PayPal kya hai or Paypal se kya hota hai shayad aapko pata hoga, or nahi pata to bhi koi baat nahi me abhi aapko uske baare me puri jankari dene wala hu or batane wala hu Kaise Paypal par account banaye or kaise Paypal se paise kamaye.
Page Contents
PayPal Kya hai ?
Paypal ek online payment send ya received karne ki website hai jisse lakho log roj crore rupee rojana online transfer karne ke liye istemal karte hai. PayPal 190 desho me hai or ye 1998 se chal rahi hai or ye online business ke liye bilkul sahi hai.
Agar aap online kuch business karte hai ya pir kisi online business se paise kama rahe hai to aapke liye paypal account hona bahut jaruri hai, Q ki jada tar online website payment ke liye paypal ka istemal karti hai.
To phir aao jaante hai ki paypal ki website par account kaise banate hai or kin kin chijo ki jarurat padti hai hame apne Paypal account me.
Paypal Account me Kya Kya Chaiye
- Email ID
- Bank Account
- PAN Card
- Debit/Credit Card
- Aapka Address
- Mobile Number
Paypal Me Account Kaise Banaye
Step 4. Aapka Paypal account bankar taiyar hai
Paypal account me Bank account verify kaise kare
Paypal me bank account ko verify karne ki process hai wo thodi alag hai, q ki isme hame paypal se kuch paise aate hai points me wo check karke paypal account me dalna hota hai jab hamara bank account paypal me verify hota hai.
Bank account paypal me verify karne ke liye pehle aap apni bank ki detail apne paypal account me dale, uske baad aapke bank account me kuch paise aayege.. (0.123 rupee) jitne bhi paise aaye point me.. aapko wo check karke paypal account me dalna hai fir aapka bank account paypal me verify ho jayega.
Paypal me bank account add nhi ho RHA h
Rohit bhai mera paypal a/c me address veryfai nhi ho rha hai please batao address 1 me aur address 2 me kya likhna hai
apna makan number or mhole ka naam dale
sir ji mene apna paypal acount banaya h aue usme pnb bank ki detail de h. debit card b pnb ka h. debit card link nhi ho reha h. vha kahte h koi dusra card use kere per mere pass to pnb ka hi card h. to kya dusra card try kerna chaiye. aur ager m dusra card use kerta hu. to kya muje bank detail b dusre hi daalne padge.m chata hu. icici bank ka card use keru. to kya muje dobara se acount banaana pedega. kuch samaz nhi aa reha h. sir ji help me.
Paypal account to bn gya lekin
Bank account add nhi ho RHA h
2 din ho bye account banaye huge
Bank account save nhi ho RHA h
Bank account kise confirm hoga
Bank se koi msg aayega kya
paypal par dusreka visa card use kar sakte he mere pase
Haa aap add kar sakte hai
rohit sir ji aapke jaankari se mane paypal per acount bena liya h. 80 persend acount verfiy ho gaya h. per debit card link nhi ho reha h. pnb ka debit card h. debit card link form berne per lika aata h.cheak your card detials and try again. bar bar y hi hota h.muje desgincorwd website per apne project sumet kerne h vhe ik dooler postingkerna hota h.apne project k sath. per uske liye papay acount se pument maagete h.mere pass ik hi debit card h. m kya kero jisse mera debit card link ho jaaye.adress, pen card, bank acount sabi m ik hi adres h fir b link nhi ho pa reha. pls help me sir ji.
Agar aapko paypal se payment karni hai to aap HDFC me platinum card se hoti hai.
Rohit bhai mai businece account nhi banaya tha only Individual account hi banaya tha fir bhi mera 543 rs. kta hai. mera paypal account me task notifiction open nhi ho rha hai. pahle open hota tha ab nhi ho rha hai paypal a/c me puri detail complite thi
Aapke jo paise katte hai.. Wo paypal ki baja se nahi kate hai.. Aap bank se contact karke pata kare ye paise kha kate hai..
Medawa ji aap kah rhe ho ki bank account se paisa nhi ktta hai mere account se 543 rs. kat chuka hai wo kaise kta hai bta rha hu. mai likesPlanet me buy point se $8 ko paypal account me liya tha jisse mere icici debit card se 543 rs. ktta hai ab ye batao rohit ji mere paise kaise vapas honge meri smjh me nhi aa rha hai mai kya kru.
Aapne business paypal account banaya hai kya.. Usme charge lagta hai.. Individual paypal account banana tha
Bhai apne blog par Visa card Master Card se donation k liye page kaise banaye? for eg, kahi par online donate karte hain na apni Visa card/master card etc k information fill kar k.. waisi wediget. plz help me bro
Rohit bhai ji mere pas icici bank ka visa debit card hai kya mai isko paypal a/c me canect kar skta hu. isse mere account me paisa aa skta hai ki nhi.
aap kisi bhi bank ka card connect kare paise nahi katte.. aap individual account hi banaye.. business account me kuch charge lagta hai par hame uski koi jarurat nahi hai.
sir mene 1 monthe phele payple account banaya ta bad mene opne nahi kiya to khch gota nahine sir
paypal pe account ko banna ne ka charge hai ya nahi, agar hai to kitna hai ?
jnab mujy koi achi se wab side bato jahan se me page click kr k kch pese kama sakun or pese recive kese hon gy… in pakistan
Sir mere visa debit card me card k piche 3 letter ka jo saftey coad hota hai wo nahi he. me kya karu. Ab Bank details kaise fill karu??? plz help me sir
sir, Payoneer Mastercard ki puri jankari chahiye
Sir, maine apne PTC site se $1.16 apne payza account me transfer kiya but mere payza account me sirf $0.89 hi aaya. kya mujhe payza account verify karna chahiye? plz reply me sir
sir paypal mai agar mai account banata ho to mujhey koi charge lagega kya bank ya paypal mujhey charge karegi mai paidverts mai kafi dino say kar raha ho yahi koi 20 din say par mera abhi tak aik dollar bhi nahi bana hai mera time west ja raha hai kya koi acchi side hai to plse mujhey bataney ki kripa karey thank you manoj kumar rajbhar
sir paypal mai agar mai account banata ho to mujhey koi charge lagega kya bank ya paypal mujhey charge karegi mai paidverts mai kafi dino say kar raha ho yahi koi 20 din say par mera abhi tak aik dollar bhi nahi bana hai mera time west ja raha hai kya koi acchi side hai to plse mujhey bataney ki kripa karey
Sir me kuch samjhaa nahi plz thora bistar me samjhaiyen
Sir, kya paypal or payza ko verify v karna padta hai????? agar ha to kaise???
hamare account me bhut kam paise aate hai wo check karke dalna padta hai verify ke liye
Mai jab apna PayPal a/c me debit card connect kr rha hu to ye msg aa rha h.Sorry, we can’t link this card. Please try linking a different card to your account.
Aesa kyu bata rha h. Jabki mere Central Bank of India k debit card pe master card ka logo v h.
aap apni bank se contact karke uski jankari lo.. ki aap paypal se connect karna cha rahe ho par ho nahi raha.. aapko kya karna padega uske liye.. Bank wale aapki jarur isme help karege.. Isme kuch subhida hoti hai jo chalu karani padti hai.
ubi aur sbi bank ka normal master card connect hota hai ya koi aur card
ubi aur sbi bank normal master card link connect karega ya emv chip card lena hoga
Visa card hona chahiye.. Rupee card nahi hota
rohit ji apane bola tha ki state bank ka visa card use karo to link connect ho jayega par nahi ho raha hai massage aa raha hai please use anther card
aap bank se contact kare or unse kahe ki aapko paypal se connect karna hai..
Sir YouTube channel ke paise apne khate mein aane ke liye Paypal khata hona zaroori hai kya …
Hello sir mera pan card nahi hai to kya jab tak mera pan card banta hai net par Jo meri income hai usa PayPal par eaktha kr sakta hu or bad m pan card dal kr mera account me vo paise baj sakta hu
hlw brother paytoo ye web PayPal ki trah secure hai kya paytoo ko hamari bank ac ki jankari dena sahi hoga
Mai naya hu aur insab ke bare me jyada nahi jaanta, maine ek website banayi hai aur usme chikita se ad bhi dale hai.. 3-4 din huye hai. magar mere pas abhi paypal pe account nahi hai… aur mai 15 din ke bad paypal ka a/c banaunga. kyuki mai do din ke bad 15 din ke liye busy rahne wala hu. aur agar aaj mai paypal a/c banaunga to 7 din ke bad mere bank a/c me paise aayenge jo code ke roop me paypal ko varify karne ke liye dalna hoga jo mai busy rahne ke karan nahi kar paunga. ye to huyi meri baat. Ab Mai jaanna ye chahta hu ki kya mai 15-20 din ke baad paypal pe a/c bana ke chikita se jodunga to koi problem to nahi na hogi. aur itane din mai apna blog bhi shayad na update kar paunga to mere website band to nahi hoga? kya koi problem hogi ?
aur mere bank account me paise kitne din me aayenge paypal ke taraf se jo bharne ke bad mera paypal a/c varified hoga
24 Hours me aa jate hai
mai ye account kyu bana raha hu”’ me kya bharu
Ye ” account Maine kisliye bana bana raha Hu” me kya likhu.?
Personal use
Bhisahab likesplanet ki earn mony ko paybal account me kaise lete hai aur bank khata me transfer kaise kiya jata hai.
Emarn ke option me paypal ki Id dalni hai.. Or paypal me account t connect karna hai jab Hamare bank account me aate hai
maine paypal accout banaya hai lekin last step hai default purpose code iska kya matlab hai aur yaha kya likhna hai plz help me
Aap koi bhi code dal sakte hai.. Jo baad me kabhi jarurat padegi to dalna padega
Hello sir papyal account k lya Jo credit ya dabit kar chya vo mera pass nahi hai uski jgha atm number da sakta hai kya or mera pin card nahi hai to jab tak pan card banta hai website sa PayPal account m paise ikta kr sakta hai kya
Atm ? card hi hota hai debit credit jisse ham paise nikalte hai
Sir mere pas computer to nhi hai ye bataye ki mai android mobail me kaun sa softwere downlod kru ki internet fast chale.
Internet speed ke liye aap chrome beta browse use kare usme fast chalta hai
sir http://www.likesPtc.com me mai account banaya hu. kya ye website shi hai. ye mujhe paisa de skti hai ki nhi. please sahi rah de.
Ye aap kuch practicality karke dekh lo.. Bese Jada tar farji hoti hai or muje aesi kisi website ki jankari nahi hai
SIR paybal account me email id veryfy nhi ho rhi hai kya karn hai.
Aapke email ? id par paypal se ek mail ✉ aaya hoga.. Isme rhati hai verify karne ki link
Ot paypal se bank account me paise kaise aayege or ha mere email pr koi code aaya hi nhi
To paise account me kaise aayege
Paypal ko youtube account se kese connect karu???
Nahi hota hai.. Paypal ki koi jarurat nahi hai youtube me.
mere number password nhi aarhe hai or paypal pr mere number dale the to password nhi aaye kya kre sir ji
Paypal me number par koi password nahi aata
i am from punjab when i create paypal account he asking me state code but not there punjab code how to fill pinjab code please help me
aap country select kare phele India.. Fir aayega.
Chitika account banane ke liye kya kya chahiye. Bina paypal se chalega kya
payment ussi me aati hai.. ban to jayega.. par payment kese lege.. Paypal account kaise banate hai uski jaankari yaha hai
sir, paypal me canara bank ka debit card accept karega
Aap add karke dekhe.. Muje uski jaankari nahi hai.. State ? bank or union ka kiya hai mene add
or ek or sar ji me koi bhi savaal kaahaa karu ki mea javaab jaldi mil jaaye kyoki aap to meri post dekhate hi nahi
Aesa nahi hai.. Aap comment karege to me jald se jald reply karne ki kosis karta hu. Facebook page par bhi message kar sakte hai
sir,me 18 year ka nhi hua to kya mera paypal ban jayega,or mera pan card nhi h kya dusro ka pan card lg skta h kya
hay sar ji mere kai dino se aapne ans. nahi diya he sar me you tube ke baare me jaanna chaahta hu ki .mene video montizin kar liyaa uske baad montizin ke aage haraa dot bhi aagayaa he or uske aage adsense account par clik kiyaa uske baad how bill we paid par clic kiyaa or uski jo adsend account ki side khuli uspar clik kiyaa uskee baad ek page khulaa magar uspar nex par clik karne par age ka page khali aa rahaa matlab ki us page par googal aacount khulnaa chahiye tha vo nahi khyl raha he sar aap bataayie ki kuch bhul to nahi ho gai mujse sar please help me
Aap computer ? me kare is puri process ko..
sir mai ya kaeh janana chahta hu ke hm ko paisa kamane ke liya pahele kya kar na hoga sir aap hmme step by step bata sakte hai yeh kaise hoga please
Aap Youtube or BLogger se paise kama sakte hai..
Agar computer hai to sabse phele blog banao..
yaha puri jaankari hai – http://www.HMH.pe/BLogger
Rohit ji, Neobux me “paypal email id” dalni h, wo kaun si hoti h, jo Email main dalta hu wo ya jo paypal ka acc banane k baad mere mails me aayi h (example PP16** – f3e09c****) lekin wo to har mail me change hoke aayi h.. Or mera debit card ki Information sahi submit krne pr bhi mismatch bta Rha h, kya bina debit card k bhi money transfer ho jayega bank branch me.. Pan card details to hai.
Aapko apna email id dalna hai jisse Aapne paypal par account banaya hai..
Bank account connect kar diya to ho jayege.
Aapka jo Gmail ki Id hogi jo login karne me use karte ho paypal par wo hoti hai Hamari paypal email ?
sir maine is Tarah payout kiya tha sabse pehle meine app open kiya phir main payout ke option mein gaya phir Maine payout kiya mere apps mein se toh $10 kat gaye par PayPal ko kuch receive nahin hua kyun please tell me
Aap jo app hai usse contact karo, Agar aapne email id Sahi dali to q nahi aaye.. Iska Karan sirf send karne wala bata sakta hai, ki kya dikkat hai.. Q abhi tak payment nahi aai
hello sir main apne mobile mein ek apps use karta hun jiska naam whaff rewards hai maine kal $10 apne PayPal account mein send kiye par WO nahin aaye plz sir bataiyye wo kahan gaye jis gmail I’d se Maine PayPal account banaya tha usi gmail I’d par Maine $10 ki request ki thi plz sir bataiyye kya karun
Aap jo aap usse karte ho.. Unka dekho wo kitne din me paise transfer karte hai. Ho sakta hai kuch Time lagta ho.. Ya fir app farji bhi ho sakta hai.. Kisi or ko mili hai income
rohit bhai mera adsence acc. me jo email daali he wohi email paypal par daalni jjaruri he kya yaa fir dusri email id bhi chlegi
Dono ka ek dusre se koi len-den nahi hai.. Aap koi bhi Sal sakte ho.
Paypal pr acc bnana h pr pan card nhi h.. Haan Atm card h.. To kya pese mere acc me transfer ho jayenge..
Or sir me 6 years se Quadriplegic hu, bed pr hu parmanent.. Mujhe koi secure online ya Internet se pesa kamane ka tarika bataye..
Blogger or youtube best hai.. Dono google ki service hai.
PAN card ? jaruri hai. Aap banba lijiye
Sir, 6 saal se bed pr or ek room tk seemit hu, pan card ban sakta h kya.. Koi dusra tarika nhi h kya apne acc me pesa transfer krane ka jisme pan card ka use na ho
Aap youtube se bhi kama sakte ho.. Paypal par paise aaye to uske or bhi bhut tarike hai.. Aaye jab batana.. Ek simple tarika ye ki kisi or ke paypal account me transfer kardo or wo aapke bank ? me paise transfer karde
Bina ek rupaye ki income k ek spinal cord injured (Quadriplegic) ka pan card to nhi bnega to me online pesa kamakar apne acc me kese transfer karunga.. Plz help a disabled man
Pancard banane ke liye koi income ki jarurat nahi hoti hai. Or 106 rupee me bana hai
Sir mera email account hai uska password wrong ho jata hai right type kro phr v please kuj btao sir rohit
sabse phele aap check kare aap email id to sahi daal rahe hai, bhut baar ho jata hai hamare haath email id galat daljati hai..
Agar aap password bhul gaye ho to forgot password kare