7 Best Sankalp (Resolution) 2019 – Life Change Kar Sakte Hai

Hello dosto 2018 khatam ho chukka hai aur 2019 suru huaa hai to yesse me aapne new year ka Sankalp (Resolution) 2019 kiya hai ya nahi ?

Agar aapne koi sankalp kiya nahi hai to aapko koi na koi sankalp (Resolution) 2019 karna jaruri hai. Jisse aapaki life pehale se bhi behatar ho sakti hai.

Advertisements

aapne 2018 me kya kiya ise abhi koi nahi puchne wala lekin aap aane wale sal me kya karne wale hai usase aapki life aur khubsurat ban sakti hai.

Yesse me agar aap sochte hai sankalp (resolution) ke bareme aur aapko samaj nahi aa raha hai ki aap konsa sankalp kare to aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai.

Aapko iss post me 7 Best Sankalp (Resolution) 2019 ke liyebare me bata raha hu jise aap aapke life me use kar sakte hai aur aapne life ko pahle se adhik beautiful bana sakte ho.

7 Best Sankalp (Resolution) 2019

To chaliye ek ek kar ke jan lete hai konse sankalp (resolution) app aapke life me kar sakte hai.

Page Contents

1. Exercise (Gym) suru kare

Hamare jivankal (life) me sabse jyada kuch important hai to wo hai hamara sarir. Hamra sharir hame har ek kam karne me madat karta hai jo ham hamre daily life me karna chahte hai.

Yesse me agar bat aati hai 7 Best Sankalp (Resolution) 2019 ki to aapko ise sabse jyada priority deni chahiye.

Aap agar pehale se hi gym jate hai to aap apne sehat ke bare khayal rakhte hai parantu aagar aapne abhi tak gym nahi jana chalu kiya to aapko aapne sehat ke bareme chinta karni chahiye.

Aapko gym jane ke fayde jarur milege agar aap regular exercise karte ho to aap kabhi bimar nahi hote, sath hi aapka weight control me rahata hai aur aapka din achha jata hai.

Exercise karne ke fayade

  • Paye shuddh oxygen
  • Tanav se mukti
  • Pachankriya me sudhar
  • Weight control
  • Din achha jata hai
  • Stress kam hona

To aapne dekhe ki itane fayde hote hai regular exercise kare ke..

2. Family ko time dena

Ye ek important Best Sankalp (Resolution) 2019 ho sakta hai aur hame pata hai ki is duniya me kitni jaldi hai har kisi ko, har kam me jaldi hoti hai.

Hame pata hai ki office work, kam ka tension, travel, school aur college ke karan hamara jyadatar samay ghar ke bahar hi chala jata hai.

Aap office nikalte hoge us time aapke bachhe so rahe hote hai aur jab aap rat ko late ghar pohachte hai tab tak wo soo chuke hote hai.

Yesse me bat ye aaati hai ki ham aapne bachho ko time nahi de pate. Iske karan hamara hamre bachho se conversation kam hota hai.

Agar aap student hai to aapse aapke family ki bahut expectations hoti hai yesee me aapko unhe pura karna chahiye.

Is social media ke duniya me aap itna gun ho chuke hai ki aap aapne parents se thik bat bhi nahi karte to isase aapke parent aapke liye hamesha chintit hote hai.

To aapko aapke parents ke sathe din ka kuchh samay bitana chahiye.

Agar aap apane family ko time doge to aap unke sath khana kha sakte hai unke sath baith ke achhi bate kar sakte hai.

Yesse me aap aapka new year sankalp (resolution) 2019 ke liye is point ko shamil kar sakte hai.

Family ko samay dene ke fayde

  • Aap aapki koi ideas aapke famiky ke sath share kar sakte ho.
  • Family se nai bate sikhne ko milegi.
  • Aapne problems ka solution jaldi mil sakta hai.
  • Aapke parents hamesha khush rahege.

3. Family ke sath nai jagah travel kare

Har kisi ko nai jagah travel karna bahut pasand hota hai aur bahut kam log aapne family ke sath sal me ek bar travel kar pate hai.

Family ke sath travel karne se aapke parents aapke bachhe aapki wife sab logo ko achha lagega.

Yesse me agar aap new year ka sankalp (resolution) 2019 bana lete hai ki aap iss sal kisi nai jgah par aapke family ke sath jate hai to ye aapke liye aur family ke liye achha ho sakta hai.

Travel karnese aapko aapke office se thode din ke liye chutti mil sakti hai aur aap aram se aapke family ke sath travel ke liye ja sakte hai.

Family ke sath travel karne se aap nai jagah ko explore kar sakte hai sath hi aap aapke family ke sath achha time spend kar sakte hai.

Nai jagah travel karne ke fayde.

  • Aap nai jagah explore jar sakte hai.
  • Stress free samay gujar sakte hai.
  • Students ko nai jagah ke bareme pata chal sakta hai.

Yesse me aapke new year ke sankalp (resolution) 2019 me ye point bahut achha sabit ho sakta hai.

4. Start money saving

Agar aap job karte ho to aapko paiso ki kimat pata hogi kyoki khud ki kamai ki bat kuhh aur hi hoti hai hai.

Yesse me agar aap student ho aur aap abhi tak koi pise nahi kama rahe ho yesse me aap ko paise kamane me kitni mehnat lagti hai pata nahi hoga.

new year sankalp me aapko ye bat dhyan me rakhni chahiye.

Paisa bachane ka matlab hai ki aapko aapni jarurat ke hisab se paise spend kare. Aapko jis chij ki jarurat nahi he use aap na kharide.

Ho sake to aap Bank me saving account open kar sakte hai, jaha aap har month thode paise aapke future ke liye bacha skte ho.

Aap aapni medical insurance policy jarur banaye jiska istmal aap aapke future me major medical issue solve karne me kar sakte ho.

Paise bachane se aapka bank balance badhne me madat hoti hai aur aapko bina matalab ke paise kharch karne ki adat nahi lagti.

5. Naye Dost banaye

Sabko aese dosto ki jarurat padti hai life me, jo achhe-bure samay me sath de..

aajke time dost banane bohat important hai jaha aap apne sare issue dil khol ke share kar skte hai.

Yesse me new year sankalp (resolution) 2019 me aapko iske bare me jarur sochna chahiye.

Kuchh log kahte hai ki jitana jyada paise utanahi insan amir hota hai lekin meri mano to jitne jyada dost utana hi insan amir hota hai.

Aap jo bate aapne parents se share nahi karte wo sari bate aap aapne dosto se share karte hai.

To aapko life me dost banane bohat important hai.

6. Naye skill sikhe

Jis speed se duniya me technology badal rahi he us hisab se duniya ke sath chalna bahut important hai. Nahi to aap duniya ki race se bahar ho jaoge.

Aapko apne new year sankalp (resolution) 2019 me is point ko add jarur karna chahiye.

aap koi bhi skill sikh sakte hai jo abhi trending me chal raha hai. Aapko bata du abhi ke samay koi skill sikhne ke liye kaha jane ki jarurat nahi hai.

Aap apke gharme baithke jo chaho wo skill aap sikh sakte ho wo bhi free, aap ye skill sikh sakte hai YouTube aur Blog se.

Aajke ke duniya me ham youtube ko bhagwan bol sakte hai. Duniya bhar ki Chaho wo bate aapko youtube par mil jati he. Yesse me blog bhi aapke liye achha source ho sakta hai jaha se aap bahut kuchh sikh sakte hai.

agar aap koi naya skill sikh sakte ho to wo kabhi aapke jiwan me jarur useful sabit hog.

To new year ke resolution me aapke liye new skill sikhna achha sabit ho sakta hai.

7. Start Blog or YouTube channel

Hamne 2019 me enter kiya hai yeese me ham har din digital marketing ka nara sun rahe hai.

Yesse me hame bhi digital marketing ki taraf jana jarui hai yesse me ham log bhi blog aur youtube channel start kar sakte hai. Aur aapne aap ko ek brand bana sakte hai.
Aapko digital marketing ki shuruwat karni hai to aap aapna khud ka blog ya YouTube channel suru kar sakte ho.

blog ya YouTube channel ke bare me janane ke liye aapko kahi paid course join karne ki jarurat nahi hai, aap ye bate internet ke aur youtube ke madhyam se sikh sakte ho.
Aap agar isme seriously kam karte hai to aapko bahut success mil sakti hai is digital marketing ki industry me.

Ye point aapke new year ke sankalp (resolution) 2019 me kargar sabit ho sakta hai.

Aapke liye ek additional point

8. Aapne passion ko enjoy kare

Aap chahe kisi bhi field me kam karte ho aapke passion ko kabhi na chhode, passion ka matlab hota he yessi bat jo aapko karne se aapko khushi milti hai.

Aapka passion kisi bhi chij me ho sakta hai, like for example writing, speaking, music, dancing, travelling etc.

Dosto ye chije karne se aapko achha lagata hai to ye jarur kare.

Share on:

Mera naam Bibishan Chaudhari aur me www.mycashsavingtips.com ka founder hu, jaha aapko money saving tips, make money online aur money related topics par inforation milegi.


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

21 thoughts on “7 Best Sankalp (Resolution) 2019 – Life Change Kar Sakte Hai”

  1. Aapki ye post muze Bahut acchi lagi… Khaskar
    Start money saving ke baare me aur Kuch naya skill sikhane ke baare me….
    It’s really motivates us… thank you .

    Reply
  2. बहुत ही अच्छा लेख लिखा है आपने.
    हम हर साल नये संकल्प बनाते है लेकिन कुछ दिन बाद सब भूल जाते है.

    लेकिन इस बार ऐसा नही होगा मैं सारे संकल्प याद रखूंगा ओर उनको पूरा भी करूँगा.

    Reply
  3. Sir, Spelling mistake hua hai thoda bahut. Wese post accha laga. Lekin sir spelling mistake padhne se kaisa lagta Hai.. lekin mistake sabse hote hai, sayed mera site ke post me aur jyda mistake hai 😜.

    Reply