100% Free WordPress Installation Service with Premium Theme and Plugin Worth $199

Hello Reader, Welcome to HindiMeHelp jaha aapko Internet, Blogging, WordPress or Make Money related sabhi jankari hindi me milti hai.

Aaj me aapke liye ek bahut hi shandar offer leke aaya hu, jisme agar aap WordPress par blog banane ja rahe ho to iss offer ka fayda utha sakte ho.. jisme Aapki WordPress site ko Free me ham setup karke dege, or jitni bhi uski jaruri settings hai wo bhi karke dege.

Advertisements

Aage badne se phele me aapko bata du, ye jo Service hai wo 100% Free hai, jisme aapko hame ₹1 bhi nahi dena.. wass hamari kuch conditions hai jiske ware me niche bataya hai.

100% Free WordPress Installation Service Worth $199

Page Contents

Free WordPress Installation Service by HindiMeHelp

WordPress Website or Blog banane ke liye Basic Chije jese Domain or Hosting hona jaruri hai, uske baad hi hum WordPress Install karke Apni website bana sakte hai.

To Aapko sabse pehle Hosting or Domain lena hoga..

Agar aap website bana hi rahe hai to me recommend karunga aap achi hosting hi le, or jis hosting ko mene use kiya hai ussi ko lene ke liye me aap se kahunga..

Badiya Domain kaise Select kare or Badiya Hosting Kaise kharide uske ware me HMH par post hai aap wo bhi read kar sakte hai.

WordPress Free Installation Term-Condition

Free WordPress Installation ke liye Kya karna hoga?

Agar aapko Hamari Free WordPress Installation Service ka fayda uthana hai to uske liye aapko Hosting or Domain hamare batai site se lena hoga, jo hamne link di hai us par click karke. Uske baad hum Verify karenge ki aapne hamare link se hi kharida hai, fir ham aapko Free WordPress install karke dege.

Step By Step Term-Condition Process: 

Step 1: Sabse pehle aap apne Browser ka cookies and cache data clear kare, ye Important hai, taki link track ho sake or hame pata lag sake ki aapne hamari link par click karke hi Domain or Hosting liya hai.

Step 2: Ab aapko apni website ke liye domain Register karna hai, World ki sabse popular website Godaddy hai Domain ke liye, ussi se apna Domain Register kare. aapko Niche di hui Button par click karke Domain Register karna hai..

Godaddy Domain

Domain Register Kaise kare uski jankari yaha hai.

Step 3: Ab Hosting Lena hai, jispar ham Website banayege.. uske liye Hostgator ham suggest karte hai.. Aap Niche di hui Button par click karke Hosting kharide.

*Agar aap New Website bana rahe hai to Baby Plan Kharide, jo aapko kam se kam 6 month ke liye lena hi hoga.

Hosting Kaise Kharide, uski jankari yaha hai..

Note: Aap Hamare Link par click karke jab Hosting lege to 50% Off Discount Automatic milega, uske alawa aap kisi or Coupon ko use naa kare, warna aapko hamara Offer nahi mil payega.. kyuki aapka Data Track bhi nahi ho payega.

Jab Aap Domain or Hosting kharid le, uske baad aapko Niche diye Form ko Fill karke apni Detail hame send karna hai, uske 24 Ghanto ke andar ham aapki website ready karke aapko send kar dege.

Free Service me Kya Kya Milega?

Jesa ki aap samaj gaye hoge, aapko hamari di hui Link se jakar Domain or Hosting lena hai, uske baad ham aapki wordpress website setup karke dege..

WordPress Full Setup

Jo hamari 100% Free Service hai usme aapko ye sab milega:

  1. WordPress installation
  2. Full theme installation and configuration
  3. Theme customization.
  4. Premium Theme for free
  5. Contact Us Page
  6. Security set up and configuration
  7. Spam protection
  8. SEO plugin set up, Analytics and sitemap
  9. Custom forms setup and configuration
  10. Mobile Friendly Ready Design
  11. Optimized WordPress speed
  12. Inke alawa bhi koi requirement hai.. wo bhi aap hame bata sakte hai.. agar chota task hua to bina charge ke wo bhi kar diya jayega.. :)

WordPress Premium Theme

Ham aapki website ke liye HappyTheme me se aapki pasand ki Theme Setup karke dege Free me jiski kimat $49 hai. Aap Niche di hui Button par click karke dekh sakte hai.. or apni pasand ki Theme ka naam hame bataye.

Important Plugin’s Install karege

  • WordPress SEO by Yoast
  • Google XML Sitemap
  • Contact Form 7
  • WordPress Super Cache
  • Jetpack
  • Akismet
  • Better WP Security
  • UpDraftPlus
  • Google Analyticator
  • more…

Ham Ye Free Service Q de rahe hai?

Jesa ki aap samaj gaye hge, ki WordPress free me setup karke de rahe hai.. to ho sakta hai aapke mind me ye sawal bhi aaye ki hum aisa q kar rahe hai..

To jesa ki upar hamne mention kiya, aapko hamare link se click karke Hosting or Domain lena hai.. jisse hame kuch commission milega, uske badle ham aapko blog setup karke dege.

Yaha hame Commission milega wo to thik hai par aapko hamare link se kharide par 50% Off Discount bhi milega Hosting me. To hui naa aapke liye or hamare liye achi baat :)

Aap Hamare Free Service Q Use kare?

Waise to aapko samaj aa gaya hoga abhi tak ki aapko kya kya milega, agar aap hamari 100% Free WordPress Setup Service ko lete ho to.. par aapko q lena hi chahiye uske ye kuch or karan:

  1. Aapko WordPress Pura setup karke diya jayega..
  2. SEO Ready hoga Blog, matlab sabhi SEO ki setting karke di jayegi.
  3. Installation ki Process me kabhi kabhi Error bhi aati hai uski tension bhi nahi.
  4. Premium Theme Free me mil jayegi jiska Price $49 hai.
  5. One Month Full Support

FAQ for WordPress Free Installation

Que 1: Mere Paas Pehle se Hosting hai, kya me uspar ye free Service ke sakta hu?

Ans: Ye 100% Free WordPress Setup Service sirf unke liye hai, jo hamare link se Hosting ko lete hai.. q ki usse hame commission milega.. or ham aapke liye free me kaam kar dege. :)

Agar aapke pass phele se Hosting hai to aap hamare WordPress Installation service le sakte hai, jiske aapko bhut kam Price me usse jada ki service di jayegi… jiska order aap niche di hui button par click karke kar sakte hai.

Que 2: Agar Link par click karke Nahi, Direct Hosting le to ye service milegi ?

Ans: Nahi, Aapko Apne Browser ka data clear karke hamari link se hi click karke hosting lena hoga.. Link me phele se 50% Off Discount Add hai.. Aap kisi or Discount code ko apply naa kare.. warna aapki Link Track nahi ho payegi.

Que 3: Kya Me kisi or dusri website se Hosting lekar ye Free Service le sakta hu?

Ans: Aapko Free Service sirf hamare Affiliate link se Hosting lene par milegi.. agar aap Kisi dusri hosting se lena chahte hai to pehle hum se contact kare. fir agar wo hosting bhi hamare offer me hogi to aap waha se bhi le sakte hai.

Aapka Hamari Free WordPress Service se related koi bhi Question ho to Email par Contact kare.

Submit Detail For WP Installation

Agar aapne Hosting or Domain hamare Link se click karke le liye hai.. to aap uske baad hame apni detail Submit kare..

Note: Aap hame jo bhi Detail Submit kar rahe hai, wo 100% Safe n Secure hai..

    Your Detail

    Domain Detail

    Hosting Detail

    Your Requirement n Demand

    Aapne Hamari Link se click karke Hosting li hai to tick kare

    Aap jo Bhi detail Submit karege, usko Verify karne ke baad.. aapko 24 hours me website setup karke aapko send kardi jayegi.

    Agar aapke koi Friend ya Family Member WordPress site banane ka soch rahe hai to unse ye service jarur share kare..

    Thanks

    Share on:

    Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


    Leave a Comment

    Please Read HMH Comment Policy before Comment.

    49 thoughts on “100% Free WordPress Installation Service with Premium Theme and Plugin Worth $199”

    1. Rohit sir
      Me aapke link se domain aur hosting lena chahta hu
      Lekin problem yeh hai ki godaddy me payment method me sirf (credit card) ka hi option dikh rha hai…aur mere paas credit card nhi hai …please guide me sir ji

      Reply
    2. ठीक है हम खरीदेंगे लेकिन मुझे Generatepress प्रीमियम थीम चाहिए । Wp रॉकेट लाइफटाइम के लिए होना चाहिए। Yeost प्लगिन प्रीमियम होना चाहिए। बस इतना हो लाइसेंस के साथ।

      Reply
    3. Rohit bhai ye mera aur mere dost ka last doubt hai kyo ke hum pehli baar theme le rahe hai na isliye please reply kare.
      1-) happy theme ki jo Buy Pro Version wali jitni bhi theme hai jiska prize 49$ hai, aur un sabhi ka Free Version bhi hai app 499 rs mai Pro Version 49$ doge ya Free Version wala doge ?
      2-) jo hum 499rs ki service mai happy theme ki jo bhi theme hum lete hai, us theme ko kya hum lifetime ke liye use kar sakte hai kya uska kuch renewal charge monthly ya yearly dena padega?
      3-) kya aap main theme ki child theme bhi banage,jisse theme ke update aane par theme mai jo bhi customize hua hoga wo safe rhe?
      4-) bhai aap 999 rs ki services mai 59$ wali kon si theme ki baat kar rhe hai?

      Reply
      • Hey Suraj, aapke jo question ahi wese mene sabka jabab post me bhi diya hai..

        1. Happy Theme ka multi licence hai mere pass.. mene sabhi theme ko kharida hai..
        2. Theme ka mere pass life time update aayega to me wo de sakta hu.
        3. wese update karne me koi issue nahi hota, par agar aap customize karna chate hai to aap child theme add karna koi bada issue nahi hai.
        4. 999 wale plan me aapko WP Rocket Plugin or koi Premium theme milegi.. theme jo aapki demand hogi, agar wo hamare pass hogi hjab hi ham install kar payege.

        Wese me aapko suggest karuga aap 499 wala plan hi install karaye.. new site ke liye.. fir jab aapko thoda expriance ho jayega to aap apne hisab se usko update kar payege.

        Reply
    4. WordPress Installation Service at Low Price 499rs ka jo aapka plan hai,
      1-) Isme kya Free Premium theme milegi? 2-) WO theme Crack Null to nahi hogi? 3-)Website mai koi error to nahi ayegi? 4-)Jab theme ka koi update ayega to theme crash to nahi hogi
      5-)theme mai License ka koi issue to nahi hoga?
      Mere ye doubt hai please iska reply de..

      Reply
      • 1. haa
        2. Crack nahi, hamne usko perches kiya hai jiska multi licence hai.. Crack or Nulled theme ko use karna to kabhi recomment nahi karte.. warna sites me bhut se problem hoti hai.
        3. Fresh Install kiya jayega.. to error ka to koi chance hi nahi.. par regular site ko optimize karna bhi jaruri hai.. warna jada traffic ke karan bhi error aa jati hai wordpress me.. par koi bada issue nahi hota hai.
        4. aesa koi issue nahi hota.
        5. License ka koi issue nahi hai..

        499 me happyTheme ham de rahe hai.. uske aalawa agar aapko dusri chaiye to uska alag charge hai.. HappyTheme ka multi licence hamne liya hua hai

        Reply
          • Sorry Suraj, hamare pass uska License version nahi hai. or kahi se nulled use karna ham recommend nahi kar sakte.. free me aapko wo theme nahi mil payegi.. Aap ya to hame Theme bhi sath me provide kare to ham install karke de sakte hai.. ya fir aap hamara paid service buy kare.

            Reply
            • 1-) Rohit bhai aapHappy theme mai se koi bhi theme Jo seo optimize ho aur jo best ho wo theme hume recommend kar dijiye, jisse mai aapse 499rs Service le saku…
              2-) dusra Sawal hai mera Kya mai us theme ko mai apni kisi dusri website mai use kar sakta hun??koi problem to nahi hogi

      • agar aapne hamare affiliate se hosting li hai to aap bilkul kare.. wass fill karne se phele https jarur check kare secure connection ke liye.. baki aapki detail 100% Secure hai hamare pass.

        Reply
    5. lekin abi jo godday par domain price bhut jyda hai naye user syd perchase kar payenge
      bhai mere pas blogger par website hai kya m hosting lekar aapke offer ka fyda le skta hu

      Reply
    6. mere pass domain, hosting pehle se hai, mujhe Premium Theme par WordPress install karana hai,
      seo ki ye nhi services chaiye…
      WordPress SEO by Yoast Google XML Sitemap
      Contact Form 7 WordPress Super Cache Jetpack
      Akismet Better WP Security
      UpDraftPlus Google Analyticator
      in sabka kitna charge hoga ???

      Reply