What is programming language yane programming language kya hoti hai, iske bare me aaj hum janane wale hai.
Post ko shuru karane ke pahale mai aapko batadu ye meri pheli Guest post hai HMH.pe, ummid karte hai aapko pasand aayegi or kuch naya sikhne ko milega.
Page Contents
What is Programming Language?
Programming language me computer ke liye instruction hoti hai. Programming language ek formal language hoti hai, jisme set of instruction hoti hai to kisi task ko complete karke output provide karati hai.
Developers programming language ka use software, game, and script develop karane ke liye karate hai.
Types of Computer Programming Languages:
Computer humari bhasha ko samaj nahi sakta hai. Computer ko sirf binary language yane (0,1) ki bhasha hi samaj me aati hai.
1. Machine Language:
Computer ko humari bhasha samaj nahi aati usko sirf machine language samaj me aati hai. Computer programs different language me likhe jata hai, jaise C, C++, and java but computer isko directly understand nahi kar sakata. Computer program ko pahale compile kiya jata hai. Compile karane ke bad hi computer usko samaj sakata hai.
2. Assembly Language:
Assembly language low level programming language hai. Assembly language me commands, ka istmaal kiya jata hai. Jabki machine language me sirf numbers (0,1) ka istmaal hota hai. Lekin assembly language me programmer number ke badale name (command) use karata hai. Assembly langue processor yane CPU ke liye hoti hai. Yane “Each assembly language is specific to a particular computer architecture” kah sakate hai.
Assembly language ko symbolic machine code bhi kaha jata hai.
Command e.g. : MOV CL, AL ;
3. High Level Language:
Isko HLL bhi kaja jata hai. High level language humari human language ki tarah hoti hai jo kisi particular computer par depend nahi hoti hai.
As compare with low level language (machine, assembly) high level language write, read, maintain karane ke liye easy hoti hai.
High level language me likha hua program computer ko understand karane ke liye usko compiled karake machine language me convert kiya jata hai.
First high level language 1950 me introduce hui uske bad bahut si high level languages market me aayi jisme C, C++, Java, PHP, Ruby, visual basic etc.
High Level Programming Languages Ka Use Kaha Kiya Jata Hai?
Ab in programming languages ka istmaal kaha hota hai ye hum janate hai.
1. Application, Program, and Software Development Me:
Hum computer me daily jo bhi application, program, software use karate hai jaise browser Google chrome, Mozilla, Ms-word, in sabko create karane ke liye in programming language ka istmaal hota hai.
Jisme niche di gayi languages mostly used hoti hai.
C, C++, Java, Visual Basic, D, and C#
2. Game Development me:
Hum apne computer me games khelate hai unko banane ke liye bhi inhi programming languages ka use hota hai.
Jisme C, C++, Java and C# ka use hota hai.
3. Script Development:
Script kya hoti hai?
Script yane ek prakar ka program hi hota hai, jisko kisi specific task ko complete karane ke liye create kiya jata hai.
Hume agar ek hi kaam bar bar karana padata hai to hum uske liye code ke jariye script bana skate hai, aur humara time save kar sakate hai.
Agar script develop karani ho to hum Perl, python, batch file in programming ka use kar sakate hai.
4. Web designing and Development Me:
Internet par hum jo nayi nayi website dekhate hai wo bhi alag alag programming, scripting langue’s ki help se banayi jati hai.
Web designing me sabse basic language jo hai wo HTML (Hypertext markup Language) use hoti hai. Uske bad CSS (Cascading Style sheet).
PHP (Hypertext Preprocessor), ASP (Active Server Pages) Inka prayog dynamic website ko create karane ke liye kiya jata hai.
Wese aapko bhut thoda knowledge ho fir bhi aap Blogger par Blog bana sakte hai badi aasani se free me.
5. Android App Develop karane ke liye:
Android app develop karane ke liye “Java with Android SDK” use ki jati hai. Aur sath me C, C++ ka bhi istmaal app development ke liye kiya jata hai.
Also Read: Android Mobile App Kaise Banaye 5 Minute Me
Extra Tip:
Agar aap bhi koi programming language ghar baite sikhna chahte hai to aap w3schools.com, tutorialspoint.com in 2 sites par jake sikh sakate hai. W3schools world top most site hai jaha par aapko har programming ke tutorial milenge.
To tutorialspoint India ki topmost programming tutorial ki site hai, jaha aapko easy languages me tutorial mil jayenge.
Agar aapko humari ye post acchi lage to aap isko share bhi jarur kare.
Thank U Sir Mujhe bahut help mili languages ko samajhne me aapki is post se
Agar hamare desh me log apne bhasa Hindi ki or dhyan dete to
hamara desh bahut aage nikal jata.
Well Done #rOHIT mEWADA
Thanks Shivam bhai..
Thanks for writing such a good information
Very good and impressive knowledge.
thanks to guest author .
Hi Rohit Sir Mera Naam. Altaf Hai Mai SeeKhoWeb Name Blogg Ka Owner Hu Mai Blogging Ke Saath Aur Bhi Bohut Kuch Karna Chahta Earn Money Online se Mai Ye Chahta Hu Ki Mai Programming Seekho Aur Ek Aisa Sotware Apps Banau Jise Mai Asaani Ghar Baite Paise Kamasaku Kya Ye Aaj Ke Time Me Possible Hai And KonSa App Banane Se Mai Paose Kamasakya Hu Mujhe Kuch Bada Karna Hai Jaise. Aaj Whatsup Banya Gya Aur Wo Log Chain Ki Jindagi Jirahe Hai Hanare Indian Man Paytm Banaya Aisa Kich Alag Karna Hai Agar Apne Mere Help Ki To Yekinan Iska Badadala Aaoko Best Milega Plz Try To Understand Mind Blowing Jankari Di Aapne And Kya Mai Ghar Baite Bina Couching Join Kiye Programming Ki Kyuki Mai Commerce Student Hu So Mai Software Engeer To Ban Nhi Sakta So Mujhe Ghar Baite Programming Kaise Sikhe Plz Answer me
brother samse pheli baat aapkji situdy kis ki kari hai usse koi fark nahi padta.. agar aapka interest kisi or chij me hai to wo aap khud se internet par searc karke bhi sikh sakte hai..
Brother Koi Esi Jagha nahi Hain kya Jaha Par Programming Hindi me Sikhi Ja Sake
Nice post.
m web developer hu.
Agar aap apne article me development language ke frameworks bhee batate to blog readers ko or b jyada jankari mil pati.
Thanks.
Bro mujhe aapke blog ka designing bahut pasand aata hai.
Thanks
Aapne Bahut Achi Post Share Ki Hai
Achchhi jankari ke liye dhanyabad mai apne blogg ka templet custmaize karna chahata hu usase jude cs code hame kaise mile ge jaise blog ke niche custum author box lagana hai aur share butan me whats app lagana hai
google se code search karke try kiya lekin error araha hai pls hel me
sir bahut achhi jankari he par mughe webdesign karna he to konsi lenguage sikhna padegi sir please bataye
agar web designing karni hai to sikhna to jaruri hai dost.. baki agar aapko blog banana hai to thoda bhut khud se sikh kar bhi bana sakte hai.
sar mera blog to he vo to mene bana liya he par mughe profesnol trike se webdesing sikhna he
HTML and CSS sekhlo
Acchi Information Share ki aapne @umeshchavan Ji. Keep it up….
rohit sir mene apko ek guest post send ke the marquee effects ke uper plz sir use publish kar do.
Post Publish Karane ke liye thanks Rohit Ji
Most welcome brother ❤️
GREat share sir. es post ke jariye kis language ka use kis kaam me hota hai pata chal gya
Bahut Acchi Post hai or Unique Information bhi hai.. Ummid kartaa hu Logo ko isse bhut Help Milegi