Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone

Aaj me aapko ek aesi trick bata raha hu jiske baare me har ek Smartphone rakhne wale Insaan ko pata hona chahiye, Kaise apne khoye hue Mobile ka pata lagaye Google me. Bhut baar hota hai ki hamara mobile kahi reh jata hai ya koi usko chura leta hai, uska pata kaise lagaye. Uska Pata lagana bahut Saral hai Bas Aap ko karna ye hai ki Computer par Google me Search Karo “Find My Phone”. Aap Google par apne Mobile ki location dekh sakte ho ki bo kaha hai or usme ring bhi baja sakte ho.

Chori kiye mobile phone ka pata kaise lagaye Google par

Mobile ki khojne ke liye in steps ko follow karo (Find My Phone)

mobile gum ho jaye to kya kare or kaise search kana hai Google par apne Phone ko. taki Phone ki location pata chal sake or Chor ka pata lagana aasan ho jaye.

Advertisements

#1. Sabse pehle Google.com par jao fir usme type karo “Find My Phone” jaisa aapko niche ki image me dikh raha hai. jiska matlab hota hai mera phone kaha hai.

Google me search karo find my phone

#2. Automatically Google par ek Map aa jayega. Ab aapko Apne us Gmail account me login karna hai jo apne mobile me dala hai.

ab ek Google map khulega search me, usme sign in karo

#3. Jese hi Aap Sign in karoge Google aapke mobile ko search karne lagega.

Google aapke mobile ki location ko search karegi

#4. Jese hi aapke Mobile ki location Google ko pata chalega aapko Google Map par dikhne lagegi. Mobile ki jo location hogi uska ek area hoga 24 meter ka.

aapke mobile ki location google me dikhne lagegi

#5. Ab aap us jagha par jaa kar apne mobile ki ring baja sakte ho. Uske liye ring ki button par click karo.

mobile me ring bajane ke liye ring ki button par click karo

#6. Ab aapke mobile me ringtone bajne lagegi Full volume me or bo 5 minute tak bajegi.

aapke mobile ki ring bajne lagegi full volume me 5 minute ke liye

Achi baat ye hai ki agar aapka mobile silent bhi hai to bhi bo full volume me bajega.

FindMyPhone

Mobile ki location Pata karne ke liye ye function hona jaruri hai

  • Location ki jo service hai bo chalu hona chahiye aapke mobile me
  • Google App Install hona chaiye aapke mobile me or sabse latest version hona chaiye.
  • Mobile me Net chalu hona chahiye
  • Ye jo Mobile ko search karne ka function hai bo abhi Computer par hi karta hai. Aap kisi dusre mobile se nahi pata kar sakte apne mobile ki location ka.

Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par | Find My Phone Video

Ab aap jaan chuke hai phone kho jaye to kaise dhunde fir bhi agar aapka koi sawal hai to aap comment karke puch sakte hai, or agar aap ko iske alawa bhi koi tarika hai to uske baare me Please mujhe batana na bhule.

Online Mobile Kaise recharge kare ye jaanne ke liye yaha click karo

Internet ki jankari Apne Facebook account par pane ke liye Page jarur like kare.

Agar aapko ye jankari pasand aai ho to Apne Dosto se jarur share kare.

Also Read:

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

494 thoughts on “Mobile Phone Ka Pata Kaise Lagaye Google Par – Find My Phone”

  1. hello sir mera Nokia lumia630 mobile shopkeeper ne chori kiya hai main apkp imei number du kia ap patah laga sakty hai mere pareshani amjay us main ghar k pics hai contacts hai

    Reply
  2. ME APNA MOBIL INTEX AQUA Y2 KO UPDATE KANA CHATA HU PAR NAHI HO RAHA HAI ME MOBAIL ME SOFTWARE UPDATE KARNE KA APP BHI HAI COMPANY KE JANIB SE LEKE UPDATE NAHI HO RAHA HAI MERE MOBAIL PILEZ HELP ME MERE WHATSAPP NAMBAR 9169473001 YE HAI PILEZ SMS JARU KARYE

    Reply
  3. Sir mera mobile Manni who gaya hai aur vo switch of hai aur meri koi Gmail id bhi nahi h main use kaise khoju please mujhe main kya karu?

    Reply
  4. sir mai laptop ko format kar raha tha aur galti se delete par click kar diya jiske karan mera all drive delete ho gaya kewal c drive bacha hai sir mai us sab drive ko wapas kaise layen please help me

    Reply
  5. Sir 1-jab kisi anzan ka call ata hai to pta kerne ke liye ki wo kis city ka hai to truecaller use kerte hai ager wo fb ya truecaller per account nahi banaye hai to kya pta chal sakta hai ki wo kiska number hai or wo kon chala raha hai or kis area ka hai plz help mee kyr apne hi mohalle ke log pareshan kerte hai help me sir
    2- sir jaise ki hume apni friend ki mobile location pta kerna hai ki wo kha per hai uski bhi merzi ho to kaise pta kerte hai kya tareeka hai plz help me

    Reply
  6. दोस्त हमें यह बताइए कि अगर मैं किसी सिम को पता करना चाहु की सिम किसके नाम पर है वह पता करना चाहे तो कैसे करेंगे

    Reply
  7. Sir mere laptop me hd video saaf nhi chalta h or game bhi nhi chal pa raha h
    Mera laptop h dell vostro 1540 intel i3 2gb Ram ,500gbhd

    Reply
  8. ME itna hi kahunga ki app bahut bada kam kar rhe he rohit g ap ki is pehal se kai jo english nahi samaj pate unhe bahut badi help mil rhi he apse or thank u very much .. Mene b bahut kuch seekha apke is site se thanks again rohit.. Bro.

    Reply
  9. sir mujhe batao ki kya google my bussiness me maine sub jankari di matlab sab ragistration kiya hai per google ne ek cod bheja nahi vo enter verification coad aata hai lekin google ne to koi bhi verification cod nahi bheja vaha likha hota hai aapka code 1 or 2weeks me aayega mager maine 48days ho gaye code nahi aaya please help on puri detail google map me kaise dikhe se koi related post hai to de do

    Reply
  10. mobile ka net on hai tb to problm hai ,lekin agar only mobile on rakhenge tb to problm nhi hoga n… .yaa hoga ,agar sirf mobile on rakhe tb v. plz . .. ans….me in detail bro… .

    Reply
    • me isme aapko koi suggestion nahi duga q ki technology bhut aage bad chuki hai band mobile ka bhi pata lagaya ja sakta hai.. agar kosis kare to ya fir ho sakta hai jiska mobile khoya ho wo usko search hi naa kare.. aap ko agar use karna hai to apne risk par kare.. is topic par me aapko koi suggestion nahi de sakta.. jo muje batana tha me bata chuka hu..

      Reply
  11. maan lijiye mujhe ek smart phone mila hai to use kaise hm sim card laga ke use kar sakte hai wo v police se bachke…mtlb net or v sb use kar sakte hai .agar hm smart phone mila hua rakhe to koi problem hai ki nahi., or hai to isse kaise bache.

    Reply
  12. maan lijiye mujhe ek smart phone mila hai to use kaise hm sim card laga ke use kar sakte hai wo v bina police se bachke…mtlb net or v sb use kar sakte hai .agar hm smart phone mila hua rakhe to koi problem hai ki nahi., or hai to isse kaise bache.

    Reply