Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone

Aaj me aapko ek aesi trick bata raha hu jiske baare me har ek Smartphone rakhne wale Insaan ko pata hona chahiye, Kaise apne khoye hue Mobile ka pata lagaye Google me. Bhut baar hota hai ki hamara mobile kahi reh jata hai ya koi usko chura leta hai, uska pata kaise lagaye. Uska Pata lagana bahut Saral hai Bas Aap ko karna ye hai ki Computer par Google me Search Karo “Find My Phone”. Aap Google par apne Mobile ki location dekh sakte ho ki bo kaha hai or usme ring bhi baja sakte ho.

Chori kiye mobile phone ka pata kaise lagaye Google par

Mobile ki khojne ke liye in steps ko follow karo (Find My Phone)

mobile gum ho jaye to kya kare or kaise search kana hai Google par apne Phone ko. taki Phone ki location pata chal sake or Chor ka pata lagana aasan ho jaye.

Advertisements

#1. Sabse pehle Google.com par jao fir usme type karo “Find My Phone” jaisa aapko niche ki image me dikh raha hai. jiska matlab hota hai mera phone kaha hai.

Google me search karo find my phone

#2. Automatically Google par ek Map aa jayega. Ab aapko Apne us Gmail account me login karna hai jo apne mobile me dala hai.

ab ek Google map khulega search me, usme sign in karo

#3. Jese hi Aap Sign in karoge Google aapke mobile ko search karne lagega.

Google aapke mobile ki location ko search karegi

#4. Jese hi aapke Mobile ki location Google ko pata chalega aapko Google Map par dikhne lagegi. Mobile ki jo location hogi uska ek area hoga 24 meter ka.

aapke mobile ki location google me dikhne lagegi

#5. Ab aap us jagha par jaa kar apne mobile ki ring baja sakte ho. Uske liye ring ki button par click karo.

mobile me ring bajane ke liye ring ki button par click karo

#6. Ab aapke mobile me ringtone bajne lagegi Full volume me or bo 5 minute tak bajegi.

aapke mobile ki ring bajne lagegi full volume me 5 minute ke liye

Achi baat ye hai ki agar aapka mobile silent bhi hai to bhi bo full volume me bajega.

FindMyPhone

Mobile ki location Pata karne ke liye ye function hona jaruri hai

  • Location ki jo service hai bo chalu hona chahiye aapke mobile me
  • Google App Install hona chaiye aapke mobile me or sabse latest version hona chaiye.
  • Mobile me Net chalu hona chahiye
  • Ye jo Mobile ko search karne ka function hai bo abhi Computer par hi karta hai. Aap kisi dusre mobile se nahi pata kar sakte apne mobile ki location ka.

Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par | Find My Phone Video

Ab aap jaan chuke hai phone kho jaye to kaise dhunde fir bhi agar aapka koi sawal hai to aap comment karke puch sakte hai, or agar aap ko iske alawa bhi koi tarika hai to uske baare me Please mujhe batana na bhule.

Online Mobile Kaise recharge kare ye jaanne ke liye yaha click karo

Internet ki jankari Apne Facebook account par pane ke liye Page jarur like kare.

Agar aapko ye jankari pasand aai ho to Apne Dosto se jarur share kare.

Also Read:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

494 thoughts on “Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone”

  1. hello sir, mera iphone 2 saal pahley chori hua tha, kya mai usay imei number se track karva sakta hu. agar haan to kya procedure hai, or kitnay rupay lag jaenge……

    Reply
  2. mere pass karban a19 h iski touch worked nhi krti h or na isnsme koi or touch chal skti h so help me ki mein kaise use kru is phone ko plz telll me

    Reply
  3. sir mujhe WiFi lag wana hai uske baare me kuch bata sakte ho aap

    only mobile par chalana hai tu kitne Mbps ka lagwana thik rahe ga

    aur last tak kitne rupai ka kharcha aaye ga

    Reply
  4. Sir mera desktop 32 bit ka ussme windows 7 hi ap btaya ki ussme kitne gb tk r lgskti hi or kya usme hm prosssor change kr skte hi

    Reply
  5. sir i love ua webste itz really amzng
    sir i have a qustio delet kiye hue msgs n calls ka kaise pata kare apne hi mobile par koi idea batao

    Reply
    • Agar aapka mobile android hai to aap ek dealer ki jagha or use kare.. jisse ek se delete karne par dusre me dekh sake.. or aap customer care call karke last 3 call ki detail jan sakte ho.

      Reply
  6. Sir
    mera samsung ka android fone koi chura le gaya hai usame meri email id chalu hai par sir maine apane mobile me koi systom jaise find my fone …on nhi kiya hai kaise usaki location prapt ho please help me

    Reply
  7. sir, main ye jan na chahta hu ki agar cyber crime wale chahe to pata kar sakte hai ki imei ke kaun kaun se number use hua hai wo bhi phone ko haath me liye bina….?

    Reply
  8. Sir mere no pe kisine WhatsApp use karke ek ladki ko ganda pic bheja hai o ladki police main complain kardiya hai main ab kaise police ke lafde se bachunga

    Reply
  9. sir meine ek 2nd hand mobile liya hai……mein yah kaise pata karoon ki yah mobile chori ka to nhi hai…..mein bil ka bola to vo bola ki kahi gum gaya hai….plz help me sir its urgent

    Reply
  10. hello sir mujhe bata diziye kya android mobile me antivirus hona jarori h. or agar h to kon sa antivirus sabse acvha rahega mere android 5.0 ke liye me confuze ho gaya huun mujhe jaldi bata dizie

    Reply
  11. hello sir mujhe bata diziye kya android mobile me antivirus hona jarori h. or agar h to kon sa antivirus sabse acvha rahega mere android 5.0 ke liye

    Reply
  12. sir my mobile number 7721063464 ye mera mobile number ye eka muje email malum nahi hai sir so ye what up pe ring aa rahi he so please search.

    Reply
    • aap Google par hi check kare.. agar kisi ne mobile on kiya or agar uska net use kiya to bha ki location aa jayegi.. iske aalawa koi rasta nahi hai.. aap police me reoprt karke location ka pata karba sakte ho..

      Reply
  13. sir truecaller us kar rahe hain magar prblems ye hai. ke sirf name ata hain aour kuch number ke name b nahi ata to uske liye kya karna chahiye. mr. Aarif ansari form Aarif saree center

    Reply
  14. mere mobile main pattren lock lag gaya hai pattren dalte samay kuch mistack ho gayi hai kya lock lage hi mera mobile formate ho sakta hai agar ho sakta hai to plz help
    mob. micromax Q380

    Reply
  15. mere mobile main pattern lock lag gaya or pattern dalte samay main pattern bhool gayi hun isska koi solution hai kya lock laga hua mobile formate ho sakta hai kya plz help
    mob.micromaxQ380

    Reply
  16. Sar mera phone gum ho gaya hai or usme Jo gmail id Jo diya tha so yad nahi hai tho gmail I’d kayse malum kare help me

    Reply