WordPress par Blog kaise banate hai wo to aapne jaan liya, par ab aapke dimag me ye khayal aa raha hoga ki ab WordPress par blog banane ke baad kya kare, kya kya settings kare or kaise apne wordpress blog ko puri trha setup kare.
Aapne ek New Website banai ho direct wordpress par ya fir Phele Blogger par aapka blog tha jisko WordPress par sift kiya. Aapko WordPress ki kuch basic settings hai jo karna hi padega apni wordpress blog ko starting karne se phele. Agar aapka Blog Blogspot par hai or aap usko WordPress par sift karna chate hai to mene uski jankari bhi di hui hai.
Aaj mai iss post me aapko un wordpress setting ke bare me bataoga, jisko WordPress par Blog banane ke baad karna hota hai. Yadi aap in sabhi setting ko sahi tarah se set kar lete hai to aapka wordpress blog ekdum ready ho jayega aur aap apne blogging ko wordpress par karna start kar sakte hai.
To chaliye dekhte hai wordpress par blog banane ke baad kon kon si setting ko setup hota hai.
Page Contents
WordPress ko Install karne ke Baad kya kare Puri Jankari
#1: Default admin Login Ko Delete Karke New Admin Login Create Kare
Ye ek bahut hi jaruri step hai jisko jyadatar blogger ignore kar dete hai. WordPress ko apne web hosting me install karne ke baad sabse pahle aapko isi kaam ko karna cahiye. Default admin Login Ko Delete Karke New Admin Login Create kare.
WordPress ki Security ki najar se ye bhut jaruri hai, nahi to wordpress site ko hack karna thoda aasan ho jata hai.
New User bana kar Admin user ko remove karne ke liye steps ko follow kare:
Step 1: sabse pahle aapko apne wordpress me login karna hoga. WordPress ke Dashboard me jaakar “Users” par click kar uske baad “Add New” par click kare.
Step 2: “Add New” par click karne ke baad ek form open hoga. Aap uss form ko sahi sahi fill kar de. Uss form ke dwara aap apna Admin account create kar sakte hai. jiske dwara aap login karke apna kaam start kar sakte hai.
- Username dale (wo aesa dalna hai jiska aasani se koi andaja naa laga paye.)
- Apni EMail ID Dale
- Naam dale
- Surname dale
- Website ka Address dale
- Password automatic hi ban jata hai.. Aap Show password par click karke apna password dekh sakte hai.. or usko kahi save bhi karle.. aap chahe to password change bhi kar sakte hai.
- EMail par notification ke liye tik kare
- Jo User hai usko konsi permission deni hai wo select kare. usme Administrator Role select kare
- Add New User par click kare.
Ab aapka New User Add ho chuka hai.
Step 3: An jo new user add kiya hai uska username or password se login kare wordpress me. Fir User ke section me jaye or jo Admin user hai usko delete karde.
Ab ek conformation message aayega, Conform Deletion par click kare.
Iss trha Default Admin user ko delete karke new user bana sakte hai WordPress me.
Ab aap koi bhi new post ko publish karege woh aapke new account name ke ander publish hoga.
#2: Website/Blog ka Title, Tagline Aur Time Zone Set Kare
Ye bhi ek bahut basic setting hai jisko bahut se bloggers set karna bhul jate hai. Iss setting ko set karne ke baad aapka website/blog professional jaisa lagne lagega. Title, aur Tagline ki setting aapke website ke SEO ko bhi majbut karta hai. Iss setting ko set karne ke liye aap sabse pahle
Settings > General par click kare. uske baad kuch option aayege.
top two fields me aapko Apne website ka title and tagline likh de. Aapko niche ek time zone ka bhi setting dikhai dega jaha par jaa kar aap time zone select karna hai. (Aap agar india se hai to kolkata select kare). or fir setting ko save karde.
#3: Default Content ko Delete kar De
jab hum apna new blog wordpress par create karte hai to uske baad wordpess sample ke liye kuch default content ko hmare blog me add kar deta hai. Aapko un sabhi default content ko remove/delete karna hai.
Default content ko remove/delete karne ke liye aapko..
WordPress ke Dashboard me jaakar Posts > All posts par click kare. Uske baad waha par jitne bhi sample post dikhai de un sabhi ko remove/delete kar de, jo Sample Comment hoga wo bhi delete ho jayega us post ka.
Thik Isi Prakar Pages > All pages par click kare aur waha par bhi jitne sample page ho un sabhi ko Delete kar de.
bahut se bloggers iss step ko nahi karte hai. lekin agar aapko apna website/blog ko badiya aur professional banana hai to aapko sabhi sample post aur pages ko delete kar dena cahiye.
#4: WordPress Permalink Ko Setup Kare
WordPress Permalink ko set karna bhi bahut jaruri step hai. Agar aap apne WordPress Permalink ko change nahi karte hai to ye aapke blog/website ke SEO par ek bura prabhao Dal sakta hai.
Sabhi professional Bloggers ka manana hai ki WordPress ka default Permalink seo friendly nahi hota hai. Isliye ye bahut jaruri hai ki hum ek SEO friendly WordPress Permalink choose kare. Ek Seo friendly Permalink kuch isi tarah se hota hai, jisme website ke address ke baad post ke keyword hote hai. jo padne me yaad rakhne me or SEO ki najar se bhi bhut acha hai.
http://www.yourwebsite.com/sample-post
Aap WordPress Ke Dashboard Me Jaakar Isko Set Kar Sakte Hai, Image me jo bataya hai usko select karke save karde.
#5: Ek Caching Plugin Install Kare
Ek Caching Plugin Aapke WordPress blog ko fast loading banata hai. WordPress blog ki fast loading speed ek bahut hi impotent factor hai badiya search engine ranking Pane Ke Liye or apne visitor ko acha experience dene ke liye.
Caching plugin aapke website ke bekar chizo ko cach karke aapke website ki performance ko badiya banta hai. WordPress par bahut se aise Caching Plugin hai jiska upyog aap apne blog/website me kar sakte hai.
May aapko bahut hi papular Caching Plugin ko batata hu jiska upyog sabhi professional blogger karte hai. Aap inme se kisi bhi Caching Plugin ko insall karke apne website/blog ki performance aur loading speed improved kar sakte hai.
#6: Reading Settings Ko Configure Kare
Jaisa ki niche ke screenshot me dikhai de raha hai ki aap wordpress ke dashboard ko open karke uske baad Setting >Reading par click karke Reading Settings Ko Configure kar sakte hai.
- Blog ke Home Page par kitni post show karna chate hai select kare
- Blog Feed me kitni post show karna chate hai wo select kare
- Article ko aap pura show karna chate hai ki thoda Feeds me wo select kare.
- Search Engine aapke blog ko dikhaye ki nahi wo select kare.. agar aap chate hai ki abhi naa dikhaye to hi tik kare.. warna tik naa kare.
- Save setting karne ke baad save karde.
In setting se jo aapke visitor hoge unke liye hai.. jese agar aap chate hai ki agar koi email se subscribe kare to uske email par post ki jankari jaye to wo puri jaye ya thoda sa hissa jaye, taki wo blog par aa kar post ko read kare.
#7: WordPress SEO by Yoast Ko Install Karke Setup Kare
Yadi aap ek bloggers hai to aap kabhi bhi SEO ko ignore nahi kar sakte. SEO ke bina aapko search engine me ranking nahi milegi. Search engine me ranking pane ke liye aapko SEO plugin ki jarurt padegi. SEO by Yoast Ek bahut hi powerful Seo plugin hai.
SEO by Yoast aapke website/blog ke sabhi basic aur advance SEO setting ko set karne me Madad karta hai. Isliye apne new wordpress blog/website me aapko SEO by Yoast ko insall karna hai. SEO by Yoast ko Insall karke uski sabhi SEO setting kaise karte hai iske bare me mai Aane wale time me puri Details ke sath Post share karuga.
Yoast SEO ke sabhi Signals Green kaise kare uski jankari yaha hai.
Also Read: SEO ki Puri Jankari – SEO Full Guide in Hindi or dusri SEO ki Post Padhe
#8: Premium/Free Theme ko Upload Kare
Aapka WordPress blog/website professional tabhi lagega jab usme koi top quality ka theme upload hoga. WordPress blog ke liye internet par bahut se free aur paid theme uplabdha hai. Yadi aapke pass paid theme ke liye paise hai to aap koi professional free theme choose karke usko apne blog me upload kar sakte hai.
Yadi aapke pass utne paise nahi ki aap koi paid theme buy kar sake to apko tension lene ki jarurt nahi kyoki wordpress ke theme dashboard me aapko bahut se prakar ke free theme miljayege jo aapke website ke liye perfect honge. Aap wordpress ke theme dashboard me se apne website/blog ke anusaar free theme choose kar sakte hai.
Aapke dwara choose kiye gaye theme ko wordpress blog me upload karne ke liye aapko..
Go to Appearance > Themes par click karke “Add New” par click karke apne wordpress theme ko bahut hi Easy tarike se apne wordpress blog me upload kar sakte hai. Aap apne free theme ko apne anusaar customize bhi kar sakte hai.
Note: Kabhi Bhi Koi Nulled (Cracked) theme ka upyog naa kare Agar aap aisa karte hai to ye aapke pure menhat par pani pher sakta hai or aapki site hack ho sakti hai ya uskoi koi galat use ho sakta hai. Isliye Nulled theme upyog karne se accha koi badiya free theme ki upyog kare.
#9: Kuch Impotent Plugin Ko Install Kare
Ek naya wordpress blog banane ke baad aapko kuch Important Plugin hai jinKo Install karna bahut jaruri hota hai. yaha par mai aapko kuch aise Essential plugin ko share karta hu jo har ek wordpress blog me hona cahiye..
- WordPress SEO by Yoast: Ye ek seo plugin hai aur ye plugin hmare sabhi content ko search engine me rank karane me madad karta hai. Apke website ke optimize ke liye ye ek best plugin hai.
- W3 Total Cache: Ye ek best plugin hai aapke website ke page speed aur user-experience ko improved karne ke liye. Ye plugin aapke website/blog ke sabhi static content ko caches karke aapke website ke speed ko improved karta hai.
- Contact Form 7: ye ek bahut hi papular plugin hai aur aap iss plugin ki madad se multiple contact forms create karke usko manage kar sakte hai jisse aapke visitor aapse contact kar sake.
- WP-Smush.it: Iss plugin ki madad se aap apne website/blog ki images ko Bina quality loss kiye hue compressing kar sakte hai. Isse aapke website ki loading speed fast hoti hai.
- BulletProof Security: Ye ek Security plugin hai jo aapke website ko malicious attacks se protect karke secure rakhta hai. Iss plugin ka upyog karne se aapka blog/website puri tarah se protect rahta hai.
- Akismet: Ye ek bahut hi popular plugin hai ye plugin aapke wordpress blog/website ke spam comment se aapke blog/website ko Protection karta hai.
Also Read: 10 WordPress Plugin jo Blog Me Install Honi Chaiye
#10: Backup Plugin Install Kare
Apne website ka daily backup lena bahut hi jaruri hota hai. Isliye apne new wordpress blog me Backup Plugin Install karna ek bahut hi jaruri kaam hota hai. Yaha par mai aapko kuch badiya Backup Plugin ko share kar raha hu aap un sabhi Backup Plugin me se kisi ek plugin ko apne wordpress blog ki daily backup lene ke liye install kar sakte hai.
WordPress Blog ma manully Full Backup kaise le or kaise usko restore kare uski detail me jankari yaha hai.. me aapko suggest karuga aap Online Backup lene ke sath Off Line bhi Full Backup Download karke rakhe.
#11: Unused WordPress Themes Aur plugins Ko Delete Kar De
Ye bhi ek bahut jaruri chiz hai jisko aapko karna cahiye. Yadi aapke wordpress ka dashboard bahut se Unused Themes Aur plugins se full hai to aapko un sabhi Themes Aur plugins me se Unused WordPress Themes Aur plugins Ko Delete kar dena cahiye jisse faltu ka load nahi padta server par..
Unused WordPress Themes ko delete karke ke liye aap Appearance > Themes par jaaye aur waha par jitne bhi theme aise ho jinka koi upyog naa hota ho un sabhi ko delete kar de.
Jin theme ko Delete karna hai uspar click kare fir aapko kone me delete ka option dikhega uspar click karke delete kar sakte hai.
Unused WordPress plugins ko delete karke ke liye Plugins > Installed Plugins par jaaye aur waha par jitne bhi Unused WordPress plugins ko delete kar de. Aapko unhi sabhi plugin ko rakhe jo aapke liye upyogi ho baki sabhi ko delete kar de.
Yadi aap apne wordpress blog ki sabhi Unused WordPress Themes Aur plugins Ko Delete Kar dete hai to isse aapke wordpress blog ki performance pahle se accha hoga Aur Loading speed bhi jyada hoga.
Also Read: Blog ki Loading Speed Time Ko Kaise Kam Kare Puri Jankari
#12: Apne “User Profile” Ko Complete Kare
User Profile Apke website ka ek various places hai jisko aapko set karna hoga. Apne User Profile ko setup karne se aapke blog reader ko ye mouka milega ki woh aapke bare me aur jaan sake. User Profile set karke liye aap sabse pahle.
Go to Users > Your Profile click kare. Your Profile par click karke ke baad apke samne ek form open ho jayega. Uss form me aapke information ke bare me puchega aapko un sabhi chizo ko sahi sahi bhar kar save karna hoga.
First Name, Last Name, Email, Website URL aur bio chize waha par likh kar aapko save karna hoga.
#13: Google Analytics Aur Google Search Console Ko Install Kare
Ab aapko apne wordpress blog me Google Analytics Aur Google Search Console Ko Install karna hoga.
Google Analytics ki madad se aap apne website/blog ki traffic ko track kar sakte hai. Google Analytics ki madad se aap ye bhi jaan sakte hai ki aapko kiss country se jyada traffic aa raha hai. Aur bhi bahut si aisi chize hai jisko aap Google Analytics ki madad se jaa sakte hai.
Google Search Console ki madad se aap search status, crawl status jaisi aur bhi bahut si chizo ko jaan sakte hai. ye google ka ek bahut badiya service hai. Google Search Console hmare blogging me bahut help karta hai, uski important setting karna naa bhule.
Also Read:
- Google Analytics Me Account Kaise Banaye Blog ke liye
- Google Search Console Par account banakar Blog ko Kaise add kare
#14: “About Us” Aur “Contact Us” Pages Create Kare-
About Us Aur Contact Us Pages aapke new website ke liye bahut jaruri hai. In dono pages ki wajah se aap apne reader se connect ho sakte hai.
“About Us” page me aap apne reader ko apne bare me batate hai. Jitna badiya tarike se aap About Us ko likhenge utna hi badiya aapko uska fayda bhi milega. ye aapke creativity par depend karta hai ki aap apna About Us page kaise likhte hai. “About Us page likhte time me aapko iss baat ka dhyaan dena hoga ki “About Us” aap apne reader ke liye likh rahe hai aur aapko isme sirf aur sirf apne bare me likhna hota hai.
“Contact Us’ Page ek aisa page hota jiske dwara aapke visitor aapse Contact karte hai. Ye aapke upar depand karta hai ki aap apne visitor ke sath Kaise contact karna cahte hai.
“ABout Us” aur “Contact Us” Page ko create karke ke liye apne wordpress ke dashboard me jaa kar Pages > New Pages par click karke waha par apna “About Us”Aur “Contact Us” Page ko create kar sakte hai. “Contact Us” Page KO create karke ke liye aap Contact Form 7 plugin ka upyog kar sakte hai.
#15: Menu Add kare Blog me
Apni Menu add kare, jisme aapko sabhi important links add karna hai taki koi bhi user uspar click karke aasani se ja sake.
Menu Add karne ke liye Appearance >> Menu par jaye.. uske baad apni Menu create karke usko theme me add kare.
Last Word
WordPress ek bahut hi papular blogging platform hai, ispar internet ki 25% bani hui hai. lekin bahut se bloggers ke man me ek tarah ka ye dar rahta hai ki wordpress ek bahut hi hard platform hai aur unke anusaar wordpress blog ki setting ko setup karna bhi bahut hard hota hai.
Mai un sabhi bloggers se ye kahna cahata hu jo wordpress ko ek hard blogging platform samjhte hai real me wordpress ek bahut hi Easy blogging platform har aur har koi wordpress par apna blog bana kar usko bahut hi simple tarike se run kara sakta hai.
Yadi apka wordpress blog abhi new hai to mere dwara bataye gaye sabhi wordpress ki setting ko aapko set karna cahiye. In sabhi wordpress ki basic setting ko set karke aap bhi apni blogging ko wordprerss par start kar sakte hai.
Mai ummed karta hu ki aapne iss wordpress post ko enjoy kiya hoga. Iss post ke bare me apna feedback comment box me dena naa bhule. Yadi aapko ye post helpful laga ho to aap isko facebook par share Kare..
Ye Bhi Padhe:
sir aap ki post bhut hi badiha hy.or new user k lye bahut hi madadgaar bhi hy.
main aap sy ye jaankari lena chata hin k main mobile par appna ye page https://urdu444.blogspot.com .chala raha hon es par wordpress kasy pluggin ho ga es ka tareeka bta den.
aap ki mehr bani hi gi
Awesome article sir, aapka aritcle parhkar bahut achha laga, aapne jis tarah apne baton ko samja kar likha hai wo kabile tarif hai. Thank you so much sir for your valuable and inspiration post.
bahut achi post sir keep sharing
Bhai Subscription form ke liye sabse accha free plugins kon sa hoga???
Thanks Rohit sir 👍
bht aache se guide kiya h apne sir mera kam bht aasan ho gya
Hey, thanks for sharing such an informative blog
wordpress ko install kr lia or plugins bhi install kr lia ek site map pr artiicle leekho
great post sir
very nice
sir kaya aap mere blog ko wordpress par transfer karke de skte ho kaya
sir kya user name aur pasword se website ko login kiya ja sakta hai
ji haa bhai.. ussi se hota hai.