Pinterest kya Hai aur Iska Istemal kyu kare

Yeh toh tay hai ki Pinterest ka naam aap ne Internet par lakho baar suna hoga kabhi kisi blog par, kabhi websites par aur kabhi YouTube channels par. Poore Internet par mano yeh chaa sa gaya hai par shayad hi aapko is site ki achi jankari ho aur aap iska use karte ho.

 

Pinterest kya Hai aur Iska Istemal kyu kare

Mere hisaab se yeh bahut hi interesting site hai aur yeh aapko bahut kuch naya sikha sakti hai saath hi agar aapka koi business hai toh aap Pinterest par use promote bhi kar sakte hai. Agar aap janna chahte hai ki kya hai ye Pinterest aur iska istemaal kaise kiya jaye toh humara yeh post zaroor padhe.

Advertisements

Page Contents

Pinterest Kya hai

Facebook aur twitter ki tarah Pinterest bhi ek famous social networking site hai, Yeh ek photos share karne ke lie saal 2010 mein launch ki gayi thi aur dekhte hi dekhte ye itni jyada popular ho gayi ki ab is par 100 million se bhi jyada logo ne register kar liya hai. Itni jyada lokpriyata ko dekhte huye isme kuch naye features bhi add karna zaroori samjha gaya jaise ki video aur messaging.

Yeh website tezi se aage badh rahi hai, Pinterest aur baki sites jaise facebook, Twitter aur Google Plus se thoda alag hai isme khaas baat yeh hai ki is par 75% se bhi jyada users females hai.

Pinterest par ek board hota hai jispar aap apne interest ke mutabik koi video ya fir image pin kar sakte hai. Ise virtual bookmark bhi kaha ja sakta hai.

Account banane ke liye www.pinterest.com par jaye.. or Account banane ke baad Hindi Me Help ko Follow karna naa bhule..

Pinterest kyu Istemal me laya jaye?

Hini-me-help-Pinterest ka kya use hai or kaise use kare

Hum Internet ka istemaal har tarah ki information search karne ke liye karte hai, search to aasani se ho jata hai par jo bhi hum search karte hai woh organize nahi reh paata. Agar baat ki jaye Pinterest ki toh yaha ek board milta hai jaha par hum apne interest ki cheeze organized tarike se set kar sakte hai aur wo wahi par rahti bhi hai maine pehle bhi btaya hai ki yeh ek tarah ka bookmark hi hai.

Aapke career me Pinterest ka role:

Ab agar baat aaye aapke career ya aapke business ki toh Pinterest aapki bahut help kar sakta hai. Aaj ke time par lakho log Pinterest par apna business start kar chuke hai ab aap soch rahe honge, Pinterest par apna business kaise kar sakte hai toh mai bata du ki ye bahut hi saral hai.

agar aap koi fashion designer hai toh apne design kiye hue clothes ko Pinterest par show kar sakte hai isi taraf aap web designing, graphic designing ya fir kisi aur cheez ka bhi portfolio is par daal sakte hai log aapke product ko dekh sakenge. aur agar uhe kuch pasand aya toh woh product ke order ki bhi aapse request kar sakte hai.

Agar aapka koi blog ya YouTube channel hai toh bhi aap Pinterest par use promote kar sakte hai.

Toh dosto yeh toh tha Pinterest ka introduction. Pinterest ka craze badhta hi chala ja raha hai agar aapne abhi tak Pinterest par account nahi banaya hai toh aaj hi bana lijiye aur aapka account hai to Hindi Me Help ko Follow jarur kare :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

65 thoughts on “Pinterest kya Hai aur Iska Istemal kyu kare”

  1. Sir, mein jab bhi apne laptop mein pinterest kholti hun to woh error batata hai kya aap bata sakte hai ki aisa kun.

    Reply
  2. Pinterest ke bare me batane ke liye dhanyabad par ishe istemal kaise karna hai wo baat ajj bhi kuch logo ko pata nehi hai so agli baar uski istemal ke bare me bata yenge to acha hoga…

    Reply
  3. bhai thankyou for share your personal expirience .lekin mera daubt hai main usme kuch post karna chahoon to kaise post upload hogi

    Reply
  4. rohit ji aapne bahut hi aachi jankari di thank you so much aapse ek requst hai please ek mera blog open kar ke dekhiye usme jo jo kamiya ho please bataye taki mai unhe door kar saku please help me.

    Reply
  5. Rohit ji plzz help me…
    Mera blog blogspot h…
    jb bhi koi visitor mobile PR mere blog ko open krke category select krta he tb PC ki site kyu open ho jati he blog ki…Koi

    Esa mobile PR hota he
    Koi karan h iskaa…

    Reply
  6. Maine isse pahele bhi aapke site pe pintreess name kai bar dekha, but dimag me idea hi nahi aaya ye hai , thanks rohit bhaiya aap ne aaj bata diya.

    Reply
  7. bhai koi online job hoto use ke bare me batav mere ko leptop lena hai is liye koi bi job chale gi deta entri jo truste ho asi site batana or me ak month ki andr le na chata hu or aap ki jese wapsite bana cha ta hu is liye bhai plzz
    . help mi

    Reply
  8. Rohit bhayi meri help kijiye mere blog par sirf daily wali post show hoti he older wali nhi ato jab ki mene 9 set ki hui h or days with post wali set ki nhi h mene phir b days wali aa rahi h or older me check ki to Puri 9 dikhayi deti plz ye meri prblm solve kardo plz ye mer apse request h..

    Reply
  9. thanks rohit bro reply karne ke liye

    bro mere dost bol rahe hai ki tum domain le lo godaddy par offer aaya hua hai 111 me domain mil raha hai
    kya aap bata sakte hai ki ye such hai ya jhut

    Reply
  10. agar ham apni site par kisi ko backlinks de tph hame toh koi nuksaan nahi hoga na.mene apni site par logo ki help ke lie free backlinks page bhi banaya hai.aap ek baar meri site ko check kar ke bataye ki kaisi hai.

    Reply
    • backlink dene me bilkul bhi nuksan nahi hai.. or agar achi website ko backlink dete hai to google bhi usko pasand karta hai.. par ussi trha agar jo websites hai wo achi nahi hai to usse hamari site ko thoda nuksan bhi ho sakta hai.. khane ka matlab hai agar site achi hai to backlink dene me koi problem nahi hai.

      Reply
  11. hello rohit jee mai bahut dino se iske bare me janna chahta tha mujhe ye post bahut pasand aaya hai
    aur mujhe aapki leatest post ki hamesa talash rehti hai aur such aapka post aisa hota hai ki wo abhi internet par nahi hota hai

    aur mai aapse ek bat puchna chahta hu ki maine aapki site par dekha hai aapki image me kuch pin karne ka option aata hai wo mai kaise set karu

    Reply
    • Google me top par kaise laya jaye usko koi sidha jabab nahi de sakta.. sabse main hai aapki post usefull honi chaiye or jo log usko search kar rahe hai unke liye.. or bhut se SEO or Social share bhi jaruri hai iske liye..

      Reply
  12. Thanks, Rohit ji aapne is post ko ham logo ke saath share karke hame iski upyogita ke bare me bataya. aise kai bloggers hai jo isko use karna nhi jante isliye mujhe ummid hai ki aap apne agle article me isko kaise upyog karte hai iske bare me jarur likhenge aur ham logo ko sikhayenge.
    Thanks again.

    Reply
  13. bhai mere blog pe 3-4 aise post hai jisko main apne website ke url ke sath search karta hu google pe tab to show hota hai par post ke line ke sath search karta hu tab show nahi hoti please bhai koi solution do main kisa ka post copy nahi karta aur kam se kam 400 words use karta hu apne post mein fir bhi aisa ho raha hai

    Reply
  14. Bhai is ke bare me suna to bahut tha par jaane ki chesta kabhi nahi ki, aap ne is ke bare me achhi jaankari di,

    bhai kya is ke jariye backlink creat kiya ja sakta hai?

    Reply
    • Bhut hi badiya sabal hai aapka.. or haa agar aapki post aap ispar share karege to do dofollow to nahi hogi par usse aapki post ko fir bhi jarur faida hoga.. me aapko suggest karuga ki aap apni site ke liye ek account banaye or usko pinterest se verify bhi kare or apni har post ko pinterest par share kare..

      Reply
  15. bhai ek question hai please help kr dijiye
    mera question hai ki maine 1 weeks pehle ek blog banaya aur mere total post 17 hai lekin mere kuch post google mein thik se show nahi ho rahe mera matlab hai ki jis post mein main read also karke jo dusre post ka link diya tha wo post dikh raha hai lekin original post nahi dikh raha jayadatar post read also se link post hi show hote hai search karne pe

    Reply
    • me aapka sabal sahi se samaj nahi paya.. pleasde aap comment karte samay apni site ki link website ke box me dale.. taki agar jarurat pade to me aapki site check karke dekh saku.. Thanks

      Reply
  16. Hey Rohit!! Mujhe bas yeh jaana hai ki kya mein aapke website par articles likha sakta hun? Aur Jo bhi post likhunga mein promise karta hun sabke bohat kaam ki aayegi :) reply soon

    Reply
  17. Hello Rohit mujhe koi doubt nhi hai bas yehi jaana hai ki kya mujhe aapke website pe articles likhne ka mauka mil sakta hai mein promise karta hun Jo bhi likhunga woh jaankari sable bohat kaamki hogi…. :)

    Reply