Hello Blogger’s, Aaj ham is Post me dekhege kaise apni Post me Youtube Video ko add karte hai.
Me phele hi bata chuka hu ki ham video ko direct post editor se kaise add kar sakte hai, is post me, jisme mene Post editor ke sare option ke bare me bataya hai..
Sayad aapko pata hi hoga ki ham youtube se paise kama sakte hai, or agar hamara blog bhi hai to usse hamare video ke views to badege hi sath hi sath income bhi badegi.. blog or Youtube dono ki.
Start karne ke pehle me samajhta hu aapne apna video youtube me upload kar diya hai, or agar aap koi or ka video add karna chahte hai to wo bhi kar sakte hai.
Youtube Video ko add karne ke liye pehle hame Youtube Video ka Embed code lena hoga fir ham usko Apne Blog ke HTML me daal kar Video Add kar sakte hai.
Youtube Video ka HTML Embed Code kaise le
Sabse pehle aap jis video ko add karna chahte hai usko youtube me khole..
Ab niche aap dekhege Share ka Option hai, uspar click kare, Fir Embed par click kare
Ab ek code aa jayega jisko ham kahi bhi HTML me add karke video ko add kar sakte hai.
Agar aap video ko apne hisab se customize karna chahte hai to aap SHOW MORE par click kare.
Ab kuch or Option aayege, jinko ham apne video me set kar sakte hai.
Video Size – Aap jo video hai uska kya size rakhna chahte hai usko select kar sakte hai.
Show Suggested Video – isko agar aap Tik karte hai to Video khatam hone ke baad jo Video ka suggestion aate hai wo aayenge.
Show Player Control – Is option me jo Video player ke option hai, Play, Volume , settings wo nahi dikhenge.
Show Video Title – Agar aap Video ka Title dikhana chate hai to isko tik kare.
Enable Privacy – is option tik karne par youtube hamare visitor ko jab tak track nahi karega jab tk wo video ko play nahi karte. (Agar aapka Video hai to jarur tik kare, jisse videoko rank me thoda fayda milta hai).
Apni setting karne ke baad aap code copy kare..
Blogger Me Kaise Add kare Youtube Video
Hamare Paas jo Code hai wo HTML me hai to ham usko kahi bhi HTML me add kar sakte hai.
Blogger ki Post me Youtube Video Add karne ke liye.
Sabse pehle HTML section me jaye.. Phir jaha Video ko Add karna hai Bha Code ko Paste karde..
Post likhne ke liye bapas Compose section me chale jaye..
Ye sirf ek example hai ki Video ko kaise HTML me add kare.. Aap Chate to isko HTML/Javascript widget me bhi add kar sakte hai, ya fir agar aap Blogger ke page me add karna chahte to bha bhi kar sakte hai.
Agar aap Youtube ya Blogging ko lekar confuse hai ki kispar kaam kare, konsa jada sahi rahega or kisme jada income hogi to aap dono ko compare karke batay hai wo jarur read kare.
Sawal, Sujab or jankari kesi lagi Comment kare…
Nice post very helpful information here all time thanks a lot….
Kafi interesting laga. First time visit kiya apke site ku lekin bohut attractive laga.
nice article sir…………
Informative article rohitbhai… you are genius
nice article sir, isse bhut kuch sikhe ko mila
Nice post very helpful information here all time thanks a lot….
Bahut achh jankari..
Now it’s clear because I’m looking for Blogspot and I got it.
Thanks
Sir apne hume is article me YouTube ki video ko website me lgana bahut achhi trh se smjhaya hai thank you sir
YouTube Ki madad se WordPress Ko Kaise Promote kare?
Thanks Rohit, Apne bahut acche se explain kiya hai. Thank you very much
bhtt acha article hai…bhhtt kch smjhny ko milaa…is sy meri bht he zyada help ho gai hai…mzeed is trha k or aticle b websiite py post kro…thank alot
Sir screenshots ko edit karne k liye aapne is post k liye konsi software use ki he…… Plz batayega
Rohit sir android me Aisa koi b opt. Nhi hai android me ye process kese kre ye bataiye sir plzz
Aap Browser me Desktop version me open kare.. usme same aayega option. Mobile par nahi aata hai.
Ho sir,
YouTube videos ko ham view nahi kar sakte to embded link kaise pata kare?aur ham use promote kaise kare ? Aur whatsapp status ke liye channel bana sakte hai?
Hi ,
Apki post achi lagi ..
Mera apse ek sawal hai . Maine wixsit.com par ek website banayi hai .. agr mai Apne YouTube video ka link copy kar ke apni site par pate kar ke video add karu to kya YouTube par view badenge….
haa, agar aapki site par koi ivideo dekhege to video ke views count hoge..
Hi Rohit Ji
1.Wordpress post me youtube video url add karne se koi copyright ki problme hogi kyaa?
2.kyaa post me video embed code add karne ke liye video owner ki permission jaruri he, ydi permission nahi lenge to copyright ki problem hogi kya?
Rohit sir djmukesh Semariya ki plzzz sir kardeejiye
Rohit sir mah apney blog par apney youtube chanel ki weight add karna cahta hn jahsey ap neh facebook ki bahtahe ha mujjey bahta deh plzz
Sir kya youtube me video uploadkarne ke baad firse usi video ko kya hum edit kar saqte hne? Jaose video ka naam dicreption vagaira
Sir, blog banane ki puri process mobile se ho sakti h ya computer hona jaruri h.
Plz… ans me.
Sir, blog banane ki puri process mobile se puri ki ja sakti h ya computer hona jaruri h.
Plz.. ans me.
आप पोस्ट मोबाइल से लिख सकते हे लेकिन blog को setup करने के लिए तो कंप्यूटर जाहिए.
ham apni blog se mobile flash software kaise download karwa sakate h public tak or hame kon so template use karni or kaha se kya karna parega. help me
Rohit bhai mai computer related videos YouTube me post karana chahata hu . par muze video design ke liye achhe software ki jarurat hai .muze app accha software batao jisase mi acche videos design kar saku . aur ek aur sawal ( https://m.youtube.com/watch?v=q0vANCBk-Bc&itct=CB8QpDAYBSITCJijq7uU9skCFUk2vgodI8oJGFIeaG93IHRvIGluY3JlYXNlIHJhbSBpbiBhbmRyb2lk&client=mv-google&gl=IN&hl=en ) ye video wacth karake bataye ki isme konasa soft. Use kiya hai muze ummid hai muze app help karenge
Camtasia acha software hai screen recording or video editing ke liye.. Or jo video hai wo videoscribe se banaya hai.. Iski white board video khate hai..
sir mere mobile me embed ka option nhi aa rha mai kya jaru
sir
mujhe app bnana h uske liye kya krna hoga aur kya reqirment hogi
mere pas idea h ki kis pr bnana h.
agar aap app banana chate hai khud ka to me aapko suggest karuga ki aap phele uski coding sikhe.. jo abhi muje bhi nahi aati hai.
Yaar mere video me add kese show honge kyo ki agar add show nhi honge to income kam hogi. Add kese show honge apne video par
sir
mai jo video youtube pe dala h usko jada log dekhe iskeliye kya krna hoga
Title, Discription, or tags sahi se dale jo video se sambandit ho or social network sites par share kare apne video ko.
sir 4 day se upar ho gaya hai ab tak youtube analyatic me paisa update nahi hua hai abhi tak 0.50 $ bata raha hai jab ki abtak 100 se jyada viewers ho gaye hai pls help me…
sir mere youtube account se sing in kar ke mera video dekhta ho toh usme 200 viewers dikhta hai but sarch karke dekhta ho toh usme 39 viewers he dikhte hai???
hello sir maine youtube se 0.50 kamaye hai sir youtube analystic me hamare video jab koi dekhta hai tab paise add hote hai ki thoda time lagta hai mujhe last 28 day ka rezult dekhta hai?? aur sir mera dusra sawal hai ki youtube video hum fb me share karte hai toh income hoti hai ki nahi??
24 hours baad add hoti hai analytics me detail..
Aap video ko kahi bhi share karege or uspar ads to aayege hi to aapki income bhi hogi.
Bhai mene Kai bar comment kiya lekin har bar mera comment cut hojata hai! Mai appne YouTube Ki liye cartoon videos uploade Karana chahata Hu or aapne muje videoscribe ka option bhee Diya tha lekin Vo mere samaj Mai nahi aaraha hai,or koi accha wala software milsakkta hai kya? Or goanimate kaisa hai
sir YouTube ko site me enble karne se kya fayda hota hai
enable nahi embeded.. iska matlab hai youtube ka video site me add karna.. or iska faida ye hai agar aapki site par koi aata hai to aapke video ko bhi dekh sakta hai jisse aapki video ke views badege.
hello sir….
Mujhe youtube ke video se relates ek question h..
Kya aap mujhn apna phone numbar ya mail sent kr skte h..
Please…
Aapka jo bhi sabal hai aap comment me post kare
Please help me
kya hum aisi web site bana sakte he jisme log gaane download kare to hame uske paise mile
Haa par free me download karbane par nahi milte or wo illegal bhi hota hai.
Hi brother
brother me ne aap k bataye tips se blogger start Kr liya hun …..abhi me new hun isliye thodi si or help cha hiye …..main abhi tak ye nhi samajh paya . blogger se hame Q ..aur kaise milte hai paise
Simple blogger me blog banane se nahi milte.. uspar ham jo ads lagate hai unse hoti hai hamari income..
Thank u sir
bhai you tube par porn video upload kar sakte h kya usse koi polish ka lafda to nahi rahega na plz btao
hi rohit mene bidversiter pe a/c banaya lekin usme meri site confarm nahi ho rahi syayad uske liye mujhe domain purchase karna hoga kya
Hello.sir ydi hm apne blog ka name change krte hai to kya bidvertiser me blog url bhi bdlna pdegaa
haa bilkul badalna padega..
kya music download site banaba inlegal hai
rohit bro
mere paas Android phone hai
koi tareeka btao jis se main 500 se 1000 rupe tak per month kama saku
aap 1000 ek mahine me kamane ki baat kar rahe hai, isse jada to aap jo app download karbane wale app hjai unse hi kama lege.. Songs ki site legal nahi hoti jo free me download karwati hai.
Mo Imran
Dewa Barabanki
India
Imran khan
Mau Janipur Dewa Barabanki
Mujhe koe tareeka batao jisse mai apni website me gaana upload kar sakoon
Uske liye aapko hosting lena padega
sir kya djpunjab.com ya djjohal.com ye legal site hai
or in par add v nahi aata ffir paise kaise kamte hai ye log tell me plz
in site par ye ek dusre ke sites ka advertise karte hai, or ye legal nahi hai.. aap dekhe kuch link di hai jin par click karne par dusri site khulti hai.
cpc kitna hai, aapne ads to sahi lagaye hai, thide dhire badti hai.. muje starting me 0.03 milte the…
sabse phele to me aapse khana chahuga ki aapne meri site ki copy karne ki koi kasar nahi chodi.. isse thodi aap badiya kar paoge.. muje karib 50 logo ne kaha hoga ki aapki site copy karke banai hai, isse aapki image pheli hi najar me khar ho gai.. mera khaene ka matlab hai aap mujse competation naa karte huee agar ek sath karoge to jada acha rahega.. ek baat or aapke blog par adsense hai or aapne jesa blog ko design kiya hai aapke adsense account block ho sakte hai.. isliye diyaan rakhe..
rahi baat income ki to dire dire hi badti hai..
Sir screenshots ko edit karne k liye aapne is post k liye konsi software use ki he…… Plz batayega
Sangit software ka use kiya hai.
Display ads
Overlay ads
Skippable video ads
rohit ye 3 option aa rahe h inme se “display ads ” par click nai ho raha h baki 2 pe horaha h usme se dono par karna h ya 1 par or kis par karna h bata do mujhe apne ads suru me show karne h jo puri screen par aaye chote nahi jo chalti video ke bich me aaye
video wala ads dikhana hai to wo skippable ads hote hai..
overlay ads jo video chalte samay patti ki trha aate hai.