Aaj ki is post me main aap ko Google ka ek popular feature ‘I’m Feeling Lucky’ button ke bare me batane ja raha hun aur sath aapko iska use karna bhi bataunga. Is button ko aap ne Google ke homepage pe jarur dekha hoga lekin kya aap iske bare me jante hain? Agar nahi to chaliye jante hai iske bare men.
Page Contents
Kya Hai I’m Feeling Lucky
Google ke home page par do buttons hote hain pahla hota hai Google Search ka jo search results ki list ko aap ke samne rakhta hai aur I’m Feeling Lucky button us search results ki list me se sabse pahle link par aap ko sedhe redirect karta hai ya pahunchata hai.
Iske faide aur nukshan kya kya hain?
Ye button aap ke liye tab faidemand hai jab aap ko vishwash ho ki Google par aane wala pahla search result aap ko usi page par le jayega jahan par aap jana chahte hain. Is tarah ye aap ke time ko bachata hai.
Aur agar aap ko iske pahle search par wishwash nhi hai to iska use mat kijiye kyoki isse aap ka time waste ho sakta hain.
Ye Bhi Pade:
- Google Hum Par Kaise Rakhta hai Najar [Google Tracking]
- 10 Interesting & Amazing Google Facts Jo Aapko Nahi Pata Hoge ;)
Iska kaise istemal Karen?
Aaj kal iska istemal karna thoda muskhil ho gaya hai kyoki ab aap apne Google search box me kuch bhi type karte ho to ye fataphat results dikhane lagta hai aur phir ye button aap ke samne nhi aap pata. Aur is feature ko Instant Search Kahte hain. To aap koi se use karne ke liye Instant Search feature ko off karna hoga.
Google Instant Search ko Off kaise kare
Ise off karne ke liye pahle Google ke homepage par jayen phir Settings par click kar ke Search settings par click Karen.
Uske bad ek page open hoga usme Never show Instant results par check Karen phir Save par click kar ke Instant results ko off kar den.
Phir kya ab Google par ja kar apni manchahi site ka nam type Karen jese – Hindi Me Help, FB, Youtube … aur I’m Feeling Lucky button par click Karen.
Uske bad aap sidhe uspar redirect ho jayenge.
- Aap Google me bina kuch type kiye agar is button par click karte hain to aap Google ke Doodles service ki site par pahunch jayenge.
- Agar aap Google me Pacman type kar ke is button par click karte hain to Pacman wala game khel payenge.
- Agar aap Google me Google Sphere type kar ke is button par click karte hain to Google ka homepage gol gol ghumne lag jayega.
- Aur agar aap Google me Google Gravity type kar ke is button par click karte hain to Google ka homepage tutkar 0 gravity me pahunch jayega.
Dosto mujhe ummid hai aap sabhi ko meri ye post pasand aai hogi. Agar pasand aai hai to ise apne friends aur relative ke facebook, twitter aur G+ par jarur share Karen.
Ye ek Guest Post hai HMH.pe agar aap bhi Guest post karna chate hai to yaha click kare..
Dusri Guest Post ko padne ke liye yaha click kare
Ye Bhi Pade:
Bahoot hee badhiya. But aap mujhe reply kyu nahi karte ho instagram par ?
Hello rohit ji..
Mera blog par domain puri taraha se kaam nahi karta hai kyu? Aap jara check karke bataiye…..
Rohit Ji, me YouTube se AdSense add jar chuka hu ads bhi display ho rahe hair par estimate earning $0 kyo bta raha hai…
Or total earning me $ show ho rhi hai..
2. Or me AdSense par apna bank account kab add kar skta hu.. Abhi not select show to raha hai
Hello Rohit I want to know which theme you are using for HMH
Newspaper
please check my blog
acha blog hai aapka.. bas kuch widget hai jo khali khali lage muje..
permalink kaise badaye blog mein
post editor ke bagal me aata hai uska option
whattsapp chat ko pdf file kaise banaye? printout nikalne ke liye.
Aap usko email psr send karke kisi bhi formate me badal sakte hai..
Bro me achha blogger banna chahta hun kuch logon ki online help karna chahta hun pehle blogger banne ke liye kiya kiya sikhun aur blogger ke rulls hote wo bhi btaye bro aur blogger banne ke liye pehle kiya karna chahiye
Aap BLog banaiye.. or aap blogging ek din me nahi sikh sakte.. aapko sikhte rhana hoga jab hi aap blogging me bane rha sakte hai..
Hi Bro me achha blogger banna chahta hun kuch logon ki online help karna chahta hun pehle blogger banne ke liye kiya kiya sikhun aur blogger ke rulls hote wo bhi btaye bro aur blogger banne ke liye pehle kiya karna chahiye
bhai ye rply aapne kiya h kya
hey, sorry par abhi aapki site par koi data nahi hai
to wo kaise work karegi wo sahi se samaj nahi aa
raha.. to me aapki post ko publish nahi kar sakta..
Thanks
mene shootmysite par abhi 1 hi post lga rakhi h lekin kya kya change karna h aap bta do ya phir kya data lgana h details me bta do taki me ye post aapki site par lga saku ………
plz jaldi btaye
mera khane ka matlab tha amit ji ki aap logo ka data collect karna chate hai.. jo log form fill karege uski madad se..
Agar me kisi chij ko apne blog par promote karta hu to uska charge leta hu.. sath me jo me promote kar raha hu wo muje samaj aana chaiye ki mere kisi user ko usse koi nuksan na ho.. or aapke blog me aapne data collect kar rahe hai.. par me sahi batao to me isliye nahi kar sakta q ki agar wo data ka galat use kiya jaye to bhut logo ka nuksan ho sakta hai.. jo me bilkul nahi chata..
Wow yeh toh myje pata hi nahi tha bhai thanks for this article. By the way aap meri website me chek kro..jo theme me use kar raha hu kiya woh sahi hai ya fer koi or lagaa lu..agr or koi bdya theme hai toh ap suggest kijye .agar ap sochte hai ke muje theme change krni chahye
acha hai or fast bhi.. :) aapka blog
Thanks bhai.
Thanks Bro Ye Article Share karne ke liye.
kyuki issey pahle mujhe nahi pata tha iska use.
Thanks Haider