Badete Internet use ke sath Blogging ka Trend bhi badi teji se badh raha hai, aese me bhut log blogging field me aa rahe hai. Ab aese me bhut log aese bhi hai jinke Pass khud ka computer nahi hai to wo Mobile se hi Blogging karte hai.. Unki hi help ke liye ye post hai jinme ham janege Mobile se Blog post kaise publish kare.
Blogger ke liya Jaruri App konse hai jo uski list pehle hi share ki hui hai aap wo apps bhi jarur install karke rakhe..
abhi ham unhi me se kuch apps ki madad se Blog Post Publish kaise karna hai wo sikhege.
Page Contents
Mobile se Blog Post Kaise Publish kare
Mobile se wese Blog Post Publish karne me direct Chrome Browser se kar sakte hai.. par utni choti si screen se post ko likh kar publish karne me bhut si problem ka samna karna padta hai.. to aese me aap Apps ka use kar sakte hai.
1. Mobile App se Post Publish kare
Mobile se Post ko publish karne ka sabse pehla tarika to hai aap Mobile Apps ki madad se post publish kare, jisme likh kar publish karne ka option ho.
i.a) Blogger Official App
Agar aap Blogger use karte hain to phir Blogger ka official aap aapko Google Play Store par mil jayega. Blogger me post karne niche padhe.
Step 1: Google Play Store se Blogger app install kare. Uske baad Blogger app ko khole.
Step 2: Jab aap pehli baar yeh app kholenge toh aapko log in k liye puchha jayega. Fir aapke samne aapke Google Accounts ya gmail ID dikhai denge. Unme se aapka blog hai woh ID select kare.
Step 3: Ab aapko apke blogs ki last me ki gaye posts dikhai dengi. Nayi post likhne k liye Upar corner pe diye gaye Pencil k nishan par Tap kare.
Step 4: Apni post ka Title likhe aur post ka varnan likhe. App image ki madad se photo bhi add kar sakte hain. Niche se apni post ka Label select kare. Aur Publish Arrow par Click karte hi apka post publish ho jayega.
Limitations: Iss app ka samse bada limitation yeh hain ki aap is app se agar 1 se jyada photos add karenge to kabhi kabhi apki post publish nahi hogi.
i.b) WordPress Official App
Jis trha Blogger ka App hai, WordPress ke app me bhi login karke Blog par Post ko Publish kiya ja sakta hai.
WordPress App ka use karna aasan hai, agar aapka blog wordpress par hai to aap jarur use kare.. agar aapko kahi dikkat aaye to aap comment karke puch sakte hai.
ii) Bloggeroid App
Blogger me App ki madad se Post karne ke liye wese to Official Blog hai, par Post ko sahi formate me post ko likhne ke liye hame iss app ki jarurat padegi.. jisme ham bina HTML Code ko edit kare Text ko Bold, italic, URL add kar sakte hai.
Ye Blogger ka Official App to nahi hai, par ye bhi bilkul free hai, jikka naam Bloggeriod hai.
Step 1: Google Play Store se Bloggeriod app install kare aur app open kare.
Step 2: Jab aap pehli baar yeh app kholenge toh aapko log in k liye nahi puchha jayega. Yaha par sidhe aapko ek post likhna hoga. Aap ko App ke home page par Post title, Post description aur Tags nazar aayenge.
Step 3: Apni post ka Title likhe aur post ka varnan likhe.
Post me image add karne k liye app ke Menu main jaaye. Usme add image par click karke image select kare. Aap ko [image 0] aisa nazar aayega. Chinta na kare yeh aapka select kiya hua photo hi hain.
Link add karne ke liye aapko niche k format me likhna hoga.
[Google http:www.google.com]
Step 4: Niche Tag ki jagah me apni Post ka Tag likhe or sab complete hone ke baad Publish kare.
pehli war post publish karne par aapko account connect karke allow karna hoga, uske baad post blog par publish ho jayegi.
BENEFITS – Blogger me sab se jayada speed se post karne k liye yeh app bahut upayogi hain. Aap ek saath kai saare photos ko bhi asaani se publish kar sakte hain.
2. Mobile Browser Se Post Kare
Blog ko manage karna Computer se aasan hota hai q ki badi screen hone ke karan sari chije ache se dikhai deti hai… par Mobile Browser me bhut se chije hidi ho jati hai..
To aagar Computer ki trha Mobile Browser me kaam karna hai to aap Puffin Browser ka use kare, jisme sabhi website Desktop Version me open hoti hai.. or Browser me Mouse courser bhi rehta hai.
Puffin Browser Install karne ke baad, aap apni website me login karke usko manage kar sakte hai.
Puffin Browser ka post publish karna to aasan hai hi, par uske aalawa aap Apne blog ki design bhi edit kar sakte hai.
Agar Computer nahi hai to blog ko choti screen me computer ki trha manage karne ke ye ssabse best tarika hai.
Toh ye the aasan tarika Mobile ki madad se blog post publish karne ka. Bhut se mere Blogger Dost hai jo apnepure blog ko Mobile ki madad se hi manage karte hai to chalate hai. to aap bhi chala sakte hai.
Happy Blogging..!
Mobile se Blog Post Kaise Publish kare ke baare mein aapne achhi jaankari share ki thanks for sharing your useful knowledge.
Sir bohot achi post hai. Me jarur try karungi.
Brother me always mobile se hi blogging karta hu. Mere paas laptop nahi he.
Mene mobile se blog create kiya post likhi and adsence bhi approve kiya he. Our income bhi generate kar raha hu. HMH par guest post bhi publish ki he.
Hindimehelp site se sahi waqt par sahi jankari mil jati he. So thank you HMH Author Rohit sir all visitor….
Great Bhai.. n Thanks
badhiya post hai….
Nice article bhai shab, Keep writing.
bhut hi acchi jaankari hai thanks for sharing this knowledge.
Very useful post. Thanks for sharing
NICE ARTICAL MOBILE SE POST KESE KARE
Nice Information Sir
Good Work
Nice post
नमस्कार दोस्त, मेरा नाम राहुल निमी है. सबसे पहले आपको बहुत-बहुत बधाई कि आपने इतना अच्छा ब्लॉग बनाया
dono hi achha hai jo apko better lage use use karsakte hai.
nice idea with mobile
Thanks for the guest post.
Vishal Ji bahut achha article hai
Nice
Very nice sir bahut achi site hai. aapki bato se mujhe bahut kuch sikhne ko mila hai. aage bhi aapki site par visit karna chahunga.
nyc brother
bahut hi achhi jaankari di aapne
jis bhai ke pass computer nahi
uski problem solve ho gai
Bahut accha ji…
Bahut hi achha bataya hai lekin mere hisab se sirf Browser ka use kare app ka nahi.
Thanks sir
nahi apps ka bhi alag hi fayda hai… jese unme coment ka reply aasani se de sakte hai.
Yes sir, mujhe yeh bat pasand ayi hai