Facebook All Sent Friend Requests ko Cancel kaise kare

Facebook All Sent Friend Requests ko Cancel kaise kare

Facebook to aap jarur use karte hoge, or agar aap fb use karte hai to ye Post aapko jarur pasand aayegi.. isme ham jaanne wale hai facebook par jitni bhi friend request hamne sent ki hai jo pending me hai unko kaise dekhe or kaise cancel kare. :)

Facebook par jab ham apna naya account banate hai to hame jada jankari nahi hoti, jis baja se ham ek sahi tarike se facebook ka istmal nahi kar pate.. Facebook par apni Privacy bhi bhut jaruri hai or agar aapko Facebook par Privacy kaise set kare jaanna hai to aap hamari purani post read kar sakte hai.

Advertisements

Ye Kuch Interesting article hai jo aapko jarur pasand aayege, or agar aapka facebook se sambandit koi or sabal hai to aap comment karke wo bhi jarur puche.

To chaliye ab aaj ke topic par aate hai to jante hai kaise jo hamne friend request sent ki hai wo dekh sakte hai.

Facebook Sent Friend Requests ko Cencel kaise kare

Agar aapne bhut jada logo ko friend request sent kardi hai, to aapka account block bhi ho sakta hai, or uske karan aap fir kisi ko friend request sent bhi nahi kar payege.. to isse bachne ke liye aapko karna ye hoga jitni bhi friend request aapne sent ki hai or agar aap unko nahi jante ya wo aapko nahi jante to aap unko sent ki hui Friend request cancel kar dijiye.

Facebook account ko block hone se kaise bachaye uski puri jankari yaha di hui hai, jisme sare tarike bataye hai account ko block hone se bachane ke.

hamne jisko Facebook par Friend Requests Sent ki hai ham unke account par ja kar bhi cancel kar sakte hai, par agar yaad hi nahi hai ki kis kis ko sent ki hai to kya kare.. ghabrao mat me aapko wahi batane wala hu.. ;)

Facebook Sent Friend Requests kaise dekhe

Step 1: Aapko Simple sabse phele to apne facebook account me login kar lena hai.

Step 2: Facebook me login karne ke baad aapko is link ko open karna hai.

[button color=”” size=”” type=”square” target=”blank” link=”https://www.facebook.com/friends/requests/”]Facebook Friend Requests[/button]

Step 3: Ab aapne samne jo page khulega, usme jitni bhi friend request aapke pass aai hogi aap unko dekh sakte hai. or agar aapko ye dekhna hai ki aapne kis kis ko friend request sent ki hai to aap View Sent Requests ki link par click kare.

facebook friend request list kaise dekhe

Step 4: Jese hi aap View Sent Requests ki link par click karege, aapke samne jitni bhi friend request aapne sent ki hai wo sab aa jayegi, uske baad aap chahe to unko cancel bhi kar sakte hai.

facebook send friend request ko kaise cancel kare

To Firends, aap ab jaan chuke hai ki kaise aapne jinko friend request sent ki hai or unhone naa conform ki or naa cancel ki wo kaise dekh sakte hai.. To jaiye or cancel kar dijiye apni friend request jinko aap nahi jante.

Ummid hai aapko ye jankari pasand aai hogi, or aap agar kisi ko friend request sent nahi kar pa rahe the to purani friend request ko cancel karne ke baad aasani se kar payege.

Agar aapka koi bhi sabal hai Facebook se sambandit to aap comment karke jarur puche.

Facebook se paise kaise kamaye uski jankari yaha di hui hai, jaha aap jaan sakte hai kitne blocktariko se FB se paise kama sakte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

24 thoughts on “Facebook All Sent Friend Requests ko Cancel kaise kare”

  1. sir muja ek id ka pssword ni pita forword bi kiya bt kesi or ka no dikha rha h mna sir pura psword dal h wo kha rha h old pswrd h ma kesh on karo usha plz hepl

    Reply
  2. Agar facebook pe kisi ko bhi direct uske inbox mai msg.send karege to kiya wo msg.ose milega jabki wo facebook pe connect nahi hai aur usne apna add friend ko disabled kar diya hai to kiya phir bhi milega

    Reply
  3. hiiii sir mujhe mere facebook pr followers badhane hai sub log badha rahe hai ek mai hi nahi bahut km followers hai mere plzzz help me mujhe followers badhane ka koi tarika batao plzzzzzzz
    sub log kahte hai ki star follower hai star followers but ye r followers kaiseus hota hai aap mujhe batao sir plzz or kahte hai ki followers badhane k script hota hai o kya hai

    Reply
  4. Ser mere Facebook par bahut sare friends hai mai all friends ko friends list se ek sath remove karna chahta hi
    He kaise hoga

    Reply
  5. Hello Rohit Bhaijaan

    ek baat puchhna chahta hu
    sach sach batana
    aapne jab apna blogging ka safar shuru kiya to hindi+english me likhna start kiya tha

    fir beech me aapne hindi me likhna shuru kar diya

    aur ab aapne dubaara pahle ki tarah hindi+english me likhna start kar diya .

    to Rohit Bhaijaan aapke hisaab se kaunsi language badhiya rahegi

    hindi
    ya hindi+english

    seo ke hisaab se aur traffic ke hisaab se bhi

    sach sach batana

    kyonki maine blog to bana liya par ek bhi post nahi likha abhi

    to sach sach bataye kaun si language me likhna sahi rahega

    Reply
    • Goldi, mene Hinglish me blogging start ki thi.. or me sabse phela banda tha jisne aesa kiya.. or jo Hindi me mene kuch article dale.. wo sirf visitor ke khene par.. q ki me jo kar raha hu.. usko dekh kar bhut log wese hi kar rahe hai.. to me aese hi nahi khe sakta tha ki konsa jada acha hai.. to wo sirf mene wo check karne ke liye.. ki agar pura hindi me ho to kesa responce milta hai..

      Muje dono me same hi mila.. par mera hinglish me blogging karne ka main karan ye nahi hai ki isme acha responce milta hai.. main karan hai q ki muje aese read karna pasand hai hinglish me.. or me un logo ki help karna chata hu jo meri trha hinglish me read karna pasand karte hai.

      Reply
  6. @Prashanu, Aap ke pass Facebook par friend request aane par sab se pahle aap apni id me following on kare ushke baad aap maximum1000 friend request ko hi pending rakh sakte ho aur utne hi followers honge paayenge so agar aap followers increase karna chahte ho to aap aane waali friend Requests ko delete kare ish wo as a friend add naa hokar followers ho jaayega.

    Reply
  7. bhai meri problem hai ki mere domain ko liye 3 month ho gaye hai. or mene domain ko blogger blog par bhi add kar diye hai. lekin problen ye hai ki me jab google me jab apni site ko search karta hu to post to mere com domain ke hi show hote hai lekin blog ka title blogspot subdomain ke sath ata hai yesha kyo

    Reply
    • aap google search console me apni site ko add karo.. or site map submit karo.. uski jankari mene di hui hai agar aapko problem aati hai to aap wo site par search karle aapko mil jayegi post..

      Reply
  8. Bhai main ye chahata hmm ki, agr mujhe koi add kre to mai add na hokar follow ho jau.. Add na hmm.. Kaise hoga ye..

    Reply