Hello Blogger, ek baar fir se swagat hai aapka HMH jaha aap ko milti hai Internet ki jankari Hindi me!
Mere Paas aaye din ye sawaal aata rehta hai ki ke konsa Tool use karta hu, to konsi Theme or Plugins use karta hu.. konsi hosting ya konse software use karta hu HindiMeHelp ko manage karne ke liye, to mene socha q naa sabhi sawalo ka jawab ek baar me hi de diya jaye.
To chaliye start karte hai or jante hai HindiMeHelp ke liye kya kya use karta hu.
Page Contents
Me Kya Use karta hu HindiMeHelp ke liye [Full List]
Abhi me aapko har wo Tool, Accessory, Software or Gadgets ke ware me bata raha hu, jo me use karta hu HMH, ummid hai isse aapko jarur help milegi.
*Jitne bhi Tools me use karta hu, sabki link mene di hui hai.. taki aapko pareshani na ho :)
1. HindiMeHelp Website Tools
WordPress Platform: HindiMeHelp WordPress CMS par Self hosted hai.. (WordPress website kaise banaye)
Godaddy Domain: Website ko banane ke liye jo sabse pehli chij Accha Domain, jisko mene Godaddy se liye hai. Badiya Domain kaise select kare uski Tips aap yaha read kar sakte hai.
WPX Hosting: HMH abhi WPX par hosted hai, jo thodi mehgi to hai par uski service achi hai to sasti hi lagti hai. agar aap sasta or badiya hosting ko search kar rahe hai to aap cloudways ko use kar sakte hai.
Cloudways Hosting: Cloudways Hosting HMH par pehle use ki jisme koi paresani nahi aai, par wordpress managed hosting cahiye thi isliye website ko sift kiya. .. par agar aap new hai to Hostgator se bhi le sakte hai. (Cloudways par WordPress kaise Install kare)
Generatepress Theme: Abhi jo HMH ka design hai wo generatepress theme se hai.
Newspaper Theme: ye theme abhi jo theme hai usse pehle install thi.. par agar aap dusri theme lena chahte hai to me recommend karuga Genesis Framework WordPress Theme or StudioPress WordPress Themes.
KeyCDN: Content Delivery Network jo ki ek fast loading website ke liye bhut jaruri hota hai. Agar aapki WordPress website hai to jarur use kare.
Letsencrypt SSL: Google Algorithm update aane ke baad, SSL hona sabhi sites ke liye bhut jaruri hai.. Me Letsencrypt use karta hu jo free hai.
G Suite Email: Professional Email ke liye me G Suite use karta hu, wese to hosting se bhi free me bana sakte hai, par yaha se Google se sabhi product ka access mil jata hai to ₹150 monthly koi bure nahi. Free Professional Email Kaise banaye uski jankari aapko yaha mil jayegi.
DMCA Protection: HMH Website ke content ko copy hone se bachane ke liye.. DMCA ki adad se koi bhi copy karta hai content to uski report karke remove kara sakte hai. DMCA Kya hai wo aap yaha jaan sakte hai.
2. Plugins konse use karta hu HMH.pe
Ye kuch plugin jo me use karta hu, uske aalawa WordPress ke liye Jaruri plugin ki list aap yaha dekh sakte hai.
Wp Rocket Cache Plugin: WordPress Website ko fast load karne ke liye Cache plugin sabse jada jaruri hoti hai.. Agar aap WP Rocket use karte hai to uski sahi setting kaise kare yaha di hui hai.. ye Paid Plugin hai.
agar aap abhi paise nahi lagana chate to Free Cache Plugin bhi use kar sakte hai – W3 Total Cache, WP Super Cache, WP Fastest Cache.
One Signal: Website ki Push notification ke liye me onesignal ka use karta hu, jo bilkul free hai.
Yoast SEO: Post likhte time SEO analyse karne ke liye iska use karta hu.. Agar aap bhi use karte hai to Yoast ke sabhi Signal Green kaise kare uski jankari yaha di hui hai, wo bhi jarur read kare.
Pretty links: Kisi bhi likh ko short karne ke liye iska use karta hu.. ye Affiliate links ko manage karne ke liye bhi best hai.
Imagify: Blog post me Image add karna bhut jaruri hai, par utna hi jaruri hai Image ko Optimize karna or Image SEO karna.. Image ka Size kam karne ke liye me Imagify plugin ka use karta hu, jisse image compress ho jati hai to site speed me fayda milta hai.
Akismet Anti-Spam: agar aapki website hai or thodi bhi popular hai to Spam comment aana to conform hai, to unse bachne ke liye Akismet Anti-Spam best hai, taki site par sirf ache Comment hi aaye. Jab WordPress install karte hai to starting me ye install hi aati hai.
JetPack: JetPack Plugin Automatic company ne hi banai hai, jinhone WordPress ko banaya hai.. iss ek blogin se bhut se function chalu kar sakte hai website me.
Contact Form 7: HMH.pe par Contact Form banane ke liye iss plugin ka use karta hu, taki jo bhi contact karna chahe wo kar sake.. Mene iss Plugin ki madad se Contact Form, Request Post Form or Guest Post Submit Form banaya hai.
Updraft: WordPress site ka regular Backup lena bhut jada jaruri hai, Jo Backup nahi lete wo samjo apni gardan par talwar latka kar kaam kar rahe hai, Q ki agar site me kuch bhi gadwad hui to sari mehnat par pani phir sakta hai.
HindiMeHelp Hack ho chuki hai, ek war or meri laparwahi ke karan mera uske nuksan bhi hua, q ki backup purana tha mere pass.
3. Software konse use karta hu
Lere Laptops me bhut sare software jinka laga alag kaam hai, unme se ho HMH ke liye use hote hai wo ye rahe:
Chrome Browser: Website chalane ke liye Browser ki jarurat to padti hai hai, or Google Chrome mera sabse pasandida hai.. Ye muje jada q pasand hai uske ye kuch karan hai: sync ho jata hai all device me, Multi user login kar sakte hai, Extension add kar sakte hai apne kaam ko aasan banane ke liye. 50+ Chrome Extension for Blogger
Brave Browser: ye Browser bilkul chrome browser ki tarha hai, par isme hame apni privacy ko bachane ka option milta hai, jo ki Chrome me nahi milta kyu ki ye Google ka Product hai or google hamare data ko uske fayde ke liye use karta hai.
Camtasia: Video Editing ke liye me Camtasia use karta hu.. wese Sony Vegas or Adobe Premiere Pro or Filmora bhi ache hai.
Snagit: Snagit Software bhi techsmith company ka hai jinka Camtasia hai. Iski madad se Screenshot lena bhut aasan hai q ki iska widget screen ke side me rehta hai, or arrow hai wo bhi issi se lagata hu image par.
Photoshop: Photo Editing ke liye sabse Best Software hai, or agar sahi se isko chala aa jaye to koi limit hi nahi hai kya kya kar sakte hai isme.
Filezilla: ye FTP Clint hai, to hosting ke file-manager ko computer par access karne ke liye iska use kiya jata hai.
Audacity: Audio ki quality achi hona bhi bhut jaruri hoti hai, to jitne bhi mere audio hote hai wo me unke andar ka sor saraba khatan karne ke liye iska use karta hu. ye software bilkul free hai.
Team Viewer: Ek Computer se dusre computer ko remotely use karne ke liye iss software ka use hota hai. Ek Computer Ko Dusre Computer Se Remotely Operate kaise kare uski jankari aapko yaha mil jayegi.
Skitch: Photo ke upar read color ke highlight text or arow ke liye iss software ka use karta hu. ye Evernote ka hai jo bilkul free hai.
4. Sites konsi use karta hu
Badiya Website ki Internet par bharmar hai, me 101 Most Useful Website ki list phele share bhi kar chuka hu, par ho HMH ke liye jada use karta hu wo ye rahi..
kraken.io: Website me jitni bhi image upload karta hu, unka size kam karne ke liye iss website ka use karta hu.. har ek image ko upload karne se phele iss website se compress jarur karta hu. Image Compress kaise kare uski detail jankari aapko yaha mil jayegi.
DropBox.com: Ye Online Sharing n Storage website hai, jisko me HMH ka Backup save karne ke liye bhi use karta hu.. me jo Updraft plugin use karta hu backup ke liye usko mene setup kar rakha hai ki automatic DropBox me backup save ho jaye.
*Mene DropBox ka Software bhi computer me install kar rakha hai, jisse website ka backup automatic computer me aa jata hai.
bit.ly: Jitni bhi badi or ugly URL hote hai unko short karne ke liye iis website ka use karta hu.
Pixabay.com: Post ke liye Royalty Free High Quality Image me issi website se leta hu.. iske alawa 11 Free Stock Image website list aap yaha dekh sakte hai.
lumen5.com: Apni Post ko Video me convert karne ke liye me iss site ka use karta hu. Demo Video aap yaha dekh sakte hai.
gtmetrix.com: Website ki loading speed kesi hai, ya kya optimize karne ki jarurat hai wo iss website se check kar sakte hai.. iske alawa pingdom.com bhi badiya hai.
HTML.HindiMeHelp.com: Jab kuch HTML code edit karna hota hai to yaha karta hu, isme HTML Live edit karna bhut aasan hai, q ki uska live result turant niche dikhta hai.
5. SEO Tools konse use karta hu
Ye kuch SEO Tools jo me use karta hu, wese inke alawa bhi hai.. par jo mere pasand ke hai wo me share kar raha hu.
Ahrefs: Ye ek Paid Tool hai, jisme ham kisi bhi website ko analyse kar sakte hai..
Semrush: Semrush bhi kisi bhi website ke ranking keyword pata karne ka best tool hai.
UberSuggest: Ye Bilkul Free tool hai, or agar aapko Keyword nihalna hai or unka search volume or CPC bhi janna hai to aap iska use kar sakte hai. ye samajh lijiye ye Google Keyword Planner ka hi update version hai.
Keyword.HindiMeHelp.com: Muje jab bhi kisi bhi Keyword se related keyword nikalna hota hai to me iska use karta hu.. Simple ek keyword dalke search karo.. usse related hajaro keyword seconds me aa jate hai. Iss Tool ko kaise use kare uski mene share ki hui hai.
Soovle.com: Ye Free website tool hai, jispar ham kisi bhi keyword ko search karke usse related keywords alag alag patform par dekh sakte hai. jese Google, Bing, Youtube, Amazon etc..
SmallSEO.Tools: Iss website par website or SEO se related bhut sare tools hai, jo website ke kaam ke hai.
DropMyLink.com: Iss website ki madad se search karna bhut aasan ho jata hai ki apni backlink kaha banaye.
6. Browser Extension konse install hai
Mere Chrome Browser me 161 Extension install hai, unme se ye kuch jo HMH ke liye use hote hai. Wese agar aap Blogger hai to Aap Best SEO Extension List jarur dekhe.
Keyword EveryWhere: Ye ek Free extension hai, jo kisi bhi keyword ka kitna search volume hai wo bata deta hai.. ye 100% sahi to nahi rheta, fir bhi ek idea to lag hi jata hai.
Emoji Keyboard: Emoji se hi Emotion aata hai message me, ye to aap jante hi hoge. to aese me ye plugin bhi jaruri hai.. Konsi Emoji ka kya matlab hai wo aap yaha dekh sakte hai.
Grammarly: English type karne me Spelling mistake or sentance me koi galti na ho.. or usko check karke sahi karne ke liye Grammarly ka use karta hu.. Ginger bhi best hai. aap dono try karke dekhe. (Must have Extension for Blogger)
Grammarly kaise use karte hai uski jankari yaha hai,
QuickMark QR Code: Ye Extension Mujhe jab bhut kaam aati hai, jab muje Computer me open koi website mobile me open karni ho.. to me iss extension ki madad se uska QR Code generate karke mobile se scan kar leta hu.. jisse mera bhut time bah jata hai.
LightShot: Kisi bhi website ka screenshot lena ho, uspar erow ya kuch likhna ho.. or wo screenshot online hi share karna ho kisi se to ye extension bhut hi useful hai.
The Great Suspender: Jab bhi me kisi topic par research karta hu to normal 50-60 tabs open ho jati hai browser me, aese me computer ka slow hona normal hai.. par iss extension ki madad se jo tab kuch time tab active nahi rehti wo suspend ho jati hai.. jisse browser par jada load nahi padta.
TubeBuddy: Ye Youtube ke liye best extension hai, jiski madad se kisi bhi Video ke tags dekh sakte hai.. uske aalawa bhi bhut kuch data isme pata chal jata hai.
7. Gadgets konse use karta hu
Gadgets to waise bhut hai, q ki muje sok hai Gadgets collet karne ka, ye kuch gadgets jo HMH me kahi na kahi kaam aate hai.
iPhone 12 Mini: Ye Mera Primary Phone hai, jisko me apne Personal use ke liye use karta hu.
iPhone 6: ye mera old phone hai, jo me sirf office ke liye use karta hu.
Redmi Note 8 Pro: Ye Android Phone hai, jisme lagbhag 200 Apps install hai, isko rakhne ka karan ye hai ki iPhone me wo freedom nahi milta ki kuch bhi kar sako phone ke sath.
Wese mere pass 4 mobile hai, par 2 regular use karta hu.. ;)
MI Power Bank: Ek Blogger hu to sidhi si baat hai, Mobile me to hamesa Net on rehta hi hai, to aese me kahi jane ka moka padta hai to mobile ko charge karne ke liye powerbank hona bahut jaruri hai.
mPow Speaker: Work karte time apne mind ko fresh karne ke liye Songs bahut jaruri hai, to aese me mere pass ye portable speaker hai, jo me daily use me leta hu.
Eye Glasses: Computer par regular kaam karne se Eyes par load to padta hi hai, to ussi se bachne me madad karte hai ye Computer Glasses. Agar aapko bhi lena ho to mene Computer Glasses Guide share ki hai.
Logitech Keyboard Mouse: Mere pass Laptop hai, par Type karne me Laptop par maja nahi aata, to uske liye wireless Keyboard or Mouse hai.. Full Paisa vasool product hai, keyboard ki 2 saal ho gaye abhi tak cell khatam nahi hue.
Laptop: Mere Pass 4 Laptop hain Lenovo, Sony Vaio, Dell or Macbook Air , Wese to mera primary laptop Macbook Air hai.. par me sabhi ek sath use karta hu, agar kuch extra kaam hota hai to. Agar aapko Laptop lena hai to Laptop Buy Guide mene share ki hai, usko jarur read kare.
Blue Yeti Mic: Ye One of the best Mic hai, jiski quality itni fast class hai ki me yaha type karke aapko bata nahi sakta..
Boya BYM1 Mic: Youtubers ke liye sabse best or sasta Mic, jisme har wo quality hai jo ek youtuber ko chahiye, jese lambi cable, noise conciliation.
8. Mobile Apps konse use karta hu
WordPress: HMH.pe jitne bhi comment aate hai unko mobile se manage karne ke liye ye sabse best hai, baki or bhi basic chije isse manage ho jati hai website ki.
SwiftKey: Fast or flow me type karne ke liye muje ye sabse best lagta hai, jisko mene sabhi device se sync kar rakha hai, to accuracy achi aa jati hai type karne me.
Youtube: Ye to wese sabhi Android Phone me Phele se aata hi hai, par isko me Usefull Video or tutorial dekhne ke liye use karta hu.
Youtube Studio: Apni Youtube Channel ko manage karne ke liye ye to Must Have App hai.. or agar aapki bhi Youtube channel hai to Youtuber ke liye Must Have Apps ki list jarur check out kare.
Facebook: Facebook ek Social Network hai, par me isko specially apni Blogging community se jude rehne ke liye use karta hu.. Agar aap HindiMeHelp Fb Group me join nahi hai to abhi join kare.
Messenger: Wese me Messanger ko chat ke liye use nahi karta, par mene kuch Bot subscribe kar rakhe hai, isliye iska use karta hu. Aap HindiMeHelp Bot Subscribe kar sakte hai link se..
Google Keep: Post idea ko likh kar rakhne ka ye sabse Best App hai, q ki Google account se link hota hai to har device par wo list ko access kar sakte hai.. jisse kaam bhut aasan ho jata hai.
Blogger ke liye konse jaruri Apps hai uski Jankari HMH.pe phele se hai wo bhi jarur dekhe..
At Last:
Mene to aapko sab kuch bata diya, ab aapki war hai.. aap mujhe comment karke bataye aapko ye jankari kesi lagi, or agar kisi useful tool ke ware me aapko pata ho jo sayad me use nahi karta to please wo jarur bataye..
Agar aapko Jankari Pasand aai ho, to aap isko apne Blogger Friends se share kar sakte hai.. muje khusi hogi ki chalo mehnat safal hui jo kisi ke kaam aai..
Happy Blogging…!
So sorry sir i will give my name for next comment. Really sorry.
Main har din apki website ko read karata hu. Muje apse bahut help milti hai.
aapse request hai.. real name se comment kare.. warna aapke comment approve nahi hoge.. thanks
Nice information for me. This post very very nice.
Bhai aapne is page par 8 ad use kiye huye hain toh kya isse koi problem nahi hogi, kya har koi itne ads use kar sakta hai
mana auto ads lagaye hai.. to wo automatic hi aate hai.
apki ye post hamare jaise blogger ke liye bahut he kaam ki hai thank you so much rohit sir.
Thanks
rohit sir ap encrepyt ssl use karte hai to uske liye plugin really simple ssl use karte hai ya koi or.
really simple ssl hi use karta hu..
Bhaht acchi jankar hai sab nahi btate ye sb thank you
Thanks
Kya list banai hai bro maza aa gaya.
Babut badhiya. Kaafi useful jaankaari hai.
Thanks.
Hello Sir bohut acha Post lekha hai aap ny.
Sir plz, Newspaper theme ki review per bhi aik post publish karo. Aap newspaper theme use kr rahay ho aur mujai pata kai aapka es theme kai sath well experience hai. to agr aap es kai bary mai customization aur review post publish kare tho bohut acha hoga, because es per Google mai bhi bohut kaam post available hai.
bhai iski puri detail aapko Newspaper ke documentation me mil jayegi jo theme ke sath aate hai.. baki aapko kahi kuch problem aa rahi hai to puch sakte hai..
Thank you Rohit Sir,
Mai Google chrome per aap ka website daily use krtha ho, but job wos mai cache jama hothy hai, to apka site wo porana wala load hotha hai jo hum nai pehly open kiya thy aur new posts show nahe hothy. aab mai nay jb apke site ko explorer mai open kiya to new post open hoye.
THank You Soo Much!!
Thanks bhai.. Batane ke liye. Me fix karta hu ye issue..
Your are always welcome Sir,
Sir aur problem ye bhi hai kai aapke site ki full page google chrome mai save hotha hai, I mean agr hum ny Google chrome mai apke site ka aik page open kiya aur wos ko read kr kay close kr diya per agr mai Internet off bhi krdo aur wos page ko dobara open karo to wo internet ki baghair bhi open hotha hai, es waja sy ye problem arahai hai.
Fix it soon…
Thanks Rohit mewada ji apka ye post kafi acha hai isme apne apni personal cheez k bare mai btaya hai jo ap use karte hai apki pasand kafi achi hai jesa ki apka hindimehelp blog hai. aise he tarakki karte rahe once again thanks bhai
Thanks bhai.
kya baat hai bhai mast hai bhao
Bhut badiya sir maza aa gya
Thanks
Thanks bhai. Es post sabhi bloggers ke liye useful hai. Joh beginners hai unke liye toh bahut important hai. Es post ki madat se woh a sab useful tools ke bare main jan payege and unke blog me implement kar payege.
Yup.. kosis bhi yahi thi post karne ke piche..
es post se mere ko bahut jankari mila hai,thnks sir ji
Great
Good information sir
Thanks for sharing
बहुत ही अच्छी जानकारी दी है। सभी ब्लॉगर यह जानकारी प्राप्त करना चाहते थे। Thanks Rohit Ji।
Thanks
bahot badhiya information sir, I’m sure ye sare blogger ki bahut help kregi. Thank you for this post, bahot achaa laga padh ke!!
bahut khub helpful post hai ,
1.) sir mai genesis themes yuj karta hu but mujhe child theme me kaise badle
2.) godaddy ka vps server liya hun but trafic jayada hone se site humesha down ho jati hai kya karu
3.) mere site ko dekhkar bataiye ki speed fast banane ke liye kya karna chahiye
4.) blog me kami kya hai bataiye
Aap vpn use karte hai.. To site down to nahi hona chahiye..
Wese mene godaddy hosting kabhi use nahi ki.. Par uske review jada ache nahi hai..
..
Sabse phele to aap apni site ka database optimize kare.. Or hostgator par sift ho jaye. Ya cloudways jo me abhi use kar raha hu.. Link aapko upar post me mil jayegi.
Website ki speed check karne ki website bhi mene upar batai hai tool me.. Usse check kare ..
rohit bha maza a gay yar ..
itne help kise ne na ki aj tk best information
for new blogers ..
Thanks Bhai ❤️
wah sir aapne to record kayam kar diya…. etna kuchh to koi bhi youtuber ya blogger nahi batata hai… es post me bahut se tools ke baare me pata chala jinke baare me mujhe nahi pata tha… thank u……
Great.. Ki meri mehnat aapke kaam aai..
Very helpful post Rohit bhai
Thanks Bhai..
Bhut Hi Helpful Jankari Share Kiye Ho Rohit Bhai..
Bataye gaye sabhi tools, Plugins, websites, gadgets agar koy sahi se istemal karna sikhle toh next level blogging kar sakta hai.
New or Old 2no Bloggers Ki Kam Me Le Sakta hai. Thanks for sharing 😍
Bilkul Sahi kaha bhai.. q ki mene aese chuninda tools ko hi list me add kiya hai jo apne kaam ke liye sabse best hai..
Bhaiya mere massanger pe link aaya yeh post ka mene pehele socha tha ki mera site toh blogspot me he yeh list mera kam ke nehi hoga. Lekin jab purah post read kiya kya batao bhai bahut helpful sabid hua yeh post.. Awesome Rohit mewada bhaiya love you ❤❤
Thanks Bhai.. haa wass plugin or hosting ke aalawa to sabhi tools aapke bhi kaam ke hai..
aab me aj yeh post firse read kiya, ha ha ha wordpress ka plugin dekhne aaya tha magar dusra kuch helpful sites mil gaya Thanks Again Rohit Bhaiya
THxx इतनी बेहतरीन एक्सपीरियंस शेयर करने के लिए
Thanks Rizwan
Mazaa aa gaya. bhai
Great :)
Intejaar ki Ghadhi Hui Khatam, aur Aakhir Kaar HMH.pe Use Hone Waale Tools Reveal Ho Hi Gaya…
:) Yup
BAHUT ACHHA HAI SIR really i like it
Thanks
Aaj ke is post me aapne bahut hi important & Best information ko share kiye hain.
Kyonki Is Post ke intzaar sabhi New Blogger ko besabri se intzaar tha….
So, Aaj Apne is post me Sabhi Jankari ko step by step bata hi diya.
So, Very – Very Thanks !👌
Thanks Bhai..
some tools are very useful tools
Haa. Bhut se small tools kaam hai ke..
Bahut hi kaam ki jaankari di hai.
Hum sabhi ess bare me kab se janna chahte the. Aaj hamei vah jaankari mil gayi hain.
Thanks for sharing sir
Most welcome.
Manne bhi kuch tools select kiye hai. Jaise imoji keyword, lightshot, computer glasses etc.
By the way.
Thanks for sharing!
Good..
Hello Rohit sir,
Me aapse janna chahta hu agar me bekup ke liye updraft pluging ka use na karte hue seedha Cpanel se beckup lu to isme kya koi risk hai me har mahine cpanel se beckup leta hu mgar wordpress me koi bhi pluging install nhi kiya hai mene beckup ke liye aap bataye me kya karu………………..
Backup aap kaise bhi ho wass wo sahi se or puri file ho.. Ab aap manully khud se karte ho ya automatic kisi plugin se usse koi fark nahi padta..
Wass iss baat ka dhiyan rakhna backup lo to sabhi file or mysql ka pura backup lo..
Me capanel se backup lene ke baad use bapas File manager homedirectory se remove kar deta hu kya yah mera sahi tarika hai
Haa.. Wass aapke pass pura backup hona chaiye ki.. Aap usko madad se website wapas wesi hi start kar paye..
Khena ka matlab ye naa ho.. Ki koi sql file miss kardo. Ya kuch or..
Pura backup ho.. To kese bhi lo..
Very useful information especially for new bloggers. So take advantage of this post’s friends Thanks!
Naa bhai new nahi old ke liye or jada useful hai.. Q ki kuch aese tool hai jo new to use nahi karege.. Par jo thode old hai unko karna hi chaiye..
Awesome tools sir….
Thanks bhai
But rohit sir ma blogger use karta hau im poor man 😁😁
Aare bhai koi naa, ham bhi blogger se hi start kiye hai.. Or usse earn karke yaha aaye hai..
Isse bahut saare blogger ko help milegi, kyonki har ek hindi blogger ke man me sawal hota hai hmh website konsa plugin ya tools use kar rahi hai. Mistakes sudharne me bhi kaafi madad milegi or aapne jo new tools ke baare me btaya hai unko bhi try karke dekhenge. Thanks Brother
Great.. Jaan kar khusi hui ki aapko isse new tools ke ware me bhi pata chala..
G kon ha ap
Job karine ha mobil py
Badiya post hai bro, apne to sab kuch bata diya. thanks for sharing.
Thanks Adip
wah bohat badiya cheezeiin use krte ho ap n thanks for sharing us these information rohit bro
Thanks Irfan bhai.
Awesome article bhai… Thanks a lot
#Thanks a lot bhai thanks a lot bhut help milla thanks again
Most welcome bhai ❤️
Sir, Aapne to apni puri jankari share ki hai. bahot se blogger aisi personal blog ki jankari share nahi karte, Is se kafi sikh sakte hai. ye post bahot hi helpful hai isme mujhe images ki size kam karne ke liye aur site ka backup lene ke liye achhi jankari mil gayi hai.
Once again thanks.
Thanks Srushti ji
Awesome tool list Rohit Ji.. Thanks for share.
बहुत बढ़िया लिस्ट है
Ek dam kaam ki post hai aaj ki .
Har ek blogger ko baut kaam aayegi ye jankari bhai, thanks for sharing
Thanks bhai
Waah bhai .
Muje aaj ka yeh wala article bahut pasand aaya.
Ek tarah se kahe to aaj aapne hmh ka pura bhanda fod diya 😁😁
Waise ye jankari bahut kam ki hai,
Mai isko 3-4 baar read karunga r tab jaa ke sab samaj me aayega ek ek karke
Thanks..
Wese aap tension naa lo.. Me usko bottom me bhi add karne ka soch raha hu.. Taki baad me bhi sab usko aasani se access kar sake..
बहुत ही अच्छी जानकारी शेयर की है सर जी । इससे हम ब्लॉगरों को बहुत फायदा मिलेगा।
Happy blogging….
Thanks Ankit
भाई बहुत ही शानदार पोस्ट लिखी है, मजा आ गया।
Thanks bhai ❤️
धन्यवाद Sir आपने बहुत अच्छी जानकी शेयर की है, इस पोस्ट से नए blogger को बहुत मदद मिलेगी. सर एक Request की आप एक Post लिखे की site का DA और PA कैसे बढ़ाये.?
Thanks bhai.. Or aapki request par bhi post ki jayegi..
Bhai aapne puri jankari di. Isme bahut saare tools hai jo kaafi help karege.
Thanku
Rohit bro.. Apne sabhi blogger Ke liye helpful post Dali he …. Tnx bro….
Thanks 🤗