Unblock Facebook Website URL 2025 Method

Facebook jo ki ek Popular Social Network website hai, or agar kisi bhi website ko promote karna hai to Facebook ek badiya option hai Website par Traffic lane ka..

Agar aap Facebook use karte hai to aapko pata hi hoga, ham Facebook par Website/Blog Post bhi share kar sakte hai..

Advertisements

To agar aap apni kisi website ko Facebook par Share karne ka try kar rahe hai par, aapki website URL aap facebook par share nahi kar pa rahe, iska matlab hai facebook ne kisi baja se aapki website ko block kar diya hai..

Agar aapki website Facebook par Block hai, or aap Facebook se website ko unblock kaise kare uska solution search kar rahe hai to aap sahi post par aaye hai, abhi me aapko 2025 me jo tarika work kar raha hai wo share kar raha hu.

Unblock Facebook Website URL [year] Method - Blogging

Page Contents

Website ko Unblock kaise kare Facebook se

Website ko Facebook se unblock kaise kare, wo janne se pehle aap ye dekh lijiye ki facebook kisi bhi website ko Block kyu karta hai..

Ye to aap jante hi hoge ki facebook community guidelines bahut stricked hai, agar unko thoda bhi kuch galat mehsus hota hai to wo usko turant block kar dete hai jo ki kisi bhi achi social network site ke liye jaruri hai take unke user ko pareshani na ho.

Facebook ID Block kyu hoti hai or uske kya karan hai wo mene pehle hi detail me share kiye hue hai aap sabse pehle to unko pura read kare, to aapko samaj aa jayega ki agar aapki website block hui hai to uska kya karan hai..

Facebook kesi site ko block karte hai:

  • agar website spammy hai to usko block kar diya jata hai.
  • kisi website ka url agar koi war war jagha jagha share karta hai to bhi uss site ko block kar diya jata hai.
  • FB user ko agar uss website se koi paresani ho sakti hai to url ko block kar diya jata hai.
  • agar kuch illegal content site par hai to url ko block kar diya jata hai.
  • website ke title or image me jo hai, uske aalawa agar website par kuch or hai jisse user ko pagal bana kar website par laya ja raha hai aesa pata chalne par website ko block kar diya jata hai.
  • Agar website ka design accha nahi hai to bhi website ko block kiya ja sakta hai.
  • agar website me kuch bhi galat script run ho rahi hai to bhi website ko block kar diya jata hai.. (kuch log paid theme/plugin ko free me crack karke use karte hai uske karan bhi galat script website me aa jati hai.)

Facebook Community Standards Hindi

  • Authenticity: website me jo bhi content hai wo sahi ho jisse user ko koi galat jankari naa mile.
  • Safety: website user ke liye safe ho.
  • Privacy: user ka data website par kisi bhi tarah se leak na ho.
  • Dignity: website me kisi bhi person ya dharm ko lekar koi galat chij naa ho.

Jo bhi URL aap share kar rahe hai, agar wo in ponts me se kisi ko bhi agree karta hai to aap uss url ko facebook par share nahi kar sakte.

  • Website me spammy popup aate hai.
  • Website kisi top brand ki copy karne ka try kar rahi ho.
  • Website me koi galat information ho jisse user ko nuksan ho.
  • URL pehle kisi aese account se hare kiya gaya ho jo account facebook ki najar me galat hai.

or detail me agar aapko janna hai hai to aap Facebook Community Standards ko read kare. jisme unhone saaf saaf bataya hai ki agar kisi ko bhi facebook use karna hai to kin bato ka dhyan rakhna hoga..

To chalo ab aage badte hai ot baat karte hai Facebook se Website ko unblock kaise kare, Unblock Process me aage badne se pehle aapko ye check to karna hi hai ki kahi aap unki kisi Policy ke khilaf to kuch nahi kar rahe, agar aesa hai to sabse pehle to aapko wo thik karna hai.

Unblock Website on Facebook 2025 method

Facebook par aapki website Block hai ya nahi sabse pehle to aapko ye check karna hai, uske liye aap Facebook Debug tool par jaye, or apni website ko search kare.

Unblock Facebook Website URL [year] Method - Blogging
Jese hi aap kisi bhi website ko debug tool me search karege, agar wo website facebook par Block hai to aapke samne ek error message aa jayega.
Unblock Facebook Website URL [year] Method - Blogging

Agar aapki website ko search karne par bhi ye error aa rahi hai, matlab aapki website facebook par block hai, ab aapka pehla kaam to hai ki aap Facebook Community Standards ko ache se read karke samje, or unke according website me kuch dikkat hai to usko sahi kare.

Jab aap ye conform karle ki aapki website me koi problem nahi hai, galti se facebook ne aapki website ko block kiya hai to aap jo error message ke last me let us Know ka link diya hai us par click karke apni detail submit kare.

Unblock Facebook Website URL [year] Method - Blogging

Form me apna reason likhne ke baad aapko send karna hai, ab facebook ki team aapke website ko review karegi uske baad agar unko laga to wo aapki website ko unblock kar dege, jiske baad aap apni website ko Facebook par share kar payege.

Facebook se Traffic kaise laye apne blog par wo bhi aap jarur read kare, usme mene facebook se traffic alne ke sahi tarike share kiye hue hai.

At Last:

ye to tarika mene aapse share kiya hai apni website ko facebook se unblock karne ka, ye kaam to karta hai, par isme kitna time lagega wo ham nahi bata sakte..

Facebook par pehle ek direct form ka option hota tha, jiski madad se ham direct facebook URL ko unlock kara sakte the, par ab wo unhone remove kar diya..

Ummid hai iss jankari se aapko jarur madad milegi, or agar aapki website facebook par block hai to aap usko unblock kar payenge.. or agar aapki website block nahi hai to kaise usko block hone se bachana hai uss baat ka bhi aap dhiyan rakhege.

Agar aapka koi bhi sawal ya sujhab hai post me di gai jankari se sambandhit to aap comment me jarur bataye.. or aapko ye jankari kesi lagi wo bhi jarur bataye jisse ham aage bhi aapke liye or badiya jankari lekar aa sake.

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

3 thoughts on “Unblock Facebook Website URL 2025 Method”

  1. Bhai aapka post main kaafi dino se padh rha hun aap se hi mujhe inspiration mili hai to main bhi ek website create kiya hai mysearchgy.xyz but usme kuch technical error hai usse kaise fix kren plz Bhai reply

    Reply
  2. आपने यह बहुत अच्छा लेख लिखा है, यह पोस्ट मेरे लिए बहुत उपयोगी होगी, साझा करने के लिए धन्यवाद।

    Reply