SMS kya hai ye to aap jante hoge, SMS ki starting to pehle apne message ko phuchane ke liye hui thi.. par uski jagah ab Dusre Messaging App (Whatsapp, Messenger, Hike) ne leli..
Kuch logo ka manna hai SMS ka time ab khatam ho chuka hai, q ki ab message send karne ke bhut se tarike aa chuke hai, to SMS send karne ka koi fayda nahi.. par aisa nahi hai.. SMS ki aaj bhi utni hi Value hai jitni starting me thi..
Wese me ye to conform bata sakta hu, abhi aap ke Mobile par sirf Bank, Mobile Balance ya kisi site ke OTP ke sms ke alawa koi or SMS nahi aate hoge..
Q ki jo pehle log Wish karne ke liye bhi SMS ka use karte hai wo ab Whatsapp se hi send kar dete hai..
Par agar aapko kisi ko Special Tarike se Wish karna hai, to Whatsapp or Facebook old ho chuka hai.. Q ki aap khud socho Whatsapp par hamare pass 500-1000 wishes ke message aate hai, par hame pata hota hai wo kahi se aaya message wass hame forward kar diya hai. to jo Wish karne par ek Special wali feeling aani chahiye wo nahi aati.
Ulta, Whatsapp par bhut sare message aane ke karan to ham unko open karke bhi nahi dekhte, ki haa hoga koi forward kiya hua message.
To agar me kahu, Whatsapp or Facebook par message send karke Spamming karne ke bajaye agar aap Professional SMS send kare to kesa rahega.
Professional SMS se confuse naa hoyega, Simple sabko me kahu to jis tarah company ke SMS aate hai, jisme Number ki jagha uska username hota hai.. wesa aapke username se SMS jaye without Number.
Example ke liye aap Niche ka SMS dekhe.. Iss SMS ne muje itna Impress kiya jitna mere whatsapp par aaye 1000+ message bhi nahi kar paye.. mene Whatsapp par aaye sabhi messange ko to open tak nahi kiya.. par Iss SMS se laga ki haa, Kuch Special hai.
Abhi ham Iss Post me yahi janne wale hai, Kaise ham apna Professional SMS send kar sakte hai bina Mobile Number hai..
Wese Professional SMS send karne ke liye Company ka hona jaruri hai, jisme Bulk SMS setup kare.. jo ki ek Normal person ke liye possible nahi.. Par ye ham Fast2SMS se badi aasani se kar sakte sakte hai.
Page Contents
Fast2SMS kya hai
Fast2SMS ek Bulk SMS Service hai, jiski madad se ham Bulk me SMS send kar sakte hai.
Fast2SMS Service ki jo sabse khas baat hai wo ye ki hame Bulk SMS Service ke liye starting me hi jada paise invest karne ki jarurat nahi hai.. Sirf ₹10 se bhi ham start kar sakte hai.
Bulk SMS Service ka use
Abhi Internet se chalne wali Apps itni aa chiki hai jisse sayad aapke mind me ye question bhi aa jaye.. ki Bulk SMS service ki kya jarurat hai.. to aap Niche diye Points ko read kare.
- Personal SMS send kar sakte hai, Wish kar sakte hai.
- Kisi Event ka Invitation send kar sakte hai. (Shaadi, B’day party)
- Promotional SMS send karke promotion kar sakte hai.
- OTP ke liye Bulk SMS ka use kar sakte hai.
- School, Coaching ke Alert ke liye use kar sakte hai.
- Notification, Alert send kar sakte hai.
- Agar aapki website hai to aap apne readers ko New Post ki notification send kar sakte hai.
- Youtube channel ke New Video ki notification send kar sakte hai.
- iske aalawa bhi bhut kuch jiska andaja ab aap laga lijiye.. ;)
Fast2SMS Account kaise banaye
Account banana bahut hi aasan hai, Simple aapko Fast2SMS ki website par jana hai, or Signup Form me apni detail fill karke Account open karna hai.
- Apna Naam dale
- Date of Dirth select kare
- Mobile Number dale
- Email Address dale
- Term n Condition or policy ko Tik karke agree kare.
- Submit button par click kare.
Ab aapke Mobile par Fast2SMS se ek SMS aayega, jisme aapke account ki login detail hogi.. username me aapko apna Mobile Number dalna hai or Password aapko SMS me aaya hoga wo dalna hai.
*Email ID par bhi Fast2SMS se mail aaya hoga, usme click karke EMail ko bhi verify karna jaruri hai.
Iss trha aapka Fast2SMS me account banke teyar ho jayega.
₹20 Bonus Coupon HMH20: Jese hi aap Account pura setup kar lege, uske baad ₹20 Free Credit ke liye aap HMH20 Coupon Apply kare.
Fast2SMS Mobile App
Mobile se Fast2SMS use karne ke liye aap iska Mobile App Install kar lijiye, jisme badi aasani se aap apni Phonebook me save contect ko SMS send kar sakte hai.
Professional SMS kaise send kare
Fast2SMS se Free sms to send kar sakte hai, par agar Professional SMS send karna hai to uska thoda charge lagta hai.. jo Dusri Kisi bhi SMS service se compare kare to bhut kam hai.
SMS send karne ke liye, Image me di hui steps ko follow kare..
- Bulk SMS par jaye
- Sender ID select kare.. (Agar aapki ID set nahi hai to pehle set karna hoga.)
- Jis Number par SMS send karna hai wo dale, aap ek se jada number bhi daal sakte hai.
- Apna SMS Type kare, jo bhi aap send karna chahte hai.
- Send ki button par click kare.. (AGar Baad me send karna hai to Schedule bhi kar sakte hai..)
Iss tarah aap apna SMS send kar sakte hai.. Message kaisa Show hota hai wo aap image me dekh sakte hai.
At Last:
Agar aap Blogger ya Youtuber hai to aap Iss service ka use apne promotion ke liye kar sakte hai..
Me bhi plan kar raha hu apne Readers ko New Post ka Notification SMS se send karu.. uske liye Fast2SMS me QR Code feature bhi hai.. jiski madad se koi bhi user simple QR Code Scan karke SMS subscribe kar sakte hai.
To ab aap comment karke bataye.. aap SMS Service ka kaha or kaise use karne wale hai..
Nice Post
Good Post, Thanks For Your Help !!
Hi guys,
I’m using this service smsala.com to send unlimited free SMS messages. I believe you can send it anywhere in the world.
Nice
post
Thanks for sharing this. Promote your business through bulksmsplans.com.
Sir QR code scan karke subscribe karnewala baat samajh me nahi aaya please detail me samjhaye
achhi jankari hai blogger post promote karne ke liye. Very Nice
मैं आप से उम्मीद करता हूं आप इस ब्लॉग पर रोज पोस्ट पब्लिश करते रहे जिससे कि हमें बहुत ही जानकारी मिली जो हम अगले शेयर कर सके हम उम्मीद करते हैं कि आपकी पोस्ट को अगले भी सोशल मीडिया पर शेयर करेंगे इसलिए आप रेगुलर एक पोस्ट पब्लिश जरूर करें। शुक्रिया।
Thanks.. or meri aapse request hai please real name use kare comment karte time.. thanks again :)
Apki ye post mere liye upyogi saabit hui. share karne ke liye thank you sir
muje fast2sms s mobile recharge krna h kese kru step by step btaiye
sidtalk ka har video bhi mast hta he or yeh site bhi bahut kam ki he, rohit bhaiya aapko thanks fast2sms company ke bare me post likhne ke liye
Mast trick bta di bhai .. Thanks.. BTW also credit goes to sidtalk bhai..
Haa bhai, sidhart bhai ki hi site hai..
Nice
bahut achhi jankari hai blogger post promote karne ke liye.
Bahut achha jankari diye hain apne but sms send ka rupya bhi leta hai ya bilkul free hai.
Paise lagte hai.. Professional SMS ke..
Fast2SMS pahle se kaphi imporve hua hai
Thanks sir
Very nice info Rohit ji and this site is a part of SID group from SIDTALK. I am a big fan of them.
Great..
इस जानकारी देने के लिए बहोत बहोत शुक्रीया 🤞🤞
achhi jaankari hai agar khud ka koi product or service ho sath hi hamare paas targeted logo ke number bhi ho to ye trika bahut kaamyaab ho sakta hai. Mai Indore me ak Ecommerce company me kaam karta tha tab ham is method ko use karte the. Fast2SMS Ke alava aap way2sms ka bhi use kar sakte hain.
Bilkul sahi kaha. Targeted number ho to bhut sahi tarika hai ye.
bahut achhi post hai, fast2sms ka review padh kar achha laga
bulksmsgateway. in & Spring Edge😊
Real Time Tracking
Best Customer Support
Bhai Fast2SMS inse sasta hai or minimum ₹10 se bhi kar sakte hai.
bahut hi achhi janakri hai. mai bhi try krta hu dekhte hai kaisa response milta hai. 1 saval hai kya is trh ke message ydi ham kisi ko send krte hai to kya koi pareshan hokar kanoon karyvahi kar skta hai.
agar aap kisi ko galat message kar rahe hai to bilkul aappar case ho sakta hai.. or agar DND activate kiya hai to promoessional message unke pass nahi jayege.
koi glt message nahi krna hai ham sab to sirf blog post hi pramote kar skte hai.
Awesome Post But Aapne Anya Sites Ke Bare Me Kyu Nhi Btaya?Isse Bhi Better Service Providers Hain!
Abhishek ji, konse hai aap bata sakte hai..
bhadiya post likhi sir thanks
Thanks for great infomation sir.
bahut hi achhi information di bhai aapne
lage raho bhai
thanks u so much sharing article