Blogger: SEO Friendly Image Kaise Banaye for More Traffic

Agar aap apne Blog par Traffic lana chate hai to sirf web search nahi Image Search par bhi focus kare.. Agar aap Image ka sahi SEO karege to blog par Image ke jariye bhi acha khasa traffic laya ja sakte hai.

Image Blog post me bhut jaruri hoti hai, or Image SEO karna On Page SEO ka ek main point hai.. jiski madad se post rank karti hai.

Advertisements

Mere Hisab se Post me jaan jab hi dalti hai jab usme badiya image ho.. mene kahi pada tha ki ek image 1000 sabd ke barabar hoti hai, or ye muje sahi bhi lagta hai. khene ka matlab hai kam se badiya image jarur add kare apni post me.. jo baat ham 1000 sabd likh kar samja payege wo kaam ek image kardegi.

Free Stock Image website ki list yaha share ki hai, jaha se free me image download kar sakte hai. or agar aap Google se Copyright Free Image Download karna chate hi to uska tarika bhi share kiya huaa hai.

Blogger SEO Friendly Image Kaise Banaye for More Traffic

To Chaliye Dekhte hai Kya kya karna hai Blog me Post me use karne ke liye.

SEO Friendly Image Kaise Banaye

SEO ka matlab hai search engine friendly.. matlab jab koi search kare to hamari image bhi search (Google Image Search) me aaye..

Google Khali Image se samaj nahi pata ki image me kya hai or ye kis bare me hai, isliye jab koi search karte hai to hamari image nahi aati, uske liye ye kuch Chije hai.. jinka istmal karke ham apni SEO Friendly Image bana sakte hai.

SEO Friendly Post likhne ke liye bhi Image SEO bhut jaruri hai.

1# Image ko Upload karne ke Phele Rename kare

image ko rename kare upload karne ke phele example dekhe hmh pe

Sabse badi galti jo satarting me karte hai wo ye ki jo image hai usko remane nahi karte.. jese kahi se koi photo khichi to uska naam kuch number me hota hai (232247248). isse dikkat ye hai ki Google ye nahi pata kar sakta ki image me kya hai, par agar uska naam hoga to uska pata chal jayega ki ye kiski image hai.

Ye bhi Pade: Kaise Badaye Apne Blog ki Traffic

2# Image me ALT tag add kare

Jesa ki mene bataya Google Image ko achi se read nahi kar sakta ki ye image kis bare me hai.. to jab ham post me upload karte hai to usme alt tag add karke ham batate hai ki is image me kya hai ya fir ye kis bare me hai. ALT Tag ek HTML Code hota hai.

ALT Tag add karne ke liye steps follow kare

Step 1: apni Image ko Blogger ke Post Editor me upload kare.

Step 2: Image par click kare.. uske baad kuch option aayege. Properties par click kare

image ki property add kare blogger me seo ke liye

Step 3: ALT Tag me apni Image ke bare me likhe or ok ki button daba kar save karde.

alt tag add kare image me search ke liye

Title Text me bhi likhe apni image ka naam.. isse agar koi image par mouse layega to uska naam popup hoga.

3# Image me Caption Use kare

image me caption add karke image ke bare me bataye ki isme kya hai in hindi

Image me aap Caption bhi add kar sakte hai, iski madad se jo visitor aapke blog par aayega wo bh isko pad kar samaj sakta hai ki ye image kis bare me hai. Ye SEO ke liye jaruri nahi hai itna par agar kisi image ke bare me batana hai to Paragraph likhne se acha Caption me likhe..

Post Description bhi jaruri hai Blogger SEO ke liye

4# Image ko Kis Format me Use kare

image formate me size ka difference kitna rhata hai

Image ka format hai usse direct to koi fark nahi padta image search me par ye bhi jaruri hai.. Image ka size jitna kam ho sakte utna kam hona chaiye Q ki agar jada size ki image hogi to hamari site load hone me time legi. Loading ke karan hamari site ki rank par fark padta hai.. Image ke jo mainly sabse jada use hone wale format hai Png, Jpg, Gip.. Aap koi bhi use kare par dekhe sabse kam kis format ki memory rhati hai. Mere hisab se JPG.

Image Size kaise kam kare uski jankari yaha hai, jisme aap site ki madad se free me image ko compress kar sakte hai bina uski quality kam kare.

Agar aap Image ka format computer me change karna chate hai to aap Format Factory Software ka use kar sakte hai.

Note: WordPress me bhi same steps follow karna hai SEO Friendly Image ke liye :)

***

To Ab Image jab bhi upload kare in bato ka jarur diyaan rakhe SEO Friendly Image ke liye.. :)

Agar aapka abhi bhi Image SEO se sambandit koi sabal hai to aap comment karke jarur puche, or ye jankari kesi lagi comment karke batana naa bhule.. :)

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

134 thoughts on “Blogger: SEO Friendly Image Kaise Banaye for More Traffic”

  1. Sir g guest posting karne se kya hota hai or iska benefit kya hai, or Blogger se WordPress per migration kaise kare please reply..

    Reply
  2. hello sir,
    blogger ka trafic bhadane ke liye sub se phle kya karna chahiye. jisse mere blogger me trafic bhut adik ho sake.

    plese help me.

    Reply
  3. Rohit sir aap hamesha hi bhut ache article share karte hain aapka blog bhut high jane wala hain aap apne blog per bhut mehnat karte hain

    Reply
  4. Rohit ji mujhe aapki help chahiye or wo ye hai ki main bahut kosishon ke bad bhi main apni photo gmail me aplod nahi kar pa raha hun meri help kijiye pls…..

    Reply
  5. Hello Bhai kya mjhe ye bta sakta ho mere blog me abhi kya kya kamiya hain plzz help me ..maine phli bar blog bnaya hai

    Reply
  6. sir mujhe image upload ke liye blog bnana tha please mera help kare mine blog bna liya hai par blog pe mujhe sirf sare prakar ke image dalna hai kaise dalu

    Reply
  7. Hello rohit ji mene aapki site par comment usake bad jab bhi aapki site kholta hu to mera name email website hamesa fill hi rahta h aapke comment box me. or dusri id se kholu tab bhi please esase koi problem to nahi h na

    Reply
    • Jab aap next comment ke liye ye jankari save krte hai to ye save hota hai. Isse koi problem nhi hai. Ye jankari sirf apke liye hoti hai taking next comment me apko whi name wagera fir na dalna pde. Thanks for comment Vishnu ji.

      Reply
  8. hallo rohit mai abhi wordpress k free blog se blogging start kr raa hu
    aap ye btaaye ki baad me ish blog ko domain se conect krne aur hosting leke chlaane me koi dikkat to nhi aayegi naa
    I mean jab mere blog kaa traffic grow ho jaayega tabgi mai domain aur hosting use krunga ush se phle nhi to aap sirf ye btaaye ki koi problem. to nhi hogi naa baad me

    Reply
    • Ham jab domain lete hai or jo free blog ka domain hota hai wo dono alag alag hote hai..

      Example : abhi aap free wale ghar me rha rahe ho fir khud ghar kharid kar rahoge to jo aapke phechan ke ke unko aapka new address batana padega.. Nahi to dikkat to aayegi.. Ummid hai aap samaj gaye hoge.. Domain le kar site k ek alag address hota hai..

      Reply
  9. Sar aapne apki is website me sabse upar apni website ka name likha he hindi me help vo bhi digain karke bade aksro me vo kese likha he me bhi vese hi likhana chahta hu please help

    Reply
    • haa ban sakta hai, par dikkat aati hai or kuch kaan hai jo computer me hio ho sakte hai.. aap tri kar sakte ho.. ye aap mujse puchne ki jagha tri kar sakte htee.. Mobile or computer me jo bhi website hai hoti to ek hi hgai, bas screen badi choti hoti hai.

      Reply
  10. Very Nice Website Banae hai Aapne Rohit bhai ,
    me mera blog par Aap ka template use karata hu.
    mera blog dekhakar Aap koe suggestion dijiye…..

    THANK YOU Rohit bhai.

    Reply
      • Sir Blogger me Footter me Menu kaise lagaye Ya Blogger ko WordPress pe migration kaise bina Koi post delet kaye matlab bina koi 404 error ke

        Reply
        • Blogger me aap footer me menu widget ke under lga sakte hai. Iske liye pahle add to widget me click kre aur pages choose kre aur apne menu ke sabhi link wha add kar de. Ydi apke pass jawa code to use jawascript me widget me save karke menu bna sakte hai. Ydi apko coding ki knowledge hai to aap dircect theme edit krke menu lga sakte hai.

          Aur bloge ko WordPress me migrate Karne ke liye hmh ki post ” blogger ko WordPress me shift kre ” padhe. Ise aap right side bne search engine me search kar sakte hai . Apko ye post mil jayegi.

          Reply