Agar Aapka Facebook par account hai to aap apne dosto se to jude reh hi sakte hai, jese ki ham dekhte hi hai abhi ke time me social networking site ke aesa free tarika hai jiski madad se koi bhi uski jankari duniya se share kar sakta hai..
Facebook par ham Apne Friends or Family se jude rha sakte hai, or agar koi business karte hai ya fir koi celebrity hai to Facebook Page ya fir Facebook Group ki madad se logo se jud sakte hai.
Facebook par crore users roj facebook use karte hai, Me aapko bata du- Facebook par har roj 6+ lakh war galat password daalkar account ko hack karne ki kosis ki jati hai. Kuch log hack kar bhi lete hai.. to aaj ham issi topic ke bare me baat karenge or apne account ko kaise hack hone se bachaye ye janege..
Page Contents
Facebook Account ko Hack Hone se Bachaye
Fb account hack hone ka sabse bada karan hai Facebook Account hack kaise hota hai uski jankari naa hona, to ham har tarike ke bare me baat kare jisse hamara facebook account hack ho sakta hai..
Ek baat ka dhyan rakhe me aapke account ki security kaise badaye usme madad karuga, koi mujhse ye umeed naa kare ki me kisi ka account hack karu ya aapko hacking sikaho.
1# Keep me Login par tik nahi kare
Jab bhi Fb par login karte hai to ID or Password dal kar login karna padta hai.. Aapne dekha hoga Keep me logged in ka option bhi rehta hai. uspar click karne ka matlab hai jab jak aap Logout nahi karege aap login hi rahege.. Is option ka sirf apne computer me use kare jisse aapko bar bar password dal kar login nahi karna pade. Par agar aap Apne kisi Friends ke computer me ya fir kisi Net Cafe me facebook chalaye to ispar kabhi click nahi kare.
2# Password Majbut Rakhe
Facebook ka password majbut rakhe, jisko koi aasani se pata na kar sakte aapka password.. Bhut log kya glti karte hai jo unka mobile number rhata hai usko hi facebook password set kar dete hai. Password aesa hona chahiye jisko aap aasani se yaad rakh sako or koi uska andaja bhi naa laga sake.
Apna Majbut Password Kaise banaye
- aapki koi manpasand chij ka aage ka naam – maan lijiye cricket hai to aap uske kuch sabd rakh sakte hai – Cric
- Kuch Special Character bhi rakhna hai – @#$%&-! isme se kisi koi bhi
- Number bhi istemal kare password me uske liye, Janmdin, Gadi ka number ya fir koi bhi aisa number rahe jo aapko yaad rahe.. jese maan lo gadi ka number rakh liya – 6756
In sabko ek sath karke kuch is trha ka password banega @Cric@6756
Aap mene bataya is tarah se apna majbut password bana sakte hai.. ab aapka password kitna mazboot kiya usko aap Password Meter ek website hai us paar check kar sakte ho.
3# Login Alert Enable kare
Apne Account ki Setting >> Security me jaye or login Alerts enable kare. jisse aapka account me jab bhi login ho aapko notification aa jayega.
Alerts chalu karne ke baad aesa notification aata hai agar or kahi bhi koi login karta hai. Email Bhi aata hai or SMS bhi aata hai.
4# Code Generator Chalu kare
Is Option ko enable karne ke baad jab bhi aapko facebook code ki jarurat padegi to aap Apne Mobile me Facebook App ki setting me ja kar dekh sakte ho.
5# Trusted Contacts
Security me apne 5 Fb Friends ko add kare, jin par aapko bharosa ho. Agar kabhi aapke account me login karne me koi dikkat aati hai to facebook ek ye option bhi deti hai ki aap apne trusted friends ke pass phone laga kar apna code le.. jo aapke ye friends hai ise sabse pass alag alag code jayega. usko eksath dalne par account khul jata hai.. isliye jo bharose ke ho unh ko add kare.
6# Registered Browser or App
Is option me Ham jab Login karte hai to Facebook hamse puchta hai ki kya ye trusted Device hai. Agar ham usko Yes kar dete hai to wo yaha Save ho jata hai.. Fir ham jab bhi isme Login karege to hamare pass koi Notification nahi aayega. Yaha Check kare agar koi aisa Computer Save ho jo aapka naa ho to usko remove karde.
7# Remotely Logout kare
Account ki setting me ja kar current session me jaye, bha aap dekh sakte hai abhi aap apne account me kaha par login hai, Jese agar aap apne Mobile me or Computer me Login hai to wo aap isme dekh sakte hai.
Agar aap kisi or ke computer me Facebook chala rahe the or aap logout karna bhul gaye to aap yaha par ja kar End Activity par click karke kahi se bhi logout kar sakte hai.
8# Facebook Par User ko Block Kare
Facebook par bhut log fack account bana lete hai, Total Facebook Account me se 8% fack account hi hai facebook par. To agar aapko koi pareshan karta hai ya aap nahi chahte ki wo aapke account ko khole to aap usko block kar sakte hai.
9# Mobile Number Add kare
Mobile Number bhi jarur add karke rakhe, isse aapko kabhi password bhul gaye to forgot karne me bhi aasani hogi. aap facebook ke sms mobile par bhi aayege.
10# Friends Request Accept nahi kare
Jo Aapke phecha ke ho unhi ko facebook par friend banaye, Agar koi aapko friend request bheje to uski ID phele check kare kahi fack to nahi.. me apni agli post me bataoga kaise check kare Fake Id hai ki nahi.
Agar aapne bahut logo ko friend request send ki hai or unhone abhi tak accept nahi ki wo dekhna hai to uska bhi tarika hai, jisme mene bataya hai Facebook send request kaise dekhe.
Kya Aapko Pata hai Facebook par 5000 se jyada friends nahi bana sakte, Agar aap ke isse jada chane wale hai to aap Apna Facebook Page banaye
11# Sirf Kaam ke App Allow Kare
Facebook par apps ka option bhi hai, jinki madad se ham kisi bhi game, sites se facebook account ko connect kar sakte hai.. par iski madad se koi hamare account hack bhi kar sat hai, isliye jab koi koi app install kare ye jarur dekhe ki ye kya kya permission le raha hai. or jo kaam ke nahi hai unko Remove karde apne account se.
Facebook App se Account kaise Hack hota hai uski jankari yaha hai, agar aapko janna hai kaise aap kisi app ko permission de kar apna account hack kara sakte hai to iss post ko read kar sakte hai.
12# Privacy Setting Sahi rakhe
Aap apne account pe kya share karte ho, kon kon usko dekhe, kon aapko tag kar sakte is trha ki puri setting aap apni Account Privacy me kar sakte ho. Isse agar aap chahte hai ki koi meri ye jankari naa dekh paye wo aap kar sakte ho.
Privacy setting account ki security ke liye bhut jaruri hai, aap Fb me apne Friends ko Hide karke rakhe, or anjan insan aapko friend request send naa kar paye uski liye facebook friend request block karke rakhe.
13# Anti Virus Rakhe Computer me
Aapka jo Computer hai Usme AntiVirus jarur rakhe, Q ki kuch aise virus bhi hai jo agar hamare computer me aa jaye to hamare computer me ham kya karte hai uski puri jankari Net par chali jati hai or jisne us virus ko banaya hai wo puri detail dekh sakta hai.
Agar aapke Computer me Antivirus nahi hai to aap Avast Free Antivirus yaha se Download kare.
14# Fack Login Page Par ID Password Nahi Dale
Kuch Log Facebook par kisi ki ID Hack kare ke liye bilkul Facebook ki site jesa login Page banate hai or uski Link send kar deti hai jiski ID hack karna hai uske pass. Fir jab wo usme Apni Facebook ki ID or Password dalkar Login karna chahta hai to Login me Error aati hai or uska ID or Password Hacker ke pass Chala jata hai.
Isko Check karne ke liye ki ye fake login Page to nahi hai apne browser me check kare ki jo site ki link hai wo https://www.Facebook.com hi ho. Hackers kya karte hai ki ek aesi se website banate hai jo facebook ke url ki trha lage jese Facedook.com or uski link send kar dete hai jiki ID hack karna hoti hai. to uske ID or Password unke pass aa jate hai..
Agar aapko lagta hai kahi aapne apna ID or Password Fake Login Page par to nahi daal diya to jada naa soche or apna Facebook Password Change karde turant.
15# Keylogger Se Sabdhan Rahe
Computer ka ek Software hota hai, jisko Key-logger khate hai. Is software ko computer me install karne ke baad jitni bhi button dabai jati hai computer me wo sab save ho jati hai.
To agar aap Kisi dusre ke computer me login kare usse phele ye jarur dhyan rakhe ki wo bharose ka admi ho.. khane ka matlab hai ki aisa naa ho usne apne computer me keylogger install karke rakha ho or aap ka password usme save ho jaye.. Net Cafe par jarur sabdhar rahe.
Isse aapke Bank account hack ho sakta hai, isliye iska khayal rakhe..
16# Account Deactivate karde
Ye jo tarika hai isse aapke account ki Security nahi badti par agar aapko agar lagta hai to koi bar bar mere account ko hack karne ki kosis kar raha hai to aap apne account ko deactivate kar sakte hai, jisse koi aapki Id ko khol kar koi jankari nahi dekh payega.
Facebook Account ko Deactivate Kaise kare ya hamesa ke liye delete kaise kare uski jankari mene dio hui hai.
17# Apna Email Account Bhi Secure Rakhe
Jis Email ko aapne Facebook me use kiya hai usko bhi secure rakhe or uska Password bhi majbut rakhe. Or apne Email ko Facebook Par share naa kare or usko only me kare.. Isse aapke account me ek or layer aa jayegi security ki.
Email Account ko secure kaise kare, uske liye yaha mene tips share ki hai Hack hone se bachane ke ke liye.
18# 2 Step Verification on kare FB me
Ye sabse Advance tarika hai, jiski madad se aap apne fb account ko hack hone se bacha sakte hai.. agar aapne FB me 2 step verification on kar rakha hai to uske baad agar kisi ko aapka password pata chal bhi jaye to bhi wo aapka account open nahi kar payenge jab tak unke pass wo code naa ho jo aapke mobile par OTP ke rup me aayega.
19# Password Change kare
Facebook ka Password wese to aapko Strong rakhna hi hai, taki koi bhi uska andaja naa laga paye.. Fir bhi security ke liye hame thode time baad Password ko change karte rehna chahiye, taki koi agar kahi se kisi ko Password ka clue mil bhi jaye fir bhi wo Account ko hack naa kar paye.
Facebook Password Change karne ke liye aap apne account ki setting me jakar kar sakte hai. Setting me jane ke baad Security and Login me jaye.. waha Password ke samen edit par click karke Password ko change kare.
20# Dusre Websites ka Alag Password rakhna hai
Bhut Log ye Galti kar dete hai ki wo ek hi password sabhi website par rakh lete hai, jisse agar kisi ko ek website ka password kisi tarah pata chala to uske sabhi account hack ho jate hai.. isliye aapko Facebook ka password kahi or use nahi karna hai or sabse alag password rakhna hai.
At Last:
Agar aap itni Bato ka dhyan rakhe ye to Aapka Account Hack hona bhut muskil hai..
Aare haa, ek sabse jaruri baat khana to bhul hi gaya Apna Password kisi ko nahi batana hai ;) , usse bhi aapka account hack ho sakta hai.. :)
Facebook ki Tips ke liye yaha click kare
Mene Facebook Account ko Secure karne ke tarike bataye hai, Please koi mujhse ye naa puche ki Facebook Hack kaise kare.. Aap khud kosis kare agar aapko karna hai to. Me kisi bhi Illegal kam me kisi ki koi madad nahi karta or na hi karuga.
Agar aapko Ye jaankari Pasand aai ho to Please Facebook Par apne Dosto se jarur share kare,
or Agar inke alawa koi tarika pata ho jisse hamare facebook account ki security or jada bada sakte to comment me mujhe jarur bataye..
account hacking is comman now days
Nice Article
thanks sir, mera pehle do account hack ho gaye the, lekin aaj jo apne bataya hai usse muze samaj aaya ki mai kya galati kar rha tha jisse mera acoount hack ho raha tha.
thanks sir.
bahut badiya facebook hack hone bachane ke upay bataye ho
Nice Information Good Post
ShUkErIa Sir…Sir I m zahid malik from kupwara Kashmir I m Dsp police..Sir Mujay Aph Ka Yeh Jankaree Boot Pasand Aaya Sir Kehnay Ka Matlab Thanks…..Agar Aph yaha ka ho Toh mai Aph Ko Ek Tofa Doogaw….Chalo Kohi Baat Nahe ShUkErIa
Sir fb par ek din me kitni baar link share kar sakte hai .
hllo sir aapki jankari hame achhi lagi. thank you sir
Thanks Arti ji…
Sir meri id block ho gyi…..h
Usko open main kaise kru…….
Bhut badiya Rohit Bhai.
Hi sir kya aap batla sakte hain me fb par like karta hun to like nhi hoti kya problem hai plz tell me
Aapne ek sath bhut sare like kar diye hoge. To kuch time ke liye fb ne aapko block kiya hai..
Thank you Rohit itni detailed information dene ke liye..
Mere facebook ke group mein member apne aap se Event create kar dete hain. Mere paas uski koi approval ya notification nahi aata. Kayi baar events wrong hote hain. Aise mein main kaise control kar sakti hoon events approval ko. please help me
Aap setting me set kar sakte hai.. Uske baad post aap approve karege jab group me dikhegi..
Sir hum kaise janenge ki.. Apna fb profile hacked Ho gaya hai… Koi trick hai kya?? Dhanyawaad sir
aap setting me jakar dekh sakte hai.. kis kis device me login ho ya use kiye ho..
Hi sir
Please bro I’d hack kar lata hi pleace I’m number par send 03048133120
Pleace is Number par send pleace 03146217290 send
Pleace bro I’d hacked ho gay hi dalay do is Number par 03048133120
achha hy bro my site hy vikramsaw5 ko follow kro
Sir Me I’d Block kara dete he sab I’d block kare
me I’d banvta hu 1mini I’d hack karte he
app kuch bata ae
aap real name or real photo use kare..
mera facebook kisine hack kiya hai main kya karu.
Aap recover kar sakte hai.. uske liye aapko jisme aap phele use karte the account ussi mobile ya computer se login karna hoga..
sir main apne facebook account par login karta hu to password galat batata hai. jab main paasword forgotten karta hu to kisi aur ka account aa jata hai aur confum code ka msgg mare phone main ata hi nahi
Meri purani I’d ko hack krke kisi n pic or msg record ker liye h m Kya kru family m problem ho gai h plz help
aap recover kar sakte hai..
ya fir jo aapke uss id me friend hai unse aapki ID ki report karne ke liye kahe facebook me “Hack account”
Meri purani I’d ko block krke kisi n pic or msg record ker liye h m Kya kru family m problem ho gai h plz help
Aap uss ID ki Facebook se report kare. jo aapke usme fried add hai unse report karne ko kahe ..
plz sir jldi se kuch batayeh ….
kya kru m.meri family ki sare pic hide kr k rhe h fb pe wi haker glt istmal kr skta h plz help.me plz
haa kar sakte hai.. aap un photo ko public karne ki bajaye only friends kar dijiye.
hy im.sujit shaw form calcutta
meri.fb id kise ne hak krde h yrrr email b chng krdeya h mob no b
mere persion.pic h fb pe plz kuch opetoin to ho ga jiss se m.recover kr lu id
aap us id ki phele to jo usme friends the. uske account se report kare i account hack ho chuka hai.. fir aap jis divice me use karte the usme forgot password kare.. or email ID me no longer access kare.. than aapko id verify karni padegi.. uske baad open ho jayegi.
Fb trusted friends se code kese lenge
Wo code friends k pass kese jayega
Konsi link se jayega
Please reply me…
aapko unko direct contant karna hoga.. call karke ya jese bhi unke pass ja kar.
MAINE APNI FACEBOOK id bna to li but usme kisi or ka number ragisterd kar diya to conferm krne k liye usi k number par code bhi aaya ab mai kya kru mai nhi chahti k meri facebook ki jankari kisi or k paas jae plz help me
aap baad me bhi apna number add kar sakte hai.. or agar aapko wo number kisi se share nahi karna to aap uski setting me only me kar sakte hai.
rohit sir ji mera name reetesh hai mera account Kisi ne hack kr liya or me Kisi ki pic pr comments nhi krta Jb bhi koi kr rha h
aap uss account ki facebok se report kar sakte hai hacked account.. or fir aap jisme use karte the uss account ko ussi me lohin kare.. recover karne ka option aayega.. aap purana password dalege to..
Facebook disabled hone se Kaise Bachaye v
Uski jankari mene site par di hai.. Aap Search kare.. Aapko wo post mil jayegi..
Hay Sir Ek meri id hai facebook me mohd Rihan ki Toh mene aaj apni Mohd ahbab wali id chalayi Toh Me Upload karra tha kuch Toh mujhe apna account dhikha Usme Toh mene Uspe request bheji Uspe Mera phila profile laga tha Jo mene abhi hataya tha kal parso. Wo dooshra account hai. Meri samjH nhi aaarh ki me kaya karu ab mene uspe Message bheje Toh wo online tha Usme or mene apne account par bheje toh wo chal nhi raha tha par wo koi replay nhi de raha hai or Jab Me Apni id chalau Toh Wo. Mere us par koi sms nhi aate jo mene apni pe kiye the mujhe lagra ki ye use alag hai ..
Aare dost aesa nahi.. Aapne apne aapko ussi id me message kiya hai.. Ham facebook me apne aapko bhi message bhej sakte hai..
Mene fb bnai thi or jis numbr s banai thi wo numbr band ho gya h ir kisi ne id hack kr li h matlb passwrd chang kar dia h ab muje meri id wapas kese mil sakti h?
aap forgot password kare.. or jab number dalne ka option aata hai unke niche no longer access par click karke forgot kare
hello sir I am.naaz plz sir humko apni id me Report options off karna hai kaise karu plz helpme ya fr aur kuch batye ki meri id report marne se block.n ho
Hay Sir Ek meri id hai facebook me mohd Rihan ki Toh mene aaj apni Mohd ahbab wali id chalayi Toh Me Upload karra tha kuch Toh mujhe apna account dhikha Usme Toh mene Uspe request bheji Uspe Mera phila profile laga tha Jo mene abhi hataya tha kal parso. Wo dooshra account hai. Meri samjH nhi aaarh ki me kaya karu ab mene uspe Message bheje Toh wo online tha Usme or mene apne account par bheje toh wo chal nhi raha tha par wo koi replay nhi de raha hai or Jab Me Apni id chalau Toh Wo. Mere us par koi sms nhi aate jo mene apni pe kiye the mujhe lagra ki ye use alag hai ..
Fake account ko udne se kaise bachaye
Report kardo account par ja ke
agar fb account hack ho jaye to hacker us i.d ke sath kya kya kar sakte hai? kyu ki mera ac hack ho gaya tha lekin maine turant pswrd badal liya pls batana jaroor