Hello Friends, Ye Post Facebook ke New FB Users ke liye hai jinhone Facebook abhi abhi use karna start kiya hai ya facebook ki jada jankari nahi hai, to aapko jada tension lene ki jarurat nahi hai.. Me Pehle bhi kuch post share kar chuka hu facebook ke upar jese Fb ID block q hoti hai or kaise bachaye, FB Account Hack kaise hota hai blog hone se…
Mere Paas bahut logo ke message, Comment ke jariye ye sawal aaya hai – hamne apne Mobile Number se apni facebook ID banani, fir ussi number se dusri facebook ID banali.. par ab ham jab ID or Password dalte hai to New ID open hoti hai par Purani ID kaise open kare..
Is Problem ka Solution jane uske pehle ham jan lete hai facebook account banta kaise hai, or hamari kis galti ki baja se ye dikkat aati hai..
Facebook account kaise banaye uski jankari yaha hai, jisme aap ko ek EMail ID Chahiye ya fir Mobile Number.
Ab bahut log Mobile number se apna account bana lete hai facebook par.. to ab jab bhi unko account open karna hai to wo apna mobile number or password daal kar apni FB ID open kar lete hai..
Ab Problem ye ho jati hai ki ussi mobile number se ek dusri ID banane par jo purani ID me number add hota hai wo automatic remove ho jata hai, q ki ek hi number 2 id me add nahi kar sakte.. fir ham jab apna mobile number dalte hai or password dalte hai to purani ID nahi khulti q ki usme se wo number remove ho chuka hai or new banai gai ID hi open hoti hai..
mujse mere bhut se dosto ko ye problem hui or sabhi mujse puchte hai or janna chahte hai:
- mera fb account open nahi ho raha hai.
- mera facebook nahi khul raha.
- facebook chalu karo mujse nahi ho raha.
- purana facebook account kaise open kare.
To mujhe pata chala ye ek bahut badi problem hai, jo bhut logo ko hoti hai, isliye mene is Problem se nipatne ke 2 tarike pata kare:
- Apni purani ID ka username or password daal kar ID open kare
- Apni ID me EMail ID bhi add karke rakhe.. (ye problem aane ke pehle ka solution hai)
1 Number se 2 Facebook Account – Purani ID kaise open kare
Agar aapne ek Mobile number se koi Facebook ID banai or galti se ussi number se dusri ID banadi hai to jo pehle fb ID hai usme se aapka number remove ho gaya hoga.. Ab agar aap apna Mobile number or password dalege account ko open karne ke liye to aapka jo new facebook account hai sirf wo open hoga to ab purane account ko kaise open kare.. chaliye uski process jaan lete hai..
Step 1: Sabse pehle aap apni purani Account ki Profile ko kisi bhi Browser me open kare (Login ki jarurat nahi hai)..
Step 2: Ab Browser ka jo address bar hai usme aapki profile ki link hogi.. kuch is Prakar –
jo aapki profile ki link hai wo 2 tarah ki ho sakti hai –
- Agar aapne FB username set kiya hai to kuch aesa rahega
- https://www.facebook.com/R.N.Mewada
- Agar username set nahi kiya hai to kuch number ka username rahega.
- https://www.facebook.com/100001348796048
jo ye example profile link hai isme jo username hai wo 100001348796048 or R.N.Mewada hai, aap inko copy karle.
Step 3: ab karna ye hai, Jab login karte hai to EMail/Mobile Number ki jagha aapko username dalna hai us id ka password dalna hai, ID ko open karne ke liye.. fir ID open ho jayegi.
Account open hone ke baad sabse pehle Apna EMail Address ya apna koi dusra Mobile Number add jarur karle.
EMail ID kaise add kare Facebook account me
Step 1: Apne Facebook me login karke setting >> General >> Email par jaye. Image me dekhe kaha kaise jana hai ya fir yaha click karke direct bhi ja sakte hai.
Step 2: ab Add another email address or mobile ki link par click kare
jo popup khulega usme apna email ID dale fir Add ki button par click kare..
Step 3: ab Aapke Email Account par ek mail aayega facebook se.. usme jo link hai us par click karke conform jarur karna hai..
Is trah Email ID add kar sakte hai Facebook account me.. ab agar aap number remove bhi kar dete hai fir bhi aap login kar sakte hai apne facebook account me apni email id or password ki madad se.
Agar aapko fir bhi kahi koi dikkat aa rahi hai to aap comment karke bata sakte hai, or aapko agar is jankari se help mili ho to Thanks khana na bhule :)
Facebook ki ye kuch or Jankari jo aapko pata hona chahiye –
- Facebook par kisi ko Block or UnBLock kaise karte hai
- Facebook Par Friends Request ko band kaise karte hai.
- Apne Friends ki list ko kaise chupaye
- Apni Profile Photo kaise set kare
Facebook ki or jankari ke liye yaha click kare..
bhai ek facebook id hai ladki ki usne apni id band kar di hai aur paasword bhula gayi hai par jab apne number se forgate password me jati h to ac khulne ke liye otp confirmation code bhejta h wo number par jisase usane fb id banayi thi but problem ye hai ki wo number wala sim kho gaya hai to bhai mai kaise us ladki ka fb ac kholu please help me bahut jaruri hai bhai
sir meri old fb id open nhi ho rhi hai mere pass abi bhi bo hi no hai.
plece sir help me
Sir meri user name aur password daala lekin open nahi ho rahi hai kya karu
Sir mene ek nbr se do account khula he purani account open nehi ho rehi he kiya kru hlp me
Computer A level me kaun se course Ate h
Computer A level me kaun se course Ate hai
main apni purani fb id kholna chahta hu, par main apni purani fb id ka number hai ya gmail or password bhul gaya hu ab kya kru.
matlab dono bhul gaya hu id or passaword bhul gaya hu ab kya kru.
hallo frind
hua u mai fb use kar raha tha to muje apni purani fb id dikhi to mai usse kholne ki koshish kar raha hu par main uski id or password bhul gaya hu to help me plz.
Comment:yar kaisi bat kr rahe ho
ap
bina login ke kaise khulega
or khulega bi to oske liye
phle ka link hona chahiye na fb se
tabi to browser show kr payega wrna kaise karega
Sir meri fb par ek no se 2 id hai par usme se only purani id open ho rahi . New id open nahi ho rahi hai what to do
uska username dalo or password dalo.. fir open hogi..
Mera I’d band ho gay ha. Aur oper mini se jakar surch karta hu to ek he name k 3 I’d open dek Rahi ha aur hame apna real open karni ha aur Jo dono open ha us Ko band karni ha facebook app par login nahi ho Raha ha m bahut parsan hu kuch batay
sir Mari fb I’d number par bani he to ab Mari out of contury ki wja sa on ni ho rhi ap mari koi help kar sakty ha kia???? plz
ser m apni id ka password change krke bhul gya hu mare pas mobile no. yad to h but vo sim nhi h ab m kya kruu sir help me
sir me vesa hi kiya jesa ap bole pr meri New id hi open ho rhi hai purani vali nhi ho rhi open ab me kya kru plz btaye
agar purani wali ka password yaad na ho .. toh kya kare?
Phr kya kro
SIR kisi ne meri fb id pe login karne ki koshish ki n Facebook ne meri id locked kar di then maine meri fb ko forgot password pe jakar apna password meri fb pe jo mail h us sey recover kar change kar liya then ab tak to aisa jab bhi hua to fb id open ho jati thi but is bar upload profile id maang ra h Facebook n uske bad jab voter id ki pic upload kar di then i can’t my login id n open….can u plz help me here or my mail address is Bhargavaharish00@gmail.com
Agr new id ko permanently delete kr de tu kya purani id open ho jay ge
nahi isse koi fark nahi padega.. aap purani ID sirf username or password ki madad se open kar sakte hai.
Ager new id ko permanently delete kr de tu kya purani id opne ho jay ge
nahi.. new ID ko delete karne se kuch nahi hoga.. aap purani ID ka usename or password dal kar open kar sakte ho sirf.
kisi ne not reciving message kar rakha hai to oose hatate kaise hai pls help
agar kisi ne not reciving messeg par laga diya hai too oose hatate kai se hai
not reciving message se hatane ke liye kya karte hai
sir mene ek number se do fb id bna li to jo new fb id h wo to open ho rhi h ,lekin phle wali nhi ho rhi or aapne jo trick btai h wo krke dekhta lekin me uske password bhul gya to me kya kru ,help kro
To purani wali ka forgot password kare or no longer access select kare
sir me user name dal kr dekh liya jb me open krta hu to esa btata h The email address or phone number that you’ve
entered doesn’t match any account. Sign up for an account.
username dalna hai.. sabse phele to ID aa bhi rahi hai ke nahi wo check kare.. or apni ID ka username dalna hai.. Mobile Number bagera nahi
MERA DO FB ID HAI par m ak hi open kar pata hu or ak ka number bhul gya hu to use mai open kaise kar sakta hu jabki dusre id jo open nai hota o mere pahle id me add hai pls help and solution .
Thankyou HMH.pe
jese post me bataya hai aap apne username or password ki madad se open kar sakte hai
Bhai Purani f.b id ko open karne ke liye uska link mene f.b par old id ka link adress or pass. Dalke login kiya fir b ni khula
sir aap hamare cmt delete kar de rahe hai na
nahi koi comment delete nahi kiya, par 3000+ se jada comment aa gaye hai to reply karne me time lag raha hai..
sir mujhe samajh nai aa raha hai main aapko template ke menu ke ek code dikha rahe hun
please sir is code me bataye kaha par link lagega
abhi aapke template me jo menu dikh rahi hai.. usko template me search kare or edit kare.
hello sir .kaise ho.sir maine ek template apne blog par lagaya.to sir us template me
menu.pehle se hi hai.lekin sir.wo menu hamare blog ke article ke hisab se nai hai
sir use hum apne article ke hisab se kaise change kar sakte hai please sir help me
aur sir uske sathe label ka link bhi likhi jayegi kya?
Abhi jo menu aa rahi hai wo aap template me seaech kare or usko edit karke apne menu add kare.. # ki jagha link add kare menu ke code me
rohit sir,mene template upload kar diya hai,par template me jo header ke niche jo line hoti hai usse kase edit karu for ex.menu sab menu a etc.mene aaphi ka template use kiya hai.pls mujhe samjhaye ke me is template ko kesi karu.
aur ha mene bidvertiser ke ads lagaye hai par meri site khulte hi ek bada sa ads display hota hai jab ki mene aesa kuch nay kia….ye site ke pehle display hone wale ads ko kese hatau…….
Aur pls ek baar aap meri site check kar lijiye.
Sir,main jab hi blogger pe jakar new blog par click kar raha hoon toh samne title,adress ka form aa raha hain par create blog par click kar raha hoon toh kuch loding nahi ho raha hain and dusra page bhi samne nahi aa raha hain.main kya karo?
Sir,plz aap mujhe yeh bataiye ki net se loan lene ke apply Karne se kya hume kuch proof and document dene parte hain?Kaha dene parte net pe ya unke bank me jakar?
plz bro meri help karo meri woh id kese shold karu. help me.my id my account shold you. give me id shold you? plz
amene yaha bataya hai
Mari id jis ka nbr remove hay uska password ma bol gaya hu usa forgotten kasa karo
hello bro lekin mera account login hota hai lekin open nai hota bro muje ye secure likha huwa words login karta hoo to wese hi secure your account likha huwa aa jaata hai bataye ab ye meri id mai do email add hai or ye display pe kehrahe hai new email add kijiye lekin tum kehte ho ke tumhara pahela email no. check karlo . lekin bro check kaise karu yaha to jaise hi login karta hoo wese hi display pe ye likha huwa aata hai bro ke secure your account lekin muje kaise ye id shold mai woh nai samajpata agar tumhe meri ye fb ki id email pswd doo to all kardoge bro muje kuch samaj mai nai aata plz are you sure bro? yes or no give me right answer bro.
Aapka gmail id bhi secure nahi hai ya fir kuch setting baki hogi is liye logi. Karte hi aata hai.. Aap usko look good par click karke aese hi rhane de.. Ya fir login hone ke baad browser me double se Gmail.com khole duare tab me
aapko template
me add karna
tha.. aapne usko
link widget ki
madad se kiya
hai.. iskiliye aesa
ho raha ha
rohit bhai apne upar ye answer dya h lekin me samjha nai template me kaise karu aap meri site dekhen plz usme upar menu nai aa raha k karu details me btaye plz
mujhe apni facebook id p apni email add krni h par wo ho nhi rhi h mera account mobile number se bana h
..
mene issi post me email id kaise add kare uska bataya hai.. aapko setting me ja kar add karna hai.
mera template kaisa h adsense ke liye
acha hai.. bas kuch khali widget add hai aapke blog me usko hatade.
bhai meri site me menu nai dikh raha jab us par mouse le jata hu to dikhta h plz help ap cheak kare mene colour change kiya nai ho raha
aapne kis trah ad ki hai menu.. muje lagta hai template me hi add karna hai.. or aapne link widget add kiya hai..
hi bro mera fb account secure ho gaya hai. or fir dusaraa email add karne ko kehte hai bataye kaise shold kare.or woh id mai do email to pahele se samil hai. or ab fir ek bar email add karne ka keh rahe hai. me login karta hu to secure your account likha aata hai bas bataye kaise shold kare.
jo email ID phele se add hai unko check kare.. kahi wo secure to hai.. nahi to usko remove karke apni hi id rakhe.. baki koi tesion lene ki koi jarurat nahi hai.
Hello rohit g..agar kisike email msg ana band karna ho to kya karu plz Help me
Usko spam me add karde
Sir mai purane whatsapp ka number bhul gaya hu maine dusra whatsapp istall kiya to verify number mang raha he to sir mere wo purane msgs ka kya hoga….plz fsst reply sir
aapko ussi number se ussi mobile me open karna padega.. jab aayege.
Sir mai ne apna pahla fb ac jis mobile no se banaya tha us mobile no ko mai ne apne dusre fb ac me sirf add kiya hai .but ab pahla fb ac open nahi horaha hai.
haa to jese mene post me bataya hai.. aap uska username or password daal kar open kar sakte hai.. fir usme mobile number or email id jarur add kare.
layout me bhi nai ho raha h
kya nahi ho raha hai.. detail me apna comment kara kariya.. muje yaad nahi rhata aapne pichle comment me agar kuch pucha ho to..
usme naam to aa raha h page ka lekin wo header ka coloue hi aisa h blue ki naam dikhai nai deta jab me uspe arrow le jata hu mouse ka to dikhai deta h colour kaise change karu mene dekh liya kaha hoga detail me byaye
ye aap kis topic par baat kar rahe hai.. mere pass itna time nahi ki me aapke purane comment dekhu.. please aap detail me comment kara kare.. aap kis topic par puch rahe hai.. or ussi ki post me comment kare.. aap dusri post me kisi dusre topic ka sabal karege to muje isse bhut dikkat hoti hai sabal ko sahi se samajne me..
rohit bhai mere blog me page nai lag rahe h mene contect us page or about us page bnaya or link or woo sab ka ke dekh liya nai ho raha plz dekhe
aapko template me add karna tha.. aapne usko link widget ki madad se kiya hai.. iskiliye aesa ho raha hai
thanks sir ji aapke dwara f.b ke bare se diya jankari mere liye bahut hi faydemand rha thanks
Welcome
Sir mera problems by ki mera fb ak number she 2 fb by to ask purana wala log in naho ho raha hy par aapne computer se sulf karne me liye bataya hy par mobail par kaise hoga
aare bhai mene post me wahi to bataya hai.. aapko username se or password se open karna hoga.. post aap tikh se read kare..
Password to yad nahi ha fer Kya kare
Sir password hi yaad nhi hai ky kare plz answer
Kya PayPal me pan card Ka no apane papa Ka de sakta hu mera pan card. Nhi h or main apna bank account dala h PayPal me help me
nahi.. Jo PAN Card me naam hai wo account name se match hona chaiye..
Sir woh bank wale debit card aese deinge jese meine abi chitika par account banaya hai ab mojhe bank mein jana padega fir deinge
aare inse uska koi relation nahi hai.. bank me account bante hi mil jata hai.. agar nahi dete to ham unse kha sakte hai ki hame debit card(ATM Card bhi khate hai) bhi chaiye..
sir aapke jankari ke anusar maine apna purana wala id open karke dekha lekin open nhi ho rha hai use open karne ke liye kya karu plz sir reply me
aapko uski username or password dalna hai.. aapki us id ko aap open karke dekhe open to ho rahi hai naa..
Plz plz help do mujhe meri Facebook par 2 I’d banty hi ek kharab hogai hai tu purani I’d ko use kaise karon
issi ke ware me upar post me bataya hai.. aap dhiyan se steps ko follow kare,
सर पासवर्ड याद नहीं है तो क्या करें यूज़रनेम से नहीं खुल रही
Yhi probelam ho rhi he
nice information
Sir ji debit card kitni mein banta hai aur mera 13 umar age he kya mera ban sakta hai
free me banta hai.. bank me account hona chaiye
Mene meri frnd ki fb I’d me 2 din me liye mere no. Daale the.or 2 din bad wapas hats k uske no. Daal diye..lekin an uski I’d me suggest fend me mere contact wale show kr the h or uske alawa messenger me b mere contact ki I’d show or rhi h..use kese hataye.plz help me
sir link show he ni ho raha iD Open kasey ho gi plz help me
Browser me karna hai.. facebook app me nahi.. Browser me kuch bhi open karte hai to uski link jarur hoti hai.
hlw sir mane ek no se do ide bna di thi jisse meri pahi vali band ho gyi h or an mane Jo dudri ide bnayi h vo delete kar di sir muje apni pahle ide kholni h or muje y browser ka kuch smj nhi aa RHA h plz he’ll me
Mera bhi same problem huwa hai plz plz help
Ser browser per kaha plz batao
Sir please meri help kijiye mere pass ek he id hai but wo achanak band ho gyi hai mere pass username password bhi correct hai but agr id open kr rha hu tu kuch dino se wo mere purane number pe code send krne ka messege show krte hai aisa kyon ho rha hai kuonki mere purane number wo sab ab bnd ho chuke hai to sir please help me mujhe bataye mein apni us id ko kaise open kr skta hu kuch to solution hoga na?
Sir mene yeh try kiya but still my account is not open.problem yeh h k mujhe password bhi yaad nhi h
Help me bro mri purani I’d opn ni horhe massager mobile m on h I’d no horhe please tell me fst