Friends aaj Is Post me Mai aapko bataunga Google ke Ek New Project ke Baare me Jisko naam Diya gya hai Google AMP / Google: Accelerated Mobile Pages.
Google AMP kya hai? AMP ko Kis liye banaya gaya hai? And Google AMP use karne ke kya fayde hain or Google AMP Use kaise kare.
Agar aap nahi jante ki Google Accelerated Mobile Pages kya hai to is Post ko padhne ke baad aap achi tarah se samajh jayenge ki Google AMP kya hai.
Page Contents
#1 Google AMP ⚡ kya hai ?
AMP Google ka ek Open Source project hai jise Publishers/Bloggers/Website Owners ke liye bnaya gya hai. AMP ki help se har koi Website Owner apni Site me Mobile-Optimized contents create kar sakta hai jo ki sabhi Devices (Phone, Tablet) me fast Load ho jata hai.
Ham sabhi jante hai ki aaj ke time me Smartphone ek Popular Device hai and har koi Smartphone ko sabse jyada Use me lata hai. Websites me aane vala mostly traffic bhi mobile devices se hi aata hai. Isiliye Google ne apna New Project AMP start kiya because Website ka Loading time se bhi uske Traffic par bahut jyada effect padta hai.
Google ka AMP project ko start karne ka main Goal ye hi hai ki vo apne users ko ek Best Mobile experience de sake and kisi bhi Type ki Website har kisi Mobile Device me bahut ki kam Time me load ho jaye taaki Users ko Site open hone ke liye wait na karna pade.
Google AMP product manager ke according ek AMP-coded page ka load time 0.7 seconds hota hai jabki Non-AMP pages ko open hone me maximum 22 Seconds lagte hain jiske karan Site ke Traffic bahut hi Low ho jata hai.
#2 Google AMP Work Kaise Karte Hai ?
Google AMP ek Open Source framework hai, basically ye HTML ka faster version hai jise AMP HTML kaha jata hai. AMP pages ko javascript se Optimize, CSS3 se customize kiya jata hai and Sabhi AMP Pages cached hote hai yaniki Jab bhi Website me AMP Pages enable hote hai to Website ko open karne par site ke Sirf main Contents hi load hote hai jisse Site fast load ho jati hai.
AMP Page me jitne bhi extra widgets hote hai wo load nahi hote, usse site ki speed bhut fast ho jati hai.
AMP ko 3 Parts me Divided kiya gya hai.
1. AMP Html
AMP Html bhi ek Html language ki tarah hai but AMP Html ko customize karke Tyaar kiya gya hai. AMP Html page me bhi Regular Html tags add kiye gye hai but kuch Html tags ko AMP Specific tags se Replaced kiya gya hai.
(EX. <img> ko <amp-img> se replace kiya jata hai)
in Custom Tags ko AMP Html Components ka name diya gya hai.
2. AMP JS
AMP JS Library ka work AMP Html Pages ko Fast Render (प्रस्तुत) karne ka hai.
3. AMP Cache
AMP Cache ek Proxy-based delivery network hai jiska work AMP Pages ko Deliver karne ka hota hai. AMP cache AMP Html pages ko Fetch and Cache karke pages ki performance ko automatically Improve karta hai.
#3 Google Ne AMP Ko Kyu Create Kiya ?
Google ka AMP Project ko Start karne ka main maksad ye hi hai ki users ko ek fast Load speed dena chahte hain because aaj ke Time me Google ka Other Search engines se ek serious Competition hai and agar Google apne Users ko Search Result ke Through kisi Website ko access karne ke liye ek Best speed deta hai to Google Easily apne Market Share ko maintain kar sakta hai.
AMP create karne ka Other reason Logon ko Mobile Web ki taraf Attract karna hai. Because Google ki Khud ki kuch Top Mobile Installed Apps hain joki unke Market Share ka Bhi Source hai isliye jitne jyada Mobile users Increase honge Utna hi Benefit Google ko Bhi milega.
#4 Google AMP Se SEO Par Kya Effect Padta hai ?
AMP Search Engine ranking factor nahi hai and agar aap apni Website me AMP use karte hai to search Ranking me aapko kuch jyada fayda nahi hoga because Search Ranking ko Better karne ke liye aapko sabhi Factors ko Follow karna hoga jo Ranking ko Increase karne me helpful hote hain.
But agar ham baat kare Website ke SEO ki to Speed matter karti hai because agar aapke site ki Loading Speed best hai to Traffic bhi Best hi hoga and aapke site me Organic Traffic increase hoga. AMP ke Faster Load ki help se Site ka Traffic and Bounce Rate bhi kam hoga.
Search Engine Optimization ke liye Website ka Responsive/Fast Loading hona bahut jaroori hai and Google AMP ka work hi website ko Responsive bnane ka and fast load ka hai. So AMP ko Use karne se Site ke SEO par bhi Good Effect padega.
#5 Google AMP Ke Advantages (फायदे)
Google AMP Mobile users ke liye bahut hi faydemand hai because AMP Pages Enable sites ka Load time and Performance Non AMP Sites se Better hota hai and ham jante hai ki 70% People Mobile se hi Web Surfing karte hain.
agar koi Site Open/Load hone me bahut time leti hai to koi bhi Us Website ko Open karna pasand nahi karta. AMP ki help se User Easily Website ko Surf kar leta hai.
Website ki Performance and Load Time better hone se Website ka Organic Traffic Increase hota hai joki Publishers ke liye ek good Income generate karne ka Best source hai.
#6 Google AMP ke Disadvantages (नुकसान )
Google AMP Project Ads ko support karta hai it means AMP pages me aap Ads ko bhi add kar sakte hain but AMP ke use se Mobile se hone vala Revenue limited(सिमित ) ho jata hai because AMP pages only main contents ko hi Load karta hai joki ek bahut hi bada Disadvantage hai.
AMP Google Analytics ko bhi support karta hai but Analytics ko AMP me add karne ke liye Different tags ki Requirement hoti hai jinhe pure AMP pages me implement karna hota hai jisme bahut saara Time lagta hai.
7) Google AMP Other Information
- Google AMP Project ke baare me kuch Aur janne ke liye ampproject.org
- Google AMP Demo dekhne ke liye g.co/ampdemo
Conclusion
Google AMP abhi new project hai, jisme abhi bhut se problems bhi hai jinko sahi kiya ja raha hai.. to aese me agar aapko coding ki sahi jankari nahi hai to aap khud se kuch bhi code edit karke AMP implement naa kare..
Agar aapka Blog WordPress par hai to aap AMP Plugin ko install karke kar sakte hai. or agar blogger part hai to aap Blogger AMP Template use kare.
Mai aapko Recommend karunga ki aap apne Site ke Pages (About us, Contact us) par AMP ko implement kare aisa karne se aapke Site ki Search Engine Ranking me Improvement hoga.
Blogger me amp template ko kaise lga sakate h aur kaise set-up karenge is par sir article likhiye ya video banaye n plzzzz
Bhai kya aap bata sakte hain ki aapne kaun sa amp plugin use kiya hai
Wpforamp
sir agar amp use krege to speed to increase ho jta hai but ad nahi aaega to earning kaise hoga .
Amp ke ad code alag hote hai hai.. Wo lagana padege..
Good Sir But Yeh UC Browser Me Kaam Nahi Karta He
But Sir Website Par Bhot Saari Image Jo You Wuse Open Hone mE ThoDi De Lagti
Wuse Visiter Ko Kaafi Problem Hoti He
Agar me bus kewal meri 5 Post ko AMP karu to ho payega ya sabhi ek sath hogi
haa aap kar sakte hai.
Helllo sir Google amp page ke error ko theek kaise kare . Please write this article
uske liye aap Google Search console me check karege to waha batate hai kya problem hai.. uske liye aapko coding ka knowledge hona jaruri hai..
Very nice and useful
Thanks
Sir maine AMP Plugine ko use kar ke Deactive kar diya tha. par mere website ka search result AMP ke saath aa rha hai aur open karne pe error so ho rha hai. Kya ye Khud sahi ho jayega ya Phir iske liye kuch karna padega.
Sir AMP Version Ko Blogger Par kaise Setup Kare ….Because My Site Is On Blogger
Sir meri commint ko delete q kya …
Maine try kya that kih Amp wala blog koe proxy per open nahi hota just for importation…! Btaya sir sorry sir
brother mene koi copmment delete nahi kiya.. bhut se comment abhi pending me hai .. aapka purana comment bhi pending me hoga..
proxy ka jo aap puch rahe hai to usme bhi hoga.. usse koi fark nahi padta
Very nice information sir. Ye bohot jaruri jankari Hai. Thanks for sharing.
Sir article bohot acha laga. But, mujhe aap ye bataye k Kya amp version use jarne me faida Hai..? Normal mobile version se koi nuksan to nahi.
Mobile version me bhut si aesi chije bhi load hoti hai .. par AMP me only article jiski baja se wo bhut fast load hota hai.. par kam chije load hoti hai usse jese widget load nahi hote to thoda wo nuksan hai..
nice information ! thank you
Sorry for 2nd comment. mujhe ye bhi pata karna hai ki onesignal kaise lagate hain.
wordpress par aap inki plugin install kar skate hai.
Bhai maine amp lagaya tha blog par. lekin ads show nahi ho rahe the amp lagane ke baad. ab maine usko hata diya hu. par ab bhi kuch posts me amp show raha hai. kya karna chahiye.
Wp for AMP plugin install kare.. usse aap AMP ki bhut si setting kar sakte hai.. ads bhi wahi se lagege..
Useful information about AMP. sir mere blog ko check kijiye aur kuch tips dijiye plz.
@Hi
Bahut hi achi jaankari hai mujhe abhi tak blogger me amp configure karna nahi aaya hai aur maine iske bare me bahut research bhi kiya hai par mujhe kuch samjh nhi aaya hai agar aapko pata ho to ek post iske bare me bhi likhiye.
wordpress me to AMP ke liye plugin hai.. simple usko install karke AMP enable kiya ja sakta hai. Blogger par abhi muskil hai.
Great guest post . Thank you bahoot badiya jankari deney k liye .
ekdam nayi jankari
Kya blogger ke liye AMP Available hai.
AMP sabhi par empliment kar sakte hai.. par wordpress me jese plugin install karke kar sakte hai aesa blogger me nahi kar sakte.. isme hame puri coding karni padegi.
nice post rohit bhai Theem kyo change kardi bhai
nahi brother.. newspaper theame hi hai.. uske mobile version ko hataya hai..
रोहित भाई मुझे गेस्ट पोस्टिंग करनी है आपकी वेबसाइट पर कृपया इसका प्रोसेस बतायेंगे? मेरी वेबसाइट है dailyvirtualassistants .com
Guest Post ki jankari aapko yaha milegi.. aap ye link website ke last me bhi dekh sakte hai.
Hi sir mera naam kavyansh hai Maine abi apny new blog khila hai jo WordPress par hai mey Abhi ess field mey new ho. Aapse ek help chaiye isliye comment kr rha ho.
Sir mere blog customer care number pr hai Mujhe apne blog ki post key kuch mey text ads lagani hai Kya aap bta skty hai ads ka code Kha paste kro jo ads post key bich mey dikhy
Nice and Complete Information…
Article read karke bahut hi achhha laga
Hello Rohit Sir :)
Kaafi Accha Samjhaya hai Apne AMP ke Bare Me.
Mera 1 Question hai Jab mai Apne Blog Me AMP Use karta hu to Google Webmaster me Pata nhi Errors kyu aane lag Jate hai
Agar AMP ke kuch error hogi to error to batayega hi.. aapko wo samajni hogi kya error hai fir unko tikh karna hoga.. mere me bhi bhut error thi jo mene waha se dekh kar sahi ki.
Awesome post Seo ke hisab se to sahi hai lekin isey earning par fark padta hai :)
earning par fark padega hi agar Ads ki location or use change hoge to..
Kya hum google se download kiya huwa copyright Image youtube par use kar sakte hain??? kya koi copyright strick to nahi aaiga???
Me google me kisi site ke title me amp dekhTa to sochta tha iski vajah se hi yaha site rank hue hai lekin aapne sara dought hi clear kardiya thanx sir You ArE gREate *”
sir very best…!
AMP me sir ik problem ya hai Kih jo user proxy use karte hai kisi waja se to is per opne nahi hoti kuch pahle me kproxy.com use karta to aap ke site open nahi hoti. per mene ik aut site cheack kya amp wala wo be open nahi hote…
but ja proxy ko remove kya tab site open hwa…
sir me kemri me rahta hun ye uttar pardesh me hai me yahan ke bank of baroda ka swift code nahin pata kar pa raha hun plz aap bata dijiye
Mai kisi bhi site checker tool Me Apna Blog Dalta Hu To ‘No Data Available Kyu Ata Hai.
best and useful article. Main bhi try karke dekhta hun. Thanks for Sharing Rohit…
Sir WordPress blog ke liye badiya theme bataye jisse pnb ATM card se purchase kiya jaa sake
Rohit bhai mai godaddy se domain renew kar raha tha us samay mere account se balance kaat liya gaya lekin domain renew nahi hua tha,Aur ab 1 month ho chuke hai lekn mera balance wapas nahi hua hai mane bhut bar call bhi kiya lekin godaddy wala aaj kal subah saam kah kar bahana banate rahte hai.So aap meri kuchh help kar sakte ho.
Brother.. agar wo khe rahe hai to wapas karege.. baki isme direct kuch nahi kar sakte.. haa agar nahi kare.. to ab call karke ye bhi bol dena.. agar nahi karna hai to direct khe dijiye..
Rohit sir & Atul sir google amp ke baare me achhe se bataya hai aapne,, es post me aapne amp use karne ke fayde aur nuskan dono ko bata diya ye mujhe achha laga. Thanks for sharing this knowledgeful post,, #HindiBlogger
Bahut hi accha post hai bhai
This is very good information for new blogger,
Thanks For Sharing This..
rohit bhai, Mai jitne bar AMP Use karta hu. Utne bar traffic kam ho jata hai aur Web Master tool me AMP Bahut kam Index Bhi kar rha page ko
brother jitni war se kya matlab hai.. aap wordpress me to plugin install kar dijiye aapka kaam khatam.. baki google me index hone me thoda time lagta hai..
Rohit bhai apne likhna kuch km kr diya hai aap himmat n hare sabhi apke sath hain
nahi brother.. himmat haar jaye ham unme se nahi.. wass abhi thoda dusre kaam me jada busy hu.. baki jald hi aapko badiya article milna start hoge..
bro ye site check kare
3 month pahle maine use kiya bust iska add problem se hata diya bahut badhiya aapne aaj iske bare me post likha
Brother.. abhi kuch errors hai.. ummid hai google unko jald hi fix karege..