Meta Tags ko Blogger me kaise add kare SEO ke liye

Blog ko banane ke baad ham uspe apne kuch post daalte hai or Hamari ye iksha hoti hai ki ham jo bhi apne blog par daale bo search me aaye. Agar hamre blog par visitor nahi aate to hame bhut nirasha hoti hai. Par me aapko ek baat bata du sirf ache contant ko daalne se hi kuch nahi hota hai uske aalawa bhi bhut kuch karna padta hai, jaise Apne Blog ki post ko Promote karna padta hai Facebook, Twitter, Google+..

Blogger ke Template par jaa kar Edit HTML par click kare

Hamare Blog ko Search Me laane ka Meta Tags bhut hi jaruri hai, Q ki issi ki madad se ham Search Engines ko batate hai ki hamare blog pay kya hai taki jab koi search kare to hamara blog bhi search me aaye. Meta Tags ki madad se ham Google ko in chijo ke baare me batate hai – Blog kis baare me hai, Blog me hai kya, Blog ke Author ka naam, Country, Bhasa or ham usko batate hai ki bo hamare kin kin chijo ko search me laaye.

Advertisements

Meta Tags ko Blog ke Template me Add karna hota hai. Per bo kisi blog ke visitor ko nahi dikhta hai. Par Meta Tag se Search Engines ko bhut aasani hoti hai hamare blog ko samajne me.

Meta Tag ko apne blog me jodna bhut hi saral hai bas aapko karna ye hai ki ek code hai, sirf bo aapko apne blog ke Template me add karna hai. Code me kya hota hai or usko kaise banate hai chaliye jaante hai.

Page Contents

Meta Tags Code me Kya hota Hai

Ham Meta Tags me In baato ke baare me batate hai

  • Blog kis baare me hai
  • Blog ke topics kya hai
  • Blog kon likhta hai
  • Blog ki Bhasa kya hai
  • Kis country ka Blog hai
  • Kin-kin chijo ko Search me lana hai

Meta Tags kaise banaye

ye kuch baate hai bo aapko niche diye Meta Tags Generator me bharni hai

Description : Isme aapko apne Blog ke baare me batana hai 160 sabdo me. Blog ke baare me aesa likhe ki koi bhi usko padkar samaj sake ki is blog me kya hai. Agar aapke blog ko koi Share bhi karta hai Facebook, Twitter, Google+ par to ye hi description dikhta hai. Ye Bhut Jaruri hai.

Keywords : KeyWords se to aap samaj hi gaye hoge iska kya matlab hai, or aapko keyword me bo sabd jodna hai jo aapke blog me main topic hai. Jaise mere is blog ke sabd kuch is trha hai – Blogger, Make Money, Social Network, Internet etc…  Aap 10-15 sabd jod sakte hai or unke bich me “,” (coma) jarur lagaye.

Author : Author me aapko apna naam likhna hai jisse google ko pata chal jayega ki is blog ko kon likhta hai. ye jaruri nahi agar aap nahi chate to isko rhene de.

Language : isme aapko apne blog ki bhasa batani hai konsi hai. Jese – Hindi, English, Gujrati koi bhi ho aapko bo likhna hai. aap chahe to rhene de ye itna jaruri nahi par isko batane se Google ko aasani se pata chal jata hai ki hamara blog kis bhasa me hai.

Country : Isme aapko apne Desh ka Naam likhna hai. jese – India, Pakistan, USA

Robots : Is option me ham Google ko batate hai ki bo hamari kin kin chijo ko Google ke search me laaye. Me aapko kahuga aap isko All hi rhane de.

To ab aap ye to samaj hi gaye hoge ki Meta Tag se kya hota hai or Isme kya hota hai. Ab apne blog ke liye Meta Tag Code banane ke liye apni sahi sahi jaankari is Tool me bhare fir Generate ki Button ko dabaye.

Meta Tag Generator Tool

Ab aap jo code banaya hai usko Copy kar lijiye. Code par Mouse lejakar Ctrl+C ki Button dabakar aap copy kar sakte hai.

Meta Tags ko Blogger me Kaise Jodte hai.

Jitna banana aasaan hai utna hi Meta Tag ko Blogger ke Template me jodna. Code ko Blog me add karne ke liye in Steps ko follow karo.

Step 1:

Blogger.com par jao or apne blog me login karo.

Step 2:

Ab aapko Template ke section me jaana hai. Edit HTML ki button par click karo

Blogger ke Template par jaa kar Edit HTML par click kare

Step 3:

Ab aapko <head> code ko search karna hai, uske liye apne keyboard me Ctrl+F ki button dabao. ab ek search baar khul jayega. usme <head> type karo. aapke blog ke template me jaha ye code hoga bo aa jayega. Bese bhi ye code Template ki 4-5 line me hota hai jada tar.

Ctrl+F daba kar ke code ko Blogger me search karo

Step 4:

Ab hame karna ye hai ki jo Meta Tag code hamne banaya hai usko <head> code ke niche daalna hai. Ctrl+V se aap paste kar sakte ho.

<head> code ke niche meta tag code ko paste kare fir Save Template ki button par click kare

Step 5:

Ab Save template ki button daba kar template ko save kar de.

Meta Tag ke faide or Nuksaan

Meta Tag ko apne blog ke template me add karne ka ye faida hai ki ham Google ko Batate hai ki hamare blog me kya hai.

Meta Tag ka koi nuksaan nahi hai. Meri Najriye se to meta tag bhut jaruri hai hamare blog ke liye.

To ab aapne apne blog ke baare me google ko bata diya hai Meta Tags ki madad se. Agar aapko koi bhi sabaal ho Meta Tags se sambandit to aap comment jarur kare.

Is Tool ko banane me muje 2 din lage hai to aap ye batana naa bhule ki ye aapko kaisa laga. :)

Aapko Ye post bhi padni chaiye

Internet se related koi bhi sabaal ho Aap comment karke puch sakte hai.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

310 thoughts on “Meta Tags ko Blogger me kaise add kare SEO ke liye”

  1. Brother Very helpfull post and Tools, Because Ye mere Liye Kaafi useful Rhega , Is post par me 15 Bar se Jyada bar Aa Gya :) Thanks

    Reply
  2. Rohit bhai maine meta tag cade apne blog me add kar apke bataye anusar. iske liye apka shukriya….
    ek baat aur batayen main jab apne blog me sitemap submit karta hun to woh panding me rehta hai. iska kya matlab hai. mujhe kya karna chahiye ke sitemap submit ho jaye. mera template default nahi nahi hai, maine google search karke download kiya tha mobile friendly..

    Reply
  3. @Rohit,
    Issi tarike se wordpress me bhi meta tag la jayega ya koi plugin use karna padega. mera blog hindi blog hai. Mere blog ke keywords hindi language me hi set ho gaye hai isse wo google me search nahi ho pa rahe hai. meta tag isme help kareka kya. Please help kare keyword ko enlgish me se kaise karu?

    Reply
  4. hello

    jitna aapki post read krke sikhne ko milta hai utna hi aapke comments or unka reply read krke sikhne ko milta hai
    thanks again.

    Reply
  5. Meri sabhi post blogspot me he
    Lekin meri ek bhi post serch engine me nahi dikh rahi, mene sabhi post me serch description likha he ,mera blog to serch ho raha he lekin post serch nahi ho rahi pls help me

    Thanks

    Reply
  6. Sir meta tag add kartey samay ek error aa RHA hai

    error praising XML, line, 8 columns 145: the reference to entry “trick” must and with the delimiter

    Reply
  7. Sir meta tag add kartey samay ek error aa RHA hai.

    error praising XML, line, 8 columns 145: the reference to entry “trick” must and with the delimiter

    Reply
  8. namskar sir
    hamara sabal hai ki Meta Tag Generator ka box kaha par click karne se aayega. jisme hum Settings
    Description
    Keywords
    Author (Optional)
    Language (Optional)
    Country (Optional)
    Robots (Optional)
    etc daale.

    Reply
  9. मेरा नाम दानिश है मै फर्रुखाबाद का रहने वाला हूँ मैंने 2013मे इण्टर की थी किसी कारण आगे की पढ़ाई बन्द करनी पड़ी अब मैं महिंद्रा कम्पनी म पेन्टिंग का काम करते हैं और मैं इंजीनियर बनना चहता हूँ आगे मैं किया करूँ

    Reply
  10. Bhai mujhe ye batao ki mobile phone me copy aur peast kase kase karte hi apne bataya hi ki kai jaga ctrl c and ctrl v ye to computers ke liye hi me aap se is liye question kar rha hu kiyeki kai jaga coda ko add karane ke liye a sub karna padata hi aao mera answer mare mail id par dijiye ga please sunnykannojiya7@gmail.com

    Reply
  11. Hello rohit, mene mere blog me META tag add kar liye jese apne Description kaha same as.
    Mere blog ko 1 year ho gya he. fir bhi google search engine me nai a raha. but now after this Read your post will work. Thanks you @Rohit. for sharing and Make META GENERATER.

    Reply
    • Pradip ji muje khusi hai ke me aapke kaam aaya or ummid karta hu aage bhi kaam aata rahuga. Aap apni site ko google search console me add kare or usme dekhe koi error to nahi aa rahi hai aapki site ko index karne me.

      Reply
  12. sir aap plz mujhe ye bataiye ki meta tag head ke neche paste kardu par sir mene apka template down kiya to usme phle se hi meta tag kuch option he head ke niche to sir aap mujhe bataiye ki apke jo meta tag ki line he unko kitne line se kitne tak hata ke meta tag generate karke use karu kaha tak hatana he apke template ke phle se hi save meta tag ki lino ko… plz sir bataiye.

    Reply
  13. hi rohit mere blog me alag alag page hai or alag_alag topic mai keyword bhi alag use karna chahta hu to eik hi blogspot site ke alag_alag page ke liye alag keyword set kaise karu.

    Reply
  14. code generat karne ke lie hi nhi smjh pa rha hu code generat kaise karu . wo sab details kaha pe dalu .
    template me add karne ka to smjh me aa gya h

    Reply
  15. aapne jo btaya hai cntrl+c press karke copy karne ke lie meta tag generator form jaha pe titles description etc. dalte ke lie bataya he aapne wahi list kaise aayega plzz help
    ek aur swal he mere pas maestro debit card he SBI ka jispe CVV code nhi hai qki ye kafi purana he 2005 ka to mai eske bina paypal pe account bna skta hu kya .

    Reply
    • Aapko apna code generate karke blog template me add karna hai.

      Aapke card ? se yaad online payment nahi hoti hai to aap usko paypal se connect nahi kar sakte. Aap bank se visa debit card ? banba lijiye

      Reply
  16. aapne jo btaya hai cntrl+c press karke copy karne ke lie meta tag generator form jaha pe titles description etc. dalte ke lie bataya he aapne wahi list kaise aayega plzz help

    Reply
  17. Blogger ka title or meta tag ka title same hi hona chahiye ya, hum bloger ka title chota ya kum keywords ka bhi rakh sakte hai, or ager blogger ka title chota rakh sakte hai to seo traffic mein koi farak to nahi rahega
    Thanxx for help me

    Reply
  18. me ek neobux account kholatha usme 1deollar earn bhi kar chuka tha phir achanak wo account nhi khulrahahe mene 2 din nhi khola toh kaise karu wo khulega ki nhi username password s not found batarahahe plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz help me
    our me bahut paisa karza leke diyatha 10thousand net work karnekeliye lekin wo frod nikla karza karke diyatha plzzz help me how to start good work

    Reply
    • Aap forgot password karo email id daal kar.

      Me aesi kisi site par bharosa nahi karta or na hi mane kisi inko tri kiya. Agar online paise kamana hai to youtube or Blogger sabse best hai. Mene bhut si post unke bare me dali hai hmh.pe

      Reply
  19. mujhe ek chahiye yar rohit plzzzzzzzzzzzzz help me plzzzzzzzzzzzz call me nhito fbpe msg bheja hu dekho our reply kro mera nam he saroj kumar pandey

    Reply
  20. Mere blog currentmpscgk.blogspot.com ye demo kuch kam ho to batao AUR mujhe ye janna hair blogpe page me post karna hai WO Kaiser kare main page pe post karo to WO page pe nhi aati balke home page pe aathi iske liye kya Kate please helpme

    Reply
  21. maine ak blog bnaya jiska title name ” fun”
    rakha th.
    link ” http://www.myfirstwapsite.blogspot.com tha.

    mai blogger setting me jakr title name aur publisher link dono ko change kr diya jaisa mujhe chahiye..
    pr iske wajah se ab mera bolg google search me purane name and link ko hi search kr rha h aur open krne pr blog removed likha rha h..
    kya new name aur link se mere blog ko google me search nhi kiya ja sakta..
    plz btaye…

    Reply
    • aap apne purane naa se banaye ek blog or usko redirect karde apne new blog par. aapke new link ho search me aane me thoda time lagega. Google usko index karega jab aayega. aap google search console me usko add karde.. new link se..

      Reply
  22. Sir mere blog Google Pe Rssearch karnepe nhi aari our page me ander kai sarr post kaise large batao.blog banake 2 day bore
    mpsccurrentgk.blogspot.com ye site hai

    Reply