Agar aap Website banane ke soch rahe hai to jo uske liye sabse pheli chij hoti hai jiski hame jarurat padti hai wo hai Domain. Aap Blogger par Free blog bhi bana sakte hai, par usme blogspot likha huaa aata hai.. or usko hatane ke liye domain ko hame kharid kar add karna padta hai.
Agar aap New hai to ho sakta hai aapke pass paise ki problem ho, jese mere pass hoti thi.. to aese me Domain ka one year charge ₹700 hota hai, to ye aapke liye thoda jada ho sakta hai, or nahi bhi hai.. Fir bhi agar Aap in paise ko bacha le to kya burai hai. Me aapko bataoga kaise aap domain ko matra 99₹ me kharid sakte hai.
Domain kharidne ke liye kya karna hai or kaise kharidna hai wo batane se phele me aapko kahuga ki aap phele ye jaan le ek badiya Domain Name kaise select kare baki aapko baad me problem naa aaye or aap ek acha domain kharid sake.
Jab aap deside karle ki aapko konse naam se domain lena hai uske baad domain kharidne ke liye kya karna hai chaliye jaan lete hai.
Godaddy ₹99 Domain Kharidne ki Process n Trick
Step 1: Aapko sabse phele google me search karna hai Godaddy 99 domain
Note: 994 wala offer abhi khatam ho chuka hai.. abhi jo offer chal raha hai wo aap niche di hui button par click karke dekh sakte hai.
Step 2: Ab search karne ke baad aapke samne jo result aayege, unme sabse upar aapko Godaddy ka ads dikhega.
Search karne ke baad aap dekhe, aapko godaddy ka ad dikhege sabse upar.. [Ad] likha huaa hoga.
Ab jo ₹99 .com’s likha huaa hai uspar click karke open kare godaddy site ko.
Important Note: Agar aapke browser me Adblock hai ya aap UC Browser use karte hai jisme phele se ad block rhete hai to usme aapko ye ad nahi dikhege.. To app Chrome use kare or usme adblock use naa kare.
Step 3: Ab aapko simple apni pasand ka domain search karke kharidna hai.
jab aapko domain mil jaye to wass ab aapko usko payment karke kharidna hai..
Agar aapko nahi pata Domain kaise kharidte hai to uski puri process mene stey by tep batai hai aap waha se read kar sakte hai.
Jab aap domain kharid le, uske baad usko blogger me kaise add kare or usko bina www kaise set kare uski jankari aap yaha read kar sakte hai.
Also read: Godaddy se Expired Domain kaise Kharide Aur Iska kya Fayda Hai
To Friends, ab aap jaan chuke hai kaise godaddy 99 Domain kharide sakte hai, agar aapko kahi koi problem aato hai ya aapka koi sabal hai to aap comment karke puch sakte hai.
Happy Blogging!
abhi 99rs Domain Offer Band Ho gaya hai kya
nice article and aapke samjhane ka tarika bahut hi achchha hai
Its ok Rohit Bhai…
Mujhe aaj hi blog ka pta hua tha Hindi Me Help jab maine youtube videos dekh rhe the ek video me sites information diya blogging tips and tricks mast sites abhi tak ki awesome hai mere liye…
THANKS “BHAI”
Great
Hii
Awesome sites hai kaas hame pehle pta hota sites ki jankari hota to apna blog kuch or hi hota.
Bhai maine ye tips follow kiye lekin ab Rs299 show rha hai to kuch or tricks hai ki hm ne galti kr rhe hai check karne me ?
Bhai abhi rate badh gaye hai.. Fir bhi batai trick se aap kam price me le sakte hai.
nice Information
Rohit bhai
Kiya aap mujhe domain karidkar de denge me aapko paytm se paisa sent kar dunga go daddy me paytm ka option nahi or mere pass na koi bank ac ha na koi ATM card mene kuch apps ko intual karke task completed karke paytm money kamayi h please brother help kar do me aapko pahle paytm me money transfer kar dunga phir aap karid Lena
Aap godaddy se chat karke paytm ke liye bol sakte hai … Paytm se bhi payment ho jayegi.
Very nice
Rohit bro movie ki site kaise banate hai? jaise kuch logo ne hollywood ya bollywood movies upload ki hoti hai woh kaise banate hai? woh site wale khud movies kha se download krte hai apni site per upload krne k liye?
Wo torrent se download karte hai.. Par ek baat me aapko bata du… Ye illegal hai
jo Godaddy ka Cupon Code Hota hai wah pahle se use ho chuka hota hai,
Jaise aapne bataya waise hi,
Aur add ho bhi jata hai lekin prize wahi ka wahi rahta hai,
iske liye koi trick bataye jisse 99 rs me kharid sakte,
aap ek domain hi kharid sakte hai. double se wo offer use nahi kar sakte.
Dear Rohit i am yousaf khan from pakistan i like your blog it is very usefull for new internet users sir ma na godaddy par ak dafa ak .com site hareed liye 0.99$ par abb ma dobara dosra site haridna chahta ho par wo muja 12$ ki mill rahi ha jab ma coupon ya 0.99 wala pir sa use kartha ho to offer limition ka red line show ho jatha ha ya kia waja ha ma 0.99$ ki option ma zayda domain registered karna chahta ho kasa hoga ya nai hoga.
Brother jo offer hai wo ek account se ek war hi milta hai..
Baki aap aesa kar sakte hai.. New account se domain kharide uske baad usko purane account par transfer karde..
sir please help me ,, mera blog name women’s care hai jiska domain already liya ja chuka hai mujhe mere blog name se domain nhi mil rha. abhi jo subdomain hai us name se domain mil rha hai but mujhe women’s care name se hi chahiye tha. mai bahut confuse hu samjh me nhi a rha please suggest me
bahut badhiya jankari hai apke blog me wo bhi hindi me ye bahut badi baat hai , website create karne ki behtareen jankaari dene ke liye aap ka tahe dil se shukriyaa ummeed hai ki aage bhi aoki website ke sath naveentan jankariyon se update rahuga mera bhi hindi poetry ka ek chhota sablog hai asha hai ki viewers use bhi pasand karege dhanyawaad
blog pr page clicks(view) se bhi paisa milta hai ya kevl ads pr click krne se
view ke nahi milte..
Sir.
maine blog Kharid bhi Liya h godday se but us ko website me convert kaise karun mujhe bataiye.. jo Google pr direct search me dikhe
blog me domain add kare.. kaise karna hai uski jankari mene di hui hai.
bhai godaddy best hai ya bigrock
dono hi badiya hai.. domain ke mamle me to koi problem nahi hai.
bhai..godaddy best hai..ya bigrock.
सिक्योरिटी के मामले में godaddy अच्छा है। इसमें 2 step verification भी है जो bigrock में नहीं है
sahi kaha
Are admin post likhne se phle puri t&c pdd toh lete. Ye jo tum 99₹ me bol rhe ho, isme 2 saal ka lena pdega fir hi 1st year 99₹ me milega or 2nd yr ka price 900 something hai, btw vhi bat ho gyi. Aage se dhyan rkhna jis bare me post likh rhe ho uski puri information ho.
Thanks Sir Aapne bahut best post likhi hai.
aapse ek sawal hai ki aap kon sa theme use karte hai?
Newspaper
Sorry Question Topic Related Nahi Hai But me ye puchna chahta hu ki agar me koi theme buy nahi krta hu or site ko develop karavata hu to kya mera blog website ban jayega ya nahi plz ans
Aap bana banaya design lo, ya kisi se banwao koi fark thodi hai usme.. agar aap jisse banwa rahe hai unko web design ka acha knowledge hai to aap unse banwa lijiye.. baki jo aapka dount hai ki blog website banega ke nahi.. ye to hona hi nahi chaiye.. q ki blog website hi hota hai.. or wo hamare disign karne par hai ki ham usko kesa design kare..
Rohit Ji, vaise aapne kafi best post likhi hai.
Bina domain ke blogging ka maja nahi aataa.
haa, jo blogspot use karte hai.. ye soch ke ki abhi paise nahi hai.. ye unke liye hai.. 99 to aaj kal ek movie me kharch kar dete hai.. usse acha ek badiya domain lekar use kar lege..
Great job…
Hello bro mera ek imp qustion hai pl
Q.1 Me 2 blog chalata hun
Hind and english
Agar me english post ko hindi me translate karke mere hindi blog me rakhta hu to wo copyright hoga?means adsance approve krne me persani hogi?
Q.2 Mene jub blog start kiya tha to mene 2-3 post copy karke mere blog me dali thi” kyuki tab mere pass blogging ka koi knowldge nhi tha
Ab me us copyright post ko delete kru ya mere hisab se update kru?
Hello Rohit, Maine aapko ek email kia tha but abhi tak aapne reply nhi diya. Please jaldi reply de.
Hello sir 99 wale Domian Me Credit Card Ka Hi Option Aa raha hai Other Wise Bina 99 wale Me Debit Card Or Net banking To Sir isko kaise Purchase Kare kyoki Mere Pass Credit Card nh hai
kar sakte hai.. debit card se bhi..
bahi firstly godaddy par credit card option hi show hoga but Aap vaha se karidna mat aap customer support chat ka use kar disscuss karna to debit card option bhi show ho.jayega ,,vese jab Maine domain buy kiya tha mere sath bhi yehi problem thi credit card link show ki but agle thin morning mai 7 am.par debit card option bhi show hua to Maine buy kiya .. Aap bhi morning mai check kar skate ho . aa jayega debit card option bhi
is achchi vishesh jankari ke liye dhanyabad domain name ke bad hosting ki bhi jaroorat padegi iske liye bhi koi trik wala post dijiye jisme kam pase me achchi hosting li jaske
Iske Offer hote hai.. ab jab bhi koi offer aayega.. jarur share karuga..
Bahot hi achhi jankari
Bahut hi badhiya jankari hai !
Hello bro
Kya hum apne hindi blog ki post ka title name hindi aur english dono bhasa me rakh sakte hai
Example:- how to earning?Paise kaise kamaye?
Ise koi nukshan hoga?
koi problem nahi hogi.. wass itna dhiyan rakhe jo bhi tital de.. usse jo bhi read kare usko samaj me aana chaiye ki post me kya hai.. baki aap kese bhi do koi problem nahi hai.
Useful trick sir ji…maine abhi kal hi ese try kiya h really kaam krta h 99rs me domain
haa, ye work karta hai.. or isko sabko tri karna chaiye.. taki thode paise bacha sake..
rohitji agar hame 3 ya fir 5 saal ka domain lena ho to kese kar sakte he.
aap simple last me payment karte time time select kar lijiye..
Nice Tricks hai Sir Thanks