Sponsor Post se Blogging me Paise kaise kamaye?

Internet par Blogging se paise kama ke wese to bahut tarike hai, jisme se kuch tariko ke ware me hi sabko pata hota hai Adsense, Affiliate etc.. or jo bahut kam logo ko pata hota hai unme se ek tarika hai Sponsor Post.

Mene kuch time pehle ek Detail Guide share ki thi, jisme mene Blogging se paise kamane ke 100+ tarike share kiye the.. agar aapne wo read nahi ki to usko bhi jarur read karna.. unn 100 tariko me se hi ek hai Sponsor Post jiske ware me abhi detail me janege ki akhir kaise hum isse Paise kama sakte hai.

Advertisements

Abhi Iss Post me aapko Sponsor Post se related sabhi question ke answer milne wale hai:

  • Sponsor Post Kya hai?
  • Sponsor Post karne ke kya fayde or Nuksan hai?
  • Sponsor Post kaise milte hai?
  • Hame Sponsor Post ke liye kitna charge karna chahiye?
  • Sponsor Post karna sahi hai ya Galat?
  • Sponsor Post se hum kitne paise kama sakte hai?
  • iske alawa Sponsor Post se related kuch Tips or Tricks aapko iss post me mileage.

To chaliye ab Start karte hai or jante hai detail me Sponsor Post kya hai or kaise iske jariye paise kamaye ja sakte hai.

Sponsor Post se Blogging me Paise kaise kamaye? - Blogging

Page Contents

Blogging me normally kya karte hai, koi bhi Information ya hamare Thoughts hote hai wo hum Blog post ke form me Publish karte hai, to aese me jo user hamare blog ko follow karte hai wo hamari unn post ko read karte hai ya Google se search karke hamare blog par aate hai.

To agar hamara Blog thoda purana ho chuka hai, or jis field me hamara blog hai unme ek achi reputation ban chuki hai to jo bhi hamari field ki company ya website hai wo apne Product or Service ka Advertisement karne ke liye hame Pay karte hai usi ko ham Sponsor Post kehte hai.

Simple koi bhi company hai wo apne Product ke ware me ek Post Publish karate hai, jisse wo apne Product ko hamare Blog ke user tak pahucha sake or uske liye wo hame Pay karte hai.

Jese Example HMH ko Start hue 7 saal ho chuke hai, or Online Hindi Blogging Field me HindiMeHelp ki ek alag pehchan hai.. iske karan jitni bhi Online Hosting, Theme, Plugin, SEO Software or Service ki company hai wo apne Product ka Promotion karane ke liye hamse contact karti hai or Post Publish karne ke liye paise bhi deti hai.

Sponsor Post kya hai or isse paise kaise kama sakte hai ye to aapko samajh aa gaya hoga.. par Sponsor Post se Paise kamane ke liye Sponsor Post laye kaise ye kaam thoda pechida hai.. kyu ki iske liye sach batao to aapko kuch karna hi nahi hai wass aapko wait karna hai.

Aapko sabse pehle to apne Blog ka koi ek Topic (Niche) select karna hoga, agar aapka blog multi niche par hai to koi bhi company ko samajhne me pareshani aayegi ki agar wo apne Product ka advertisement aapke blog par karege to wo sahi audience tak pahuchegi ke nahi.

Matlab dekha jaye to aapko Sponsor Post ke liye alag se kuch nahi karna, wass apne Blog par Quality content dalte rehna hai or apna user base badana hai..

Wese Sponsor Post ke liye kuch Platform bhi hai, jispar hum apna account bana kar Sponsor post le sakte hai.. par me aese kisi platform ka use nahi karta, kyu ki sponsor post karne se pehle bhi kuch chije hai unko dhiyan rakhna hota hai, kyu ki agar hum kuch bhi Paise lekar post kar dege to usse hamare user experience kharab hoga or wo long term me hamare blog ke liye thik nahi hai.

Agar aapka sawal hai, aapko Sponsor post kaise milegi to aap inn Points ko Follow kare.

  • Kisi bhi ek Topic par apna Blog banaye, Multi Niche par nahi
  • Quality Content hi Publish kare, jisse User or Brands aapke Blog ko pasand kare.
  • Blog me Content Form or Professional Email jarur mention kare, jisse Sponsor ke liye companies aap se contact kar sake.
  • Wait kare, New blog par koi paise dekar apna advertisement nahi karayega.. uske liye aapko apne Blog ko Grow karna hai, fir automatic aapke pass Offer aana start ho jayege.

Wese to ye aapka Blog kis catogery par hai us par depend karta hai, par mainly jo sponsor hame milte hai unko ya to kisi post me sirf apna mention karana hota hai ya fir puri ek post publish karani hoti hai.

Jese humne koi Top 10 Best Software me ware me post dali to ho sakta hai koi Software company hamse contact karke kahe ki hum unke software ko bhi list me add kare, or wo uske liye hame pay karne ke liye bhi ready hote hai.

Kuch Log Backlink ke liye bhi Sponsor Post Publish karte hai.. to agar aapke Blog ka DA-PA accha hai to log apne website ki ranking ke liye aapke blog se Backlink (Sponsor Link) lena cahege or aap uska charge kar sakte hai.

Sponsor Post sirf Blog par hi nahi.. agar aapka Youtube Channel hai ya Facebook, Instagram, Linkedin par ache khase Follower hai to aap waha bhi kisi Product ya service ke ware me post karke paise kama sakte hai.

Mene detail me bataya hua hai kaise:

waise iss Question ka koi fixed answer nahi hai, kyu ki ye depend karta hai aapki jo authority hai wo kitni hai ya jo aapki website ke follower hai wo kitne hai.. or jo company aapke blog par sponsor post karna cahti hai unka kitna budget hai.

Wese ek mota mota andaja agar hum le to agar koi company apne kisi product ke ware me sponsor post kara rahi hai to ham unse $100-$500 Charge kar sakte hai.. or agar koi badi company hai ya aapki jo following hai wo bahut jada hai to isse jada bhi charge kar sakte hai iski koi limit nahi hai.

Wese aap yaha read kare Blogging se kitne paise kama sakte hai, usse aapko idea mil jayega.

Jab bhi aap kisi company se paise lekar unke ware me apne blog par dale.. to sirf apna faida na dekhe.. or hamesa ye check kare jo bhi post aap daal rahe hai isse aapke user ka koi nuksan to nahi hoga.

Bahut si company fake Product or service bana kar aese paid Promotion kara deti hai popular Blogs par.. to jo user unn blog ko follow karte hai wo ankh band karke usko sahi samajh kar usme fas jate hai.

Agar aapko Blog Long Term lekar chalna hai to hamesha dhyan rakhe, Sponsor post sirf unn Product ya Service ki kare jo aap ko khud se sahi lagti ho.

HMH par Sponsor Post ke liye mere pass daily ke Mails aate hai, par mahine ke 3-4 sponsor post me publish karta hu.. jisse user ko koi new jankari mile or koi nuksan na ho.

Agar aap kisi sahi Product or service ke ware me paise lekar post kar rahe hai to bhi usme koi burai nahi hai.. par agar aap paise lekar kisi Fraud chij ko promote kar rahe hai to wo bilkul galat hai.

iska koi fixed nahi hai, aap company ka budget or apni Profile ke hisab se charge kar sakte hai. Normally Blog post ke liye HMH par $100-$500 Charge liya jata hai jo bahut si chijo par depend karta hai.

Sponsor Post ka matlab Paise lekar post karna.. ab aapko Paid Article bhi keh sakte hai, ya kuch or bhi ..

Agar aapko Sponsor se paise kamana hai or galat cheez bhi promote bhi nahi karni to sabse pehle to aap apne blog ki ek achi brand banaye, jiske baad automatic jitne bhi ache company or product hai wo sponsorship ke liye aapki taraf khiche chale aayenge.

Google ko isse koi matlab nahi ham jo apne blog par daal rahe hai hum uske paise le rahe ya free me publish kar rahe.. wass Google Chahta hai jo bhi hamari website par aaye unko koi nuksan na ho or jo usko chahiye wo usko mile. Issi se related Google ka abhi New Update bhi aaya hai Google Helpful Content Update.

At Last:

Ab aap jaan chuke hai Sponsor Post kya hai or agar aapko Sponsor Post se paise kamana hai to uske liye aapko kya karna hai.

Agar aapka Sponsor Post se related koi bhi sawal ho to jiska jawab aapko is post me na mila ho to aap comment karke jarur puche.. or aapko ye jankari kesi lagi wo bhi comment karke jarur bataye.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

10 thoughts on “Sponsor Post se Blogging me Paise kaise kamaye?”