Hello Friends Kya Aap jante hai QR Code kya hai or QR Code se kya hota hai or ye kis kis kaam aata hai, agar nahi to ye post aapke liye hai.
Page Contents
QR Code Kya hai uski Puri Jankari in Hindi
QR Code jiska matlab hota hai Quick Response Code. Ye ek code hota hai jo ham insano ki akho se us message ko nahi pas sakte par ham us code ko Mobile Phone me camera ki madad se aasani se read kar sakte hai. Jo Code hota hai usko ham jese hi Mobile me camera se scan karte hai us code me jo bhi message hota hai to aa jata hai.
QR Code ka Kya Kya Istmaal hai
Abhi ke time me QR Code ka bhut si jagha use ho raha hai, Q ki ham sab jante hai Mobile to har ek ke pass hai to agar hame kuch information kisi ke mobile me jaldi se deta hai to wo ham QR Code ki madad se kar sakte hai
Ye kuch Chije jo ham QR Code se kar sakte hai
- BookMark Link (website ki link jisko scan karne par wo bookmark ho jaye)
- Contact (Apna Contact ka QR Code bana sakte hai jisko scan karne par hamare contacty ki detail turant aa jati hai)
- Email ID (Code ko scan karne par hamari set ki hui ID aa jati hai jispar direct email send karne ka option aa jata hai)
- GEO Location (Location set kar sakte hai, to jese hi fir code ko scan kiya jata hai map me wo location open ho jati hai)
- Phone (Mobile Number add kar sakte hai jisko scan karte hi call lag jati hai us number par)
- SMS (Mobile Number or Message set kar sakte hai, to jese hi koi code ko scan karega wo sms send ho jayega us number par)
- Text (Agar koi message display karna hai ya aesi koi bhi jankari jo sirf text me dikhe to wo bhi kar sakte hai.)
- URL (Website ka URL ka QR Code bana sakte hai jisko scan karne par website open ho jati hai.)
- Wifi (Code ko scan karne par Wifi se connect kar sakte hai)
Inke alawa bhi bhut se tarike hai jinke liye QR code ka istmaal kiya ja sakta hai, QR Code ko Scan karke Whatsapp Hack kar sakte hai.
Aapne Paytm ka ads bhi dekha hoga TV par jisme payment karne ke liye ek QR Code scan karna padta hai uske baad payment ho jati hai.. issi trha bhut se tariko se ham QR Code ka use kar sakte hai.
Sabse main baat QR Code ki wo ye ki ham usko apni akho se nahi pad sakte ki usme kya hai par Mobile se bhut jalti uska message hame pata chal jata hai.
QR Code ka Kha kha istemal kar sakte hai
jesa ki mene abhi bataya ki ham QR Code ki madad ham kisi bhi information ko Mobile me jaldi se de sakte hai.. QR Code ka istemal ham T-shirt, Mug, Business Card jesi bhut si jagha use kar sakte hai.
Ye Aap Dekh sakte hai mere Business Card par bhi mene QR Code use kiya hai jisko scan karne par HindiMeHelp.com open ho jati hai.
QR Code Kaise Banaye Uski Jankari
QR Code Banane ke bhut tarike hai, or usko banane ke liye bhut si sites bhi hai or Mobile Apps bhi hai..
Hindi Me Help ka QR Code Generator
Aap QR Code banane ke liye niche diye Tool ka bhi use kar sakte hai, jisme simple aapko apni value tu]ipe karna hai. jese agar aap koi message ya koi link ka QR Code banana chahte hai to wass aap wo box me type kar dijiye, automatic uska QR generate ho jayega.
QR Code Scan Kaise Kare Mobile se
QR Code ko scan karne ke liye hamare pass smart phone hona chaiye jisme camera ho.
Bhut si Compania ab Mobile me pehle se QR Code scanner deti hai to ho sakta hai aapke mobile me pehle se ho.. Simple aapko apne mobile ke camera ko open karke QR Code ko scan karna hai.
Agar nahi to koi baat nahi hai Aap Play Store par QR Code Scanner search kare bhut sare aa jayege.abhi ye Qr Code Scan karke dekhe apne mobile se
To Friends ab aap jaan chuke hai QR Code kya hai, iska kya istmaal hai, isko kaise istmaal karte hai or QR Code ko kaise banate hai.. Fir bhi agar aapka koi sabal hai QR Code se sambandhit to aap comment me puch sakte hai.