Facebook jispar Croro logo ke account hai or har roj average admi 23 minute facebook chalata hai.. Facebook par Indian ke 13 Crore Account hai jo ek bhut hi badi sankiya hai, or aane wale time me or bhi badne ki puri sambavna hai.
Facebook ke har account ki ek ID hoti hai sayad ye aapko pata hogi.. jab ham account banate hai to jo hamari ID hoti hai wo Kuch Number me hoti hai.
100008401053776
hamari jo Facebook Profile hoti hai ham uska username badal bhi sakte hai. jese aap meri FB ka username dek sakte hai.
https://www.facebook.com/R.N.Mewada
To chaliye dekhete hai iske kya faide hai or isko kaise badla jaye.
Facebook Username ke Faide
Bese to dekha jaye to simple ye ek username hi hai jisko type karke ud ko khola ja sakta hai.. par iske kuch faide bhi hai jo me points me bata raha hu..
- facebook account me Login karne ke liye ham username ka istmal kar sakte hai apni Email ID or Mobile Number ki jagha.
- Apni Dost ko apni profile ke bare me batana ho, ya koi hamari profile ko search karna chahe to username ki madad se aasani se kar sakta hai.
- Facebook UserName ki madad se hamari Profile Google Search me bhi aane lagti hai..(ye un logo ka jabab hai jo mujse puchte hai kaise facebook ID ko search me laye. :) )
- Yaad rakhne me aasan ho jati hai apni ID.
- username set ho, usse pata chalta hai ki ID owner ko acha knowledge hai or apni har chij ko manage karke rakhta hai. jisse hamara ek acha impression padta hai.
*Chaliye ek indecent bhi batata hu Facebook Username ka , jo mera ek dost ke sath huaa hai, jisko ek company me interview diya par uska selection nahi hua.. Jo Company thi or Online Marketing ki thi to unhone uski Facebook Profile bhi Check ki or uski Job Cancel kardi, jab uska karan usko pata chala to sab heran rha gaye… ki uski Profile ka username set nahi hai.. Jab ye apni Profile ko manage nahi kar sakte to ye online kaam kaise kar sakte hai.. aesa sabke sath nahi hota par aesa ho bhi sakta hai.. isliye kabhi bhi choti choti bato ko andekha na kare..
Also Read:
- Facebook Page kaise Banate hai
- Facebook Account ko Hack hone se kaise Bachaye
- Facebook ID Block hone se kaise Bachaye
Facebook UserName Set kaise kare
Sabse Phele Facebook Account me login kare fir aapko Account ki setting me jana hai.
- Drop Down erow par click kare.
- Settings par click kare.
ab jo Page khulega usme, usme General me Username ke samne jo edit ki link hai uspar click kare.
Ab hame apne Account ke liye username dalna hai.
- usename ke box me aap apna username dale.. aesa dale jisko yaad rakhne me aasan ho.. or agar aapke naam ka username available ho to usko dale.. Jo set karne ke liye available hoga to samne Tik ka nisan aa jayega.
- Ab Save Changes ki button par click kare.
yaha ek baat diyan rakhne wali hai ki aapne ek bar username set kar diya to baadme sirf ek baar aap username ko edit kar sakte ho.. to phele achi se sochle kya username rakhna hai uske baad hi set kare.
Facebook ki or tips ke liye yaha click kare
ye bhi pade:
mera fb account password bhul gaye link par ok mera name dalnese accund aa jata hai lekin wusaccout pe koi gmail ya mobail number nahi hai mai mere account par veryfication code kase dalu
sir me apna facebook ka user id aur passord bhul chuka hun lekin kisi mibile me apne name se serach karta hu to mera profile khulta hai to me apna user id aur password kaise malum kare please help
Nyc post rohit sir
Hlo Sir,
1 nmr se 2 fb account banaye huye the jo new account tha usko prmntly delete kar diya h
Or jo purani id h vo on nhi ho rhi h
Uske password change karke id ko deactivate kar diya or ab password yad nhi h or na hi forget password lg rha h
Id ko kse on kru sir plzzz batao
Plzz help me….😕
sir mari id koi or chal h ma kya karo khas lo wo id
Rohit sir, meri facebook id ka username ban hua hai pehle se hi par mujhe dikh nahi raha uske dekhne ke liye kis option mei jana hoga aur kaha se login karna hoga
mera fb account password bhul gaye link par ok mera name dalnese accund aa jata hai lekin wusaccout pe koi gmail ya mobail number nahi hai mai mere account par veryfication code kase dalu
aap forgot password karege to aapko new add karne ka option aayega.. aap yaha dekhe kaise forgot kare
Rohit ji
Me to first time USAR name set kar raha hu fir bhi usar name ka option nhi aa raha h
Rohit ji
General m USAR name ka option nhi aa raha h to kya karu ?
Agar aapne phele ek way kar liya hai to nahi aayega
Sir mera id se kuch friend kaise hat gaya hai.
Search karne par v uska naam nhi aata hai.
Plz bata dijiye
Rohit bhai mera fb log in nahi ho raha hai
Aapni id confirm kare aisa massage aata hai kya kru batavo na plz yahi meri ek requset hai plz batavo aa are ha jaldi batana
lekin sir general me to username nhi aa rha hai
thank u rohot sir
maine apna fb id pr user name set krne ki bahut koshish kar rha tha but nhi ho rha tha
ye post padhne ke baad ho gya
thanks
roman patel
Hello general par click kiya to fir aage names pe ok kiya to usme username nahi aa raha hai (1)Name (2)Email address(3)phone(4)password (6) network(7) data usage maine naam click kiya to usme username nahi aa raha hai usme name middle name surname itne aa rahe hai
Sir maine apne face book account ka user name change kar diya hai Aur ab mujhe fir se pahle wala user name lagana hai ab edit nahi ho raha hai sir please bataiye main apna pahle wala user name kaise change karu
very nice sir you are great
Hello Rohit Bro!
Main ek website banana chahta hoon !
Jo bilkul mere naam. Ki aur bilkul free ho??
For example _ww.Kaishazamgarh.in
Mujhe bro aapki help chahiye?!
Fb me kaise user nem badai ganral par to edit sirf nam deta hai user nam nahi deta hai kai se ho ga pilish bata do na Bhai aap apna whatsapp number do na pilish
Hello Rohit bro
Bro me apna facebook user name stylish me kese change karun.
mene stylish me change kr ke dekha mager nhi hopa rha.
btaye me kese kru user name stylish me.
plz plz plz…….
Bhai me apna facebook user name ko stylish me likhna chahata hun.
mager wo nhi hopa raha.
stylish user name kese likhte hain bataye.Plz…….
plz isko thoda bistar se bataye plz
aap post me dekhe.. step by step hi bataya hai.. agar aapko kahi dikkat aa rahi hai to wo batao.
Rohit my name is saddam husain aapko mera comments pahuch raha hai to reply me please
Hello rohit bhai reply to dedo
mera fb account page open nahi ho raha use khol do plj husainkhan name
account banana ka kya niyam hai
रोहित जी आपका लोग बहुत ही बढ़िया है
rhohit bhai,
m apne fb ka username dalna chahta hu.
But usenname k aage anable desable ka option aata h.
Edit ka option nh aata.
Maine gmail add kr rakhi kahi esliye to nh.
Phele enable kare fir aayega
meri fb m username set krna ha but usma setting m jakr username k funcation show nhi kr rha h
bro aap hemari ek help karo plz
hemari ek number sa do ID bangaye ha jo palhi ID thi bo nahi chal rahi ha lakin jo new banai ha bo chal rahi ha lakin ha new nahi chalana chatai ha apni purani wali chala chata ha lakin jab number aur password daltai ha to new open hoti ha old nahi.
plz plz plzzzz bro.
aap apni purani ID khul kar uske link me uska jo username hai usko copy karke wo dale or uska password dale..ID open ho jayegi. fir aapko usme email id or number add karna hoga.
plz plz help me
menri site bloger p hai.mene domain v le liya hai, isye wrdpress pe transfer krne pe mge extraa features milnge kya
Haa par phele iske liye aapko hosting bhi lena padega..
hosting m kitna kharcha ayega. total kitna kharcha h plz detail m bata dena. wordpress.com aur wordpress.org me kya diffrenc h.plz bro detail m bta do.mge blogger usekrna asan lgta hai
Sabse phele to me aapse request karna chahuga ki aap comment karte samay apne naam ki jagha apna naam hi likhe.. apni site kaa naam nahi.. nahi to algi bar se aapke ommetn ko delete kardiya jayega..
Hosting me 8000 ke lagbhag ka kharch hai..
Agar free blog banana hai to wordpress.com par usme bhut kam future hai.. wordpress.org ka software hosting me install karke website bana sakte hai.
Rohit ji mere pass pc nhi h lekin m aap wali template apne blog me upload krna chahta hu kya koi aisa tarika h jisse m mobile se hi aapki template ko win.rar se xml me convert kr sku koi solution btaye muje yhi template mobile se upload krni h
winrar se convert nahi hoti hai.. winrar ke andar hoti hai.. aap winrar ka koi app install kare or fir usko extract karke template nikale..
par mera suggestion hai ki aap ye kaam computer se hi kare.. q ki template me kuch edit karke setting bhi karna hota hai jo mobile se nahi ho sakti.. aap net cafe se kar sakte hai.
Mai ek blog banana chahta hu
usme mai thoda likh kar aapke sites ki posts ki link lga du toh apko ko problem toh nahi hoga
haa aap aesa kar sakte hai.. par agar aapne copy kiya or link nahi di to jarur problem hogi or aese me aapki site search me bhi nahi aayegi.
Agar mai kisi ka article copy karke apne blog me post krta hu aur article ke neeche uska naam ya site ka naam likh deta hu ki ye article is site ka hai toh koi problem hogi kya.
Ek question aur hai sir
mai bidvertiser ka use kar rha hu agar opera mini me site kholta hu toh direct play store me pahuch jata hu aur har bar alag alag app download hone lgti hai aisa kyo h
Aap pura copy karege to bilkul dikkat hogi.. Haa aesa kar sakte ho ki kuch points lo or uska link de do.. Copy karne se acha aap khud likhoge to aage chal kar aapko bhut Faida hoga
BidVertiser me apne popup ads enabled kar rakha hai.
hai or ek q or hai kay hosted account hi real google adseance hothe hai ya koe or hothe hai mor hai hosted account kab sing kare
sir please tell me ya hosted google adsence account kay hothe hai or apne blog per kase set kareor hosted account kase sing kare
hosted adsense account sirf jo google ki service hai uspar use kar sakte hai.. jese youtube, blogger.. agar hamari personal site par adsense use karna hai to non-hosted adsense account hona chaiye.. aap adsense account se apne blog par ads code lagaye.. agar aapko lagta hai aapka blog adsense ke layak hai to.. phele ads khali aayege.. kuch bhi nahi dikhega. or agar adsense approve ho gaye to adsense ke ads blog par dikhne lagege.
Rohit sir meri 2 mahine pehle fb id block ho gayi thi use mene 15 din tak kholne ki kosis ki par wo disable ho gayi hai to kya karu please help
uska koi tarika nahi hai.. aapko new hi banani padegi.. or jo bate mene batai hai unko diyan me rakhe to aage se id block nahi hogi
Sir main apne post ke liye content books aur news papers se leta hun isme koi dikkat to nhi ayegi
nahi, koi dikkat nahi hai.. par agar aapne post ka contact kaha se liye uski jankari bhi post me doge to isse aapko aage bhi kabhi koi dikkat nahi hogi..
Thank you sir
Sir ji ap mere website bana sakte ho apki bari mehrbani hogi sir meine apke facebook page mein gmail ka email aur password send kar dhi hein sir ji please mehrbani hogi apki
Sorry Agha ji.. Me nahi kar sakta..
Jo kaam hai wo sirf 2 minute ka hai par me kisi ka koi kaam nahi sak sakta sirf uski madad kar sakta hu usko bata kar. Sorry ? me apne niyam nahi tod sakta
Sir phir ap meri website bana sakte ho sir apki bari mehrbani hogi sir mein mera gmail ka email aur password apke facebook page par send kar the hein ap mere website banaho ge to apka mehrbani hoga
Sir mere pas nokia 6220 classic hai sir mein ais mobile se apna website bana na chahta sir mein blogger par website ka name aur title dala tha par create blog ke option par click nhi hota sir mojhe batao mein kese banahon please sir help me
aapka mobile hai wo bhut chota hai, or purana version hai.. usse nahi banegi.
bro meri website google adsense ne aprvd kr liya ab ads show kaise hoga iske bare me btao.
mene 5 din phle hi apni site banai aur aaj hi reqst ki adsenses ke liye 2 hour me aprvd ho gya i cant blv this.. :D gyanbook.in
ye to bhut ki khusi ki baat hai.. aap ads ke code apni site par lagaye.. phele khali ads aayege usko aese hi lage rhane de.. 2-3 din me ads dikhne lagte hai.. or agar kuch dikkart aati hai to email aa jata hai.. :)
bro ap ek bar meri site opn krke dekho mge agr kch sudhar krna chahye toh btao plz
mene dekha aapke blog ko.. aap home page par post ki jo sankiya hai wo 5 hai usko badao. or search box ko side bar me add kare jo top me hai.. menu bhi add kare.
5 ke bdle kitne hone cahahye aur menu toh mene dala hua ahai
aapne Menu sidebar me add ki hai usto post ke upar kare.. jaha phele aapka search bar tha.. or link widget me aapne jo uska naam diya hai MENU usko hata do koi naam mat do.
kya aap bta skte hai ki apki site kitne dino baad popular hona start hui.. mera av shuruwat hai toh mae kitne tak wait kru aur blog me kitne post ho toh acha hai i thnk agr mae 500 post dalu toh kaisa rahega.
phele din se.. phele din meri site par 5 visitor the or har din kuch na kuch number badte hi hai. :)
bro mene 8 post kr diya hai aur search ko side bar me v kr diya..mae agr kch v post keu toh kya mae web aur book se help lekar apni language me usko posy kr skta hu na
haa bilkul kar sakte ho.. par agar aap jaha se data le rahe hai agar wo copywrited hai to aap post me uska source karke uski detail bhi dede.. isse aapka koi nuksan nahi hoga.. faida hi hoga.
Muje apke jaisi site banani hai jaise apki categry uper ki taraf likhkar aati hi Ex- make mone, sawal jabab blogger etc
wo categry mai apne blog me kese add kru mera cooking ka blog hai toh uski categry add karna hai
simple aap labels use kare or menu me add karde.. menu ke liye aap link widget ka use kar sakte hai layout me.
Very Nice information I think har ek facebook user ko ye information janana cahiye! kyoki aaj ke time me facebook ek bahut hi importent chez ban Gayi hai! agar aap Facebook profile me apna username set karte hai to aapka facebook profile ka url bahut hi badiya dikhega!! Tnxx Rohit For Sharing with Us and Good Blesst You…
mera fb account password bhul gaye link par ok mera name dalnese accund aa jata hai lekin wusaccout pe koi gmail ya mobail number nahi hai mai mere account par veryfication code kase dalu