Kya aap ye jaanna chate hai ki online paise kaise kamaye, Aap agar Online paise kamana chate hai to ye jaankari aapke liye bhut badiya sabit hone wali hai. Isme me aapko bataoga ki ham kaise Google Adsense se Paise kama sakte hai or uski kya process hai.
Online Internet se Paise kamana bhut logo ka sapna hota hai or hajaro lakho log uske liye tri bhi kar rahe hai, bhut log online kaam karke bhut acha paisa kama hi rahe hai.
Is Post me ham dekhege ki ham kaise Google Adsense se Paise kama sakte hai detail me.
Ye bhi jarur Padhe: Google Adsense Use Karne Ke Fayde in Hindi
Page Contents
Google Adsense kya hai or Isse Paise Kaise Kamaye Jata Hai
Google Adsense ek free service hai Google ki, jisme content publishers apne content ko monetize karke paise kama sakte hai. Google Adsense se paise kamane ke liye koi Blog, Website, Youtube Channel hona chaiye, matlan ham khe sakte hai ki koi bhi online platform hona chaiye hamare pass.
Google Adsense hamesa se logo ki pheli pasand rahi hai online paise kamane ki, uske karan bhi hai ki usko istmal karna, manage karna bhut aasan hai or sabse main baat jo adsense me income hoti hai to time par aati hai or kisi farjiwade ka bhi koi khatra nahi.
Google Adsense se start karne ke liye sabse phele aapke pass koi online platform hona jaruri hai jispar aap adsense ki madad se paise kamayege, To sabse phele Apna Blog banaye ya fir Youtube channel banaye.
Ab Google Adsense ke liye apply kare, fir jab adsense account approve ho jayega to aap adsense me Ads Code generate karke apne blog me lagaye. fir Aapke blog me ads dikhege to jo bhi visitor aapke blog par aayege wo agar ads par click karege to usse aapki income hogi. Jitne jada visitor utni jada income.
Dhiyan dene wali baat
Agar aap ye soch rahe hai ki ye bhut aasan hai or isme jaldi bhut sara paisa kama sakte hai to aap galat soch rahe hai q ki ye koi jaldi amir banne ka tarika nahi hai. Agar aapko paise kamana hai to aapko kaam to karna padega..
Agar aap soch rahe hai ki me apne blog par ads laga kar apne friends ya relative se kheduga ki wo ads par click kare to isse aapka adsense account block ho sakta hai, to aesa karne ka soche bhi nahi. Agar ek war adsense account disable ho gaya to usko wapas pana bhut muskil hota hai.
Google Adsense se Paise Kamane ke Liye Kya Kare
Sabse phele aapko Adsense se paise kamane ke liye aapke pass koi platform hona chaiye, jese koi blog, website ya fir youtube channel. agar aapke pass ye phele se hai to achi baat hai or agar nahi hai to kaise banate hai uski jankari mene HMH.pe di hui hai.
Abhi me aapko 3 Platform bataoga jaha aap adsense se paise kama sakte hai, jo Free bhi hai or agar aap thoda investment kar sakte hai to or jada future bhi aapko mil sakte hai.
1: Blogger Par Free Blog Banaye
Blogger Google ki Service hai jo bilkul free hai or ham iski madad se apna Free Blog bana sakte hai. Blog kaise banaye Blogger par uski jankari yaha hai.
- Blog banane ke baad aapko ek badiya Domain search kare fir usko register karke usko apne blogger blog se add karna hai..
- Blog ka Design bhi acha hona chaiye uske liye aap koi badiya Template upload kare blog me. Template kaise upload karte hai uski jankari yaha hai.
Blogger ki jankari ke liye yaha jaye.
2: WordPress par Blog banaye
WordPress bhi ek blog platform hai, jiski madad se ham apna blog ya website bana sakte hai. Duniya me jitni bhi website hai usme se 21% website wordpress par hi bani hai.
- WordPress par blog kaise banaye uski puri jankari yaha hai
- WordPress par blog banane ke phele aapko uske liye badiya hosting or domain lena hoga. Badiya Hosting konsi or kaha se or kaise le uski puri jankari yaha di hui hai.
WordPress ki jankari ke liye yaha jaye.
3: Youtube Channel banaye
Youtube Google ki service hai or ye bhi bilkul free hai or Youtube ek Video website hai jispar aap video upload kar sakte hai or video dekh bhi sakte hai.
Youtube par video upload karke, video ko monetize karna hota hai fir video ke upar ads aate hai or usse hamari income hoti hai. jo ads aate hai wo Google adsense se hi lagaye jate hai.
- Youtube par account kaise banaye uski jankari yaha hai
- Youtube par kaise video upload karte hai
- kaise Youtube account ko adsense account se connect karte hai
Youtube ki jankari ke liye yaha jaye.
Aage kya karna hai..
Ab aapke pass Platform hai jaha aap adsense se paise kamayege.. Youtube par to aapko apne video upload karke adsense ke liye apply kar sakte hai par agar aapka blog hai to aapko apply karne ke phele kuch bate hai jo diyan me rakhni hai or uske baad hi apply karna hai adsense account ke liye.
- Adsense Apply karne se phele kya kya kare blog me uski jankari
Adsense se jo income hoti hai wo dusre kisi bhi ads network se jada hoti hai, fir bhi bhut log adsense se paise nahi kama pate uske kya karan hote hai wo jaanne ke liye yaha click kare
Adsense ki income kaise badaye
Agar aapne sab kuch sahi se kiya or aapke adsense ke ads bhi dikhne lage to fir aapko apni income badane par focus karna hai, uske liye aapko high quality post dalni hogi or usme High CPC keyword ka use kare..
Agar aapki Blog hai to Aap Blog me search ke liye Google Custom search use kare or usme aap adsense ke ads enable karke apni adsense ki income bada sakte hai.
1000 Visitor Per Google Adsense Se Kitni Income Hoti Hai uski jankari yaha hai, jisse aap andaja laga sakte hai ki aap usse kitne paise kama sakte hai, or agar aap ye soch rahe hai ki aap isse kitne paise kama sakte hai to wo jaanne ke liye yaha click kare
At Last
Friends ye Jankari Google Adsense ki aapko clear ho gai hogi ki akhir adsense hai kya or isse aap kaise paise kama sakte hai. Agar aapka koi sabal hai to aap comment me puch sakte hai.
nice post
bahuta achchhi jankari aapne di hai sir
starting me jab adsense ke bare me suna toh aisa laga ki ab manjil mil jayegi lekin ab iska prayog kar raha hoon toh pata chala ki manjil kitani door hai aap bahut lucky hain bhai aapne first 1.5 month me 100$ earn kar liya tha aur mujhe toh ye lag raha hai ki main 100$ kabhi nahi earn kar paunga .
Rohit Bahi ek baat batao hum adsense ke sath or kon-kon se ads network ka use kar sakte hai jisse adsense disable bhi na ho or earning bhi ho sake
koi bhi. par mere hisab se use karna.. sahi nahi hai.. q ki usse loading time bhi badega or ads ads hi dikhege..
Bahut hi useful post hai aapka Rohit ji.
Appka ye ek post karodo logo ki madat karta hai.
Mera Ek new blog hai ofcoursemoney.com aur maine iske liye application send kiya tha but disapproved ho gya
ye mail aaya tha mujhe team se We’re unable to approve your AdSense application at this time because your site does not comply with the Google AdSense program policies or adhere to the Webmaster Quality guidelines. It’s our goal to provide our advertisers sites that offer rich and meaningful content, receive organic traffic, and allow us to serve well-targeted ads to users. We believe that currently your site does not fulfill this criteria.
Please btaeye kya karna hoga mujhe next step mein ki approved ho jaye adsense.
Please ek baar site check kijiye or mujhe btaeye.
aap Adsense ki Policy ko read kare, jo kami hai phele usko tikh kare.. uske baad reapply kare.
Helloo Rohit sir..Aap is post ko dekh ke btaye ki… google adsense ese post ko accepte karta h ya nhi..!!
karta hai.. par aap apply karne se phele broken link jarur tikh karle.. aapki image nahi dikh rahi hai author box me.
SIR MERA ACOUNT ADMOB KE THRU APROVE HUA LEKIN KOI BHI DETAIL REPORT NHI DIKTI KYA KRU
ADSANSE ACOUNT MAI
agar aapka account hosted hai to site par add nahi hoga.
Agar enabale nahi hoga to phir kya kar sakte hai ham phir se new account banaye
Haa iske alawa or koi option nahi hai
Sir mera adsens account open hi nahi ho raha hai,likh raha hai your accoun has bin disable for invalid click
Ha to aapka account disable ho gaya hai.. Ab aap request kar sakte hai.. Adsense team se.. Jo forum hai usme post kare..
Baki agar sahi me agar aapne click kiye hai to ab enable nahi hoga..
Sir mera adsens account disabled Ho gya hai invalid click activility ke karan mai kya karu
. please help me
Ads ka placements change karo.. N wait karna hoga.. Jab tak normal nahi ho jata.. Agar ads aesi jagha hai jaha galti se click ho jata hai to waha se jata do.
Bahut hi badiya tips diya apne Rohit aur itifaak se mera naam bhi Rohit he, Me bhi apne blog me Google adsense use karta hu aur bahut accha paisa kama raha hu.
Mai basically English blogger par muche hindi blogging bhi acchi lagti he. Thank you Rohit
Thanks
Mere Adsense me $103 ho chuke hai ab mai is amount ko withdraw karna chahta hu….please let me know ki mai kaise is amount ko apne bank me transfer karva skta hu…….aur mere pass ye paisa aane me kitna time lgega,
21 ko automatic sent ho jayege aapki bank account me
google adsense se pasie kamane ke liye upay batane ke liye mujhe apka ye article bahut he accha laga
thanks sir
bhai blog ke liye wordpress shi h ya website shi rahegi aur in dono me se jyda benefit kisme h
Kya usme kisi nhi trah ki post kar skte h
Jo pahle se you tube par ho unko nhi kar sakte h kya
Sir meri axsent aprow ho gai hai ,ab mujhe pata karna hai meri kitni kamai hui or mere paise mujhe kaha or kab milenge plz help me sir
google adsense se paise kamane ke ye tarike padhke mere ko bahut accha lga iss se mujhe kafi help milegi aur hindi me samjhane ke liye shukriya
Ads ka link fb par share kar sakte h
Mera naam Ajay hai. Mera blogger me account hai or mera adsense account b blog k liye approve ho gaya hai. Lekin jab me adsense account me login hota hu to waha par red line me likha hua aata hai ki apka adsense account sirf youtube k liye hai aur agar apki web site hai to uska name enter kare. Par mere paas koi website nahi hai. To kya me blogger se paise nahi kama sakta?? Please help me….
rohit ji mene aapki kaffi poste dekhi kaffi khuch shikhne ko mila aapki side se me ek saall se adsane me work kar rha hu lekin mere pahle 4 adsne dissbale ho gaye abhi abhi 1 month se phir mene ek or blog banaya hai or adsane ke add bhi laga liye kya koi aggar hammri side vpn ip se kholta hai to use adsane pe koi dikkatt hoti hai plz aap mujhe shai se batae abhi me sirf adsane se 2 baar hi 45 aur 40 thousend ki pemnt le paaya likin ab wo blog dissble ho gaya kya koi vpn ip se add clic karta hai to use dissble hota hai plz reply aur shi bataye ki blog ko lamba chalane ke liye kya kare aur dissble na ho plz sir mere help kare aap ye me prasent side hai aap chek kariye
rohit ji mere pahle 4 adsane ac bloc ho chuke hai abhi mene phir ek naya blog banaya hai kya aap plz mujhe bata sakte hai ki isme urning kaise hogi ek palringo namm ka masnger hai jisme bhut saare log ek dushre ka link share karke janbujh kar veiw aur clic karwate hai me bhi uspe hai aapna blog share karta hu kya uske karan bloc ho raha hai esa hai to plz mujhe bataye kaise kamayi kare
hume ye kaise pata chale ga ke youtube ke channel se kitni income hui our ye payment mujhe kaise milegi please reply
Rohit mewada my name akshay from saharanpur u.p mene apki mail par apna facebook id and contact no. send kiya plz my msg check.
and bro mjhe aapka contact No. cheye plz request hai
mjhe kafi problam aa rahi hai wo phone par hi bta skta ho plz bro apna contact no send kar do ya abhi comment mein bta do
Me adsense plugin use kar raha hu par ad Manager me likha hua aa raha he
” You currently have a host-only AdSense account. Please visit the AdSense help center for instructions on how to show ads on this site.”
Iska kya matlab he. Plz reply fast
aapka non hosted account hai to aap usko wordpress par use nahi kar sakte.. aap phele site ke liye apply kare..
Me adsense plugin use kar raha hu par ad Manager me likha hua aa raha he
” You currently have a host-only AdSense account. Please visit the AdSense help center for instructions on how to show ads on this site.”
Iska kya matlab he.
Good Tips to make money through YouTube
Bhai…ye cpc kya hota hai..
Please mujhe jarur btaye.
Nayasikhe.blogspot.in
aapko Cost per Click .. ads par ek click me kitne rupe mil rahe hai wo..
sir ye masage mujhe adsense se aya
mera account disapprove ho gya he help me me kya karu
Thank you for your interest in Google AdSense. Unfortunately, after reviewing your application, we’re unable to accept you into AdSense at this time.
We did not approve your application for the reasons listed below.
Insufficient content: To be approved for AdSense and show relevant ads on your site, your pages need to have enough text on them for our specialists to review and for our crawler to be able to determine what your pages are about.
To resolve this issue, please work through the following suggestions:
Make sure that your pages have sufficient text – websites that contain mostly images, videos or Flash animations will not be approved.
Your content should contain complete sentences and paragraphs, not only headlines.
Ensure that your website is fully built and launched before you apply for AdSense – do not apply while your site’s still in a beta or “under construction” phase or only consists of a website template.
Place the ad code on a live page of your website. It does not have to be the main page, but test pages that are empty except for the AdSense ad code will not be approved.
Provide a clear navigation system for your visitors so that they can easily find all of the sections and pages of your website.
If you’d like to monetize YouTube videos, please apply for the YouTube monetization program. Note that blogs and websites that contain only videos will not be approved.
Difficult site navigation: During our review of your website, we found your site difficult to navigate. Potential navigation issues include: redirects, pages behind a login or restricted access, broken links, excessive pop-ups, dialers, and pages under construction or not yet launched.
aapki site par post kam hai or usme contant nahi hai..
agar hamare blog ke sath google adsense connect hai fir agar ham adsfly ya koi or esi sites se link generet kar kar rakhe to blog blo ho sakta hai ya nahi
kar sakte hai..
Main apki Success Story likhna Chahta Hun.apni Site par…kya Permission Mil sakti.hai. Main apki permission lena Chahta hun.
ji bilkul agar aap likhna chate hai to likh sakte hai..
Rohit ji.. Kya Ap humain bata Sakte hai.Affliates links ko post main Show kaise karate hai.
aapko uske liye phele affiliate link generate karni hogi.. apne account se.. fir aap usko use kar sakte haiapni site par..
Google Adsense se earn karna bahut hi simple hai. Bus hame blogging me thoda time aur dhyaan dene ki jarurat hoti hain. My according WordpPress google adsense ke liye best hain. That is nicy post.
bilkul sahi kaha aapne.. THanks Aapke comment ke liye.. :)
sir please hostin 100 gb aur bandwidth unl. mil rahi hai.kya itna ek website ke liye kafi hai. loading speed kam to nahi hoga.. agar 5000 page view ho to
haa itna tikh hai.. par jab thode or badege or agar 100 viditor live rahege to jarur thodi problem aa sakti hai.
Aap ne bahot achi post share kiya hai hai new blogger ko kafi help mili hai hogi or mai bhi apne Blog par AdSense use karne ke baare mai soch raha tha to aap ke post ko read kar ke jafi help mili ..
Really Thanks Vijay ji..
main apne blog ke liye abhi apply kar sakte hun ya nahi. kripya dekhkar jarura batayen.
aapko uske disign or widget par thoda or focus karna chaiye. or puri link check karle ek war sab sahi ho..
rohit jee mne 1 post send kiya hai cloudfare pe aap uska review kre or bataye meri post shi ya nhi
or please reply jarur krna. agar post shi nhi h to aap mujhe kami bataye jisase sikhne ko milega.
thanks
me usko check karke aapko reply karuga.. THanks
रोहित जी, क्या आप बताएँगे की आपके एडसेंस से 100$ कितने दिन में हुए थे।
mere phele adsense ke 100$ 1.5 mahine me huee the