Agar aapke paas ek Youtube Channel hai aur aap uspe videos regularly upload karte hai toh yah article aapke liye bahut hi helpful hai. Iss article me mai apko bataunga ki aap apne youtube videos ko aur bhatar kaise bana skte hai.
Youtube ke kuch basic sawalo ke jabab yaha hai
Quality Video Kyu Jaruri Hai? Mujhe nahi lagta ki aapko yah batane ki jarurat hai ki YouTube Channel par quality video kyu jaruri hai. Aap bhi agar youtube par videos dekhte hai, agar video ki image quality achhi nahi hai ya uski audio quality bekar hai toh aap uss video ko dekhna turant band kar dete hai. Toh mera matlab yah ki agar aap bhi quality video bnayenge toh koi bhi banda agar aapke channel par aata hai toh video dekhne baad usko bhi acha lgega aur aapke channel ko subscribe krega. Aapke kaam ki tareef bhi karega.
Agar Kaam Me Quality Ho, To Paise Apne-Aap Aane Lagte Hai.
Bhut log kya karte hai ki Mobile se kahi ka bhi video banaya or Mobile se hi upload kar diya or monetize karke paise aane ka intezar karte hai, par aesa bilkul nahi hone wala ki aapke pass isti aasani se paise aa jaye..
Jada tar log kya sochte hai ki bhut sare Video bana kar upload kardo to agar sabhi video thode thode bhi dekhe gaye to income hogi.. par ye soch bhi galat hai, Quantity se jada Quality Jaruri hai.
Ab aap Samajh gaye hoge ki Quality kitni jaruri hai, or agar Youtube se paise kamane ka soch rahe ho to aapko video ki Quality to achi karni hi padegi.. To chaliye jante hai kya kya chaiye hame ek acha Video banane ke liye.
Page Contents
High Quality Youtube Video Banane ke liye Kya hai Jaruri
#1 Video Camera
Dosto mujhe lagta hai aaj ki sabke pass smartphone hoga. Aur aaj kal ke smartphone me bahut hi better quality ke camera lge huye hai. Aap Youtube video banane ke liye apne phone ke camera ka bhi istemaal kar skte hai. Lekin agar aapke pass koi professional Handycam hoga toh aapke video me char chand lg jayenge. Mai aapko ₹18000. ke iss sony ke handycam ko suggest karunga. Agar aap isko effort nahi kar skte toh aap kisi bhi 10K tak ke phone se video bna skte hai.
#2 Mic Audio Recording ke liye:
Agar aap video blogging karte hai toh aapko better sound recording ki bhi jarurat padegi. Iske liye agar aap market se koi external voice recorder kharidte hai toh aapko costly pad sakta hai. Lekin koi Microphone lete hai toh aapko ₹1000 Ke andar hi badiya quality ka microphone le skte hai. Agar aapki voice clarity achhi hai toh aapka video 60% enhance ho jata hai. Aap apne phone ke recorder ko bhi use kr skte hai.
Mere Pass Blue Microphones Yeti USB Microphone hai agar aap acha Invest kar sakte hai to ye Mic hi le.. Amazone.in par ₹12,499 me or amazone.com par $98 me mil raha hai..
Agar aapka isse thoda kam ka lena hai to aap SnowBall bhi le sakte hai. jiski kimat amazone.in par ₹7,190 hai or amazone.com par $44.43 me mil raha hai.
Sabse Best or Sasta Mic hai Boya By M1 ho bhut se bade youtuber use karte hai..
#3 Light
Kisi bhi video ki quality uske color tone aur light par hi depend karta hai. Agar aap room ke andar apne video ko banane ke liye ko CFL ka use karte hai toh aapke video me ek special clarity aayegi jisse aapka video khil uthe ga. Mujhe lagta hai CFL aapko aasani se kahi bhi mil skta hai. Toh aap light jarur hi use kare. Agar aapne kabhi light nahi use kiya hai toh aapko difference bahut aasani se pata lg jayega.
#4 Background Color [Blue/White]
Agar aap kisi wall ya parde ke aage khade hokar koi video bnate hai. yaa kisi product ka review karte hai toh aap apna background color White ya Light Blue rkhe. Ye aise color hai jo video ke quality ko 10x jyada badha deti hai.
#5 Video Editor
Agar aap video ko kisi editing software me thoda sa edit kar dete hai toh aapka video thoda bhi boring nahi lgega. Video editing software me koi scene cut krna ho, ya sound ko merge krna ho. Alag alag video shot ko timeline pe merge karna. Ye sb video editing software me hi possible hota hai. Aaj Kal Android phone me bhi advance feature wale video editors aa gye hai . Kuch better video editing software : Sony Vegas Pro, Windows Movie Maker, Final Cut Pro, After Effects or Camtasia. Agar aap basic use krna chahte hai toh aapke liye Windows Movie Maker hi best hai.
Me Camtasia Use karta hu, jiski madad se Screen ki recording or Video Editing dono ho jate hai.
#6 Audio ko Clear kaise kare
Agar aap koi video me apna abaj record karte hai to, jitna ho sake saant mahol me hi kare, fir bhi kuch noise aa hi jata hai jisko Background Noise bhi khate hai.. Is Tarah ke Noise ko aap Audacity software ki madad se hata sakte hai jo ki bilkul hi free Software hai.
#7 Free Audio
Aap apne video me halka halka music bhi lga skte hai. Lekin dhyan rahe aap kisi bhi music ko apne video me nahi lga skte. Kyoki aapke video par copyright claim lg skta hai. Iske liye aap youtube music se free me music download kar skte hai aur apne video me use kar skte hai. Youtube ke Music Library me aapko har tarah ke music free me mil jayenge or kuch Ads supported hai wo to bilkul use nahi karna hai. Ye music aapko Monetization bhi allow karte hain.
Acha Video banane ke baad Video ko kaise Upload kare ki wo aasani se search me aaye uski jankari yaha hai.
Agar aap ek Youtuber hai to aapko ye jankari pasand to jaruri aai hogi, fir bhi agar aapka Youtube se related koi sawal hai to aap comment karke puch sakte hai.
ye bhi pade:
thanks sir, ap na bohat acha article likha ha es sa editing bohat easily ho jay Gai
can you provide me some tips and tricks for a lyrics website. how i create high da pa and backlink
video edting ke liye sabse best software and free video bg removal bhi
album making ke liye chahiye plz bro help me
सर आप हिंदी में बहुत बढ़िया से समझाते हैं धन्यवाद
great work. thanks for information
Sir, jaise blogging me seo hota hao. aise hi youtube me bhi seo karna parta hai kya? ya fir yutube khud suggestion me video ko lata hai?
Nice article ,,,,,thanks sharing
rohit sir youtube pr video banane ke liye videos kha se le aur usper youtube ke copyright terms kya hai ,,,kya hum kisi bi video ko thoda bhut cut karke apne videos me add kar sakte hai plzz suggest
30 second se jada use nahi kar sakte kisi ka copy content.. or agar wo chahe to clam bhi kar skte hai.
sir,,
apne chanel pe downlod video aur movie ko uplod kar sakte h kya,
taki jo dubscrber h unko chanel pe hi sab mil jaye…kya ye liggle h.
Nahi kar sakte
Nice
HI NICE post.
Really high quality youtube video tips hai bhai, nice article.
Nice Content! Keep it up!
Thank you so much to share about high quality youtube video tricks. It’s really helpful to me. Keep it up.