Study complete karne ke baad achi Companies me Job karne ka sapna har kisi ka hota hai, or aese me agar Baat kare Google ki to bhut logo ki ye Dream Job hai..
Wese to Google me Job Milna itna aasan nahi hai, par agar aapne Talent hai to aap ke liye itna muskil bhi nahi..
To chaliye Jante hai agar Google me Job karna hai to uske liye Apply kaise kare or kaise Job ke liye selection hoti hai or kya uski puri process hai.
Google Job ke liye Apply or Naukri Milne ki Process
Agar aapko Google me Job karna hai to sabse pehli baat to ye ki aap uske layak ho or dusri baad ye ki jis post ke liye aap Job karna chahte hai uske liye Google me Job uplabd ho.
Google me Job karne ke liye IIT, NIT ya kisi top university se study karna jaruri nahi, agar aap me Talent hai to aapko badi aasani se Job mil jayegi.. Iska Example hai Mumbai ka ek Ladka jo kisi Normal College se Engineering ki jinko Google ki taraf se 1.2 Crore ka Package mila.
Google me Naukri pane ke liye in Steps ko flow kare
Step 1: Google me Job pane ka soch rahe hai to sabse pehle to Google me Dekhe konse konse job abhi uplabdh hai or unki kya requirement hai.. jiske baad jo bhi aapke liye suitable Job ho uske liye aap Apply kar sakte hai.
Google me Jobs Search karne ke liye aap yaha jaye, or jo bhi aapke liye sahi suitable ho usko search kare.
Step 2: Job search karne ke baad, agar aapko aapke layak koi Job mil jaye to aap uske according apna Resume banaye.
Ek badiya Resume kaise banaye Google me Job ke liye uski Help ke liye Google ne Video bhi banaya hai.. aap usse Tips se sakte hai.
Inn Tips ka use karke aap Apna Resume bana sakte hai..
Step 3: Job Resume Ready ho jaye wo Google me submit karna hai.
Submit karne ke liye Google ne uska Form de rakha hai.. yaha dhiyan rakhe, jitne sahi tarike se aap apni detail or resume submit karege utne hi jada chance hai ki google ki taraf se aapko jaldi respond aaye.
Dhiyan rakhe aap ek mahine me 3 se jada war apply nahi kar sakte.. isliye kosis kare sahi tarike se ek hi baar me apply kare.
Step 4: Google ki team aapki application ko review karege, fir agar unko laga to wo aapse contact karege.. fir call ya Video Chat ki meeting fix ki jayegi.
Call par Google ki taraf se aapke ware me or jada jana jayega, aap kya karte ho, Aapka Interest kisme jada hai, Google me aap q join karna chahte ho or jin chij ke liye Google me aapne apply kiya hai uske liye aap kya mayne rakhte ho..
Iss tarah aap se Call par baat karne ke baad agar Google Team ko laga ki aapko ek step aage badhaya jaye to fir aapko Interview ke liye Invite kiya jayega.
Step 5: Google me Interview ke liye bhi kuch tips or guidelines di hai.. jiski madad se ham Google Interview ki teyari kar sakte hai.
Google ke Interview ki tayari karne ke liye Google ne kuch Tips bhi di hai wo bhi dekh sakte hai.
Interview ki teyari aapko tikh se karni hogi..
Google me Job ke liye jo Interview 45 minutes ka hota hai.. jisme ek Question iss tarah ka hota hai jisme 30 minutes tak lag sakte hai..
Google Interview ke liye jaruri bate:
- Aapne jo bhi Question puche jaye wo confident se jawab dena hai.. Q ki wo ye check kare ki aap bolne me or problems ko handle karne ke kitne layak hai.
- Aapko Desh Duniya ki jankari honi chahiye ki kaha kya chal raha hai.
- Aap Google me Job karne par aap me ek Leadership ki quality honi chahiye, taki kabhi bhi project me aap kaam karo to aap apna contribution usme do.. ye nahi ki sirf orders follow karo.
- Dusro se kaise Behwar banate ho or dusro ke liye aapki kis trha ki soch hai wo bhi check ki jayegi.
- Kisi bhi cheez ko kitne imandari se karte ho wo bhi aap ki bato se samajhne ki kosis ki jayegi..
Iss tarha ki bhut si bate wo samaj lege aapse 45 minutes ke interview me, uske baad agar unko lagega ki aap Job ke layak hai to wo aapki puri detail unke High authority ko transfer kar dege.
Last me agar aapki sabhi cheez dekhne ke baad agar unhe laga ki aap Uss Job ke liye best ho to aapko Job ka Package offer kar diya jayega jo Normally 0.5 to 1.5 Crore ka hota hai.
Google Kaise Hire karta hai or ache se samajhne ke liye aap niche diya video bhi dekh sakte hai.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai Google me agar Job karna hai to uske liye kya jaruri hai or Kis trha Google me Job ke liye Apply kare or kaise Google me Job milti hai.. To agar aap Google me Job ke liye Apply karne ja rahe hai to Best Of Luck..
Agar aap India se hai to aapko ye bhi pata hona chaiye Google ke India me kaha kaha Office hai.
very nice and informative article
Bhai aap bhi ek bar googgle me apply kro yr … fir uski jankari share krna group me and website pe
sir mujhe ek achi theme buy krni hai mai kaha se lu plz suggest me..
aur kaun si theme achi hai fast loading ke liye plz baateye…
Nice article 👍
Thanks for sharing 🙂
Thanks bhai bhahut badiya article hai
Google jobes ke bare me aap ne achi jankari batai he.
Thanks for sharing it loved this article
Aur Bhai kya student bhi apply kar sakte hein google job ke liye??
good post, very interesting content. keep it up.
Very nice information Rohit Bhai. You are really doing good job. ThankYou
Sir ji aap bahut ach article likhte ho mujhe bahut acha lgta h
Thank you, sir, for such a contentful post!
Mast post bhai
Thanks very good information.
Nice Information Keep Sharing
NICE Information Sir
Sunder Post brother!
thanks again ! you always best
Dhnayavad sir,
Mujhe ye article bht pasand aaya
but sir video me problem aa rhi h
thank you
good artical
Google me job milna bahut hi mushkil hai. Lekin aapke dvara di gai jankari se logo ka confidence kafi had tk badhega .
nice articale sir
You have shared good information about how to apply jobs in Google. Sir, Thank you for sharing your information.
Nice article rohit brother
bhai videos nahi chal rahi hain
amazing artcie sir
vry useful blog
nice post bhai
brother jinko english nahi aati hai wo bhi iss job ke liye apply kar sakte hai kya ?
Carrer google me bnaya jaye isse achchhi baat kya ho sakti hea. Google me career bnana aasan baat nhi hea. Isliye mehnat se tayyari karne ke sath sath aapke btaye trike pr bhi kaam kiya jaye to safalta jrur milegi.
Thanks for share..
Great Post,
Nice articles bahut kam log ayesi information dete hai
Bahut Bdiya Bhai Sahab
sir apne apni ye site kis chij par banyi hai wordpress ya blogger
बहुत अच्छा लगा की google मे naukri kaisi मिलेगी |
भाई आप एक्टिव क्यों नही रहते वेबसाइट पे, इससे आपकी Site की value कम हो रही है।
Sir Bahut achha article likhe ho……or aapke sabhi article help hote hai
Bahot Hi helpful article hai sir.
Ye ek nayi job batayi aapne.
Nyc bhai
sir aap bahut achhe article likhte ho
Hello Sir Help Chahiye Big Request….
Sir Main Apne WordPress self Hosted Blog me Newspaper theme upload kar rha hu…
Aur mere wordpress me maximum file uploading limit 8 mb hai aur is vajah se maine ise Cpanel se Install kiya aur activate bhi ho gya hai lekin…
Ab is theme ke recommend plugins ko fir install kr rha hu to ye install hi nahi ho rahe hai sir aur error me bta hai….
Theme is missing the style.css stylesheet error..
Please sid Help Me…..Maine sare kosis kr liye aur akhiri me aapke pas aaya hu ….I hope aap meri madad jarur karenge….Thanks
Career Me Aage Badhne Ke Liye Apne Bahut Hi Badhiya Opportunity Batayi Hai Sir. Iske liye Mai Jarur Try Kruga.
Thankyou Sir.
thanks for share ..mai aapke website regular viewer hai …
thanks sir i love you!
bahut hi unique jankari sir,,, google me job sach me logo ka dream job hota hai par bahut jada talent ki jarurat hai..
Woow bahut hi badhiya jankari diya hai aapne . log google me job paane ke liye sapna dekhte hai aur is post se sapne ko hakikat me badlne me help milegi. thanks once again to you
bahut badhiya jankari di hai
Great Thanksgiving my bro Rohit
starting mai spelling galat hai, complete aana tha.
Thanks Bhai batane ke liye.. :)
Thank u… Sir bahut badhiya jankari Di hai aapne… Dhanybad sir…..