How To Follow Up With Lost Leads (Step By Step)

Agar aapki Website hai jaha aap Affiliate marketing karte hai ya apne khud ke product sell karte hai.. to aese me ye Problem aapne jarur face ki hogi jada bhut se user form ko pura fill hi nahi karte or adhura hi chhod kar chale jate hai..

Agar koi User Form ko pura fill kake submit naa kar to uski koi jankari hame nahi milti, naa ham ustak apne dusre offer lekar ja pate hai jisse hamara Loss hota hi hai.

Advertisements

Iss Problem ka Solution hai WPForms jiske ek Addon ( Form Abandonment Addon ) se ham user ki detail ko track kar sakte hai bhale usne pura fill nahi kiya ho.

Agar koi aapki website par aaye or adhura Form fill karke hi chala jaye to uski koi guarantee nahi hai ki wo double se aayege ke nahi aapki site par..

To aesi condition me aapke pass sirf ek solution hai ki aap User ne jitni entry fill ki utni hi save kare, taki bhale wo pura form fill nahi kiye fir bhi aap unse contact kar sake.

Example: agar aap kisi Online site se shopping karte hai or kuch product Cart me add karne me baad payment nahi karte or site close kar dete hai to aapke pass email aata hoga ki aapka product cart me add hai uski process complete kare.. aese me aap soch sakte hai kitni jada sell badh jati hai.

Same aap Iska use yaha kar sakte hai:

  • Request a Quote forms
  • Order forms
  • Support Request forms
  • …and more

Jese agar aap koi service provide karte hai, to user ne agar adhuri jankari hi fill kari to bhi aap unse contact karke unko apna clint banane ke liye kuch offers bhi de sakte hai.

Aap ye to jante ho hoge, Potential user ko site par lana kitna muskil hota hai, or agar wo user ko ham aese hi jane de to ye hamari bhut badi galti hogi..

Aap User ko Email kar sakte hai ki unhone yaha adhuri jankari chhodi hai, ya unko kuch extra offer de sakte hai..

Aap Email send ko automatic bhi set kar sakte hai.. jisse agar koi user Form ko Half fill kare kare to automatic unke pass email chala jaye.

To ab aap ye to saaj gaye, user ke adhure form ki jankari ko track karna kitna jaruri hai.. chaliye ab jaan lete hai ye karna kaise hai.

Lost Lead ko kaise Follow Up kare

Aap Agar site se leads generate karte hai to aapko Simple Form ki nahi ek aese Form ki jarurat hai jo aapke Leads ko puri trha se trak kare or jisko aap aasani se manage kar paye.. jske liye aapko WPForms ka use karna hoga..

WPForms Plugin WordPress ki Top 20 plugin me se ek hai, to isse aap andaja laga sakte hai ye kitni useful hai.

Aap Apni Adhuri Leads ko 4 Steps me Follow Up kar sakte hai.

Step 1: Sabse pehle aapko WordPress me WPForms Plugin Install karni hogi..

Install karne ke baad jitni bhi Baisc Setting hai wo complete karke Plugin ko active kare.

Step 2: Ab hame adhure Form ka data track karne ke liye WPForms ke Addon ki jarurat padegi jiska naam hai Form Abandonment Addon .

Step 3: Ab aapko Form create karna hai or usme Abandonment option ko tik karna hai, jisse jo bhi user data enter karege wo sab save ho jayega bhale wo form ko submit naa kare.

Step 4: Last Step me aapko jitne bhi user ne Form ko Pura Fill nahi kiya unko Follow Up karke jo bhi unki jarurat hai uske hisab se apna Offer dekar unse Lead Generate karni hai.

At Last: 

Agar aapko kahi koi Doubt hai ya kuch jankari jo aapko samaj nahi aai to aap comment karke bhi puch sakte hai.. iske sath sath WPForm ke Online bhut se Tutorial bhi hai agar aapko use karne me paresani aa rahi hai to simple aap Google par search karke step by step process dekh sakte hai.

Agar aapki ek e-Commerce website hai ya aap Affiliate marketing karte hai to ye plugin aapke liye bhut hi jada jaruri hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

23 thoughts on “How To Follow Up With Lost Leads (Step By Step)”

  1. rohit ji maine apni site ka xml sitemap banakar google search console me add kar diya hai par mai google par
    site:wwww/jddjd lagakar check karta hu to kewal 4-5 post hi aa rahi hai baki nahi aisa kyo ho raha hai
    please reply me

    Reply
  2. rohit ji mujhe apse ek help chahiye
    mere blogger blog par har post me h1 hadding nahi bata raha hai
    jab mai apni post ka seo compare karta hu to mere competitors ki post me h1 hadding aati hai par meri post
    me nahi aisa kyo
    please help me

    Reply
  3. Sir Maine bhi ek blog bnaya hai Wellarticles.com karke, please ispe ek Baar visit karke btaiye , blog thik hai ya nhi karke , ya kya kya sudhar Karna Hoga mujhe..

    Reply
  4. Rohit sir main ek guest post apke blog pe karna chahta hu par file upload nahi ho rhi hai. Aap please apni email bataye.

    Reply