Duniya me sabse zyada use kiya jane wala app whatsapp hai. ye bat to sabko pata hi hai. par aap sab ye zaroor jana cahange ke WhatsApp Kisne Banaya aur whatsapp ki khoj kisne ki.
WhatsApp ek aisi app hai. jiski help se log mahine hazaro rupay kamate hain. google 2014 ki report ke hisab se whatsapp par har mahine 60 crore user add hote hain. whatsapp ki madad se log asani se apna business aage badha rahe hain.
Agar aapko jana hai Whatsapp se paise kaise kamaye to yaha par jaye.
Chaliye Ab Jaan lete hai jo Itna Popular App hai akhir uski kahani kya hai, Kaise Whatsapp ka Idea aaya, kaise or kisne Whatsapp ko banaya.. Kya Whatsapp ki Success Story hai.
Page Contents
WhatsApp Kisne Banaya
Most Popular messaging app whatsapp ko do dosto ne mil kar banaya tha. jinme se ek achi family se the aur ek gareeb ghar se the. par duniya me bahut ucha naam kamana chahte the 2007 se pahle ye ek normal insaan the. aur aj ye dono duniya me top ameero me aate hain. ab to aap zarur janna cahnge ki WhatsApp Kisne Banaya.
To is post me ham janenge ki kis tarah log agar sache dil se mehnat kare koi bhi kaam kar sakte hain. Kamyabi jitni bhi mushkil ho, insan se badh kar nahi hoti hai. agar aapne koshish nahi ki to aap man se hare hue insan hain. jise koi taqat jita nahi sakti.
Agar aapne Jack Ma ki Success Story abhi tak read nahi ki hai to aapko wo bhi jaruri read karna chahiye, hinhone alibaba.com website banai hai. wo bhi bhut garib the or aaj Chaina ke sabse Amir insan hai.
Gareeb Paida Hona Tumhari Galti Nahi Hai, Gareeb Marna Tumhari Galti Hai….
Founder Of WhatsApp – Who Invented Whatsapp
whatsapp banane wale ka naam hai Brian Acton or Jan Koum. Chaliye phele thoda dono ke ware me jaan lete hai.
Brian Acton – Brian Acton Central Florida me rahte the. ye Foreign Country ke hisab se ek middle class insan the. inhone 1994 me Stanford University se Computer science se apna graduation complete kiya. padhai me ache hone ki wajah se inhe Apple company me as a engineer job mil gai. usko chod kar inhone Yahoo company as a engineer join ki. aur is tarah ye apni life spend karte the.
Jan koum – Jan koum ek bahut hi garib ghar me paida hue the. inka janm 1976 me ukraine shahar ke ek chhote se gaw me hua tha. inke father ek construction company me kaam karte the. Jan Koum ne apni padhai Son jos state university se math aur computer science se ki, fir inhe ek hacking company WOOWOO me job mil gai. aur ye apni normal life jine lage.
Dono ko computer se bahut lagaw tha. isiliye dono ne compter se judi companies me hi job karne ka faisala liya.
Jan Koum Aur Brian Acton Kaise Mile
Brian Acton aur Jan koum Ki mulakat yahoo office me hui. brian acton ne pahli nazar me hi pehchan liye ki jan koum ek bahut mehnati insan hain.
In dono ki mulakat dosti me badal gai. aur fir dono ne yahoo me 10 saal tak kaam kiya. aur uske baad yahoo ko chhod diya 2007 me. aur travel ke liye nikal gaye. aur fir sath me west america ki travel ki.
WhatsApp Ka Idea Kaise or Kab aaya
2009 me Jan kaum ko movie dekhte time khayal aaya ki kyu na aisa app banaya jaye, jiski help se mai apne dosto ko bata du ki movie me kya ho raha hai. Jisse koi charge bhi nahi lagta ho. Kaum ne is idea ko Acton ko bataya. starting me Acton ne mushkil samajh kar na kehna chaha. par uske baad han kah diya. Ye dono Coding Master the. fir dono is mission ko pura karne me jee jaan se lag gaye. aur finally inhone ye Whatsapp bana liya.
Kya Problem Aai WhatsApp Banane me
Ye to Aap jante hi hoge, koi bhi kaam karo problems to aati hi hai, or jitna bada kaam ho utni badi problems aati hai, tikh ussi trha Whatsapp me bhi aai, unme se kuch niche bata raha hu.
1st Problem: App ban kar taiyar ho chuki thi, is app ko banane me dono ke paas jitna bhi paisa bacha tha lagbhag khatm ho chuka tha. par agar koi user whatsapp par registration karne ke liye apna number dalta tha to OTP ka charge Kaum ke bank account se kat jate the, or iske liye unko paise ki bhut jarurat thi take new user Whatsapp me account bana sake.
2nd Problem: whatsapp ki setting puri tarah se nahi ho pai thi aur unke paise bhi khatm ho chuke the. whatsapp message kabhi aata tha kabhi nahi aata tha. jisse unki app success nahi ho paa rahi thi.
3rd Problem: sabse badi problem yah thi ke unke paas paise khatam ho gaye the. wo bank se loan lena chahte the par interest zyada hone ki wajah se loan nahi lipa rahe the.
Ek Time ye bhi aaya ki unko lagne laga ki ab WhatsApp ka kuch nahi ho sakta or Jan koum ne Whatsapp Chodne ka socha, aur acton se kaha ki kyu na ise chhod kar koi job ki jaye. par acton ne kaum ko rokte hue kaha ki is tarah bich me chhodna bewakufi hai hame isme thodi or mehnat karne ki jarurat hai.
Mushkil Ka Samna
Dono ne kuch mahine aur whatsapp ko banane me kaam kiya. kaam karte karte dono ka bank account khali ho gaya. ab dono ko naukari ki talash thi.
Kaum aur acton job ki talash me facebook aur twitter ke head quarter gaye. par dono jagah inhe asafalta mili. WhatsApp ke kaam ko pura karne ke liye unhe abhi bahut paiso ki zarurat thi. kyuki app ko banane ka adha kaam hi abhi hua tha. Par dono ne haar nahi mani.
Acton ne socha ki kyu na dosto ki madad li jaye. tbhi acton ne yahoo me kaam kar rahe apne dosto ko apne projuct ke bare me bataya. bat ko samjh kar unhone han kah diya. Sabne mil kar $2500.00 collect kiye. aur fir se whatsapp par kaam karna shuru kar diya.
Hurrey Succeed – Banane Ke Bad Mili Badi kamyabi
WhatsApp ka kaam 2010 me complete hua, or iss App ko is tarah se customize kiya ki sabse zyada fast messaging service dene wali app whatsapp bangai.
2010 me whats app ki shuruat se lekar 2014 tak whatsapp ki unbelievable roop se tarakki hui. 2014 me whatsapp ke monthly user 60 crore se zyada hone lage. matlab har mahine 2.5 crore new user whatsapp par add hone lage.
Is waqt sabse zyada active rahne wae user whatsapp ke hain. china ke wechat aur japan ke Line app ko whatsapp bahut pahle hi piche chod chuka hai. is samay india me whatsapp ke daily active user 10 crore se bhi zyada hain.
WhatsApp Ko Kaha Becha
WhatsApp ki is taraki ko dekh kar Facebook ke Founder ne whatsapp ko kharidna ki baat jan kaum se kahi aur deal pakki kar li. aur $19billion dollar me whatsapp ko Facebook se kharid liya.
2016 ki Forbes report ke hisab se jan koum aaj duniya ke ameeron ki list me 50 we number par hain. unki sampatti 8.3 billion dollar hai. jo ki 2014 me 6.8 billion dollar thi.
Is tarah jan kaum ne apni ghareeb si zindagi ko apni mehnat aur kabiliyat ke dam se zero se hero bana liya. tabhi log kahte hain ki.
Tab Tak Koshish Karo Jab Tak Kamyab Na Ho Jao Yahi Safalta Ka Raaz Hai.
To Friends ye rahi WhatsApp ki kahani, jisme aapne jana kaise ek chota sa Idea Duniya ki sabse Popular Messaging Aap bana or unke Founder Duniya ke Amiro ki List me samil hue.
Agar aapko ye Post Pasand aai ho to isko Whatsapp par apne dosto se share karna naa bhule :)
Muje pata hai aap Whatsapp jarur use karte hoge, or aapko ye pata hona bahut jaruri hai ki apne Whatsapp ko hack hone se kaise bachaye.
thank you for sharing.
Informative article, thank you for sharing.
nice post
Amazing post, thanks for sharing this article.
Wow so nice Amazing post, thanks for sharing this article.
Bahut hi Badiya Jankari di Yasir Bhai Aapne, Thanks For Shayring
Helpful article
Mujy whatsapp hack karna sekawo beghir kisi ka whatsapp ka hath lagye
Whatsapp app mai hi On Off system ho to yane jish तरह हम डाटा on off करते उसी तरह whatsapp में हो तो।
Rpl jarur kariyega…..
aap forced stop karke kar sakte hai.. fir jabtak aap whatsapp open nahi karege koi message nahi aayega.. bhale net on ho..
Whatsapp app mai hi On Off system ho to yane jish तरह हम डाटा on off करते उसी तरह whatsapp में हो तो।
supar story for whatsaaap founder ,.
Achha Lga Padh Kar
Nice Article
rohit bhai bahut achha post hai. Aaj whatsapp ke baare me jan kar dil kush ho gaya.
Bhai ek suggestion dena chahta hu bhai aap apni hmh ki loading speed fast kardo brother hmh ki opening speed mujhe thodi slow lagti hai. kyoki bhai mere yaha network ki problem hai to apki blog ko read karne me problem ati hai.
Thanks Bro, ab mene kuch changes kiye hai ab aap bataye.. or agar aapko jada network problem aati hai to aap amp version me open kar liya kare.. http://www.HindiMeHelp.com/amp
WhatsApp ki yah story bahut hi motivational he, hume whatsapp ke founder Brian or Jan se bahut kuchh shikhna chahiye,hume unse shikhna chahiye ki yadi hum kisi kaam me man lagakar lag jaaye to sflta hume avshy milti he
haa.. kuch bhi karo agar mann laga kar kare to success to mil hi jati hai.
Nice story.
Rohit bhai kya meri guest post ap prakashit krenge jo mene apko bheji hain
Me aapko email par reply karuga.. Usko check karke.. Abhi Kuch phele se pending me post hai.. To aapko thoda wait karna hoga. Thanks
Bhai Very Nice Post.
Bhai Mene apko mail kia he. Ap Please Check Kare. Or reply kare. Mene Admin@RohitMewada[dot]com pe apko mail send kia he.
Sorry for delay.. me aapko check karke reply karuga..
रोहित जी really ये पोस्ट motivational है | whatsapp काफी पोपुलर है इसलिए इसके बारे में इतना कुछ जानना बहुत जरुरी है, साथ ही साथ आपने whatsapp से related और भी बहुत सारी जानकारियां दिया इसके लिए धन्यवाद |
प्रेरणादायक p o s t
Bahut se bataya apne story. Thankyou very much
Rohitji, Jab maine aapko ek guest post karne ko jo facts topic se related tha. Tab aapne mana kar diya tha. Likin aap khud iss tarah ke post ko apne blog par publish kar rahe hai….AIsa kyo hai…
Brother me samja nahi aap kya khena cha rahe hai.. aapne iss topic par guest post ka bola tha kya ?
Ji nahi is topic pe nhi tha but web se related facts post tha.
Nice and motivational Story…
Great work #Yasir Khan
Thanks Bhati Neemla. Hope You will love my new post on HMH.
Sir Apke her Post achhe hai. thanks for sharing
waw nic kafi interesting story hai .yar badi mehnat lagi hai Whatsaap ko banane me
Amazing Facts Really Grate Rohit
kya story hai bahi ji .. awesome mjaa aa gya pad kar …
Thanks ????????
bahut hi achhi jankari di aapne padkar achha laga
Acha Bro meri Bhi Soch Yehi Hai Ki Mai Bhi Peograming Sikh akar Kuvh Aisa Karu Ki Meri Us Chij Ko Puri Duniya Use Kare Blogging To Karta Hi Hu Kuch Naya Karu. ….Kaise Karu Plz Sir Tip Me
Brother.. wo to aapko pane adar dekhna hoga ki aapka kya talent hai aap kya kar sakt ehai.. or kis trha kar sakte hai.. jese aap mujse puch rahe hai.. agar mere pass koi aesa idea ho jisse me duniya me kuch naya kar saku to wo me khud q nahi karuga.. khene ka matlab ye aapk koi nahi batayega ki aap kya kar sakte hai..
Bhai me guest post karna chahta hoon lakin usme Maine 2700 sabd ka upyog kiya hai or ek image hai kyuki usme kuch sam jane like nahi hai career post please aap batao kaise send karu aapko
Sahil aap muje eamil kare Admin@RohitMewada.com
Sir WhatsApp ke kamai kaise hoti hai :)
wo ham jo bhi chat karte hai uske base par hamara interest pata kar leta hai .. or fir ham internet par kisi kisi bhi site par jate hai to jo ads aate hai wo ussi ke aate hai.. to whatsapp hamara internest kis chij me hai wo information share krta hai uska usko commission milta hai.
Thanks For Publishing My Post :)
Most Welcome Brother..
nice story thanx for share this