Acha Email Likhe ke liye 11 Points ko Yaad

Internet Aaj hum Sabhi ke life ke ek important hissa ban chuka hai, Ghar ho ya office jagah Internet Maujud hai,

E-mail Bhejte Waqt Rakhe, Ye 11 Bato Ka Dhayan

Iske hone se ham Apni bato ko ek jagah se dusri jagah aur ek sath kai logo tak pahucha sakte hai, Iske Liye hame email ki jarurat padti hai.

Advertisements

Email Dawara Apni bato ko Dusre tak pahuchane ke liye Hame email Id banana hai, Lekin email sahi Vakyati Aur sahi jagah tarah se bheja jay tab hi iska fayda hai, To Hum Aaj Janenne Email likhne ka tarika.

Email ka istemal Sabhi karte hai, Email personal bhi ho sakte hai Aur professional bhi, Personal email apne dosto ya ristedaro ko hai, jo ki kisi bhi chiz ke liye ho sakta hai, jubki professional email me kam se judi bate hoti hai.

E-mail karne se pahle hum shayad hi 2 bar sochte honge, Lekin email karne ke bhi kuchh tarike hote hai, ek behtar email Ke liye aapko kuch rules flow karne chahiye, Aaiye Jante hai.

Also Read: Temporary Email ID Kaise 10 Minute Mail Par

Page Contents

Badiya EMail kaise likhe or Send karne ke Tips

1. Anjan person ko email karne se pahle

Email me sabse important hota hai, introduction yani parichay, yadi aap kisi anjan Person Ko email likh rahe hai to, sabse pehle usse apna introduction de.

Uske bad aap usse jis subject par aap bat karna chahte hai, iske bare me usse kam sabdo me bistar se bataye.

2. Subject line ko Dhyan se chune

Achhe email ke liye ek sahi Subject line bahut jaruri hai, Apne email ko subject line se Highlight kiya ja sakta hai.

Isse email received karne aapka email ko behtar samajh aa sakta hai, wah aapke email ko value bhi dega.

3. Prefixes( उपसर्ग ) Ka sahi Paryog

Apne email me ek uchit upsarg ka prayog kare, jaise Mr., Ms. Or Mrs iske alawa Professional Taur pe aap Sir ya Madam bhi likh sakte hai.

4. Language Ka use

Email me sahi bhasha ka prayog kare, SMS Bhasa ya tuti-futi English se mail ka bura effect pad sakta hai.

Agar aapko English acche se nahi aati to aap Grammarly Tool ka use kar sakte hai.

5. Sidhi Bat kare

Email me seedhi bat karna jyada acha hai, bat ko ghumane phirane se acha Jo point hai usse clear kare.

6. Email me CAPITAL aur Bold font ka use na kare

Email likhte time aap capital aur bold font ka use na kare, Kyuki aisa font ko use karne se reciveder par aapka kharab impression pad sakta hai, isliye isi tarah se text ke bich-bich me underline karna, fancy font ya multiple font ka prayog karna.

7. Email me attachment bhejne ka tarika

Email se 08-10 bade attachment ek sath na bheje, habby aur bahut sari attachment bhejne se reciveder ka inbox Abrudh ho sakta hai,

Isliye bade attachment ko “File hosting service” se bheje , iske alawa badi file ko Zip file ya resize picture bana ke bhej sakte hai,

Yadi koi vaykti jo pane mobile se email access kar raha ho hai, to usse jyada attachment ek sath na bheje,

8. Apna name jarur likhe

Email ke last me Apna name likhna na bhule, yah bahut jaruri hai.

9. Email ka spelling check

Email chahe personal ho ya official, bhejne se pehle pure mail ki spelling jarur check kare.

Computer me Spelling Check karne ke liye Grammarly Tool ya Ginger Tool ka use kar sakte hai jo bilkul free hai.

khaskar jab aap mobile se email access kar rahe ho to, Kyuki touchscreen mobile hone ke karan kai bar galat type ho jata hai,

Yadi aap bar-bar hone wali galat spelling se bachna chahte hai, to “Auto correct” option ka use kare.

10. Abbreviation( संक्षिप्त शब्दों ) Ka use kam kare

Email likhte time Abbreviation ka paryog kam kare.

Jaise– एफवाईआई (FYI), पीएफए (PFA), पीडीएफ (PDF) और एफवाईआर (FYR), सीयू (CU), एनपी (NP), डब्ल्यूयू (WU) etc ka use kam kare, Isse Likhte samay is bat ka khayal rakhe, kya ye Sabhi email padhne wala samjhta bhi hai ya nahi,

11. Mail us time na likhe

Jab aapka mood kharab ho, to mail na likhe, in mail ko aap “Draft” me save kar le, ya dobara sant dimag se aur achhi tarah se soch samajhkar likhna start kare.

To Iss Trha aap ek Badiya EMail likh sakte hai or Kaise Badiya Email bana kar sand karna hai ab aap jaan chuke hai. fir bhi agar aap ka koi question ho Email se sambandhit to aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Mai Ravi Kumar mai anytechinfo.com ka author hu, Ek bar aaplogo mere blog pe jarur visit kare.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

30 thoughts on “Acha Email Likhe ke liye 11 Points ko Yaad”

  1. just google par search kar raha tha email ke bare me aur aapki site dikhi. Aapne bahot hi easy way se bata diya ki email kaise send kare. Thanks for sharing this :)

    Reply
  2. rohit sir aap post title ke neeche kon se size ka ads use karte hain
    me 300×250 ka use karta hun to wo mobile ke display se bahar ho jaata hain
    please mujhe jarur bataye

    Reply