Caller Tune kya hai ye to aap jante hi hoge, jab bhi ham kisi ko Call karte hai to Tring-tring ki jagha koi Song sunai deta hai.. to agar baat kare Caller Tune kaise set kare to iski bhut simple process hai, or agar aapke Pass Jio SIM hai to aap Jio Caller Tune Free me set kar satke hai.
Agar aap Jio use karte hai to aapko pata hoga, JIO me unlimited plan ka recharge hota hai jisme hame unlimited Call, Data or SMS milte hai.. to aese me agar aap apne Jio Number par Caller Tune set karna chate hai to iska koi extra charge nahi hai wass aapke number par koi bhi Jio ka unlimited plan activated hona chaiye.
Chaliye ab jaan lete hai jio caller tune kaise set kare or kya kya tarike hai Jio Caller Tune ko set karne ke.
Page Contents
Free Jio Caller Tune kaise set kare
Jio Caller Tune ko set karna bilkul free hai or bhut aasan bhi..
Jio Caller Tune set karne ke 5 tarike hai:
- MyJio App se Caller Tune set kare.
- JioSaavan Music App se Caller Tune set kar sakte hai.
- Jio Caller Tune Number par Call karke
- Jio Caller Tune Number par SMS send karke.
- Dusre ka Caller Tune Copy karke
1: MyJio App se Caller Tune set kare
step 1: jio caller tune MyJio App se set karne ke liye aapko Sabse pehle MyJio App open karna hai, agar aapke mobile me install nahi hai to MyJio App Install karke open kar lijiye.
step 2: App ko open karne ke baad, upar croner me 3 dots par click karke JioTunes par click kare.
Step 3: Ab aapne samne songs ki list aa jayegi jinke samne Set JioTune ki button hai.. jispar click karke aap uss song ko apni Jio Caller Tune set kar sakte hai.
Step 4: Set hone ke baad aapke samne Success ka message show ho jayega.
2: JioSaavan Music App se Caller Tune Set kare
Step 1: Sabse pehle to Jio Saavan App Open kare.. agar Install nahi hai to yaha se intall kar sakte hai.
Step 2: AB wo seong search kare jisko aap Jio Tune set karna chate hai. uske baad usko Play kare.
Step 3: Jab Song Play hoga, to aapko Screen par Set JioTune ka button dikhega, jispar aap click karke uss song ko apni Caller Tune set kar sakte hai.
Note: Sabhi songs Jio Tune set karne ke liye uplabd nahi hai..
Step 4: Jio Tune set hone ke baad aapke pass Conformation ka SMS bhi aa jayega.
3: SMS send karke Jio Caller Tune set kare
Step 1: SMS se Jio Caller Tune set karne ke liye sabse pehle JT likh kar 56789 par send kare.
Step 2: Ab aapke pass ek SMS aayega, jisme Song search karne ke instruction hoge.. Aapko Song search karne ke liye SMS ka reply karna hai.
- Bollywood
- Regional
- International
- Kisi ek song ko search karne ke liye uske starting ke 3 words type karke send kare..
Step 3: jo bhi song aapne search kiya hai uska Full name ke sath ek SMS aayega. Song ko Caller Tune set karne ke liye Y send kare.. or agar usko cencel karna hai to N send kare.
Step 4: Iss Trha SMS send karke bhi Jio Caller Tune set kar sakte hai.
4: Jio Caller Tune Call karke Set kare
JioTune Number par call karke bhi aap apne manpasand ka gaana caller Tune par set kar sakte hai.
jio caller tune number toll free number : 56789
Jio Caller Tune Number par call kare, uske baad jo bhi instruction usme bole jate hai unko follow karte hue aap apna Caller Tune set kar sakte hai.
5: Jio Caller Tune Copy kare
Step 1: Sabse pehle aapko unko Call karna hai jinke number par pehle se Caller Tune set hai jisko aap Copy karna chate hai.
Step 2: Ab unke Call uthane se pehle aapko * key dabana hai, star (*) key dabane se wo caller Tune aapke number par bhi set ho jayegi.
Step 3: Jio Tune ka conformation aapko SMS se mil jayega..
Iss trha aap kisi bhi tarike ka use karke apne Jio Number par Free Caller Tune set kar sakte hai.. or jab tak aap apne Caller ki call ko nahi uthate unko boring tring tring ki jagha badiya songs suna sakte hai.
Jio Caller Tune Stop/Deactivate kaise kare
Jio Tune set kaise kare wo to aapne jaan liye.. par agar aap apni Caller Tune ko hatana chate hai to wo karna bhi bhut aasan hai.
Agar aap Jio Caller Tune ko puri trha Deactivate karna chate hai apne number par.. to SMS me jakar aapko STOP likh kar 56789 par send karna hai.
SMS send karne ke baad aapki JioTune Stop ho jayegi, or phele ki trha song ki jagha tring-tring aane lagega.
Note: agar aap Jio Tune band karna nahi chate wass dusre song ko set karna cahte hai to aapko Stop karne ki jarurat nahi hai.. upar diye kisi bhi tarike ka use karke aap apna New Jio Tune set kar satke hai.
At Last:
To ab aap jaan chuke hai jio caller tune kaise set kare or Jio Caller Tune number kya hai jaha se aap isko Start or Stop kar sakte hai.
Agar aapko abhi bhi koi paresani aa rah hai Jio Caller Tune ko set karne me to aap comment karke puch sakte hai.. or comment karke ye jarur bataye aapne konsi Caller Tune abhi set kar rakhi hai. 😀
यह सही तरीका है जिओ कॉलर तूने लगने के लिए धन्यवाद!