Hello Friends Kya Aap jante hai QR Code kya hai or QR Code se kya hota hai or ye kis kis kaam aata hai, agar nahi to ye post aapke liye hai.

Page Contents
QR Code Kya hai uski Puri Jankari in Hindi
QR Code jiska matlab hota hai Quick Response Code. Ye ek code hota hai jo ham insano ki akho se us message ko nahi pas sakte par ham us code ko Mobile Phone me camera ki madad se aasani se read kar sakte hai. Jo Code hota hai usko ham jese hi Mobile me camera se scan karte hai us code me jo bhi message hota hai to aa jata hai.
QR Code ka Kya Kya Istmaal hai
Abhi ke time me QR Code ka bhut si jagha use ho raha hai, Q ki ham sab jante hai Mobile to har ek ke pass hai to agar hame kuch information kisi ke mobile me jaldi se deta hai to wo ham QR Code ki madad se kar sakte hai
Ye kuch Chije jo ham QR Code se kar sakte hai
- BookMark Link (website ki link jisko scan karne par wo bookmark ho jaye)
- Contact (Apna Contact ka QR Code bana sakte hai jisko scan karne par hamare contacty ki detail turant aa jati hai)
- Email ID (Code ko scan karne par hamari set ki hui ID aa jati hai jispar direct email send karne ka option aa jata hai)
- GEO Location (Location set kar sakte hai, to jese hi fir code ko scan kiya jata hai map me wo location open ho jati hai)
- Phone (Mobile Number add kar sakte hai jisko scan karte hi call lag jati hai us number par)
- SMS (Mobile Number or Message set kar sakte hai, to jese hi koi code ko scan karega wo sms send ho jayega us number par)
- Text (Agar koi message display karna hai ya aesi koi bhi jankari jo sirf text me dikhe to wo bhi kar sakte hai.)
- URL (Website ka URL ka QR Code bana sakte hai jisko scan karne par website open ho jati hai.)
- Wifi (Code ko scan karne par Wifi se connect kar sakte hai)
Inke alawa bhi bhut se tarike hai jinke liye QR code ka istmaal kiya ja sakta hai, QR Code ko Scan karke Whatsapp Hack kar sakte hai.
Aapne Paytm ka ads bhi dekha hoga TV par jisme payment karne ke liye ek QR Code scan karna padta hai uske baad payment ho jati hai.. issi trha bhut se tariko se ham QR Code ka use kar sakte hai.
Sabse main baat QR Code ki wo ye ki ham usko apni akho se nahi pad sakte ki usme kya hai par Mobile se bhut jalti uska message hame pata chal jata hai.
QR Code ka Kha kha istemal kar sakte hai
jesa ki mene abhi bataya ki ham QR Code ki madad ham kisi bhi information ko Mobile me jaldi se de sakte hai.. QR Code ka istemal ham T-shirt, Mug, Business Card jesi bhut si jagha use kar sakte hai.
Ye Aap Dekh sakte hai mere Business Card par bhi mene QR Code use kiya hai jisko scan karne par HindiMeHelp.com open ho jati hai.

QR Code Kaise Banaye Uski Jankari
QR Code Banane ke bhut tarike hai, or usko banane ke liye bhut si sites bhi hai or Mobile Apps bhi hai..
Hindi Me Help ka QR Code Generator
Aap QR Code banane ke liye niche diye Tool ka bhi use kar sakte hai, jisme simple aapko apni value tu]ipe karna hai. jese agar aap koi message ya koi link ka QR Code banana chahte hai to wass aap wo box me type kar dijiye, automatic uska QR generate ho jayega.
QR Code Scan Kaise Kare Mobile se
QR Code ko scan karne ke liye hamare pass smart phone hona chaiye jisme camera ho.
Bhut si Compania ab Mobile me pehle se QR Code scanner deti hai to ho sakta hai aapke mobile me pehle se ho.. Simple aapko apne mobile ke camera ko open karke QR Code ko scan karna hai.
Agar nahi to koi baat nahi hai Aap Play Store par QR Code Scanner search kare bhut sare aa jayege.abhi ye Qr Code Scan karke dekhe apne mobile se
To Friends ab aap jaan chuke hai QR Code kya hai, iska kya istmaal hai, isko kaise istmaal karte hai or QR Code ko kaise banate hai.. Fir bhi agar aapka koi sabal hai QR Code se sambandhit to aap comment me puch sakte hai.
this information give us useful knowledege about qr codes
bahut achchha likha hai aapne
hallo sir qr code me text me kiya type hota he pleass bata dege jime name number dale jate he
Agar kisi ne mere phone ka bar code scane kiya hai to kya wo mere mobile me hm kya kr rhe hai sb usko pta chal jayga jaise kisi se bat kr rhe ya online kuchh movie bagaira dekh rhe hai
Mene apne mobile ko reset kiya to mere mobile me qr code scan karne ka option diya ja raha he to mujhe konsa qr code scan karna he,MATLAB ki ye qr code kaha he mere mobile me ?pls help me
Whatsappweb pai qr scan code krnai kai baad kitnai time tak login rehta hai whatsapp kishi ka
thanks for sharing this.bro..
sir feedburner email subscription box add karne ke liye jab hum email subscription pr click karte hai to koi code show nahi hota hai
Your comment is awaiting moderation.
sir code ki jagha pr ye msg show ho reha hai (After you activate this service, FeedBurner will provide HTML code for a subscription form you should copy and place on your own site.
Note: Email Subscriptions requires that your FeedBurner account uses a valid email address. Visit My Account to double-check your settings.
FeedBurner Email Preview
View a sample message in HTML or Plain Text
How do I know which email format my subscribers will see?
ActivateThis service is inactive
Nice post
THanks
Rohit ji – aap ne bahut acchi information post ki hai. mai bahut kuch sekh raha hua is blog se. Thanks for sharing.
Thanks Brother
Good article dear
Awesome Sir
Sir mere blog me Aapke Jaisa About Author box add nhi ho rha hai
brother ye newspaper theame ka feature hai.. baki aap google par search kare, bhut se mil jayege.. jada tar to har template me phele se hota hai.
Brother kya qr code v bar code ek hi cheeze ke bn skte he
nahi, QR code square hota hai or bar code me lines hoti hai.
Sir plzz btae k QR code change ho skta h kya agar Han to plz bta dijie kaise
aap simple dusra bana lijiye.. agar koi ek chij hai to uska same hi qr code banta hai har war.
Kya hum qr code ko change Ni Kar sktey agar Han to please jalldi se jldi btaiye k kaise karte please
Yah mera number 8176916838 plz help me bhaiya
Bhaiya aap mera number p call ya miss call kr dijiye aapse baat krni h
muje mera Qr code nahibmilbraha hair whatsaap me plz. help kaise milaga
qrcode.hindimehelp.com ye link hai.. mene post me bhi bataya hai.
website kaise banye
international sent ham project banana chate hi btaye sir
Rohit bhai apne qr code tool koi kaise create kiya hai. Kya aap iski jankari share kar sakte ho. To please share jarur kare.
brother wo script mene kharidi hai.
sir kya photo ka bhi QR code bna skte hai
ager ha to kaise.
sir Qr code se scan kar rahe hai kuch nahi dikha raha hai camra ki tarh bas dikhae de raha hai mera whatsapp no 7458838438 hai mujhe apne group me samil kar lijiye plzz sir
sir mera masaje aap tak pahucha ki nahi
mera whatsapp no 7458838438
Sar me pakistan sy hun mai NY SB kr liye ha PR cont nai ho rha ager passed nai pata ho to us sit PR non sa paswrd lgna ho ga
Mujhe Apne Pic ka background change krna hai Wo Kon sa app hai Jo mere pic ke background ko change kr de or Koi mast Background ho jye or wo Mere Samsung Galaxy J5 &J7 me support kregi please help me
Picart acha app hai..
Sir qr code change ho skta hai Kya agar Han to kaise sir plzz jalldi btae
QR Code change nahi hota.. par agar aapko kisi or chij ke liye banana hai to aap naya bana sakte hai..
aap to ye khe rahe hai ki Maan li koi sabd hai A or isko dusri trha se likhe.. par agar aesa karege to wo naya sabd hi ban jayega…
Bro.
Ye Information mujhe bahut hi Achha Laga!!
Aap mujhe ye batao ki Apne iska subdomain kaise liya aur Isko kis Plugins se Generate kiya
usko dosting me ja kar add kiya hai
QRCode hme whatsapp vala knha se milega plzz bhai hme btaye
whatsapp par web me whatsapp chalane ke liye computer par web.whatsapp.com open karne par aata hai
hello sir koi aisa video editor bataiye jisse hum kisi bhi video ka [ record karne k baad ] beech ke hisse ko zoom kar sake. please sir rply jaroor kare
camtasia
48 ghnte ho gye h…
kbhi website khul jate h or kbhi besa show hota hai…
or vo jo code hota h jo blogger site se godaddy ke cname(alias) me dalna hota hai… vo bhi dhoke se delete ho gya hai godaddy site se… restore deafalt bhi kr diya tab bhi vo code bapas nhi aya…
ab vo code kha se milega???
koi provlem to nhi hai us code ke na hone se… kyuki blogger site me domain ab bhi add hai…
aap blogger se domain ko remove karde.. fir 4-5 din baad jab aap wapas domain add karege to wo code wapas aa jayega.. fir aap add kar dena godaddy me
Bhai ek bhut bdi problem hai.
Mere jo blog hai WordPress blog. http://Myhindiblog.in Hai mere blog google adsense me add nhi ho rha Mene apne pyrane account se add karna chaha to ye bola ki This url can not use for sign up with adssse ye url add nhi hota or mene new account bnakar add karna chaha tab v ge kehne lgaa ye url add nhi ho sakta mene ek simple c website ka url add kar diya jis ke daily 20 page views hote wo ho gya is link ko kese add kru koi solutions hoga apke pass sir yeh kya hua plzz aap meri madad karo aap i. Plzzz
aap www ke sath tri kare.. ya fir kuch technical problembhi ho sakti hai.. kuch din baad tri kare
mere blog me 19 post hai but ab mujhe samajh me nahi aata ki new post kaise likhu kaha dhundu,
sabse main to wo hi ahi.. ki aapka blog jis topic par hai usme aapka interest ho.. to aap usme naya naya search karte rahege or unko sikh kar apni jo knowlage share kare apne blog par..
nice post rohit ji, aajkal aap regular post nahi karte hai, me daily aapka blog open karta hu but khali haath lotna padta hai,
pls meri problem ka koi solution bataye mera adsense account approve ho gaya hai aaj se lagbhag 1 mahine ho gaye but fully approve nahi ho raha hai, na hi koi mail aa raha hai, na hi ads show ho rahe hai,
Ab aapko nirash nahi lot a padega.. Regular post fir start kar raha hu..
Or aap adsense ads ka code header me lagao.. Site ke design me koi kami ho to usko tikh karo.. Or email kitne din me aayega wo to me bhi nahi bata sakta
Bro please mera blog check karke batao usme kya kya kami he or unme me kaise sudhar ker sakta hu or abhi maine chitika ke ads lgaye he unhe kha kha lgau usme.
aapka blog acha hai par mene dekha kuch widget blank hai.. aap usko delete karde..
bhai mene domain name bhi kharid liya or use website se connect bhi kr diya.. lekin ab bhi bar bar esa show kr rha hai..
“this domain name no longer parked by godaddy.”
Agar aapne Sahi se add kar diya hai to thoda wait kare… Kabhi kabhi 48 hours tak lag jate hai
hello sir kya sahi padgea yadi hum apne blogger ke post ko wp par upload na karke. balki use dobara new publish kare wp par isse koi traffic par effect to nahi padega
Bilkul padega.. Agar aap aesa karege to aapka blog to new hi khalayega
Hello mera name harun .
Business card ki aaap ko kya jarurat . Jo aapne post m show kiya hai. Ye website hai business todi na hai.?
Aapne business card kio ban waya hai.
Mene sirf ek card banbaya hai.. Jisme nfc hai.. Jo mujse milte hai me usko apna card dikha kar uske mobile me apna contact ads kar deta hai sirf is liye hai.. Wese or koi use nahi hai uska..
Business card ki aaap ko kya jarurat . Jo aapne post m show kiya hai. Ye website hai business todi na hai.?
Aapne business card kio ban waya hai.
Nice post bro
Thanks
sir aap nay youtube channel per jiss software say ya video bnaye hain…
kya aap is ka name ya link mujhy day saktha hain.
https://www.youtube.com/watch?v=ouG2wBCowJM
Powton.com se
thanks bhaiya, Mujhe aapne qr code taiyar karna sikha diya, Lekin Aapne aisa website kaise banai
QR Code ki script hai.. Jo mene kharid kar apni site par upload kardi.. :)
Maine post@hmh.pe pe apni guest post apko bheji hai :) pls check kare
Me aapko check karke reply karuga..
bhai templete ka colour kese change kiya?
bhai ye templete ka colour kese change kiya aapne?
Template edit me color ka code search karke ya fir template me customize me ja kar kar sakte hai
hello sir ye post se humne aaj ek new jankari paya .
.sir justhost se hosting sahi padega aap please ek bar is site visit karke bataye
Aese visit karne se unki service pata nahi chalti.. Mene hostgator use ki hai to me uska hu kha sakta hu ki wo abhi hai