Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone

Aaj me aapko ek aesi trick bata raha hu jiske baare me har ek Smartphone rakhne wale Insaan ko pata hona chahiye, Kaise apne khoye hue Mobile ka pata lagaye Google me. Bhut baar hota hai ki hamara mobile kahi reh jata hai ya koi usko chura leta hai, uska pata kaise lagaye. Uska Pata lagana bahut Saral hai Bas Aap ko karna ye hai ki Computer par Google me Search Karo “Find My Phone”. Aap Google par apne Mobile ki location dekh sakte ho ki bo kaha hai or usme ring bhi baja sakte ho.

Chori kiye mobile phone ka pata kaise lagaye Google par

Mobile ki khojne ke liye in steps ko follow karo (Find My Phone)

mobile gum ho jaye to kya kare or kaise search kana hai Google par apne Phone ko. taki Phone ki location pata chal sake or Chor ka pata lagana aasan ho jaye.

Advertisements

#1. Sabse pehle Google.com par jao fir usme type karo “Find My Phone” jaisa aapko niche ki image me dikh raha hai. jiska matlab hota hai mera phone kaha hai.

Google me search karo find my phone

#2. Automatically Google par ek Map aa jayega. Ab aapko Apne us Gmail account me login karna hai jo apne mobile me dala hai.

ab ek Google map khulega search me, usme sign in karo

#3. Jese hi Aap Sign in karoge Google aapke mobile ko search karne lagega.

Google aapke mobile ki location ko search karegi

#4. Jese hi aapke Mobile ki location Google ko pata chalega aapko Google Map par dikhne lagegi. Mobile ki jo location hogi uska ek area hoga 24 meter ka.

aapke mobile ki location google me dikhne lagegi

#5. Ab aap us jagha par jaa kar apne mobile ki ring baja sakte ho. Uske liye ring ki button par click karo.

mobile me ring bajane ke liye ring ki button par click karo

#6. Ab aapke mobile me ringtone bajne lagegi Full volume me or bo 5 minute tak bajegi.

aapke mobile ki ring bajne lagegi full volume me 5 minute ke liye

Achi baat ye hai ki agar aapka mobile silent bhi hai to bhi bo full volume me bajega.

FindMyPhone

Mobile ki location Pata karne ke liye ye function hona jaruri hai

  • Location ki jo service hai bo chalu hona chahiye aapke mobile me
  • Google App Install hona chaiye aapke mobile me or sabse latest version hona chaiye.
  • Mobile me Net chalu hona chahiye
  • Ye jo Mobile ko search karne ka function hai bo abhi Computer par hi karta hai. Aap kisi dusre mobile se nahi pata kar sakte apne mobile ki location ka.

Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par | Find My Phone Video

Ab aap jaan chuke hai phone kho jaye to kaise dhunde fir bhi agar aapka koi sawal hai to aap comment karke puch sakte hai, or agar aap ko iske alawa bhi koi tarika hai to uske baare me Please mujhe batana na bhule.

Online Mobile Kaise recharge kare ye jaanne ke liye yaha click karo

Internet ki jankari Apne Facebook account par pane ke liye Page jarur like kare.

Agar aapko ye jankari pasand aai ho to Apne Dosto se jarur share kare.

Also Read:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

494 thoughts on “Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone”

  1. Hello bro
    mujhe tmhare blog se bahot faida hua maine apni blog apna paypal id aur apna chitika code sab ready kar dia aur chitika ka code maine html me dala. yaha tak to sab theek hai par ab aage main ye jana chahta hu ki kya chitika sach me pay karti hai aur mere ads ko kitne log click karainge to 1$ milega aur ek akhri sawal ye hai ki kya agar ek visitor bar bar mere ads par click karega to kya ek click mana jaega ya ek se zyda

    Reply
    • ads network site kitne click par kitna deti hai wo batati nahi hai, chahe wo koisi bhi site ho.. Aap chitika use kar rahe ho, mese suna hai ye bhi badiya site hai, par mene kabhi isko tri nahi kiya.. mene bidvertiser ko use kiya hai apne blog par.. par aap isko use kar sakte ho.. koi dikkat nahi hai.. ye pay karti hai..

      Reply
  2. Sir mai nokia 5233 chala rha hu usme phone memory 75mb in use bta rha h sir phone memory me space karna chahta hu lekin ho nhi rha h btaeye sir kaise hoga

    Reply
  3. sir maine 2nd hand phone liya hai aur woh xolo q2000 phn. hai usme xolo seure hi uska password bhul gya hai jisse maine liya hai aur uska password forget bhi kar raha hu lakin galat email aa rahi hai help me sir

    Reply
  4. sir muje online shoping karni hai emi se but mere pass debit card hai kya karu debit card se kam nahi chalega agar ise nahi hota hai to mai kya karu please ans me

    Reply
  5. Sir ,mere bachhe ka fhon gum gayahai |sir I have lost/theift myson mobail date 07|4|14 at night3.30am my house Rajasthan villeg Pilani please tary mobail my fhon details is modal no gt I852 Garn quttro samsung emei no 357092/05/714785/8 my contact no is9424326678 and my mail address is shekhawat .mahendrasingh56@gmail.com

    Reply
    • Truecaller hai jiski madad se number kon chala raha hai pata chal jata hai.. Agar usne apna number facebook par ya fir truecaller par register kiya hai to..

      Truecaller or TrueDialler do app hai. Ek hi company ke..

      Reply
  6. Ya fir sir koi yesa upay he kay memory card ko password dal sakate hai ya band karsakate hai memory card ka koi durupayog na kar sake isaliye

    Reply
  7. Mera ek frnd ka number me ek ladka call kar k bohot ganda ganda batt bolta hai …mera frnd ek ladki hai ..to kya o number se us ladke ka pata laga sakta hai …..? .agar aap ke pass or kuch tarika hai to batayi ye kya karna chahiye humain..

    Reply
  8. Sir mera mobile mere ghar se chori ho gya hi aur usmain sim bhi ni tha aur main complent bhi ni karva sakti to kya aap mujhe bta sakte ho ki main apna mobile emei ke jariye kaise dhund sakty hoin.

    Reply
    • IMEI ke jariye sirf police dhund sakti hai.. Agar aapke mobile me net chalu hai or aapki email id hai jab hi aap upar diye tarike se track kar sakte hai, uske aalawa koi option nahi hai.

      Reply
      • hello rohit ji

        kya koi esa app ya tarika h jo ham kisi bi numar ki location ka pata kar sake ki vo is time kis exit jagah par h uski sahi location kya h

        Reply
        • nahi aesa koi ap nahi hai.. or ye illegal ki catogry me aata hai to muje nahi lagta agar aesa kuch hoga bhi to wo publicly hoga.. par hota jarur hai.. jese police track kar sakti hai mobile ki location ko.

          Reply
  9. Sir kya me apne android se blogger bna skta hu mne bhut bar try kiya h but çreat ni hota please wait hi btata hai
    …sir plz mujhe btao kse bnega.

    Reply
  10. sir kya hum Jo kuch WiFi PR cha late hain company main uski history bante hai aur WiFi lagane wala computer PR WiFi ki history dekh sakta hain?

    Reply
  11. Koi aisa application hota hai jisse kisi dusre fon me kiska call ya massage kiss number se a raha h us jankari ko apne fon me dekh sakte h plz Help

    Reply
  12. Dear rohit ,… Mera nam shruti he mujhe aapse yah help chahiye ki aesa koi Android app he jisse mujhe mere phone ke band hone or chalu hone pr mujhe mere dusre number pe msg mile
    Pls sir help me

    Reply
  13. sir
    ye btao ki jese hi find my phone dalte he map ata he par sign in ka ofsan nhi ata he please help me
    con. 8534945017

    Reply
  14. MUJE INTERNET KA JYADA KNOWLEDGE NAHI HE LEKIN INTERNET KA BAHOT SOKH HE AUR MAIN INTERNET SE RUPYE KAMANA CHAHTA HU AAP MUJE SUGGEST DE KAISE AUR KAHA SE SURU KARU ROHITBHAI BATAO PLEASE

    Reply
    • kyaa….??

      please jab bhi comment kare to pura kare. phele kiya bhi ho to muje diyaan nahi rhata. jab bhi koi comment kare usme puri jaankari ke sath kare. kya kar rahe the, kya puchna hai, kya dikkat aarahi hai. ye sab

      Reply
  15. Mujhe aap ki web site aur baat karne ka tariqa bahut achchha laga

    Sukkriya aap ka maine aap ki comments se bahut jankari hasil kari

    Ye batayiye bhai ki
    Aaj kal chor bahut smart hogaye hai
    Chori karne wala mobile ko format. Kardeta hai to ab. Ham apna phone kaise. Search kare. Android device manger ki site

    please dear help me!

    Reply