar . aise me vo 12000 + words tak bhi ek post me dete hai aur unki post top par rank karti hai, maine dekha hai kush shayari blog me real content hai par vo top par nahi aa pate. first page par aa bhi jayo kush dino tak hi rahate hai fir aise blog kyo chalte hai .
user ka kesa response hai wo bhi dekha jata hai.. isliye nahi tik pate.
But bhai user response to tab pata chalenga jab real content post first page par index hongi aur user in tak pahuchna payenge
sir google report par kitne din me action leta hai please replay
Thank you Rohit, naye blogger ke liye bilkul sahi jankari he, aur koshish hamesha yah karna chahiye ki content
original ho to jyada achcha rahega.
bhiaya mere website pe pichle, 2 din se koi bhi ads show Nahi ho rahe hai please koi solution bata dijiye
सुप्रभात
बहुत सुंदर लिंकों का सार्थक संयोजन।सभी रचनाकारों को मेरी हार्दिक शुभकामनाएँ।
Bhaut Hi Sahi jankari bayaya hai aapne copy past ke bare me, mujhe naya sikne ko mila.
Hello Sir, Your post is so helpful.thanks
My question is this ki Meri ek site hai (www.psartworks.in) is par views nhi aa rhe hai.mene sare article bhi khud hi likhe hai, kahi se copy bhi nhi kiya hai.kya ye niche related problem hai ya koi or kami hai isme.
meri site ka niche arts hai,kya mujhe kisi or topic par likhna chahiye.
please tell me if possible…
Aapko SEO tikh se karna padega. or Keyword research karke high search volume wale keywords par post karni hogi.
nice information about website copy paste benefits and disadvantage
Hello brother, mene apne blog ko blogger se WordPress par move kiya h please aap check karke btaye blog main kya kya kami hain.
Thanks!
nice information
Mai pehle yehi galti krta tha.. btw apne bohot hi acche se samjhaya..thanks!
Nice Information Rohit Sir
Very good information, nice article and thanks for sharing your knowledgeable thoughts.
Bhai kya aap mujhe bata sakte hai kee mere site ke upar maine 3000 ka post likha hai kya vo rank ho payega composition jyada hai aur blogspot.com ka domain hai please bhai bataeye
Bahut Hi Achhi jankari di hai aapne ..thanks
Absolutely Correct. Rohit Mewada Bro
Keep it up . God Bless You
Great article bro. Thanks for sharing such useful information
Great work. Very useful information.
Nice article on content copying
good your website.
bahut bhadhiya bhaiya.
nice content..it was very helpful