10 Reason Aapki Website Kyu Google me Rank Nahi Hoti (Abhi Thik kare)

koi bhi website ho, bhale website banane ka maksad jo bhi ho, par ye to har koi cahega ki unki website Search engine me show ho or user us par click karke website par visit kare.

Agar aapki website hai or aapko lagta hai aapne wo sab kar liya jo website ko rank karane ke liye karna hota hai, fir bhi aapki website search me show nahi ho rahi.. to aap tension na lijiye me abhi aapko wohi sab point batane wala hu jo aapko abhi check karna hai or unko tikh karna hai.

Advertisements

kya kya karan hai website rank nahi karne ke wo batane se pehle me aapko suggest karuga, Website kaise Rank karaye or uske liye kya kya jaruri hai aap unke ware me bhi jarur read lare:

To chaliye ab jaan lete hai, sabhi tarah ki kosis karne ke baad bhi website Google me rank kyu nahi kar pa rahi hai, kaha aap galti kar rahe hai or uss galti ko kaise sudhara ja sakta hai.

10 Reason Aapki Website Kyu Google me Rank Nahi Hoti (Abhi Thik kare) - SEO

Page Contents

Website Rank Na Hone ke Karan

Agar ham overall sabhi point ki baat kare to mainly ye 4 category me aate hai, or agar isme se kisi me bhi koi issue hoga to aapki website Google me rank nahi kar payegi.. wo 4 category hai ye:

  • Indexing and crawl issues: aapki website ki setting me aapne crawler ko block karke rakha hai, ya kisi baja se aapki website crawl nahi ho pa rahi.
  • Technical issues with your website: website me koi technical issue hai, jese koi code galat use hua hai ya website ki speed bahut slow hai.
  • Linking issues: website me jitni bhi link hai wo sahi nahi hai, or Backlink profile bhi achi nahi hai.
  • Content and keyword issues: website me jo content hai wo acha nahi hai ya jesa user ko chahiye uss tarah se nahi hai.

To chaliye ab detail me jaan lete hai sabhi Points ke ware me jinke karan aapki website Google me rank nahi ho pa rahi hai.

1. Your site/page is not on Google

agar aapko ye conform nahi hai ki aapki website ko Google ne index bhi kiya hai ye nahi, to uske liye simple aap apni website ko “site:hindimehelp.com” term search karke pata kar sakte hai.. aapko HindiMehelp.com ki jagha apni website ka url ya agar aap kisi page ko check karna chahte hai to uska URL search karna hai.

site: operation ki madad se kisi bhi website/page ko check kar sakte hai ki wo Google me index hai ya nahi.. Google Useful Search Operators ki jankari bhi jarur read kare.

10 Reason Aapki Website Kyu Google me Rank Nahi Hoti (Abhi Thik kare) - SEO

Google me search karne ke baad check kare, agar aapki website search me show ho rahi hai or sabhi page Google me aa rahe hai matlab aapki website index hai.. Search me Top par naa aane ka koi or reason hai.

Agar aapki website Google me aese search karne ke baad bhi show nahi ho rahi, iska matlab hai aapki website par koi Google Penalty lagi hai.

Agar aapne website banai uss time Indexing ko disable kiya tha, par ab website puri tarah ready hai fir bhi aapne usko off nahi kiya. to wo bhi ek karan ho sakta hai usko bhi jarur check kare.

2. Aapki Website abhi Bilkul New hai

Agar aapki bilkul new website hai, ya jo page aap google me search kar rahe hai wo new hai to aapko thoda wait karne ki jarurat hai.. aap thode time baad check kare.. kabhi kabhi index hone me thoda jada time bhi lag jata hai..

Post Jaldi Index karane ke liye aap manully bhi apni Post ko Google me submit kar sakte hai.

Agar aapki website ko aapne Search Console me add nahi kiya hai to aap sabse pehle to add kare, uske baad waha apni website ka Site Map submit kare.. Kyu ki site Map ki madad se hi Google ko jaldi se pata chal pata hai ki koi New Page website me add hua hai, jisko wo jaldi se index kar sake.

Sitemap submit karne ke sath sath Google Search Console Important Setting bhi jarur check kare, aapne tikh se set ki hui hai ke nahi.

New Website banane ke baad ki 10 Important settings jarur set kare..

3. Aapka Content NoIndexed hai

jo sabse common reason hota hai Google ka Page ko index nahi karne ka, ki uss page ko noindexed kiya hua hai..

Ye simple ek meta tag hota hai, jo agar kisi page par hota hai, to usse Google ko ye signal jata hai ki unko iss page ko index nahi karna hai. Normally no index jab use kiya jata hai jab hum chahte ho ki ye jo page hai wo Google me show na ho.

<meta name="robots" content="noindex">

Agar aap Yoast, RankMath ya koi bhi SEO plugin use karte hai to aapko iska option Post editor me hi mil jayega.. waha se aap uski setting select kar sakte hai ki aap uss page ko index karna chahte hai ya nahi.

4. Robots.txt se Google Blocked hai

Google me website ko show nahi karna ho to ham usko no index kar dete hai.. issi ke sath website me kuch aise page bhi rehte hai jinko ham chahte hai ki Google Crawl bhi naa kare..

Kis page ko search engine crawl kare or kisko nahi wo ham apni website ke robots.txt file se bata sakte hai..

Agar aapki website Google me show nahi ho rahi hai, to ho sakta hai aapne galti se Robots.txt ki galat setting kardi ho..

Robots.txt kaise set kare uski jankari aapko yaha mil jayegi.

Agar aapka Blog WordPress par hai to aap setting me jakar Search Engine Visibility ko bhi jarur check kare, kahi aapne usko disable to nahi kiya hua hai.

10 Reason Aapki Website Kyu Google me Rank Nahi Hoti (Abhi Thik kare) - SEO

Aap Search Console me bhi apne robots.txt code ko check kar sakte hai, ki usse wo kya block kar raha hai or kya index ke liye allow kar raha hai.

Robots.txt file ka URL ye rehta hai, jaha aap apni website ka robots.txt file ko dekh sakte hai.

www.hindimehelp.com/robots.txt

5. Website me koi Technical Issue hai

Website me agar koi technical error hogi, ye bhi ek karan ho sakta hai jiske baja se aapki website Google me show nahi ho rahi..

Sabse pehle to aap check kare ki aapki website Fast load ho rahi hai ke nahi.. agar nahi ho rahi to website ki speed kaise fast kare uski jankari yaha di hui hai aap usko follow karke sabse pehle to apni website ki speed fast kare.. kyunki ye to aap jante hi hogi ki koi bhi slow website ko pasand kyu karega.. isliye Google bhi slow website ko pasand nahi karta.

Website par SSL certificate bhi hona ab jaruri hai. agar koi bhi website https:// ki jagha http:// me load hoti hai to usko unsecure website mana jata hai, jaha se koi bhi hacker aasani se user ka DATA chura sakta hai.. isliye agar aapne apni website me SSL certificate Install nahi kiya hai to abhi kar lijiye.

Aapki website me ko aapne Theme Install ki hai wo bhi technical Problem ka karan ho sakti hai.. isliye kosis kare trusted sources se hi Theme or Plugin Download karke install kare.. or Cracked Nulled Theme se to dur hi rahe warna aapki website Hack bhi ho sakte hai.

Technical SEO kya hai or kaise Technical SEO ki madad se ham apni website ko rank kara sakte hai uski puri jankari aapko Iss Podcast me mil jayegi.

6. Website Penalized hui hai

Google ki SEO ki Guidlines hai, jisko agar koi follow nahi karta or usko bye pass karke BlackHat SEO karta hai to jaise hi Google ko iska pata chalta hai wo uss website ko Google search se remove kar dete hai.

Simplay agar samjhe to agar aap Apni website ko rank karane ke liye aese tarika ka istemal kar rahe hai jo sahi nahi hai to aapki website Google hamesa ke liye Search se remove kar sakta hai.

Jese agar aap Links Buy karte hai ya Keyword ko rank karane ke liye Keyword Stuffing karte hai to aapki website/page penalized ho sakta hai.

Google ki Guest Post Guideline or Keyword kaise use kare uske ware me jarur read kare.

Broken Link ka hona website me bhi ek galat asar dalta hai website ki ranking me.. isliye aap ye bhi jarur check kare kahi aapki website koi 404 error to nahi aa rahi, or agar hai to usko thik kare.

SEO kya hai or kaise kaam karta hai, ye bhi aapko pata hona jaruri hai agar aap apni website ko Google me rank karna chahte hai to. kyu ki agar aapko SEO ki jankari hi nahi hai ya Adhuri jankari hai to aap jarur kuch galti karenge jisse aapki website Google me show nahi hogi.

7. Website me Sahi Internal Linking nahi hai

Website par article to sahi sabhi likhte hai ya likhne ka try karte hai.. par ek galti jo jata tar Blogger karte hi hai wo ye ki Sahi Internal link nahi karte apni post me.

Agar aapko apni website ki post ko rank karna hai to aapko sahi Internet karni hogi.. or usme bhi aapko is baat ka dhyan rakhna hoga ki aapki jitni bhi post hai unme se sabse important pages konse hai.

Internet Link ki madad se hamari jo post hai usko jaldi index hone me to madad milti hi hai, sath sath koi bhi user jab hamari website par aate hai to internal link ki madad se wo ek page se dusre page par jate hai kisse Bounce Rate kam hota hai website ka jo ki ek Ranking Signal hai.

Internal Link karte time aapko iss baat ka pura dhyan rakhna hai, aap jo bhi link post me de rahe hai wo uss article se related ho ya usse user ko help mile jo user uss post par aa rahe hai..

8. Kuch hi Backlinks site par

ye to aap jante hi hoge, Backlink kya hai or HMH par hamne Quality Backlink kaise Banaye or Bad Backlinks kaise Remove kare uske ware me bhi detail me share kiya hua hai..

Backlink agar kisi page ya Website par jada hoti hai, to uske rank hone ke chance bahut jada hote hai.. to agar aapki website par Backlink hai hi nahi to ye bhi ek karan ho sakta hai aapki website rank nahi karna ka.

Agar aapki website par Backlink nahi hai or jo website rank kar rahi hai us par jada Backlink hai to aap apni website par kitni tarah se Backlink bana sakte hai uski jankari aapko yaha mil jayegi.

9. Aapki website ka Content to badiya hai, par Competition jada hai

Aapne jo content website me dala hai uski quality to badiya hai or aapse puri research karke badiya se Post ko publish kiya hai uske baad bhi agar aapki website Google me rank nahi kar rahi uska karan ye bhi ho sakta hai ki aap jis keyword par rank karna cah rahe uspar bahut jada competition ho.

Aap Low Competition keyword ko find kare, or apni post me Long Tail Keywords ko use kare.. jisse bhale search kam hoge par aapki website ko rank karne me problem nahi hogi..

Keyword research kaise karte hai or konse Tools ki madad se kam Keyword research kar sakte hai uski jankari aapko HMH par hi mil jayegi.

10. Low Quality Content ka hona

Search Engine ho ya User sabhi ko Quality content hi pasand aata hai..

Search Engine ka kaam hota hai jo user search kar rahe hai ya jo wo janna chahte hai unko uski sahi jankari di jaye ya sahi website par bheja jaye.. aese me agar hamari website ke content ki quality achi nahi hogi or user ko jo chahiye wo hamari website par nahi hoga to Search engine hamari site ko search me hi nahi dikhayenge.

Badiya content kaise Likhe jo User or Google dono ko pasand aaye, iss topic par mene pehle hi post publish ki hui hai.. aap usko jarur read kare. sath me Quality content kaise likha jata hai wo bhi sikhe.

ek baat ka dhyan rakhe, Quality content wo hai jisme user ko jo chahiye wo usko mil jaye.. to iske liye aapko apne user ko bhi samajna hoga ki akhir wo cahte kya hai.

At Last:

Ummid hai ab aapko samaj aa gaya hoga, agar koi website Google me Rank nahi kar rahi to uska kya karan ho sakta hai.. or agar aapki website bhi Google me Rank nahi kar pa rahi to aapko kya karna hai jisse aapki website Google me rank kar sake.

Agar aapne ye sabhi points ko check kar liya hai, uske baad bhi aapki website Google me rank kar kar rahi hai to aap Search Console me bhi jarur check kare agar koi dikkat hogi to aapko waha error show hogi.

Agar aapka abhi bhi koi sawal hai website rank nahi ho rahi uske upar to aap comment karke puch sakte hai.. aapko ye jankari kesi lagi wo bhi comment me jarur bataye jisse me aage bhi aapke liye aesi useful jankari lekar aata rahu..

Chaliye milte hai agle kisi Useful Article me, Jab tak ke liye Happy Blogging…!

Share on:

Hello Friends, I'am Rohit Mewada .. HMH ka Admin. Muje Logo ki Help Karna Acha Lagta hai or Is website Par Me Logo ki Hindi Me Help karta hu :)  Read More...


Leave a Comment

Please Read HMH Comment Policy before Comment.

17 thoughts on “10 Reason Aapki Website Kyu Google me Rank Nahi Hoti (Abhi Thik kare)”

  1. Hi Rohit Mewada,
    Mein ne apka sara blog parha jismein kafi cheezein apne aisi btain jinse ik website ko rank krne mein kafi madad milskti hai. Apke blog ki muje ye baat bht achi lgi ke apne cheezon ko khol khol kar byan kiyaa hua hai jiski waja se apke blog ki bht achy se samajh arhi hai. Blog wahi acha jisko parh ke maza aye. Mein aj mazay mein hu apke blog ko parh ke q ke ik apne ik seo ki madad ki.
    Bht meherbani apki bhai!
    Shukria,
    Abdullah Jabbar
    Agr Bhai apko apki website ki Seo krwani ho to hamari website ko lazmi visit kijyega. xampra .com
    Hum ye sab cheezen develop krty han:
    Web development company USA, Top IT company in USA, Best IT services provider USA, Top-rated IT solutions USA, Expert IT consulting USA, Professional IT services USA, Top-rated IT solutions USA, Cybersecurity company USA, Cloud services USA, IT solutions USA, IT outsourcing USA, Technology consulting USA, IT services USA.

    Reply
  2. हेलो,
    मैंने आपका ये पोस्ट पढ़ा। आपने बहुत बारीकी से ऐसी सभी वजहों के बारे में बताया है जिनकी वजह से साईट गूगल में इंडेक्स नहीं होती। पहले मेरी भी साईट इंडेक्स नहीं हो रही थी, मगर आपके द्वारा बताये गए सुझावों की मदद से साईट अब रैंक करने लगी है। आपके इस पोस्ट के लिए आपका बहुत बहुत धन्यवाद।

    सादर
    प्रतिमा

    Reply
  3. बहुत-बहुत धन्यवाद सर जी आपका, आपका आर्टिकल पढ़कर हमें बहुत ही अच्छा लगा सभी जानकारी एक ही आर्टिकल में प्राप्त हो गए हम आशा करते हैं कि आप ऐसे ही हमें जानकारी प्रदान करते रहेंगे भविष्य में

    Reply