Agar aap nahi jante me to aapko bata du ham jis app ki baat karne wale hai PhonePe App wo Flipkart ne kharid liya hai to aap samaj sakte hai jo App hai wo farji to nahi ho sakta q ki flipkart jesi badi company ka hai.
Page Contents
PhonePe Kya hai ?
PhonePe ek mobile app hai jiski madad se ham payment kar sakte hai or payment recive bhi kar sakte hai. Aap PhonePe app ki madad se online bhi payment kar sakte hai or ye UPI par par bhi work karta hai to aap badi aasani se iski madad se apne bank account me bhi paise transfer kar sakte hai.
Agar aapko nahi Pata UPI kya hai or usko kaise use karte hai to aap hamari ye post read kare jisme bataya gaya hai UPI kya hai or uska kaise use karte hai.
Agar aapka PhonePe Account nahi hai, to Please abhi bana lijiye. Agar aap abhi account banate hai to aapko kya fayde hoge chaliye jaan lete hai?
Jese hi aap account banayege aapko ₹100 turant mil jayege. Ji haa, Abhi PhonePe ek offer chal raha hi jisme 50% cash back hai pheli war transfer karne par or wo ₹100 tak mil sakta hai. Matlab agar aap kisi ko bhi ₹200 agar transfer karege to aapko turant ₹100 aapke PhonePe account me mil jayege.
Aapko ₹200 transfer karna hai wo aap kisi dusre PhonePe user ke account me kar sakte hai ya fir aap apne khud ke account me bhi bank me transfer kar sakte hai :) . Dhiyan rahe aapko ₹200 se kam transfer nahi karna hai nahi to aapko ₹100 nahi mil payege..
Dusra Fayda ye hai ki agar aap Flipkart se agar kuch kharidte hai or payment aap PhonePe App se karte hai to aapko 25% cashback milega jo ₹150 tak mil sakt hai. Yani agar aap Flipkart par se koi ₹600 ka saman khridte hai or uski payment aap PhonePe se karte hai to aapko ₹150 ka cashback mil jayege :)
Wese aapko Online Saman kharidna to aata hoga, par agar aapne aaj tak koi samaj online nahi kharida hai to aap yaha dekh sakte hai kaise Saman ko online kharidte hai.
Phone Pe Account Kaise Banaye
Step 1: Sabse phele aapko PhonePe App install karna hai, Yaha se Download kare.
Note: aapko issi link se download karna hai, jab hi aapko ₹75 cashback milege.
Step 2: Ab aapko apna wo number select karna hai app ko open karke jo aapke bank account me add hai.
Step 3: Uske baad aapka wo number verify hoga, SMS ke jariye.. (ye process automatic ho jayegi.. agar nahi hoti to aapko jo SMS me code aaya hai wo dalna padega.)
Step 4: Ab aapke us mobile number se jo bank account connect hoge wo aa jayege.. agar nahi bhi aate to aapko apni bank account ko select karna hai.
Step 5: Ab aapka PhonePe account banke to teyar ho chuka hai.
Step 6: Ab aapko sabse phele to UPI ke through paise transfer karke 50% cashback lena hai. Aap Kisi dusre PhonePe user ko ya fir apne aapke ek bank account se dusre account me ₹200 transfer kar lijiye.. jese hi aap transfer karege aapko ₹100 PhonePe account me mil jayege.
Step 7: Ab aap Flipkart par jaye or jo bhi aapko kharidna hai wo kharid lijiye.
Step 8: Last me payment ke option me PhonePe select kare.
Step 9: Fir aap PhonePe App se uski payment kare aapko 25% discount milega jo ki maximum ₹150 tak ho sakta hai.
Step 10: Is Trha aapko ₹250 ka fayda ho jayega. (₹100 paise transfer karne par + ₹150 Flipkart se kharidne par.)
Phone Pe App se Paise Kaise Kamaye
1: Agar aap koi kapde ya fashion ki koi chij kharidna chate hai to aap Mantra se kharide or last me payment ke option me PhonePe select kare jisse aapko 50% cashback milega jo ki ₹75 maximum mil sakta hai.
2: Agar aap PhonePe app se apna Electricity Bill pay karte hai to usme bhi aapko 50% cashback milega jo ki maximum ₹75 tak ho sakta hai.
Ab agar sabko Total kiya jaye to hame ₹500 ka fayda milne wala hai. to Aap abhi tak soch kya rahe hai abhi PhonePe App install kare is link se or Offer ka fayda uthaye aesa naa ho offer khatam ho jaye. ;)
Bonus Tip: Agar Aap PhonePe App ko Refer karte hai to aap or jada Paise bhi kama sakte hai. Refer karne ke liye aapko App ki setting me jakar Invite & Earn par click karke apne Family or Dosto ko refer karna hai.. Aapko ek refer par ₹75 milege.. to aap jitna jada Refer karege utne jada aapko paise milege.
Phone Pe Kaise Use Kare
phone pe kaise use karna bada hi aasan hai, aap isme recharge, payment aasani se kar sakte hai. simple aapko jo bhi karna hai uske icon par click kare.. jese Mobile Recharge, Electricity Bill, DTH or usme baad apni detail submit karke aap pay kar sakte hai.
Payment kaise kare, agar aapko iski jankari nahi hai to aap yaha dekhe, mene detail me bataya hai Mobile rechanrge kaise kare.. uski last step me payment ki puri process batai hai, same isme hoga..
To Friends, Jald se mene jo link di hai usse PhonePe App ko install karke offer ka fayda uthaye.. or haa comment karke ye batana naa bhule aapne iss offer ka fayda utha kar kitne paise kamaye hai.. Mene Iss Offer me ₹500 Kama liye hai :)
To jaldi kare or apne Dosto se bhi is post ko share jarur kare.
Ye bhi jarur Read kare:
Nice article about this thanks for sharing with us
Bhai agar bank account mobile number se jude nhi ho to,,,,
achi jankari he
Thank you for sharing this information
Very Helpful Information sir thank for sharing
sir phone pe korne ke liye keya atm jorurat hai… mere pass atm nhi hai
Bank a/c me jo number hai.wahi inter karna hai.aur add bank ko touch karen.apne bank name ko touch karen.phir msg send hoga.phir aap ka bank aad ho jayega..jisko bhi na samjh aaye to coll me-7869262211
Bhai mera ek friend h jo kisi b no. Ke phonepe wallet se kisi bi account m paisa send kr deta h….. Kya esa ho sakta h
…
Bank m to ek no hi register ho skta h na…
.
Or ek bat kya bina upi k wallet ka paisa send kiya ja sakta h
Sir kya ISI link se download karne par RS 💯 milege
Kabhi ek number par 3 se jyada account Jude h to usme kitna paisha
milega
ek number se ek war hi milega.. kitne bhi account ho..
add bank nahi hoya 100 rupiya nahi dia
aap pheli war kisi ko paise send karege uske baad milege.
mera add bank nahi horahahe or 100 rupiya nahi dia
aapke bank account me mobile number register hona jaruri hai.. ussi se add hoga.
Kya ek phone me 2 phone pe app acount chala sakta hu ? Mere pass do bank account hai. Dono me phone pe use karna chahta hu
Kya me phonep 2 account bna skta hau ak name sae
haa par uske liye aapke bank me bhi 2 account hona chaiye, jinme dono alag alag number add ho.
Sirf reffer karna h …koi bhi download karega to Paisa milega
Ya phir transection pe Paisa milega ..
Or transection kiss dosre know santh ho to
Paisa milega
jab wo kisi ko paise send karege UPI se jab milega..
main phone pe app se 500 rs tak kama liya hu sir.acha information diye. mujhe phone pe abhi tak ka sabse best upi app laga hai.
Great
Very good post bro
Sir hamara Jo bank account me number he vo hi number use karna he
Ya koi bhi Kar sakte he
आप ने बहुत ही बेहतरीन पोस्ट लिखा है……
आज के डेट में 1 referral पर Rs. 100 कोई app नहीं pay कर रहा है।
Bro..eye officer kitna din tok hai.? please bataye.
Abhi to chal raha hai.. Kab band hoga kuch conform nahi hai
Wow sit mast offer ke bare me btaya aapne
bhut achi post likhi hai sir
Nice article sir
Thanks Vandana
agar account me mobile number Na add ho to bhai
Nahi, bank me mobile add hona jaruri hai..
nice aticle really informative
Hey Rohit,
nice article phonepe is really good.
your information is really valuable and keep good work.
bhai agar mai kisi ke invitaion se ye aap install karta hu toh mujhe kuch milega
haa jab aapko 100₹ milege..
Superb yar
Phonepe Apps Online Transaction Karne Ke Liye Badhiya apps Hai . Sath hi Iske Sath judkar ham isme se refer and earn madaym se paisa bhi kama sakte hai .
haa ye ek badiya app hai.
Sir aap konsi Theme use karte ho aur kya me ye apni blogger site par laga sakta hu
Newspaper
Achi information hai loot lo ise maine grab kar liya
1.rohit bhai me apni blog par 2 domain add karna chahta hu use kaise kare.
2. yisse meri blog ki seo par efet to nahi padega.
3. or bhai mere pass 2 domain hai or bo alag alag godady a/c par hai to me dono ko ek hi a/c par lana chahta hu ho jayega.
do domain add nahi hote hai.. haa aap ek domain ko dusre domain par redirect kar sakte hai.. or iske koi nagetic effect nahi padta..
agar aapko godaddy ka domain ek account se transfer karna hai to kar sakte.. uske tutorial aap internet par search kar lijiye aapko mil jayege..
Sir Meri site ka meta tag nhi sow ho Raha he
wo show nahi hota hai .. wo sirf search engine ke liye hota hai
Thanks Rohit Sir
Mai Apke Answer Se Satisfy Hu And Aap Mere Ko Badiya Hosting Ke Bare Me Bataye Jo Badiya Ho Or Sasta Bhi Ho :)
Hello Rohit Sir
WordPress Website Me Old Post ko Update krne ke baad 1st Page me kaise Pablish krte hai ?
And Rohit Sir Mane Bhi Mere Blog Me Newspaper Theme Laga Rakhi hai Lekin Es Theme ko Use krne baad Traffic Me Daily Page View Bahut Km Show Hote Hai Jabki Traffic High hai and Jab mane dusri theme laga rakhi thi to Daily Page View bahut Jyada Show Hote The To Sir Ye Difference Kyu aata hai theme me ??
Please Bataiye mere ko apke Answer ka Wait hai
aap date change kar dege to post upar aa jayegi..
jo aap views ka bol rahe hai.. uska karan ye ho sakta hai aapki hosting plan chota hoga.. to jada traffic nahi aa pati hogi.. jo theame hai uska size bada hai.. isliye sayad down ho jati hogi.. oe aap koi dusri use karte hoge to wo itni badi nahi hogi..
Rohit Bhai agar hum phonepay app SE kamaye hue paiso ko apbe bank account me transfer karna chahe to transfer ho sakta hai…
haa bank account me transfer kar sakte hai.. bhut aasan hai aap ek click me bank me transfer kar sakte hai.
Rohit Bhai mere blog pr kuch old post he jisme kuch nhi likha he 1-2 word likhe honge
To me un posts ko delete kar du ya new post likh kar unhe hi update kar du
Mene suna old hone pr fayda hota he
Sahi kya rahega
1 year old he all post he per Kuch likha nhi un me 1-2 word he
old post hone se koi fayda nahi hota..
Nice post jarur try karege
haa jarur try kare..
Acchi jankari he Rohit…..
Aao muze blog ke liye koi accha template suggest kar sakte ho ya ye hi best he
Hello Rohit Ji
Jaise aapne bataya phonepe app flipkart dwara sanchalit he isliye yah baat to pakki he ki yah trusted he or iske bahut sare fayde ko jaankar me iska upyog jarur karunga.
Thank you for sharing this information
Ji bilkul.. Sabse main abhi offer hai to aap bhale jada nahi par 100₹ to aasani se kama hi sakte hai transfer karke.
Nice yaar.. खुपच भारी..????????
Try jarur kare.. or bataye aapne kitna kamaye ;)
Bhut hi badiya jankari share ii hai Rohit ji aapne.. Mene aapko madad se ₹250 kama liye hai..
Mene transfer karke or flipkart se shopping karke 250 to kama liye hai.. Abhi dekhta hu.. Koi electricity bill pay karke ₹100 or kamata hu ????
Thanks for share.. Aese hi badiya tips share karte rahe..
Kyaa baat hai.. ????????????
apne hi account me transfer kro aur fir bhi cashback….????????????…..fayeda hi fayeda…. jrur try krunga….
muje iss offer ki sabse khas baat yahi lagi.. apne hi ek bank account se dusre bank account me transfer karne par bhi ₹100 mil rahe hai :)